Pages:
Author

Topic: hi i am shadab ahmed - page 2. (Read 6586 times)

sr. member
Activity: 452
Merit: 252
from democracy to self-rule.
June 15, 2016, 11:34:11 PM
#6
Haan bhai kar sakte hain but kiski ye kehna mushkil hai, uske liye appko research karni padegi..
Ethereum mining mein paisa lagana theek nahi hoga ab kyunki wo agle saal proof-of-stake pe move ho jayengey fir mining band ho jaegi aur equipment ka paisa waste ho jaega..

Main auggest karunga ki abhi invest nahi kiya h to pehle olx ya quickr se ek second hand badhiya graphic card le lo (around 1/3rd rate pe mil jayengey)..
Fir koi bhi naya coin pasand aaye to wo mine karo and uska rate follow karke 2-3 weeks mein hi bech do..
Ek mahina ye karke dekho aur sab cheezein note kar lo (like kitna time chalaya, electricity cost, kis software oe kitna hashrate mil rha hai etc.)
Fir aap ek mahine baad acha decision le sakte ho..

Agar aapke contacts h to main suggest karunga ki koi sarkari hydroelectric power plant se deal karo pahadon mein.. chinese miners ki tarah.. bijli aur cooling free ho jaegi..
hero member
Activity: 616
Merit: 500
June 13, 2016, 10:59:31 AM
#5
Shadab bhai salaam.

Indore mein mining karne mein loss hoga kyunki poori duniya ke miners ke paas machines to same hain, profit ka fark padta hai 2 cheezon se - bijli ka rate aur machine ko thanda rakhne ka rate..in dono cheezon ke liye indore sahi jagah nahi hai...

Ek one time game possible hai lekin .. market mein 16nm ke ASICs aane waley hain.. agar aap direct china ke manufacturer se seedha khareed ke, duniya mein sabse pehle mining karne lag jao to kuch dino tak aap bohot advantage mein rahogey.. lekin kitne din ye koi ni janta kyunki sabhi us manufacturer k peeche padey hain aur wo sirf bade buyers ko poochta hai..matlab ki crores ka investment..


thanks alot for reply brother.
ksi aur coin ki mining to kar sakte hain na?
sr. member
Activity: 452
Merit: 252
from democracy to self-rule.
May 23, 2016, 01:30:17 AM
#4
Shadab bhai salaam.

Indore mein mining karne mein loss hoga kyunki poori duniya ke miners ke paas machines to same hain, profit ka fark padta hai 2 cheezon se - bijli ka rate aur machine ko thanda rakhne ka rate..in dono cheezon ke liye indore sahi jagah nahi hai...

Ek one time game possible hai lekin .. market mein 16nm ke ASICs aane waley hain.. agar aap direct china ke manufacturer se seedha khareed ke, duniya mein sabse pehle mining karne lag jao to kuch dino tak aap bohot advantage mein rahogey.. lekin kitne din ye koi ni janta kyunki sabhi us manufacturer k peeche padey hain aur wo sirf bade buyers ko poochta hai..matlab ki crores ka investment..

legendary
Activity: 854
Merit: 1000
May 15, 2016, 07:05:25 PM
#3
2 din ho gaye kisine reply nahi kiya
Buddy search the forum and you will find the answers to most of your questions.If you want to mine bitcoin,please know it requires lots of investment to make profit
hero member
Activity: 616
Merit: 500
April 09, 2016, 06:59:48 PM
#2
2 din ho gaye kisine reply nahi kiya
hero member
Activity: 616
Merit: 500
April 08, 2016, 04:32:30 PM
#1
hi bhaiyo

i am from indore and i have 2 bigha land

 and i am interested in bitcoin mining
can you please provide me some details about where can i buy mining hardware in india and how to setup those to get it work.


total cost kitna aayega aur per month kitna profit hoga
Pages:
Jump to: