Assalam o alikum to all of community, kasy hai ap sab
Bitcoin Naye All-Time Highs Ki Taraf Dekh Raha Hai On-Chain Resistance Ko cross krta ga agr. Mary khyal say Bitcoin agar aik ahem on-chain resistance level ko paar kar le to naye all-time highs tak pahunch sakta hai. Analyst Ali ne $66,250 mark ki importance ko buland kiya hai jahan par Bitcoin UTXOs ka zyada tar hissa khareeda gaya tha. Ye level investors ke liye khaas ahmiyat rakhta hai kyunki ye unke munafa-nuqsaan ke halat par asar daal sakta hai.
Agar Bitcoin is ghani UTXOs ke level ko dobara check karta hai toh ye mazboot resistance ka samna kar sakta hai jis se investors ka break-even point hasil karne ki koshish ho sakti hai. but analyst ke mutabiq agar Bitcoin is level ko paar kar le toh wo naye all-time highs ki taraf mudakhil ho sakta hai qkh agle levels nisbatan kamzor hai.
baqi Is ke ilawa analyst ne reveal kiya hai ke taqreeban 10% tamam addresses ne Bitcoin ko mojoda qeemat aur pehlay all-time high ke darmiyan hasil kiya ha iska matlab hai ke aik bara hissa investors maqbuz hain. jab kah mojooda qeemat $62,800 ke aas paas hai but tawajjo ahem resistance level ko paar karne ki taraf hai. details
Walaikum salam brother, aaj apne technical analysis ki buniyad pe Bitcoin apny achi khaber share ki ha, Bitcoin new all time high ki trf ja sakta ha agr wo $66,000 k resistance ko surpass kerta ha, dekhty han aany waly dino mein es silsly mein kia development hoti ha. Abi toh Bitcoin ek bht short range mein trade ho reha or lugta ha k abi kuch din or aisy hee trade ho ga jub tak es week k end mein USA mein ecomic date release ho ga or FOMC member inflation or interest rate pe comment keren gay us k baad hee market kuch direction lay sakti ha. Filhal toh market mein demand hee nazer nhi aati. DYOR
https://www.investing.com/economic-calendar/