Bhaio Bitcoin aik bar phir $40k ko touch kar gia.. so what you guys planning next?
1. sell krna hia?
2. Buy karna hai?
3. ya hodl?
I'm still on No. 3 and skeptical... :p
Aaaand.. it's 38k again.
HODLing and buying is what I'll be doing as usual.
Aap ka decision aap ki risk taking capability par depend karta hai kyunke koi bhi investment 100% guaranteed returns nahi deti. You never know, kal subah Bitcoin phir 29k par ho sakta hai ya phir 55k par ho sakta hai. Kuch keh nahi sakte.
Historically dekhain tou HODLing achi strategy rahi hai ab tak. Ek zamana tha jab $100 Bitcoin expensive lagta tha. Last bullrun mai $20k was like out of this world. Ab price last bull run peak se almost 100% ooper ja chuka hai. I am predicting it will go up even more in coming years. Kab jayega? I don't know. Aur neeche jaane ka risk tou hamesha hi rehta hai so always be prepared for the worst.
Price ke point ko mazeed agey barhatay huay, agar hum Bitcoin ka price dekhein tou 40k kuch bhi nahi hai jab ap Bitcoin ko Gold aur stock market se compare karo.
At current price Bitcoin ki market cap $700 billion USD hai. In comparison, corporations like MSFT / AMZN / GOOG are nearing $2 trillion USD. Aur Gold ki market cap $10 trillion USD hai.
Bitcoin mai growth ka bohot ziada potential baaki hai. Conservatively bhi dekhain tou atleast yahaan se 3x bohot ziada nahi lagta, lekin wahan pohnchne mai kaafi years lag sakte hain.
Again, ye sirf mera point of view hai aur ye ghalat bhi ho sakta hai. Next year hum phir se $5k par ho sakte hain, kuch bhi ho sakta hai Bitcoin market mai.