Pages:
Author

Topic: Pakistan - page 6. (Read 4054795 times)

sr. member
Activity: 714
Merit: 288
June 03, 2024, 02:45:23 PM
Kher awam bhi Kaya kary. Humkrano ny sleep hi itna Kiya huwa he ky har Banda kehta he ky kahin naa kahin sy Kuch a hi Jaye par wo apna nuqsan Kar bethy hen.
Ik baat bilkul correct ha ky Hamary government jo ky apny apko azaad samajty haa but haqeeqat Mai aisa Nahi ha woh har woh ik faisla Karta ha Jo GHQ Sy Aata haa aur waha pa white house ya pentagon Sy Aata ha toh isi wajah Sy hamary achy aur constructive faisly hamesha late aaty haa chahy ab woh ik new technology ko adopt Karna ho ya kuch aur earning source ho waghaira waghaira aur isi liya hum government pa hamesha dependent rahty ha Jo ky government ky liya khud kafi masail Kara karty haa but majal ha ky woh haamy yeh cheezy pahly Sy allow Karky poore support kary taaky hum Sy acha khaasa paisa banwai mulk dollar Lai binah government Sy paisy liya tax dy waghaira waghaira toh is Mai government ka hi faida ha but pata Nahi yeh Whitehouse waly kab Jaan choryngy hamary country ka. Ab agr government cheezy legal kary aur exchanges ko yaha kaam karny Dy un Sy moota paisa ly Bitcoin ATM banwai taaky log easily invest karsky aur khud Sy trading Karky apny paisy banwai.
Mai kisi leader ko critics Nahi Karta but Mera yaqeen ha jab khan ayai ga tab hum thoore technology ko adopt karny Mai serious hojyngy q ky in current Mai mostly educated Nahi haa cheezo ko Sahi waqt pa janchny Ki sakht Nahi rakhty
member
Activity: 76
Merit: 13
★Bitvest.io★ Play Plinko or Invest!
June 03, 2024, 02:17:10 PM
Today's Crypto Hacks, Meme Stock Surges and EOS Revival

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal ha mry pyary dosto

Ek Cheeni crypto user ne hacking scam ke zariye $1 million se zyada kho diye. Yeh scam ek Google Chrome plugin ke zariye hua jo cookies churata tha aur hackers ko Binance account ka security bypass karne deta tha. Issi dauran GameStop meme stock saga ko shuru karne wale trader Keith Gill ne wapis aake announce kiya ke uske paas $181.4 million ka GME stock aur options hn. Iss announcement se GME ka price 19% badh gaya hy. info

Dusri khabar mei EOS jo ek waqt top-10 crypto project tha ne apna naya tokenomics model introduce kiya taake apne network ko revive kar sake. EOS Network Foundation ne cryptocurrency ke maximum supply ko 10 billion se ghata ke 2.1 billion kar diya ha saath hi ek four-year halving cycle aur high-yield staking rewards ka waada kiya. Halanki community ka reaction mix tha aur EOS ka market cap abhi bhi 2018 ke peak se kaafi kam hy
full member
Activity: 364
Merit: 146
Play Bitcoin PVP Prediction Game
June 03, 2024, 01:43:33 PM
Waalikun assalam bahi Allahamdulila ham theek thak

bht bht mubarakbad rankup hony pe ap...

Congratulations on your beautiful success..

Congratulations once again  Smiley

bro Maire taraf sy apko Dil Ki gehriyo Sy bohout bohout congratulations 🎉🎉 aur mubarakbaad..

Allah ny ap ko USS kaa sila ATA kar Diya Hy

Well Dear brother many many congratulations to You for becoming Senior member...

Maire taraf sy hamary chaheety Junaid Azizi Bhai ko bohout bohout mubarakbaad..

Ap sub bahio ka buhat buhat shukarya ke ap logo ne muje wish keia aur mere Khushi ma ap log shareek huwe muje buhat zyada acha Laga. Kuch bahio ne telegram pe wish keia aur Kuch ne Whatsapp pe tu UN sub bahio ka be buhat buhat shukarya.
Well ye rank achieve karna mushkil ta per mehnat ke agr ye Kuch be nahe aur ma waise be kachwe ke speed se ja raha ta aur muje os me maza be araha ta. In Sha Allah tiger wali speed pakrunga aur ap logo ke Leye achi ayr informative post launga aur jaise ap bahio ne abi support keia omeed ha ke age be essi trah support karenge .
Aur Jo Jo advise ap logo ne muje di ha os ka be ma buhat shukarguzara hun aur ma Koshish karunga ke os per Amal karun aur jetna muje se hoga ma oss ko apnaunga.

Last ma ap sub bahi ka buhat buhat shukarya

full member
Activity: 266
Merit: 204
Trade Big, Win Bigger!
June 03, 2024, 01:33:02 PM
Inspect and wash your vegetables before you cook them or use them.

Assalam-o-Alaikum!

Sab bhai umeed krta ho khair kheriyat sy hoongy or sahat mand hoongy. Acha ya image kuch poorani hai jo k mai ny click ki thi kafi time pehly or apni galleray sy nikali hai aj to socha yaha par share kr daita hoo apni community k sath well ap logo ko kiya lagta hai ya kia cheez hai? i mean circle area mai knci cheez hai? pehly andaza lagaiyaa ga then post agy read kriya ga jab mai ny esko dakha mujhy laga ya snake hai or mai ny esko hath nai lagaya or mai esko bahir nikala to phir mujy pata chala k ya soondi hai or mai haran haha etni bharai soondi or dosri baat es soondi ka colour b snake jasia lag rha hai that is why mai b esko dakh kr ghabra gaya tha.
وعلیکم السلام
well brother bat theak ha kasi had tak kasi bi cheez ko khany say phaly achi trah washout krna bara Zrori hy jasy pictures ko to ma bi dakh kar harran hu gya tha kas ya insani jisam ka pait ma ja kar tabhai kar ge is lay sehat wali zimgdai ghuzarny ka lay hummy sabazi ya koi fruit ko wah krna inthai zrori ha takh kasi qasm ki virus insani jisam main transfer na hu skay asy prehaz krna to gyam.or mental heath achi rahti ha Ham jab bazar sy kaso bi vegitable or fruit's lay kar ayy to sab phly inka oper chemical laga hota to jas say kasi had tak in jerums sy bacah ja skata hn lakin inhy achi tariqy say wash krna bara zrori hu gya medical science bi yahi khati ha ap hygenie ka acha trah say khayal rakhy jo apka physical kasi bi problem say bachta ha So well is trah Ki information insani sehat ka lay bari faiday mand sabit hoti hy
full member
Activity: 350
Merit: 190
June 03, 2024, 10:52:15 AM
Inspect and wash your vegetables before you cook them or use them.

Assalam-o-Alaikum!

Sab bhai umeed krta ho khair kheriyat sy hoongy or sahat mand hoongy. Acha ya image kuch poorani hai jo k mai ny click ki thi kafi time pehly or apni galleray sy nikali hai aj to socha yaha par share kr daita hoo apni community k sath well ap logo ko kiya lagta hai ya kia cheez hai? i mean circle area mai knci cheez hai? pehly andaza lagaiyaa ga then post agy read kriya ga jab mai ny esko dakha mujhy laga ya snake hai or mai ny esko hath nai lagaya or mai esko bahir nikala to phir mujy pata chala k ya soondi hai or mai haran haha etni bharai soondi or dosri baat es soondi ka colour b snake jasia lag rha hai that is why mai b esko dakh kr ghabra gaya tha.

Es liya jab b koi b vegetables khayee ja phir pakayee usko ak baar achi tarha inspect kr laina chaheya maybe ap logo ny b es tarha ki koi cheez apni life mai experience ki hogi must share your part. Baki umrood wala keera to simple c baat hai to kuch hat kar share ki jiya ga jo waqai mai lagy k ap ny b kuch asi cheez dakhi hai jo ap b first time dakh kr ghabra gyee hoon. Jazzak-Allah
full member
Activity: 196
Merit: 127
Bum
June 03, 2024, 08:54:52 AM
Hackers exploit Chrome plugin to steal millions from Binance accounts

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Binance me hal Chal ho to Sabi alert hojary Hai to Hackers ne Google Chrome plugin Aggr ka istemal karke Binance accounts se karoron chura liye web browser cookies tak rasai hasil karke. Iss hack ne unhain passwords aur two factor authentication  ko bypass karne ka moka diya. Ek Cheeni trader jo X par CryptoNakamao ke naam se mashhoor hain ne apni life savings mein se $1 million o dene ka waqia bayan kiya. 24 May ko unhain apne Binance account mein ghair mutawaqqa trades ka pata chala aur maloom hua ke ye malicious plugin ki wajah se tha.

Binance se foran madad talab karne ke bawajood hacker ne sab funds nikal liye the. Plugin jo mashhoor trader data tak rasai dene ka dawa kar raha tha asal mein browsing data aur cookies churane ke liye banaya gaya tha. Churaye hue cookies ka istemal karte hue, hackers ne active user sessions ko hijack kiya aur kai leveraged trades anjaam diye taake low liquidity pairs ke prices ko manipulate karke faida uthaya ja sake. Ye waqia browser security mein aham kamzori aur session hijacking ki asar daari ko ujagar karta hai Info
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
June 03, 2024, 08:29:13 AM

Garmi Mein Janwaron Aur Parindon Ki madad karien Jo ham Insaniyat Ka Farz Hai

Assalamualaikum sabi bahi kese hai umeed hai theek Hun gy .
Garmi apne urooj par hai aur darja hararat din ke waqt 46 se 47 centigrade Temperature tak pohanch jata hai. Is qadar shiddat ki garmi sirf insani sehat ke liye nuqsan deh nahi balkay masoom janwar aur parinday bhi is se musalsal tarap rahe hain. Hamara insani aur insaniyat ka farz hai ke hum apne ird gird in jaanwar aur parindon ka khayal rakhein.

walikum Salam bhai bikul sahe bat hai gamri ajj kal apni akhri had tak punch chuki hai din time to begar cooler or Ac ka to Betha he ni jaata hai or rahi bat parindoy ki to waiqa he is garmi ma wo thabdi jagha talish kary hai jo kah sarf is surat mil skati ha agr ham apny gahro ka bhair ma tree laggy jas ma na sarf temperature control ma rahy ga balky parindoy ka bethy ki jagha bi ban jaye ge or yahi insayniat hoti hai ma khud apny ghar ka bhair ma parindoy ka lay thanda paani rakhta hu daily or wo osy peee jaty hai bari khushi wali bat hoti hai

baqi nsaynat he sab say oper ha agr insan ma insyanat na hu to wo kasi kaam ka ni rahta hai. Hazrat Ali AS sy kasi ny pocha hai insan ki pechan ki hai to mola sy farmiya kah insan wo hota jas ma insymat hu or loogo ko inka libas ma ni ma balky labs ma chup insan ma.talish karo or insan ki insyanat bi os waqat khatam hu jatai hai jab wo doary ka dukh par han muskhrana shuru kar deta hau is lay hummy sab ka khayal rakhna Chye hai
sr. member
Activity: 462
Merit: 314
June 03, 2024, 07:37:08 AM

Garmi Mein Janwaron Aur Parindon Ki madad karien Jo ham Insaniyat Ka Farz Hai

Assalamualaikum sabi bahi kese hai umeed hai theek Hun gy .
Garmi apne urooj par hai aur darja hararat din ke waqt 46 se 47 centigrade Temperature tak pohanch jata hai. Is qadar shiddat ki garmi sirf insani sehat ke liye nuqsan deh nahi balkay masoom janwar aur parinday bhi is se musalsal tarap rahe hain. Hamara insani aur insaniyat ka farz hai ke hum apne ird gird in jaanwar aur parindon ka khayal rakhein.

Aksar ye pyas se behaal aur madad ki talash mein hamare aas paas bhatak rahe hote hain. Is liye zaroori hai ke hum apne gharo ke bahar ,chaton par aur dukanon ke agay paani ka bandobast karein. Barf aur thanda paani bartanon mein rakh kar in bebaas janwaron ke liye sahulat faraham karein. Paani zindagi hai aur yeh masoom makhlooqat apni jaan bachane ke liye pani ki talash mein niklte hain. Agar hum unhein paani faraham karein to yeh ek badi insaniyat wali baat hogi. Paani rakhne se na sirf yeh janwar apni pyas bujha saken ge balkay yeh hamari taraf se ek qeemati madad bhi hogi. Jab garmi apne urooj par hoti hai to yeh janwar aksar chhaton par ya sookhi jagahoon par aake baith jaate hain paani ki talaash mein inhe kahin door tak bhatakna parta hai.
Aaye hum sab mil kar in masoom janwaron aur parindon ke liye kuch paani rakh kar unki zindagiyan bachane mein madad karain .
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
June 03, 2024, 04:10:49 AM
Bitcoin's Next Peak Could It Hit $130K by September 2025?

السلام علیکم
Crypto trader ka kehna hai ke Bitcoin late August se early September 2025 ke darmiyan $130k se $150k tak pohanch sakta ha agar ye pehle ke post-halving cycles ka raasta follow karta ha. Brandt ke analysis ke mutabiq Bitcoin ke bull market cycles mein halving events aksar midpoint ke qareeb hotay ha jab bull run ka aghaz aur peak hota hai. Usne kaha ke pehle do halvings July 2016 aur November 2012 ma ne aisa hi pattern follow kiya jo current cycle ke liye bhi ek potential high ko suggest karta hai agar ye trend continue karta hy source

Brandt ne 17 December 2022 ko current bull market ka aghaz mark kiya jab Bitcoin ka trade qareeb $16,800 par tha aur tab se is mein 300% se zyada ka izafa hua. Halanki March 14 ke all-time high $73k se recent dip ke bawajod Brandt ke mutabiq 25% chance hai ke Bitcoin ne shayad apna peak already achieve kar liya ho. Usne warning di ke agar Bitcoin naya all-time high nahi bana pata aur $55k se neeche girta ha to yeh uske price trajectory mein exponential decay ko indicate kar sakta hy

Walaikum salam, thanks for sharing this insightful analysis. Yeh toh crypto community k liay bht achi news ha k Bitcoin 2025 tak $130,000 tak reach ker sakta ha. Wasy yeh mumkin ha ku k Bitcoin ki adoption across the globe bht tezi se br rehi ha or her country mein financial institutions es mein involve ho rehe han.

Wasy bht sary prominent analysts or mere khayal mein bi year-2024 k end tak Bitcoin $80,000 - 100,000 tak jany ka imkan ha, Insha Allah. DYOR
full member
Activity: 266
Merit: 204
Trade Big, Win Bigger!
June 03, 2024, 03:46:43 AM
Bitcoin's Next Peak Could It Hit $130K by September 2025?

السلام علیکم
Crypto trader ka kehna hai ke Bitcoin late August se early September 2025 ke darmiyan $130k se $150k tak pohanch sakta ha agar ye pehle ke post-halving cycles ka raasta follow karta ha. Brandt ke analysis ke mutabiq Bitcoin ke bull market cycles mein halving events aksar midpoint ke qareeb hotay ha jab bull run ka aghaz aur peak hota hai. Usne kaha ke pehle do halvings July 2016 aur November 2012 ma ne aisa hi pattern follow kiya jo current cycle ke liye bhi ek potential high ko suggest karta hai agar ye trend continue karta hy source

Brandt ne 17 December 2022 ko current bull market ka aghaz mark kiya jab Bitcoin ka trade qareeb $16,800 par tha aur tab se is mein 300% se zyada ka izafa hua. Halanki March 14 ke all-time high $73k se recent dip ke bawajod Brandt ke mutabiq 25% chance hai ke Bitcoin ne shayad apna peak already achieve kar liya ho. Usne warning di ke agar Bitcoin naya all-time high nahi bana pata aur $55k se neeche girta ha to yeh uske price trajectory mein exponential decay ko indicate kar sakta hy
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
June 02, 2024, 11:35:55 PM
Bitcoin Bull Run Season and New ATH BTC target

السلام علیکم بھائیوں، امید ہے سب ٹھیک ہو گئے

Bitcoin traders ab bhi ek bara price breakout ka intezar kar rahe hain halan ke kai mahine se price consolidation chal rahi hai. On chain data yeh suggest hai ke Bitcoin new Ath tak pohanchne ki tayari kar raha hai jaise ke March mein perform kiya tha. Mashhoor trader Alan Tardigrade ne yeh point out kiya ke Bitcoin ka current price action aur Moving Average Convergence Divergence indicator ki movement mid February jaisi lag rahi hai. Us waqt MACD ne green signal diya tha aur Bitcoin ne jaldi se naye highs hit kiye the jo ke ek mazboot trend ko darshaata hai. Filhal teen din ke timeframe par MACD positive signs show kar raha hai jo ke Bitcoin ka bull flag pattern mein consolidate hona ke saath coincide kar raha hai.

source

Agar Bitcoin is bull flag se positive MACD ke sath nikalta hai to yeh ek tez price surge experience kar sakta hai. Yeh teen din ka MACD pattern market observers ke liye ahmiyat rakhta hai jo ke Bitcoin ke bull market ko track kar rahe hain. March ke highs se lagbhag teen mahine ke liye Bitcoin ka price rangebound rehne ke bawajood kuch analysts yeh predict kar rahe hain ke yeh kuch arse tak aise hi trade karta rahega. Lekin, bullish sentiment ab bhi qayam hai Fundstrat Global Advisors ke 2024 tak Bitcoin ke $150,000 tak pohanchne ki prediction aur traders ke taraf se June mein $85,000 ya usse zyada ka target nazar aa raha hai. Consensus kehti hai ke bull run ka sab se bara parabolic stage abhi aana baqi hai.

Walaikum salam brother, MACD ka cross-over bht important hota ha or es pen bht hud tal rely kia ja sakta ha. Mere khayal mein apne yeh Day chart ka cross-over show kia ha agr yeh weekly chart pe bi show ho jai toh bht strong bullish signal hota ha or market mein ek sustained rally aati ha. Dekhty han aaj sham ko jub American market oipen hoti ha toh market kia direction leti ha, Mujy toh oper jany ka imkan zayadeh ha, Insha Allah. DYOR
hero member
Activity: 728
Merit: 660
I stand with Palestine.
June 02, 2024, 09:58:42 PM
Asal my in kaa shikar hamesha bholy bhaaly log yaa phr wo log hoty hen Jo ky naye naye iss field my aaty hen.
Asal my hmari Pakistani qom Ka ek masla he. Or wo ye he ky ye log raato Raat amber hony kaa khuwab dekhty hen Jo in KO ly dubta he. Or ye lalach hi in KO nuqsan ki taraf khenchti he. Or issi kaa ye log zyada faida uthaty hen or hmari swam KO dono hathon sy loot'ty hen.
Han agar kissi ny trading ki taraf ana he to san sy pehly basics seekhy phr iss taraf Aaye.
Ab investment ky naam par Kabhi Java Eye jesi apps ky zarye khuda Ky pesy barbad karty hen yaa phr kissi un parh bandy.
Kher awam bhi Kaya kary. Humkrano ny sleep hi itna Kiya huwa he ky har Banda kehta he ky kahin naa kahin sy Kuch a hi Jaye par wo apna nuqsan Kar bethy hen.
Is my to bilkul koi shak waali bat hi nai hai ky hmari awam jab bhi ohasti hai ye bss rato raat ameer hony waali schemes ki waja sy hi phasti hai. Ap ny JavaEye kaa name liya iss ny to bohat sy logon ky pesy barbad kiye hen. Logon ny anny wah invest kiya thaa is my or bad my jab band hui to aqal phr bhi nai aai new my invest karna shuru. Banda puchy eny e waadu ny ty kissy ghareeb nu dy dyo. Onda bhala ty hoye.
Yrrr ao door naa jaen. Mery kai dost JavaEye ky narghy my aye thy. My ny bohat logon ko smjaya bhi tha ky biii na karo invest is ny bhaag jana hai to iss kiye bach jao. Achy raho gy. Tarah tarah ky tariqy sy logon ko loot'ty hen ye log. JavaEye my tickets sell karni hoti thi. Solar wali koi ai thi. Matlab qul mila ky to har tarah sy loota jata hai. Bss logon ko smj nai aati or smjaen to agly bandy ko oagal smjty hen. Nuqsan kar bethty hen to kehty haan yrr tu sahi hi kehta tha. Kher apni apni qismat ki bat hai
member
Activity: 76
Merit: 13
★Bitvest.io★ Play Plinko or Invest!
June 02, 2024, 09:55:41 PM
Crypto Losses Drop 28% in May, DeFi Platforms Still Main Target

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal ha mry pyary dosto

May 2024 mein cybercriminals ne Crypto platforms par kamyabi se kam hamlay kiye jis ki wajah se kariban $52.4 million ka nuksan hua jo ke pichle mahenay ke muqable mein 28% aur May 2023 ke muqable mein 12% kam tha. Gala Games aur Sonnefinance sab se zyada nuksan uthane walay platforms the jinhon ne approx 80% total losses ka samna kiy jahan Gala Games ne $21 million aur Sonnefinance ne $20 million kho diya. Ab tak ke crypto losses $473.2 million hn jo ke pichle saal ke $595.4 million se kafi kam hn info

Imunefi report ne bataya ke hacks ab bhi cybercriminals ka sab se zyada istamal hone wala tareeqa hain, jahan May mein 14 incidents mein $50.6 million ka nuksan hua, jab ke fraud ke 7 events mein $1.75 million ka nuksan hua. Ethereum aur BNB Chain sab se zyada targeted protocols the jahan Ethereum par 9 incidents aur BNB Chain par 4 incidents hue. Is ke ilawa Imunefi ne kuch baray bug bounty payments facilitate kiye jisme ek record $10 million ka payment Wormhole mein vulnerability ke liye $6 million Aurora ke liye ur $2.2 million Polygon ke liye kiya gaya.
full member
Activity: 112
Merit: 97
Sugars.zone | DatingFi - Earn for Posting
June 02, 2024, 09:12:35 PM
Brother, ap bilkul theek kah rehe han Pakistan mein bi ajkal trading or investment k naam pe bht dhokadahi ka shikar ho rehe han.
G bilkul agr ajkal ap ny notice Kiya hoga toh binary trading ka bazaar bohout garam haa aur different broker haa Jo na sirf ajkal advertisement par focus kar rahy haa Balky jaisa Mai NY Kaha ky YouTuber ko utaa ky usky account Mai setting karty haa aur phir hat despoit Mai usko commission milta ha aur select bhi usi YouTuber ko karty ha Jo ajkal trending Mai Chal raha hu ya bara YouTuber ho taaky Inka advertising level aur bhi bar jai aur log attract ho, ab ik haa Crypto King ky name Sy usky mutabiq ik din video banwai te ky ky pata Nahi kitny crore us NY ik din mai banwai aur woh bhi us binary trading jiska second Mai next mover predict Karna hota ha 1 mint ky charta Mai jaha Sahi Sy na support ka pata chalta ha na resistance ka aur log haa Jo daradarr usky academy Mai ja rahy haa.

Waisy chahiya toh yeh ya ky agr woh 1 crore day ka kamata ha toh academy Ki Kya zaroorat usy Jo waha time kill kary aur agr yeh real haa toh chahiya ta ky BBC waly aaty ky paksitan Mai ik Asia Banda ha Jo crore din mai banwata haa iss pa article likhy log isko interview ky liya bulwaty but Nahi. Ab haqeeqat Kya ha ALLAH behtr janta ha
Asal my in kaa shikar hamesha bholy bhaaly log yaa phr wo log hoty hen Jo ky naye naye iss field my aaty hen.
Asal my hmari Pakistani qom Ka ek masla he. Or wo ye he ky ye log raato Raat amber hony kaa khuwab dekhty hen Jo in KO ly dubta he. Or ye lalach hi in KO nuqsan ki taraf khenchti he. Or issi kaa ye log zyada faida uthaty hen or hmari swam KO dono hathon sy loot'ty hen.
Han agar kissi ny trading ki taraf ana he to san sy pehly basics seekhy phr iss taraf Aaye.
Ab investment ky naam par Kabhi Java Eye jesi apps ky zarye khuda Ky pesy barbad karty hen yaa phr kissi un parh bandy.
Kher awam bhi Kaya kary. Humkrano ny sleep hi itna Kiya huwa he ky har Banda kehta he ky kahin naa kahin sy Kuch a hi Jaye par wo apna nuqsan Kar bethy hen.
sr. member
Activity: 322
Merit: 299
June 02, 2024, 08:59:24 PM
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kaya haal hen dosto...!
To market Ki bat Karen  to ham sab janty hen Aaj Monday Hy to UK USA Ki markets open hon gi. Or Dekha Jaye to Market KY sentiments positive hi hen. To Abhi fill haal koi prediction Karna KY Market open hony KY bad Kaya movement Hogi thora mushkil hy. Market open hony KY bad kuch andaza ho sakta hy KY mazeed market my behtri aaye gi yaa nai aye gi. Behar haal my ye samjta hun iss June KY end tak ان شاء اللہ Bitcoin 80k tak hoga. Yani ESA mujy lagta Hy. May be Meri prediction Galat ho Jaye lekn fill haal kuch ESA hi Nazar araha hy KY Bitcoin July KY mahiny my 80k sy above trade hota huwa mily Ga. Or bull season. Is year KY end yaa next year KY Shuru my ho. So apny portfolio ko manage Karen. Mid risky or risky coins kaa combination bnaen Agar koi EK adha BHI acha perform kar Jata Hy to ap iss bull run sy faida uthta Len gy. Or my ye samjta hun KY ye bull run akhri or sab sy behtreen Hogi. Iss KY bad esi bull run nai mily gi. DYOR.
sr. member
Activity: 714
Merit: 288
June 02, 2024, 06:46:05 PM
Brother, ap bilkul theek kah rehe han Pakistan mein bi ajkal trading or investment k naam pe bht dhokadahi ka shikar ho rehe han.
G bilkul agr ajkal ap ny notice Kiya hoga toh binary trading ka bazaar bohout garam haa aur different broker haa Jo na sirf ajkal advertisement par focus kar rahy haa Balky jaisa Mai NY Kaha ky YouTuber ko utaa ky usky account Mai setting karty haa aur phir hat despoit Mai usko commission milta ha aur select bhi usi YouTuber ko karty ha Jo ajkal trending Mai Chal raha hu ya bara YouTuber ho taaky Inka advertising level aur bhi bar jai aur log attract ho, ab ik haa Crypto King ky name Sy usky mutabiq ik din video banwai te ky ky pata Nahi kitny crore us NY ik din mai banwai aur woh bhi us binary trading jiska second Mai next mover predict Karna hota ha 1 mint ky charta Mai jaha Sahi Sy na support ka pata chalta ha na resistance ka aur log haa Jo daradarr usky academy Mai ja rahy haa.

Waisy chahiya toh yeh ya ky agr woh 1 crore day ka kamata ha toh academy Ki Kya zaroorat usy Jo waha time kill kary aur agr yeh real haa toh chahiya ta ky BBC waly aaty ky paksitan Mai ik Asia Banda ha Jo crore din mai banwata haa iss pa article likhy log isko interview ky liya bulwaty but Nahi. Ab haqeeqat Kya ha ALLAH behtr janta ha
member
Activity: 126
Merit: 47
June 02, 2024, 03:10:16 PM
Bitcoin Bull Run Season and New ATH BTC target

السلام علیکم بھائیوں، امید ہے سب ٹھیک ہو گئے

Bitcoin traders ab bhi ek bara price breakout ka intezar kar rahe hain halan ke kai mahine se price consolidation chal rahi hai. On chain data yeh suggest hai ke Bitcoin new Ath tak pohanchne ki tayari kar raha hai jaise ke March mein perform kiya tha. Mashhoor trader Alan Tardigrade ne yeh point out kiya ke Bitcoin ka current price action aur Moving Average Convergence Divergence indicator ki movement mid February jaisi lag rahi hai. Us waqt MACD ne green signal diya tha aur Bitcoin ne jaldi se naye highs hit kiye the jo ke ek mazboot trend ko darshaata hai. Filhal teen din ke timeframe par MACD positive signs show kar raha hai jo ke Bitcoin ka bull flag pattern mein consolidate hona ke saath coincide kar raha hai.

source

Agar Bitcoin is bull flag se positive MACD ke sath nikalta hai to yeh ek tez price surge experience kar sakta hai. Yeh teen din ka MACD pattern market observers ke liye ahmiyat rakhta hai jo ke Bitcoin ke bull market ko track kar rahe hain. March ke highs se lagbhag teen mahine ke liye Bitcoin ka price rangebound rehne ke bawajood kuch analysts yeh predict kar rahe hain ke yeh kuch arse tak aise hi trade karta rahega. Lekin, bullish sentiment ab bhi qayam hai Fundstrat Global Advisors ke 2024 tak Bitcoin ke $150,000 tak pohanchne ki prediction aur traders ke taraf se June mein $85,000 ya usse zyada ka target nazar aa raha hai. Consensus kehti hai ke bull run ka sab se bara parabolic stage abhi aana baqi hai.
sr. member
Activity: 714
Merit: 288
June 02, 2024, 10:12:38 AM
Wohi hua jis ka daar tha, Pakistan two matches haar giya aur two matches mein barish hogi aur series England nay jeet li.

Last jo match hua England aur Pakistan team ka ausn mein there was just the wait for Haris Rauf at yesterday’s match. The old speed gun has been back in order, and he is playing very well, as he calms down the situation and down the tension from the team head, I am sure that if at that time, Babar Azam had not given over to Naseem Shah then there was still a chance for Pakistan to win because Shadab and Haris Rauf were tabking the game in a nice good way but Naseeem done the all ultha pulta of the game then that point came where the Pakistan team lost the match, Haris Rauf is full fit fpor the next matches.

Kia world Cup mein Pakistan kuch better perfrom kr sakay ga, i really don't think so  Huh
Apki baat Sy Mai bilkul mutafiq Nahi hu, q ky Mairy mutabiq agr baber Naseem Ki bajai Kisi aur ko bhi over daita toh tab bhi unho NY ik bowler ko target Karna ta aur aur usko patka lagwana ta, jaha tak match haarny Ki baat ha toh us Mai 99% kirdaar batsman ka ta q ky woh situation ko Handel karsakty Ty but Nahi Kiya especially middle order ny q ky Mai samajta Hu agr oper Sy batting ache Nahi Howe toh tab bhi middle order ky paas acha mooka ta cheezo ko revive aur recover karny ka but results Mai haamy daikhny ko milta ha ky food panda Saab golden duck pa Chala Jata ha aur Shadab Ki toh baat na Karo agr yeh dono thoora sensibly kail laity at least 50 to 60 runs partnership kardaity Jo ky Har middle order early kar sakta ha toh hum yeh match easily Jeet kar series level kardaity aur thoore bohout Izzat reh jate abi toh Har koi hamary world cup Mai bohout easy ly Ga umeed haa hum usky iss wehm Sy faida ota kar achi performance Sy aur trophy win kardy
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
June 02, 2024, 06:26:22 AM

Bitcoin Enters Chop Season Technical Analysis

Assalam o alikim Bitcoin ne chop season mein dakhil ho gaya hai jise crypto analyst ne btaya hai. Is waqt Bitcoin ka price sideways movement dikhayega aur yeh period chand mahine chalega. Analysts keh rahe hain ke yeh acha waqt hai Bitcoin buying aur hold karne ka taake short-term price changes se bach sakein. Halving event ke baad se Bitcoin ne $70,000 ke level ko maintain karne ki koshish ki hai magar fail raha hai.

Crypto experts Michael ka kehna hai ke ek bara breakout Bitcoin ke bull run ko shuru kar sakta hai jo nayi all-time highs ATHs tak le ja sakta hai. Rekt Capital kehta hai ke agar Bitcoin $69,000 ke upar weekly close karta hai to yeh parabolic phase mein dakhil ho sakta hai. Lekin, Bitcoin ne abhi recently $67,000 tak drop kiya hai isliye yeh breakout kuch hafton dur lagta hai. details

baqi pehle BitMEX ke ex CEO ka kehna hai ke chop season August tak chalega aur Bitcoin $60,000 aur $70,000 ke darmiyan range karega. Analyst Mikybull Crypto ka kehna hai ke breakout jaldi aa sakta hai unhone daily chart par broadened wedge pattern dekh kar $85,000 ka target set kiya hai. Filhaal Bitcoin $67,633 par trade kar raha hai.

Walikum salam, thanks for sharing valued information about potential breakout in Bitcoin. Apka analysis kafi hud tak logical lugta ha k aany waly dino mein Bitcoin mein ek bra breakout aa sakta ha or es bat ko  kuch economic fundamentals bi support kere han jis man aany waly dino market mein money supply bry gi ku k FED ko USA mein GDP ko increase kerna ha usky USA mein Republican or Democratic dono siasi parties Bitcoin adoption ko apn election campaigns mein support ker rehi han jo k cryptocurrencies k bht crucuial development ha. DYOR
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
June 02, 2024, 04:52:48 AM
Walaikum salam brother, Whales toh her market ko manipulate kerti han woh stock market ho, forex ho yah cryptocuurencies. Crypto ko manipulate kerna asan hota ha ku k comapretiovely eska marketcap kum ha, laikin es mein aany waly dino mein yakeenun izafa ho ga or es mein institutional involvement bht bryny ki waja se volatility bi kum hon jai gi, Insha Allah. DYOR

Bitcoin market ki update yeh ha k es waqt Bitcoin $67,745 pe trade ho reha ha or side-ways market ko reflect ker reha ha, or aaj Sunday ha es waja se kisi bri movement ki tawaqo nhi ha. Kal jub European or American markets open hoti han toh dekhty han market kia direction leti ha, long term out look positive hee ha. DYOR

@Cheema02 brother, apko Matic coins ka reward send ker dia ha. Please acknowledge receipt.

Sayeds Sir Received, Thanks matic coin received hu gay hai Shukria Boht boht appreciate krna ka Your are real Hero of our community Sir is mobht ha ka dil say Shukria apka or Allah pak apko jaza khair dy Khushi wali lambi sehat wali zindagi day Amesn. Once again Thanks for Reward

Jump to: