No doubt yeh eSports waste of time haa Kuch logo ka liyaa , lakin agr ajkal daikha jaya toh innhe eSports games ki badolat Kafi ghareeb garaano ka choola 🫕 jal rahaa , isse games ko apna carrer banaky log AJ laakhoo ma kail rahy haa, iske missal "star anonymous" ki shakal ma haa Jo bohout ghareeb ta aur AJ lakh pati haa.
Pehli bath tho ye hai k agr en game m players ko dikha jae per es se earning wale users ki dikha jae tho ratoo 1% se b kam hai jis se saaf pata chalta hai k ye game method of earning nahe hai. kuch log apni maharat se kuch paise kama sakte hai magar ye mustaqil koi aise cheez nahe hai Bitcointalk, YouTube ki tarah k es se 50% users ko earning ho aur dosri bath ye hai k 90% se ziada users sirf as a entertainment ya dosri lafzo mai time pass k liye esko khelte hai. kuch log refreshments k liye be keh dithe hai magar es se refreshments naam ki koi chez nahe hai . baqi detail neeche aa rahe hai Insha-Alah
Gee zain bhai every field has its own bad and good impacts. Agr pubg ya kisi or digital multiplayer online game ki baat krain like PUBG to isky kafi good impacts bi hain like ------------ to the End
Sab se pehle hame apni paidaish ka maqsad samjna chaiye k hamari zindagi ka maqsad kia hai tho us k liye wohi batha sakta hai jo k insan ka Khaliq hai aur ek hee zaat hai Allah Pak. Quran Pak mai es ko bahot hee aasan alfaz k sath bian kia gia hai
ab Ibadat 2 qisam par hai. ap logo k aasani k liye k ek tho direct ibadat hai jaise nemaz, ramzan, haj wagira aur dosri inderict yani makhlooq k waaste Allah ka hukam pura karna jaise Doctor ban kar awam ki khidmat karna wagira. ab asal ibadat tho direct hee hai magar maashre mai rehna hai tho indirect ibadat par b zor dia gia hai.
chalo zindagi ka maqsad wazzih ho gia ab ek aur ayat mai maut aur hayat ki waja bayan farnathe hai.
Ab duniya ek azmaish hai jis mai ham ne apne Rab ko razi karna hai ibadat k sath. es waja se nahe k Rabb ko ibadat ki zarorat hai balke es liye k Rab koma yahi hukam hai aur hame eski zarorat hai.
per jo duniya mai jo cheeze hai jo actions hai en k ya tho duniya aur aakhirat dono ka faida miltha hai, tho sab ko Allah Pak ne jaiz aur inammat ka wada kia hai, ya es ka ult(nuqsan hotha hai dono ka ya ek) es ko Allah pak ne mana farmaya hai aur yahi azmaish hai.
Mukhtasaran ye k ham ne wo aamal karne hai jis se dunya aur aakhirat dono ya kam se kam ek ka es tarah faida ho k aakhirat ko nuqsan na ho. agr exercise ko dikha jae tho jo shakhs jism ki heath ki neyat kare tho nafal zikar se behter hai aur baz ne aur b fazeelat bian kii hai jaise agar ek shakhs subh ki nemaz k bad agar bahir jae aur warzish kare es neyat k sath k jism thndrust hoga tho ibadat sahi tarah se kar paonga aur jihad ki be neyat kare aur dosra shakhs majid mai beta rahe tilawat wagira mai thi ye warzish wale ko Allah pak ziada ahar dega
ab Pubg aur freefire wagira ki bath kare tho log esko as a exercise nahe balke as a time pass khelte hai. kuch fun be hotha hai agar kuch dost ekate ho tho mukammal haram thi nahe kaha ja sakta magar ha makrooh tehreemee zaroor hoga q k es mai time waste k elawa Kuch nahe milta na dunyawii aur deeni balke nuqsanat zuada huwe hai jaise k aksar jamat ki nemaz fauth ho jathe hai aur kai gante en games ka dimagh mai rehna aur game k end k sath ye silsila khatam nahe hotha balke bahir dosto se miltha hai than b yahi baathe hothe rehte hai. es k elawa ziada tar log monthly membership buy karte hai aur mukhtalif qism k Ucs/diamond wagira par apna paisa waste karte hai.
deeni nuqsan mai ye be hai k agar yahi waqt Sahaba ki zindagi, Seerat aur sunnat ki kitabo k study mai lag jaatha tho kaafi knowledge be hasil ho jatha aur achi kitab behteren dost hai, es kitaabo ka jo hasil kia wo zehen mai rehta aur wo mehfil mai bian karte tho aage be deen ki bath phel jaathi. masail ka ilm tho chalo Ullam ka kaam hai q k wo osoool k liye waqt ziada dena parta hai magar Fazail tho ham sab seekh sakte hai.
En tamam batho se sirf ek hee maqsad hai k Pubg game ya koi b game ap khelte hai tho usko chorne ki neyat se kare k insha-Allah es ko bahot jald chor donga. aur dosro ko b aur activities ki taraf raaghib kare.
Aakhri Guzarish: zindagi ka kuch pata nahe chalta . jaha ham sochte hai k mere maut k bad mere family ka kia hoga tho pehle se bandobast karte hai esi tarah deen k mamle ki be fikar kare. sirf Quran nazra parana kaafi nahe q k Quran k maqsad nazra nahe balke ghaur o fikar aur es par amal karna be hai.
es k liye saare users(Sarparast) yaha agar Ek deeni waqiat ki kitab aur fazail ki kitab gar le jae aur sirf ek hadees ya waqi rozana k hisab se pare aur kuch dun ye amal khud kare per bacho se, zoja muhtarma se karae tho gar mai ek mahol ban jae. farz nemaz jab masjid jar tho bacho ko b sath le jae. es k elawa un k sath games cricket,small race, football ya jo b ho us mai khud shamil ho. bacho k samne Quran ki tilawat kare. Thora aaqil ho jae thi Earning USDT b samjaya ja sake tha k maashiat ka muqabla kar sake aur earning k liye ghalt source ikhtiar na kre.
Muje umeed hai mai ne ache alfaz ka intikhab kia hai aur kisi ko target nahe kia. aaj time mela tho yeh likh paya.