Darasal niveshako ko suraksha dene ke liye aaj kal nya concept aaya hai IEO ka. Yeh takreeban ICO jaisa hi hota hai par antar sirf itna hai ki token khareedne ke liye niveshako ko Exchange par KYC karwani padti hai aur sirf registered user hi token khareed sakte hain.
Yeh kuch hi IEO/ICO 2018 aur 2019 mein jinhone badhiya pradarshan kiya lekin agar hum unki asafalta ka dar dekhen to pata chalega. Ab tak 350+ ICO conduct hue hain aur unmein se lagbhag 30+ safal rahe hain (Ref: Cointelegraph aur coinschedule) aur ab jahan ICO fail ho rahe hain, IEO ki maang bad rahi hai. Phir bhi hum keh nahi sakte ki kaunsa safal rahega aur kaunsa nahi.
Aapke point se main bilkul sehmat hoon. Yeh pata karna bahut mushkil hai ki koi bhi ICO ya IEO safal rahega ya nahi. Par ek niveshak ke taur par yahi to kaam hai, anytha nivesh karna to ek asaan kamai ka saadhan ban jaayega. Niveshak ko bahut soch samajh ke, gehra adhyan karke hi sahi Project chunna chahiye aur usme nivesh karna chahiye.