Pages:
Author

Topic: Pakistan - page 8. (Read 3999590 times)

copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 24, 2024, 10:58:46 AM
SEC Approves Spot Ether ETF with Different Process from Bitcoin ETF(Which is being seen from the Risky eyes)

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Bloomberg ETF analyst James Seyffart ne kaha ke ye procedural farq aam hai taake excessive voting requirements se bacha ja sake. Magar kuch log samajhte hain ke delegated authority ka tareeqa istemal kiya gaya taake political motivations ko chhupaya ja sake. Bitcoin ETFs ke baraks jo foran trading shuru ho gaye thay Ether ETF ko trading shuru hone mein haftay ya maheenay lag sakte hain kyunke isay abhi S-1 registration clearance ki zaroorat hai


G brother, apki yeh bat sach ha k Bitcoin k ETF approval bht stright forward yani seedha sada tha jub k Ethereum k technical or procdural processes ko complete kerny mein waqt lagay ga laikin once completed Ethereum mein bht bullish sentiment generate ho ga or esmin bht investment aai go Institutions ki trf se or retail investots bi yakeenun esmin bht investment keren gay.

Meri bht cautious approach k sath Ethereum ki price next three months mein $6000 tak reach ker sakti ha or esky sath Bitcoin bi jaldi hee nai all time high bnany ki trf journey jari rekha gay. DYOR
full member
Activity: 350
Merit: 190
May 24, 2024, 10:42:02 AM


Dear apka bohat sukriya! plan to yahee hai Baki Allah behtr Farmayee gain Ameen! Baki Project ki baat rahee wo tha Online Food delivery System kuch khas nai tha mera b. Or rahee baat opportunity ki BitcoinTalk par b nai mil rahii as koi b non gambling campaign available nai hai or jo hai unka payrate bohat kam hai jasia k Eloncoin signature campaign. Acha thread k link to share karin bitcoin pizza day wala k mai ak bar dakhoo to usky rules kiya hain then participate krny ka sochoo ga.



G bhai bikul sahee kaha apny asal mai enko b maloom ho chuka hai k awam kis kadar Crypto Industry ko ly kr bullish  hai or highly involved hai that why maybe trump sy socha q na es cheez ko adop kiya jayee or jo log crypto ko like krty hain or esmai involved hai maybe uska crypto donation wala idea like karain gy or in this way trump ko votes b mil jayien acha es k elawa mai ak jaga hor phar raha tha k trump ki opposition b es cheez mai involve honnay ka soch rhi hai i mean joe biden baki dakho abi election mai kuch he maheny baki hain dakhty hain kiya krty hain ya log. I wish bas crypto industry par koi bura asar na paray.
full member
Activity: 196
Merit: 127
May 24, 2024, 07:03:33 AM
SEC Approves Spot Ether ETF with Different Process from Bitcoin ETF(Which is being seen from the Risky eyes)

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Jese K Ether spot ETF ke news Sy Ether me kafi pump aya Hai par ab phir se price reverse ke taraf move karnie lag pari Hai wo is waja se k SEC ne spot Ether  ETF ko manzoori to di lekin is baar approval ka tareeqa Bitcoin ETF se mukhtalif tha ye different aik risk ke Nazar se dekha jaraha Hai . Bitcoin ETF ko approve karne ke liye SEC ki paanch rukni committee ka vote zaroori tha jabke Ether ETF ko SEC ke ek specific department, Trading and Markets Division, ne approve kiya. Matlab ye hai ke Ether ETF ko approve karne ke liye full committee vote ki zaroorat nahi thi isliye process tez aur aasan tha.

SEC ne kuch baraay financial firms se 19b 4 form liya jo exchanges apni proposed changes ko justify karne ke liye submit karte hain magar SEC ne mazeed koi comments nahi diye. Matlab ye hai ke SEC ab approvals ko streamline kar raha hai yani jaldi aur bina ziada bureaucracy ke decisions le raha hai.



Bloomberg ETF analyst James Seyffart ne kaha ke ye procedural farq aam hai taake excessive voting requirements se bacha ja sake. Magar kuch log samajhte hain ke delegated authority ka tareeqa istemal kiya gaya taake political motivations ko chhupaya ja sake. Bitcoin ETFs ke baraks jo foran trading shuru ho gaye thay Ether ETF ko trading shuru hone mein haftay ya maheenay lag sakte hain kyunke isay abhi S-1 registration clearance ki zaroorat hai Info



sr. member
Activity: 392
Merit: 330
★Bitvest.io★ Play Plinko or Invest!
May 24, 2024, 06:37:16 AM
Pakistani Student Exodus Damages Kyrgyzstan's Reputation, Causes Economic Fallout
Yeh toh hoona ta jis tarah Sy waha ky local foreigners ky sath salook kar rahy ty unko zakhmi kar rahy ty unko maar rahy ty ab Kon unky haa jai ga koi pagal hoga Jo waha jaaky ab taleem ly Ga q ky paksitan Mai agr parhai achi Nahi haa toh waha jaisa Jaan ky laaly parny waly halaat bhi Nahi haa, fight unki egyptian Sy Howe te aur unho NY paraishan tamam ko Kiya aur paksitan ky hi around 500 to 1000 bacchy ty toh unki fees aur rent aur Baki saary paisy Mila lo toh millions of dollars Banty haa. Mai NY daikha kafi waha ky local video banwa ky apologies kar rahy haa but ab pani sar Sy guzr Chuka haa Mai toh sooch raha ta agr halaat control na ho toh paksitan apni forces baij ty cheezo ko settle down karny ky liya. Kahir Jo bhi Howa bura Howa kafi student zakhmi howy aur mujy umeed ha government usky liya ik proper Sy enquiry kary ge aur unky losses recover kary ge.
Bikul theak bhai but mojy ni lagta humari gov inka koi losses pora kry ge ya to inka wapis ni maghwa rahy thy baqi jab koi paksitani waha taleem lany gya hai to oska jaan wa mall ka jamadari wahi ki government ki hoti hai ma Bhai dakha ik paksitani waha mar bi gya tha socho oska bhai behen or family par kia ghuzari hu ge jain ka ghjar ka thokra taleem lany bhair gya tha kah wapasi ay kar family ka hallat theak karo ga pakistan government ny boht tha da response diya jab waha ka student help manag rahy thy wo ya isy pti ka daram kah rahy ya bhaz Imran ma inta ghar chkuy hai kh waha student ko local ka zalam par chor diya tha wo to KPk government ka bhala hu jias nay special jhaz beej kar students ko maghawa tha Allah pak raham kar asy halat say or in corrupt hukmat or corrupt establishment sy jaan chorway humari ni to mulak ko beta ghark kar dy gay
sr. member
Activity: 714
Merit: 288
May 24, 2024, 02:11:52 AM
Pakistani Student Exodus Damages Kyrgyzstan's Reputation, Causes Economic Fallout
Yeh toh hoona ta jis tarah Sy waha ky local foreigners ky sath salook kar rahy ty unko zakhmi kar rahy ty unko maar rahy ty ab Kon unky haa jai ga koi pagal hoga Jo waha jaaky ab taleem ly Ga q ky paksitan Mai agr parhai achi Nahi haa toh waha jaisa Jaan ky laaly parny waly halaat bhi Nahi haa, fight unki egyptian Sy Howe te aur unho NY paraishan tamam ko Kiya aur paksitan ky hi around 500 to 1000 bacchy ty toh unki fees aur rent aur Baki saary paisy Mila lo toh millions of dollars Banty haa. Mai NY daikha kafi waha ky local video banwa ky apologies kar rahy haa but ab pani sar Sy guzr Chuka haa Mai toh sooch raha ta agr halaat control na ho toh paksitan apni forces baij ty cheezo ko settle down karny ky liya. Kahir Jo bhi Howa bura Howa kafi student zakhmi howy aur mujy umeed ha government usky liya ik proper Sy enquiry kary ge aur unky losses recover kary ge.
hero member
Activity: 728
Merit: 660
I stand with Palestine.
May 24, 2024, 02:09:21 AM
Brother, apka yeh analysis durust lugta ha k Ethereum k ETF approve hony ki waja se Ethereum chain k bht sary tokens jo Layer2 pe create kiay gaye ko bi faida ho ga jis mein Arbitrum, Optimism or PEPE bi shamil han. BONK meme coin ha or mere kahyal mein esy Solana ki chain use ker k create kia gya ha, esky price mein izafa overall market ki behtri ki soorat mein toh ho sakta ha mgr Ethereum k ETF approval se eska koi direct link nhi ha.

Dosri developments yeh han k Bitcoin dominance index drop hoa eski waja shayed yeh ha investment Bitcoin se Ethereum mein shift ho rahi ha. DYOR

https://coinmarketcap.com/charts/


Bilkul sir mujy bhi esa hi lagta hai. My ny mostly yehi dekha hai ye coins Ethereum ky movement ky hisab sy hi up and down hoty hen. To in ky liye Ethereum kaa ETF approve hona ek bonus point sabit ho sakta hai.
Lekn yahan bhi wesy hi jesy Bitcoin ki durat my huwa tha. Yaani abhi esi koi movement nazar nahi aye gi. Bitcoin kaa ETF jan approve tha to logon ny kaha ye ETF to approve ho gaya lekn price up nai gai. Or phr chota saa dump bhi dekhny ko mila lekn over all Bitcoin ki value ny acha move dita tha. To bilkul issi tarah muhy lagta hai ky Ethereum ky case my bhi ho sakta hai. Holders ky liye to phr overall ye bohat achi news hai so dekhty hen next market my kaya hota hai?
hero member
Activity: 2226
Merit: 834
May 24, 2024, 01:02:57 AM
Kal toh kuch hona skha aur stadium toh hali ka ha;lli hi reh gya lakin ab jab bhi agla match hoga toh in k rules pr pura amal kia jaye ga. Darasal, bath kuch hai k jo Engaldn mai matches ho rhein hain Pakistan kun pr kuch ru.les hian lakin wop lpayers pr nib al k fans pr hain.

England Cricketr Board sne saaf saaf kha diyta hai k hamare stadiums mai kuch flags le kr log under dkil ho ni skhtha toh wo flag konsi country k hain, toh wo hain Israeal k, Palestine k aur also PTI K bhi flags band kr wa diyen hain because agar abhi dekha ho toh Ireland wali series  k under Imran Khan k narey lag rha than aur log flags le kr aye hue tha jism ai Pti aur Palestine shamil bas Israeal ka toh hum ne kuch ni dekha wo bas ngland ne larai se bach ne k liye un ka bhi band kr waya diya warna agar nab hi  kar wate toh Israeal ka flag toh kisi ne bhi ni lana tha.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 23, 2024, 11:21:41 PM
Top Cryptos to Buy Now, Ethereum Pepe Arbitrum & Bonk

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal ha mry dosto

SEC ne Ethereum ke aath ETFs approve kiye hain, jis se crypto markets me ups and downs aa gaya hai aur investors behtareen cryptocurrencies khareedne ki talash kar rahe hain. Ethereum ek top choice ha jo $3,800 ke kareeb trade ho raha hai aur hafta ke liye 25% upar hn jise all-time highs tak pahunchne ki qabiliyat hai. Chhoti altcoins jaise Pepe (PEPE), Arbitrum (ARB) aur Bonk (BONK) bhi popularity gain kar rahe hain.
 PEPE ek meme coin ne naye highs haasil kiye hain aur iska market cap $6.26 billion han iasy py apni research kar ka buy kar skaty hn
ARB jo ek Ethereum Layer-2 scaling solution ha bullish momentum dikha raha hai aur apni value do-guna kar sakta hai.
BONK jo Solana par based hn bhi upar ja raha hai aur iska market cap $2.36 billion ha jo isey meme coin market me ek value play banata n.

Brother, apka yeh analysis durust lugta ha k Ethereum k ETF approve hony ki waja se Ethereum chain k bht sary tokens jo Layer2 pe create kiay gaye ko bi faida ho ga jis mein Arbitrum, Optimism or PEPE bi shamil han. BONK meme coin ha or mere kahyal mein esy Solana ki chain use ker k create kia gya ha, esky price mein izafa overall market ki behtri ki soorat mein toh ho sakta ha mgr Ethereum k ETF approval se eska koi direct link nhi ha.

Dosri developments yeh han k Bitcoin dominance index drop hoa eski waja shayed yeh ha investment Bitcoin se Ethereum mein shift ho rahi ha. DYOR

https://coinmarketcap.com/charts/

member
Activity: 76
Merit: 13
★Bitvest.io★ Play Plinko or Invest!
May 23, 2024, 09:02:11 PM
Top Cryptos to Buy Now, Ethereum Pepe Arbitrum & Bonk

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal ha mry dosto

SEC ne Ethereum ke aath ETFs approve kiye hain, jis se crypto markets me ups and downs aa gaya hai aur investors behtareen cryptocurrencies khareedne ki talash kar rahe hain. Ethereum ek top choice ha jo $3,800 ke kareeb trade ho raha hai aur hafta ke liye 25% upar hn jise all-time highs tak pahunchne ki qabiliyat hai. Chhoti altcoins jaise Pepe (PEPE), Arbitrum (ARB) aur Bonk (BONK) bhi popularity gain kar rahe hain.
 PEPE ek meme coin ne naye highs haasil kiye hain aur iska market cap $6.26 billion han iasy py apni research kar ka buy kar skaty hn
ARB jo ek Ethereum Layer-2 scaling solution ha bullish momentum dikha raha hai aur apni value do-guna kar sakta hai.
BONK jo Solana par based hn bhi upar ja raha hai aur iska market cap $2.36 billion ha jo isey meme coin market me ek value play banata n.

source
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 23, 2024, 08:52:18 PM
Bitcoin BTC Technical Analysis Today:

As Salam alaikum Guys Kase hAa app sub log Umeed karta hoo sab khairyat sa hongaa

But I think kaa ETH ETF's approval hosakta haa high possibilities haa. Or muja lagta haa ka Bitcoin 67,500 saa he returns lagaa 71k ka zone taa or few days maa even 80k tak b ja sakta haa.

Skyrocket Bitcoin  Cheesy
DYOR!


Walikum brother, apki prediction durust sabit hoi or Ethereum ka ETF approve ho gya ha jis ka mtlab ha k Ethereum ek commodity ha or security nhi ha. Yeh ek historical event ha or eska overall cryptocurrencies market pe long term mein bht positive impact ho ga. Bitcoin es waqt ,$67,913 pe trade ho raha ha or bht sary prominent analysts ka khyal ha k aany waly dino mein matket bht bullish ho gi. DYOR


https://cointelegraph.com/news/sec-spot-ether-etf-approved

sr. member
Activity: 714
Merit: 288
May 23, 2024, 05:32:43 PM
Bitcoin BTC Technical Analysis Today:

As Salam alaikum Guys Kase hAa app sub log Umeed karta hoo sab khairyat sa hongaa

Guys jasa ka previous Analysis ta mutabik Bitcoin ka price naa APNA target yani $71k  resistance par reject keya joka AK heavy resistance haa. Or sir resistance NAHI balka AK liquidation zone be haa. Liquidation ka hawala saa agar dakha jyaa to 2.4 Billion liquidation Howa haa recently.

Trading View

So guys agar Chart ka hawala saa Bitcoin ke price movement dakha jya to Bitcoin ke rejection yani 71,979 ka resistance par Howa or today price ah little hold support Level ka kareeb haa to possibly 67,341 ka level par support confirm kar kaa u turn la sakta haa. But agar possible NAHI Howa too decline 65k ke below be hosakta Jo AK support Level haa.

But guys AK cheez concerned haa ETH ETF's approval. Agar Ethereum the ETF's approval hota haa to pir Price kaa u turn AK strong rally kaa Sath ho sakta haa Jo kaa 1st target 73k hosakta haa or oskaa bad 80k or mazeed 84k tak rally strat kar sakta haa. But agar ETH ETF's reject hota haa to pir price mazeed decline kar sakta haa haa. Yani approximately $65,000 ka ka level banta haa.

But I think kaa ETH ETF's approval hosakta haa high possibilities haa. Or muja lagta haa ka Bitcoin 67,500 saa he returns lagaa 71k ka zone taa or few days maa even 80k tak b ja sakta haa.

Skyrocket Bitcoin  Cheesy
DYOR!
member
Activity: 126
Merit: 47
May 23, 2024, 02:28:14 PM
Pakistani Student Exodus Damages Kyrgyzstan's Reputation, Causes Economic Fallout

source

السلام علیکم بھائیوں، امید ہے سب ٹھیک ہو گئے

Koch dein pehlei Kyrgyzstan MRI juu Pakistan student medical ki study Kei leiye gaeay thei un pr wha bouht zular kea gea thaa aur ab Haal hi mein Kyrgyzstan mein South Asian taleem yafta talib ilmo ko nishaanah hadsaat se mutasir hone ke baad hazaaron Pakistani talib ilmo ka ravaana hona shuru ho gaya. Walideen ne Islamabad ko apne bachon ko wapas lene ke liye dabaav dala aur kuch talib ilm bharosa ke sath Kyrgyzstan mein mazeed taleem ke liye lautne mein mashkook hain. Hinsak waqiaat ki wajah se kai safron mein jin mein Amreeka aur Turkey ke safar khanoon mein shaamil hain ne Kyrgyzstan mein suraksha ke khatron ki wajah se ehtiyaat bartaraf karne ki hidayat di hai. Ye waqiat Kyrgyzstan ki surakshit manzilon ke tor par tasveer ko mutasir kar chuke hain aur is ke karobar par bhi asar ho sakta hai.

Kyrgyzstan se taleem yafta talib ilmo ki ravaani ek masla ka baa'is hai kyun ke ye talib ilm saalana 180 million dollar tak mulk ki arzi zaroonat mein apna hissa daal rahe hain. Deputy Education Minister Rasul Abazbek-uulu ne bayan kiya ke Kyrgyzstan laghbagh 28,000 talib ilm ko dakhil kar raha hai jo pehle Soviet Ittehad ke mulkon se nahi hain, jisme se zyadatar taqreeban 24,000, Bharat aur Pakistan se hain. Ye talib ilm zyadatar tib ki taleem hasil kar rahe hain saalana 3000 dollar ke ada karte hain aur apni guzaraati kharch aur doosre kharchon ke zariye Kyrgyzstan ki arzi zaroonat mein karodon dollar ka hissa daal rahe hain.

Taleem yafta talib ilmo ko atrain lene ki koshishon ke bawajood, haal hi mein Bishkek mein taleem yafta talib ilmo ke aashiyane ko nishana banane wale hinsak hamlay Kyrgyzstan ki surat e haal ko ek taleem hub ke tor par mitta sakte hain. Kyrgyzstan mein taleem yafta taleem yafta talib ilmo ki tadad pichle das saal mein izafa hua hai, jisme taqreeban kul 60,000 talib ilm shamil hain jisme Uzbekistan Russia aur Kazakhstan jaise qareeb ke mamlakat se talib ilm bhi shaamil hain. Magar, Abazbek-uulu ne ye chinta zahir ki ke ye hamlay Kyrgyzstan ko taleem yafta talib ilmo ke liye ek mohabbat bhara maqam banane ki surat mein nuqsan pohancha sakte hain.

Kyrgyzstan aur qareebi Markazi Asia ke mulkon mein tib ki taleemi idaray Bharat aur Pakistan ke talib ilmo ke darmiyan asaan visa qawaneen kam taaleem ke fees aur guzaraati kharchon ki wajah se intehai maqbool ho chuke hain. Magar haal hi mein taleem yafta talib ilmo ke khilaf hinsak waqiaat ke bawajood aane waale talib ilmo ko Kyrgyzstan ko apni taleem ki manzil ke tor par intekhab karne se ruk sakta hai. Kyrgyzstan ke Oasis Foundation ke sardar Meerim Osmonalieva ne ye zaroorat ko darkaar kiya ke mulk ko hamle ke baad apni tasveer ko dobara banane ki tasleem karte hue kaha ke is tadaad mein waqt lag sakta hai.

International Organization for Migration ki 2021 mein ek survey ne zahir kiya ke aksariyat Kyrgyz log foreign talib ilmo aur migrants ko apne mulk mein mehmaan banane ka samarthan karte hain unhe samajhne ki ke woh mulk ke maashi aur farogh e zubaan mein zaroori asraat hain. Magar haal hi ke hinsak waqiaat ne dikhaya ke Kyrgyzstan ko taleem yafta talib ilmo ke liye ek mehman nawaz aur surakshit maqam banaye rakhne mein kis qadar mushkilat ka samna hai. Shifaat ke intehai zaroori hain taake bharosa ko dobara qaim kiya ja sake aur mulk mein taleem yafta talib ilmo ka mustaqil mojoodgi ko barqarar rakha ja sake.

copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 23, 2024, 10:46:25 AM

Bilkul Sahi kaha sir abi koi major updates b nhi hai par aik update  hoi hai  jiska taluq barah-e-rasat BTC aur overall crypto market ke sath hai agar aap background pe dekhein to 305 million dollar ki worth ka net inflow hai US ETF mein.

Ye ETF approve hua hai ek din mein 290 billion dollar ka inflow hai. Agar dekha jy to is mein inflow wala koi bari baat to nahi hai lekin is price pe aana jabke BTC ki price 70k ki range mein trade ho rahi hai. Is range mein traders is Leye he buy kar rahe hain k 90 million ka jabke price neeche 60 tak thi us waqt yeh buy nahi kar rahy thy .

Again jo America mein hone wali jo developments hain barah-e-rasat woh confidence de rahi hain k is waqt Bitcoin ke traders kar rahy hain  70 thousand ki price mein bhi kisi buy kar rahe hain to ye confident BlackRock ki taraf se hai.

G brother, ETFs mein massive inflow ki waja se es dafa Bitcoin nay Hlaving event se pehle hee new all time high (ATH) bna lia tha or ab Insha Allah $80K tak price reach kerta ha ton ek naya record bun jai ga.

Es waqt American markets open ho chuki han or Bitcoin ki price $1000 k aound kum hoi ha or es wat Bitcoin $67,699 pe trade ho raha ha. Es waqt pori market  Ethereum k ETF ki approval ka intezar ker rehi or yeh news aaj rat tak aa sakti ha. Dekhty han aaj raat tak kia developments hoti han

https://www.youtube.com/watch?v=VGapF2e2zbg
sr. member
Activity: 462
Merit: 314
May 23, 2024, 09:27:16 AM
Bitcoin return to $73K could be a start to escape velocity phase

Good morning and BTC is waqat 69k to 70k K around about hai is analyst  par Nazar dalien to pata Chal ta Hai K  agar Bitcoin $73k tak wapas aata hai to yeh aik significant upward trend ka aghaaz ho sakta hai jo ke escape velocity kehlata hai. Is waqat ye term astrophysics lag rahi hai aur iska matlab hai ke aik asset pehle ki rukaawat se nikal kar tezi se barhta hai current market short term holder  Market Value to Realized Value  metric ke mutabiq abhi tak overly saturated ya euphoric nahi hai .

Walaikum salam, apnay bht acha analysis share kia ha or apki bat bilkul theek ha k agr Bitcoin $73k tak reach kerta ha to yakeenun ek significant upwards trend shoro ho jai ga jo Bitcoin ko $80,000 tak lay ja sakta ha. Dosry analysts k mutabik bi abi market ek accumulation zone mein ha or ek strong uptrend ka abi agaz nhi ho ha.

Bilkul Sahi kaha sir abi koi major updates b nhi hai par aik update  hoi hai  jiska taluq barah-e-rasat BTC aur overall crypto market ke sath hai agar aap background pe dekhein to 305 million dollar ki worth ka net inflow hai US ETF mein.

Ye ETF approve hua hai ek din mein 290 billion dollar ka inflow hai. Agar dekha jy to is mein inflow wala koi bari baat to nahi hai lekin is price pe aana jabke BTC ki price 70k ki range mein trade ho rahi hai. Is range mein traders is Leye he buy kar rahe hain k 90 million ka jabke price neeche 60 tak thi us waqt yeh buy nahi kar rahy thy .

Again jo America mein hone wali jo developments hain barah-e-rasat woh confidence de rahi hain k is waqt Bitcoin ke traders kar rahy hain  70 thousand ki price mein bhi kisi buy kar rahe hain to ye confident BlackRock ki taraf se hai.
sr. member
Activity: 392
Merit: 330
★Bitvest.io★ Play Plinko or Invest!
May 23, 2024, 12:01:57 AM

Asalam-o-Alaikum ZAINmalik75 bhai Ma Sha Allah I really appreciate your sincere efforts aur Allah apko iss ka ajer de. Aaamen.

Jee maine inka account visit kia bilkul looks like mosheeramansour is doing a great job aur iss k follower bhi 396k hain, means very popular. Aur maine dekha hia kafi bari organizaiton like UAE AID ne direct iss ko approach kia hia for donations. Jiss se pata chalata hia ye bilkul legit hai.

Dekhin main apki iss sincere effort ki bahoot daqar karta hon likan dekhin ham paise collect kar k inhin he dein ge... jab k iss k apna (Mosheera Mansour) ka GoFundMe live hia. Phir jiss ne donation deni hia wo direct isse he kion nah de wo hamain kion de ga?

https://www.gofundme.com/f/r26cj-help-us-provide-food-to-the-families-in-gaza

Han main aik suggestion don ga, ap bilkul campaign start karin aur iss main iss Mosheera Mansour k GoFundMe page k liye request karin k please iss pe ja k donate karin... aur beshak ap ham sab ko individually mention karin k we are supportin this campaing. Iss k bad ye suggestion dein k agar koi direct GoFundMe pe donate nahi karna chah raha aur crypto main donate karna chah raha tu main iss k liye wallet share karne k liye bilkul tiyar hon... yun jese jese koi offer kar ga us ki donation crypto main le k immediately ham GoFundMe pe send kar dein ge.

Yun fund hamaray pass rahin ge bhi nahi aur amanat sath sath donate bhi ho jae gi.


walikum Salam Shahzadafzal Sir boht Khood sir Kamal k idea hai or both acha idea ha ya ma fully support krta hu is ki inki website bi theak lag rahi hai or previous jo video bani hovi inka matbak to waqia ha funds loogo ko punch rahy hai ya nara naiki ka kam but issue ya hai wha inka site par crypto ma payment ni kar skaty hai hummu sarf cradcka thorugh he kar skaty or aksar ka pass card ni hota ya security ki wajjah sy use ni karty hai or dosri suggestion apki best hai crypto currency ma payment collect kar ka lay diff coins ma address add kar ka ik thread create kar dy Zain bhai inshallah sab loog support kary gy to funds akhty hu jaye gy baqi Koshish krna insan ka kam hai nikai ka sila Allah pak deta hain
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 23, 2024, 12:01:53 AM
Bitcoin return to $73K could be a start to escape velocity phase

Good morning and BTC is waqat 69k to 70k K around about hai is analyst  par Nazar dalien to pata Chal ta Hai K  agar Bitcoin $73k tak wapas aata hai to yeh aik significant upward trend ka aghaaz ho sakta hai jo ke escape velocity kehlata hai. Is waqat ye term astrophysics lag rahi hai aur iska matlab hai ke aik asset pehle ki rukaawat se nikal kar tezi se barhta hai current market short term holder  Market Value to Realized Value  metric ke mutabiq abhi tak overly saturated ya euphoric nahi hai .


AUR ye jo ke growth ke liye aik mazboot buniyad hai. Magar, woh yeh bhi kehta hai ke $73k tak pochne par short-term holders apna profit le sakte hainjo resistance ka sabab ban sakta hai. Dosre analysts bhi is baat se mutafiq hain ke market abhi tak euphoria ki state mein nahi pohanchi, jo ke mazeed upward movement ke imkanaat ko barhawa deti hai


Walaikum salam, apnay bht acha analysis share kia ha or apki bat bilkul theek ha k agr Bitcoin $73k tak reach kerta ha to yakeenun ek significant upwards trend shoro ho jai ga jo Bitcoin ko $80,000 tak lay ja sakta ha. Dosry analysts k mutabik bi abi market ek accumulation zone mein ha or ek strong uptrend ka abi agaz nhi ho ha.

Bitcoin k ETFs mein bi significant inflows dobra shoro ho gaye ha jo ek positive development ha. Additionally,  Ethereum kl ETF ki approval ki soorat mein bi market mein ek strong postitive sentiment create ho ga jo overall cryptocurrencies market mein bullish momentum ka baes bun sakta ha. DYOR

https://cointelegraph.com/news/ethereum-etf-approvals-giant-political-issue-joseph-lubin


full member
Activity: 196
Merit: 127
May 22, 2024, 11:24:02 PM
Bitcoin return to $73K could be a start to escape velocity phase

Good morning and BTC is waqat 69k to 70k K around about hai is analyst  par Nazar dalien to pata Chal ta Hai K  agar Bitcoin $73k tak wapas aata hai to yeh aik significant upward trend ka aghaaz ho sakta hai jo ke escape velocity kehlata hai. Is waqat ye term astrophysics lag rahi hai aur iska matlab hai ke aik asset pehle ki rukaawat se nikal kar tezi se barhta hai current market short term holder  Market Value to Realized Value  metric ke mutabiq abhi tak overly saturated ya euphoric nahi hai .




AUR ye jo ke growth ke liye aik mazboot buniyad hai. Magar, woh yeh bhi kehta hai ke $73k tak pochne par short-term holders apna profit le sakte hainjo resistance ka sabab ban sakta hai. Dosre analysts bhi is baat se mutafiq hain ke market abhi tak euphoria ki state mein nahi pohanchi, jo ke mazeed upward movement ke imkanaat ko barhawa deti hai Info



Asalam-o-Alaikum ZAINmalik75 bhai Ma Sha Allah I really appreciate your sincere efforts aur Allah apko iss ka ajer de. Aaamen.

Dekhin main apki iss sincere effort ki bahoot daqar karta hon likan dekhin ham paise collect kar k inhin he dein ge... jab k iss k apna (Mosheera Mansour) ka GoFundMe live hia. Phir jiss ne donation deni hia wo direct isse he kion nah de wo hamain kion de ga?

https://www.gofundme.com/f/r26cj-help-us-provide-food-to-the-families-in-gaza

Han main aik suggestion don ga, ap bilkul campaign start karin aur iss main iss Mosheera Mansour k GoFundMe page k liye request karin k please iss pe ja k donate karin... aur beshak ap ham sab ko individually mention karin k we are supportin this campaing. Iss k bad ye suggestion dein k agar koi direct GoFundMe pe donate nahi karna chah raha aur crypto main donate karna chah raha tu main iss k liye wallet share karne k liye bilkul tiyar hon... yun jese jese koi offer kar ga us ki donation crypto main le k immediately ham GoFundMe pe send kar dein ge.

Yun fund hamaray pass rahin ge bhi nahi aur amanat sath sath donate bhi ho jae gi.
Toh bs sir Mai thread tayar Karta Hu ap Binance account banwa ky ya Kisi bhi exchange ka banwa dy aur several famous low transaction fees waly coin ky address dy dai taaky Bismillah kary q y naike ky kaam Mai dair Nahi karne chahiya.

Baki I believe ky hum km Sy km 200$ to 300$ toh collect hi karlyngy agr poore community NY bar poor sath Diya

You are going to do a very noble deed and when one sets out to do good deeds, Allah bestows blessings upon them. Jitnie jaldi hosaky is ko manage kar K is jald se jald start karien Nek Kam me der nhi karni chahiye AUR Jahan tak hosaky me to zaror spot .
full member
Activity: 112
Merit: 97
Sugars.zone | DatingFi - Earn for Posting
May 22, 2024, 09:58:23 PM
Asalam-o-Alaikum ZAINmalik75 bhai Ma Sha Allah I really appreciate your sincere efforts aur Allah apko iss ka ajer de. Aaamen.

Jee maine inka account visit kia bilkul looks like mosheeramansour is doing a great job aur iss k follower bhi 396k hain, means very popular. Aur maine dekha hia kafi bari organizaiton like UAE AID ne direct iss ko approach kia hia for donations. Jiss se pata chalata hia ye bilkul legit hai.

Dekhin main apki iss sincere effort ki bahoot daqar karta hon likan dekhin ham paise collect kar k inhin he dein ge... jab k iss k apna (Mosheera Mansour) ka GoFundMe live hia. Phir jiss ne donation deni hia wo direct isse he kion nah de wo hamain kion de ga?

https://www.gofundme.com/f/r26cj-help-us-provide-food-to-the-families-in-gaza

Han main aik suggestion don ga, ap bilkul campaign start karin aur iss main iss Mosheera Mansour k GoFundMe page k liye request karin k please iss pe ja k donate karin... aur beshak ap ham sab ko individually mention karin k we are supportin this campaing. Iss k bad ye suggestion dein k agar koi direct GoFundMe pe donate nahi karna chah raha aur crypto main donate karna chah raha tu main iss k liye wallet share karne k liye bilkul tiyar hon... yun jese jese koi offer kar ga us ki donation crypto main le k immediately ham GoFundMe pe send kar dein ge.

Yun fund hamaray pass rahin ge bhi nahi aur amanat sath sath donate bhi ho jae gi.


Sir ye SAB sy best tariqa he Jo ap ny bayan Kiya he. Or my samjta Hun ky esy hi Karna chahye.
Or iss forum par lazmi tor par ek esa thread Hona chahye taa ky logon ki tawajjo iss taraf ho. Janty huwe bhi SAB ghoongy shetan baby huwe hen. Ek to iss thread sy away buland hogi dusra funds bhi ikathy ho Jaen gy. Hmary Pas naa bhi hon hmary behno bhaio KO to mile gy naa Jo Uss website par jaa Kar donate kary ga.
Baqi Zain Bhai ap thread bnaen meri taraf sy full support he ap ko. Allah Pak ap ki iss kawish KO qubul farmaye.
hero member
Activity: 728
Merit: 660
I stand with Palestine.
May 22, 2024, 09:25:07 PM
Donald Trump's presidential campaign officially accepts Bitcoin and crypto.

Assalam-o-Alaikum!

Walaikumuslam!

Hahaha! Personally barry dino sy meri khawahish thi ky esi new dekhny ko mily or wohi huwa. Aakhir ye bhi hona hi tha. Yani I was waiting ky Kab Bitcoin ko Politics my use kiya jaye ga. Or dekh len wohi huwa aakhir kaar Bitcoin ko bhi siyasat my use karna shuru kar diya gaya. Yani ap dekh len ab ye digital world especially Bitcoin ko ly kar voting hasil ki jaa rahi hai. Jo waqy hi ky acha sign. Par bss ye naa ho jesy hmary Pakistan my hota hai. Hahaha. Yani jo cheez bhi siyasat sy jurti hai zleel ho jati hai. Hahaha!
Yani Ab Trump ko bhi Election win karny ky liye Bitcoin kaa sahara lena parry ga. Jo wo ly bhi raha hai.



Or ZAINmalik75 bhai mujy Shahzadafzal sir kaa mashwra bohat acha laga. Bat un ki bilkul sahi hai. Jab ham ny bhi un ko hi funds bhejny hen kiu naa direct hi link dy diya jaye. Or log funds transfer kar den. Or agar koi esa nai kar sakta hai to uss ky liye Plan B hai. Or wo bhi already Shahzadafzal sir ny btaa diya hai ky ham address dy den or log apni isteta'at ky mutabiq uss my hissa ly len.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 22, 2024, 09:22:36 PM

Asalam-o-Alaikum ZAINmalik75 bhai Ma Sha Allah I really appreciate your sincere efforts aur Allah apko iss ka ajer de. Aaamen.

Jee maine inka account visit kia bilkul looks like mosheeramansour is doing a great job aur iss k follower bhi 396k hain, means very popular. Aur maine dekha hia kafi bari organizaiton like UAE AID ne direct iss ko approach kia hia for donations. Jiss se pata chalata hia ye bilkul legit hai.

Dekhin main apki iss sincere effort ki bahoot daqar karta hon likan dekhin ham paise collect kar k inhin he dein ge... jab k iss k apna (Mosheera Mansour) ka GoFundMe live hia. Phir jiss ne donation deni hia wo direct isse he kion nah de wo hamain kion de ga?

https://www.gofundme.com/f/r26cj-help-us-provide-food-to-the-families-in-gaza

Han main aik suggestion don ga, ap bilkul campaign start karin aur iss main iss Mosheera Mansour k GoFundMe page k liye request karin k please iss pe ja k donate karin... aur beshak ap ham sab ko individually mention karin k we are supportin this campaing. Iss k bad ye suggestion dein k agar koi direct GoFundMe pe donate nahi karna chah raha aur crypto main donate karna chah raha tu main iss k liye wallet share karne k liye bilkul tiyar hon... yun jese jese koi offer kar ga us ki donation crypto main le k immediately ham GoFundMe pe send kar dein ge.

Yun fund hamaray pass rahin ge bhi nahi aur amanat sath sath donate bhi ho jae gi.

Walikum salam shahzadafzal bhai, Hum sub log es campaign ko fully support kerty han or agr cryptocurrencies mein donations accept hoty han toh mera mashwara yehi k apky wallet address oay donations transfer kiay jain or es amant ko donate ker dein. Es trh se na sirf transparency maintain ho gi balke accountability bi rehe gi or donations bi mustaheq logon tak ponch jain gay.

Insha Allah, hum sub apni istetaet k mutabik funds donate ker dein gay. Jazak Allah Khair.

Pages:
Jump to: