Han hn bhai agreed hum mufttii nai hain but firr bii as we have some Islamic knowledge as well domain hamare maximum jo molvi hazraat ha onko Islamic finance ka kuch ata pata hi nai ha onke pass jawo ge to kuch nai mille ga. Siwaee apko Haram ka fatwee ka haha. Like really apko kisi ese badne se baat karni chaiye jo apki field + Islamic view dono ko behtar janta hoo and ye combo boat mushkil se milta haa. Khair stable coins pa mera koi view nai ha haan fix APY halal bi ho sakta ha Haram bi depends on the working as i did explain in my Last post.
Well Hamza bhai apki ye post dekh kar muje kaafi dukh aur afsos huwa k apki soch hamare ullama karam aur Muftiane karam k baare mai kia hai. Apko jawab dena farz ban gia hai kere oper . ek tho es waja se k apko es soch ki islaah ho jae aur dosra ye k dosre user apki baath ko haqeeqat na jaane. Merit k lehaz ap senior hai aur omer k lehaz se ap chote hai tho umeed hai ap mere post as a shafqate bare bhai k tanasub se dikhe ge.
Mera field chunke Talib ilm ka hai aur muje pata hai k finance ka Muftiane Karam ko pata hotha hai k nahe aur hamara jo knowledge hai us se hm masail hal kar sakte k nahe.
Sab se pehle kuch thamheedi bath arz karna chahta ho then asal topic ki taraf aonga.
Hamara deene islam alamgeer deen hai aur apko har qaum k kiye har zamane k liye aur har qism k masail maujod ha. jab ham deen se masla nekalte tho pehle Quran ko dekhte hai k us mai masla maujud hai k nahe agr waha na ho tho per ahadees aur waha b na mile tho per Ijmae ummat aur last mai qiyase hujjat... ab en sab ko deekhne k liye arbi zaban mai maahir hona zarori hai k apko arbi k osool ka pata ho, nhe tho masail akhaz karne mai kaafi mushkil pesh ae ge balke bahot se jaga ghalt masail nekaloge. mai small se misal dith ho quran mai aatha hai k
نِسَآؤُكُمْ حَرْثٌ لَّكُمْ۪-فَاْتُوْا حَرْثَـكُمْ اَنّٰى شِئْتُمْ٘-وَ قَدِّمُوْا لِاَنْفُسِكُمْؕ-وَ اتَّقُوا اللّٰهَ وَ اعْلَمُوْۤا اَنَّكُمْ مُّلٰقُوْهُؕ-وَ بَشِّرِ الْمُؤْمِنِیْنَ(223)
تمہاری بیویاں تمہاری کھیتیاں ہیں اپنی کھیتیوں میں جس طرح چاہو آؤ اور اپنے لئے ( نیک اعمال ) آگے بھیجو اور اللہ تعالٰی سے ڈرتے رہا کرو اور جان رکھو کہ تم اس سے ملنے والے ہو اور ایمان والوں کو خوشخبری سُنا دیجئے ۔
ab yaha par anna ka lafz hai ayat mai jis k 2 meaning hai. ek hai kefiat k lehaz aur ek ha jaga ka maana tho ab agar kefiat ka maana lia jae tho matlab hai k jimaa karna hai tho jis kefiat se b karo magar jaga ek hee honi chaiye aur agar dosra maana lia jar tho maana ho ga k jis jaga (aage ya peecha) jimma karo jaiz hai. ab agr dosre ahadees par aur ayat par oboor na ho tho ghaliib guman hai k banda dosra maana le le magar arbi zaban aur pore hadees aur ayat par jis ko oboor ho tho wo Sahi masla nekale ga. yaha par ek tho arbi zaban par oboor ka zikar mai ne kia aur dosra ye k sirf ek hadees ya ayat dekh kar masla nahe nekala jatha balke kuch ayat mai bad se koi qaid b aa sakti hai aur kuch kami aur beshi b. filhal ye topic nahe magar ye bthana zror hai ap ne likha ha k hamare pas knowledge hai tho bhai apka knowledge filhal es Field mai zero ha
Mufti ka meaning hai fatwa dena wala aur es fatwe dine k liye following stage se guzarna hotha hai . mai sirf finance ka zikar karna munasib smjo ga.
Darja oola: arbi seekhna (Sarf aur nahw)
Darja Sania: Qudoori( ye fiqha ki kitab hai jis mai tijaraj k osool aur forooh bian huwe hai)
darja salisa: kanz (es mai b thore thafseel se muamlat tijarat ka zikar hai)
darja Rabia: Sharh wiqaya( mukammal tijarat k mutaliq)
darja mauqofon alaih: Hidaya jild 3 ( mukammal finance par)+ Mishkar shareef
last darja: full sehae sitta
Ye 8 sala darse nezame hai. ye banda sahi pare tho mukammal qazi ban sakta hai aur har qisam k masail k osool zikar hai chahe jaisa b masla ho. abe zohoor aa chuka ya na aur yad rahe ye osool 1300 saal pehle waza huwe aur aj thak muslim ummat esi par apne tijarti muamlat karte aur finance ka jaisa b masla ho esnhe osool k tehat hotha hai aur ab hamare hamza bhai kehta h k unko kuch aata pata nahe.
aalim banne k bad 2 saal mufti ka course kehte hai jis ko English mai hm specialist kehte hai jis mai fatwa dene k saare osool wagira zikar kie jaathe hai. per course karne k bad 4 saal kisi experienced mufti k sath waqt guzara jaatha hai aur fatwa dithe waqt wo ghaltiyo ki islah karta hai. ab etne stage guzarne k bad un becharo ko kuch aata pata nahe aur internet se hadees dekh kar masla dine walo k sath full knowledge hai.
ab aathe hai mozoo ki taraf. finance se agr sirf finance murad ho tho wo 1400 saal se muslman bechare baghair knowledge k waqt guzar rahe the aur agr online finance murad hai tho ye tho ho nahe sakta k baghair tehqeeq k Mufti apko keh de k ye haram hai. agr kisi ko pata nahe hotha tho wo bare idaaro se rabte mai rehte hai. aisa koi bara masla aatha hai tho un par arab aur ajam k Ullam meeting karte hai, thab koi Hal nekaate hai aur ijmaae umaat kabe ghalt kaam par nahe hothe.
ye jo kaha jaatha hai k kuch masail pehle hukam aur tha per ab badal gia tho uski ghalti b ullama ki nahe balke ghalt tehqeeq ki hai. misal k taur par loud speaker par nemaz k mutaliq scientist ka ye khial tha k ye dosri awaz hai tho nemaz k najaez k masla tha magar jab mukamal tehqeeq se sabit huwe k voice real hai bas ye eko tez karta hi tho hukam jaiz ka huwa. perfume ka masla b alcohol k % ka tha. jab mukamal tehqeeq se pata chala k es mai % km hai tho jaiz ha magar per b aala darja ye hai k alcohol pak ho. aur ye b yad rakhe k jab thak masla ibtedai stage pe ho tho aur kisi cheez ka faida km ho aur na karne ma faida ho tho hm na karne ka hee fatwa dethe hai magar jab logo mai aam ho jae tho un k liye kuch heele nekale jathe hai tha k poori umaat gunah mai mubtila na ho aur ye un ahkam ma hotha hai jaha kuch na kuch gunjaish ho. aur b kai masle hai magar sirf smjana maqsood hai jo ek se b smj ma aa jaega.
online ki bath kare tho tho ap ki research km hai es baare mai. ap ache madrase mai ja k Mufti se ja k pooch le , umeed hai answer mil jaega. aur mai 70% yaqeen se kehta ho k apko ab thak haram ki definition thak nahe aathe hoge aur agar ap internet as dekh b le thab b ab kaafi waqt lagae usko smjne mai per us k bad riba ki definition aur aqsam wagira. ap ne jo liquidity ko land farming se tashbeehh de hai totally wrong aur qiyas ka zero % knowledge ki waja se dee. tashbeeh dithe waqt 4 cheezo ko dikha jatha hai wo shahid apko pata nahe aur ye b btha do k land farming k b 4 qisme hai aur un mai se baaz jaiz aur baz najaiz hai aur land forming ko jaiz smjna b fiqh ki madad se hai aur Muftiane karam k fatwe ki waja se pata chala hai. umeed hai apko kuch na kuch smj aa gae hoge k finance ka ilm hai k nahe. agar zrorat pare tho mai apko apni kitabo k masael kuch share jar donga jis se apko andaza hojaega k finance par hamara kitna oboor hasil hai