Be Alert: Fake WalletConnect App Available on Google Play
السلام علیکم بھائیوں، امید ہے سب ٹھیک ہو گئے
Walikum Assalam... Bhai boht shukriya is se agah karne k liye... Aur aapne topic cherh di hai toh main bhi ispe apne kuch points add karna chahonga.
Yeh pehli baar nahin hai k hackers ne playstore ya kisi bhi app store k zariye logon k assets tak rasai krne ki koshish ki hai, kuch mahine pehle isi tarha ki aek app men aek malware add kiya gaya tha, wo app finance se related nahin tha lekin jo bhi us app ko download karta, unke mobile men wo malware ajata jiske zariye hackers us mobile k andar save files ko access karte jisse k wo financial accounts tak rasai hasil kr k unse funds nikal lete.
Ab jaisa k aapne kaha k yeh na pehli baar hai aur na aakhir bar, is tarha ki cheezen future men bhi hongi toh humen chaiye k hum apne funds ki safety ka khayal rakhen... Kuch cheezen hain jo main point out karna chahonga jo k sabko hi karni chaiyen.
1. Keep a separate phone for financial apps and operationsKabhi bhi apne normal use wale mobile men financial applications ya ziada quantity men assets na rakhen.. Humen pata hai k hum apne mobile phones men tarha tarha k apps, games, wagera download karte hain aur kahi tarha ki websites wagera visit karte hain, in sab cheezon ki waja se hamare assets ko khatra ho sakta hai, isliye humen chaiye k agar hum agr convenience k liye mobile men financial applications rakhna chahte hain, toh hum us k liye aek alag phone rakhen jismen hum sirf aur sirf wo cheezen rakhen jo safe hon aur us mobile se hum extra koi cheez na karen.
2. Don't connect your main wallets to any website or serviceKafi log aksar yeh ghalti kar bethte hain k wo apna main wallet jismen unho ne tokens ya assets rakhe hte hain usey kisi bhi website ya service ya airdrop page se connect krlete hain, aur agar in men se koi bhi service ya website scam nikal aye toh unke assets chori hojate hain.. Humen chaiye k hum jab bhi kahin wallet connect krna chahen kuch claim krne k liye ya kisi event ya airdrop men participate krne k liye toh hum aek new wallet bna k usey connect karen bajaye apne main wallets ko connect krne k tab tak jab tak humen us service ya website pe 100% yaqeen na ho.
Iske elawa bhi kafi sari cheezen hain lekin yeh 2 main points jo mere zehn men aa rhi thin toh maine socha share kardon.