Again خود اپنے جال میں صیاد آگیا dekhen agar Crypto ko mshkook smja jaye ga... To iss k tmam phlu ko hi mashkuk smja jaye ga... Us ki trading spot ho ya future... Us ki staking Farming... Bot trading... Etc.
Q? K ap crypto ko hi mashkook kh rahy hen... Is liye iss s munslik har chz ko mashkuk hi smja jaye ga...
Bhai mashkook hone k Kuch factors ha Jo Abe thk wabile ghaur ha. Jaise k baghair maalik k pata hwe buy sell. Leken I think AJ kall jadeed shopping b es taraf ja rhe ha. Online shopping ma b ye system ha aur zrorat balwa ki waja se ye masla Hal hi jaega.
Dosra factor bhot ziada volatility ha. Aur koi backup nhe ha.
Jis Tarah tasveer wese tho haram ha mgr shanakhti card etc zrorat ki jagho par jaiz ha mgr per b darna chaiye k Allah pak hme es par pakar na le. Mobile image par ikhtilaf hwa aur ab ye tho saabit hwa k ask ha mgr per b zrorat k elawa tasveer se ab b Ullama mama hee farmathe ha. Crypto ma ikhtilaf ha , baaz Muslim mamalik ma use ziada ha as a trading aur Indonesia ki sharh SB se ziada ha Jo k islami mulk ha. Ab Koshish yahi krni chaiye k cryptocurrency use ma baqi factors ko dikhna chaiye Jo aam maali lain dain ma hitha ha. Spot trading ko hm rozana k buy sell k Sath jor sakta ha and waha pe no problem
Futures ka tho I think sh hee mutafiq hinge k Sahi nhe ha. Baqi rha stacking tho es ma Thori wazahat ha.
Umer Bhai, Yeh dollar wali misal DEFI mein bilkul fit nhi hoti ku k dollar account to commercial banking ki ek product ha jahan pe ap dollar deposit kerty han toh bank apky dollar sood pe loan kisi dosry client ko deta ha or wohi sood apky sath share kerta ha yeh commercial banking ha mgr DEFI commercial bank ki trh kaam nhi kerta vehan pe coins ki trading se jo transaction fee generate hoti ha wo apky sath share ki jati ha. Mein yeh bat bar bar samjhany ki koshish ker reha houn k DEFI commercial banking nhi ha or yehan pe koi owner nhi hota investors hee owner hoty han or wohi apus mein trade kerty han or trading Islam mein jaiz ha. Mere khayal mein yehan pe Bhai log commercial bqanking or decentralized finance ko mix ker rehe han jis se confusion ho rehi ha.
Yes Sayed sahib Sahi keh rhe ha Defi ka nizaam banks se change ha. Ma ne Kal stacking k mutaliq full mechanism check kiya tho yahi pata Chala k ye fee hee generate hothi ha. Es Liye Meri loan wali bath Sahi nhe.
Yaha aik bath stacking ma per b aisi ha Jo k qaabil ghaur ha. Ab Yaha par dikha jae tho validators ki Apy fixed hothi ha q k hme fixed Apy k Sath token ditha ha. Chahe transaction fee km Lage ya ziada. Jb k share ka Sahi tariqa ye Hina chaiye k jitni transaction fee mile utne percent k hisab se all shirakat daaro ko us k hissed k mutabiq token diye jae. Agr transaction ziada ho tho profit b SB ma Sam distribute kiya jae mgar Yaha mamla ye ha k validators apko fixed Apy k Sath hee token dega.
Validators aik company ki tarah kaam krti ha Jo k stacking provide kr k transaction ko fast aur token ko string krti ha jis k badle ma transactions fee block k shakal ma us k recieved hithe ha aur hm jb stacking kre tho hme wo fixed Apy k Sath token dithe ha.
Baqi ye Jo ye bath ha k fixed nhe ha q k price up and down jathi ha tho ye ghalat ha q k per tho usdt,gold, silver SB Kuch down and up hotha ha. Agr Kisi k pas 2usdt qarz k taur par rakho aur 2 din bad us se qarz le aur price up hogai tho koi nhe kehta k ye Sood ha k q k usdt utne hee mile ha es Tarah hr token apna aik value rakhta ha aur zaahir ha wo hme fixed hee mil rha ha. اللہ اعلم بالصواب