Ab swal ye ha ke kia Pakistan ma ye currency formats essi trah change hoga ya pir koi aysa note ayega Jo Kuch time ke Leye apni halat per Rahe ga tu jawab ye ha ke aysa kabi nahe hoga balke har time ke bad ye currency change Hoti jayenge jab kabi paiso ki qeemt neeche geray gi ti ye notes change hote jayenge aur es ka sub se best solution ye ha ke hame apne country ma paper currency ki bajaye cryptocurrency ko adopt Karne chahye aur es ke faide hum sub ko pata be ha.
Daikh boss scene yeh haa ky currency ka shape ,design change ho Jana iska bilkul country ky currency decline Sy taluq nahi balky iss Sy government just apny tax wasooli aur Black money ko pakr sakta haa Baki iss Sy aur koi faida nahi. Haa apki Baat ki taraf aaty haa ky jab currency decline ka shikaar ho toh ap big notes print karty haa Yani hum jab chooty ty tab 5000 ka note nahi taa q ky currency ki growth ho Rahe te but ab haa as currency down Howe haa ab agr aur big notes like 10k ka daikhny ko mila toh samjoo currency ky lag gai.
Same agr American dollar ko daikhny toh woh kafi achi heath Mai haa TOH haamy 100$ Sy zyada ka note daikny ko nahi mil Raha aur agr same time Zimbabwe ka daikhy TOH unky paas trillion dollars ka note haa toh bs ap andaza lagwa ly Kya economy Haal hoga unka.
Baki country ko apni digital currency banane chahiya jis Sy hamay printing aur paper ka paisy bachta rahy ga jo kafi boost dy skata haa national treasure ko, but yaha dikhat yeh haa ky ab Chalo educated Banda Issy smaaj ly ga digital currency toh ghareeb jis ky paas mobile bhi nahi woh Kya kary ga kaisy paisy use kary ga kaha raky ga toh yeh mushkilaat haa ab daikhyy ha Kya scene banta ha
Bilkul sir my ap Ki bat sy ittefaq Karta hun Currency change Karny sy Pakistan Ki currency par koi farq nai aye Ga lekn jinhon ny black money smbhal rakha hy. In the shape of cash to phassen gy asal my wo. Yaa to wo APNA pesa Bahir nikalen gy yaa zaya Karen gy. Ab itni mushkil sy Kmaya huwa pesa zaya to Karen gy nai to Zahir C bat hy phassen gy hi.
Or ye bat BHI bilkul theak Hy KY jab Kabhi Kissi currency Ki value girti Hy to us KY banking notes barha diye jaty hen yani Agar 5000 Hy to us ko 10000 kar Diya Jaye Ga. Yani new currency notes mutarif karwaya Jaye Ga. Ab Jesy Iran my dekh Len 50000 ka note wahan aam C bat hy.
Or rahi bat digital CBDC Ki to ye EK bohat acha qadam hoga q ab zyada tar Dekha Jaye to mostly work online hi ho raha hy. Or is transactions ko trace Karna BHI asan hoga. Blackmoney zyada tar in cash hi circulate Hoti Hy so ye bohat acha qadam hoga.