Salam dosto
وعليكم السلام ورحمة الله وبركاتهAjj mein app sab logon ki tawajaoo aik important maslay ki taraf kerwana chatha hon. Normally hum log ais tarah c lektay hien k "Salam", jo k gult hy.
Meine ny kaihen petha tha k sirf "Salam" ka multab hy k tum p moat aye ya tum p lanat ho.
Umeridrees bhai apko Allah Pak jazae kher de, ache information share kii hai aur salam ham ko poora karnac chaiye. Mai es mozoo par full post karta hoo tha k sab kuch start se clear ho jae.
Har qaum k welcome (tahaya) k kuch tariqa aur alfaz hothe ha. Islam se pehle b jahiliat k dor ma alfaz use hothe the. mukhtasir ye k Allah Pak ne ye alfaz Muslamano k mulaqat k liye pasand farmaya aur ye Dua hai k ap par salamti ho k agar kisi k haq ma qabool huwe tho goya us k deen aur dunya badal gae aur jannat ma b ham apas na salam k lafz k sath tahiya karege.
Ab salam k sahee alfaz ye hai with arbi aeraab.
اَلسَّلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Yaha par start ma zabar hai aur "seen" ka sath shad matlab k mela huwa ha. Salam k bad "Een" alaida se parna chaiye aur "meem" k sath melana chaeye.
Minimum اَلسَّلامُ عَلَيْكُم kehna chiye aur koshish kare k es se kam na ho. agar salam o alaikum kahe tho b maana ghalat nahe hoga magar "Alif laam" k sath jo arbi ma maana hoga k salam ki har jins ko shamil ho wo poora na hoga.
Urdu ma koi kahae k ap par salam ho tho b sahe hai magar jo asl arbi ma maani hoga wo na ada hoga.
Jin alfaz k sath maana kharab ho jatha ha wo hai
▪️Sala alaikum (jab hamza aur meem na bola jae): Tum par lanat ho
▪️saam alaikum (jab lam na para jae): Tum Barbad ho
▪️Asa alaikum ( jab laam aur meem dono na para jae): Tum khushi ko tharso
▪️saam alaikum (jab lam na para jae): Tum Barbad ho
Ab chalte hai jawab ki taraf tho us k alfaz with airaab ye hai.
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
yaha ham small se ghalti karte hai k ham "wao" ko ain se mela k parte ha jab wao par alaida zabar aur een par alaida zabar hai tho dono ko juda juda parna hai aur meem par pesh hai air seen k sath melana hai jaisa
wa aa lai kumus salamminimum etna he par skate jab k agar ziada alfaz karoge thi sawab ziada. ye 3 alfaz ha, log kuch alfaz muft ma ziada karte ha un se ijtinab lazmi hai