Pages:
Author

Topic: Pakistan - page 23. (Read 6922464 times)

full member
Activity: 840
Merit: 213
December 28, 2024, 12:36:00 AM
AslomAlukm Dosto

Eik informative post nazar sa guzri socha yahan bhe share kr don. Ya post Bitcointalk.org ka eik aisa member ke hy jin ka shumar sub sa zayda merits lena valon ma hota hy - Fillippone. Fillippone na ya forum Feb 28, 2018 ko join kea aur aj unka merits ka count 17143 hy.  Ya post mujh samaat un sub logon ka lea kafi informative hy jo ya janana chahta hn ka merits kaisa hasil krn. Fillippone ka profile is lea bhe unique hy kyunka us na na sirf la tadad merits hasil kea balka boht kam arsa sa boht high ranks achieve kea. Is post ko parh kr kafi clarity milti hy ka user ko kis tarah ke posts krni chahyan forum pr.

(Post kafi lambi hy, islea ma na thora sa hisa yahan post kea hy. Baqi pori post parhna ka lea is post pr click krn)

[Interviews] with Bitcointalk members

This is to present my journey on the forum so far.

I see a lot of whining from newbies and Jr. Members about merits, how to earn them, and how unfair merit system is.
It is not.
I worked hard, I studied, i tried to focus on learning and sharing what I learnt.

I think I can share with you some suggestion on how improve your chances of writing good posts, and then getting merits. Please note the order of the two actions: it is not coincidence.

  • It’s all about the knowledge. Try to think about merits as a knowledge exchange: you give merit when you learn something new, you get merit when you teach something new, or you make other people think about something old in a new way. Once you progress in the knowledge you can start answering other users' question and solving their problems, or start contributing to  the forum providing new resources or tools, if you have the skills. Just try to figure out the best way to do so that suits your capabilities and resources.
...
..
.
Fillippone.

sr. member
Activity: 1008
Merit: 407
I ❤️Bitcoin
December 27, 2024, 05:13:37 PM
Sir mazrat kai sath sirf jazba hona kafi nahi hota kuch amal bee hona chahia yaha per hudgarzi ki intiha hai kuch arsa pahlai mai nai aik member ko message kia mujai picture upload kerna seekha do us nai aaj tak jawab hee nahi dia dosra yaha per merit aisai sanbhaal ker rakhtai hai jaisai yai un ko gold mai exchange kerwa lai gai mujai kabi kabi is community per bohut afsos hota hai kuch achai log thai ab sab chalai gai hai abee bee hai laikin wo ziada ter apni masrufiat ki waja sai time nahi dai saktai.
Aise koi baat nahi community Mai jaha khud garz aur bury log mojood ha waha bohout saary achy aur supportive bandy bhi mojood ha aur unki wajah Sy yeh community chal Rahe ha ap Shahzadafzal sir ki example ly lo unka apka business achy Sy chal Raha ha aur yaha Bitcointalk pa unky paas koi signature campaign bhi nahi ha jis Sy unki earning ho aur unhy motivation mily yaha pa aany ky Liya, but phir bhi just community ki khatir woh aaty ha aksr abhi thoora masroofyat zyada hogai but woh hamesha har mamly Mai supportive rehty ha.

So ap just ik bandy ki wajh Sy community ko same nazr Sy na daikhy apko Jo bhi problem ho Jo bhi cheez required ho even fund hi q na ho apko community fund Sy amount de jai ge aur jo knowledge required Hoge A to Z apko mily ge bus ap yaha clear cut pooch Liya kary Kisi ko personal Mai mesg nahi kary baaz logo ko yeh acha nahi laghta.
hero member
Activity: 1050
Merit: 521
December 27, 2024, 03:26:23 PM
Bitcoin market ki update yeh k akser logo ki expectation k baraks Bitcoin ne kal es achi upwards move lee ha or Bitcoin ki price mein takreebun $4000 ka izafa ho chuka ha or es waqt $98,500 pe trade ho reha or imkan k $100,00 ko dobra hit kere, Insha Allah. DYOR
Christmas Tha wo to guzara Gaya ab EK event New Year WALA hy. Tab tak mery khayal sy Bitcoin mazeed struggle kar sakta hy. Or Agar fillhaal Dekha Jaye to Bitcoin just near to the $100000 again or ye again Cross hoga. Or Mery khayal sy next year KY first week my hi ho sakta hy Bitcoin APNA ATH again break kar Jaye. So fillhaal kuch BHI kehna mumkin nai. But overall Dekha Jaye to Alt season BHI bohat qareeb Hy or Bitcoin multi ATH crossing BHI qareeb Hy. So I this is the time to accumulate some coins. Agar ap ny research Ki hui Hy to un coins my invest Karen. Or Mery khayal sy koi thakky sy thakka huwa BHI coin huwa naa to wo BHI Kam az Kam 2x to kar hi Jaye Ga. DYOR

Bitcoin Current Price



Brother, Christmas or new year holidays douran Bitcoin price mein most likely side-ways movement hee expected, Bitcoin price mein guzesgata dino mein jo achanak move aai thi or eski price $99K ko hit ker k deop hoi yeh ek ghair mutwaqo jump tha jo sustain nhi ker saka or es waqt price $94k k around hee trade ho reha ha.

January,2025 mein Bitcoin ki price mein ek bara izafa ho sakta ha agr Trump oath k baad koi crypto friendly statment deta ha, zayadeh ter analysts ki opinion ha k next year Bitcoin market bht bullish rehe go or first major milestone $120,000 ho ga. DYOR
Ye abi kal jo drop deki gae ye asal may Japan government ny Bitcoin reserve rakny ko deny kar dia ye keh kr k price volatility zyada hy to logo ny sale karna shoro kia. Ab dektay hy k USA is mamley may kia decision deti hy. Agar unho ny Yes kar dia to price double honay may time nahi lagayga. Umeed hy k wo government level par Bitcoin buy kar le q k election campaign may unho ny ye promise kia tha.
hero member
Activity: 1008
Merit: 798
I stand with Palestine.
December 27, 2024, 02:45:39 PM
Brother, Christmas or new year holidays douran Bitcoin price mein most likely side-ways movement hee expected, Bitcoin price mein guzesgata dino mein jo achanak move aai thi or eski price $99K ko hit ker k deop hoi yeh ek ghair mutwaqo jump tha jo sustain nhi ker saka or es waqt price $94k k around hee trade ho reha ha.

January,2025 mein Bitcoin ki price mein ek bara izafa ho sakta ha agr Trump oath k baad koi crypto friendly statment deta ha, zayadeh ter analysts ki opinion ha k next year Bitcoin market bht bullish rehe go or first major milestone $120,000 ho ga. DYOR
Hmmmm ye bat ap ki theak hai. Dekhen naa jab wo win kiya tha to Bitcoin ki movement bohat behtreen thi. Or jab wo oath ly ga to definitely Bitcoin ky pump hony ky chances zyada hen. Kr rahi bat ye holidays ki to mery nazdeek bhi Market sideways my hi rahy gi. Or next year ky first month my Bitcoin ki price my pump dekha jaa sakta hai.
Lekn agar Bitcoin my dump ata hai to my samjta hun ky ye dump altcoins my bhi crash dekhny ko mil sakta hai. Or filhaal ki situation ky lihaz sy Altcoins bohat nichy hen. Or dominance high hai. Dominance ky kam hoty hi Altcoins my achi relly dekhn ko mil sakti hai. DYOR.
sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
December 27, 2024, 02:15:57 PM
Meri last post ka kuch dost ziada hee ghusa ker gai hai aaj mai nai check kia to kareeban 8 members nai mujai tag ker kai reply kia hai mera maqsad sirf yai kahna tha kai yaha per seekhna seekhana aur samjana bilkul bee nahi hai ziada ter members apnai merit purai hotai hee yaha sai ghaib ho jatai hai jaisai yai community in ka hoon choose rahi thee.
Baki sab kuch chalta rahta hai kabi hushi kabi gham laikin yaha per kuch to positive hona chahia jo kissi kai kaam aai mai nai bee bohut josh sai kuch cheezai shuru ki thee laikin sab fairgh ho gai ab sirf time pass kai liai kabi kabi yaha aata hu jo kai ab wo bee bohut kam ho gia hai laikin agar kissi kai pass koi achi information ya skills ho zarur yaha share karai.
Nahe bro aysi bat nahe ha kesi ne be apko guesse ma reply nahe deia ha apke post ka shaid apko aysa laga hoga. Yahn per sub log activity share karte hain apni, kafi old members mojud ha ,jaise ke themepen bahi , Zainmalik, umeridreees, syed bahi ShehzadAfzal bahi aur baqi be opd members moojd ha sub log community ke behtri ke leye he kam karte hain. Agr ap enke postonko achintrah daik le tu es ma buhat kuch meleg apko seekne ke leye . Baqi agr apko kuch masla araha ha tu ap yahn per hamre sath share kar sakte hain In Sha Allah puri community apki help karegi es ke elawa agr apke pas new ideas ha tu wo be hamre sath hsate kar dain tu hame be apse kuch seekne ko melega aur baqi users ko be. Baqi agr ap khafa ha tu os ki leye sub kintraf se ma mazghrat khuwkha hun. Shukarya.
sr. member
Activity: 504
Merit: 377
Trade Big, Win Bigger!
December 27, 2024, 02:13:00 PM
Christmas Tha wo to guzara Gaya ab EK event New Year WALA hy. Tab tak mery khayal sy Bitcoin mazeed struggle kar sakta hy. Or Agar fillhaal Dekha Jaye to Bitcoin just near to the $100000 again or ye again Cross hoga. Or Mery khayal sy next year KY first week my hi ho sakta hy Bitcoin APNA ATH again break kar Jaye. So fillhaal kuch BHI kehna mumkin nai. But overall Dekha Jaye to Alt season BHI bohat qareeb Hy or Bitcoin multi ATH crossing BHI qareeb Hy. So I this is the time to accumulate some coins. Agar ap ny research Ki hui Hy to un coins my invest Karen. Or Mery khayal sy koi thakky sy thakka huwa BHI coin huwa naa to wo BHI Kam az Kam 2x to kar hi Jaye Ga. DYOR

Bitcoin Current Price


Well brother Bitcoin nay ik choti correction lai ha our Ajj $93.5k ka ik low lagia ha ourr abi 94.4k something chal raha ha jo kah ik buying price ha kiukah agr bitcoin is say nichy ki correction leta hu to $90k sy nichy jayae ga to almost sabi alts coins bi down jaye gay abi dakha jaye to $96k ko touch karta hova nazar ay raha ha our maybe $98k ko bi touch kar kay happy new year sy phly phly moju bi yahi sure kah kah bitcoin up ward he move kary ga baaki let's see new years ka start ma kia hota ha laakin abi bitcoin umeed ha up word he jaye ga $98k to $99k tak DYOR


copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
December 27, 2024, 01:05:27 PM
Bitcoin market ki update yeh k akser logo ki expectation k baraks Bitcoin ne kal es achi upwards move lee ha or Bitcoin ki price mein takreebun $4000 ka izafa ho chuka ha or es waqt $98,500 pe trade ho reha or imkan k $100,00 ko dobra hit kere, Insha Allah. DYOR
Christmas Tha wo to guzara Gaya ab EK event New Year WALA hy. Tab tak mery khayal sy Bitcoin mazeed struggle kar sakta hy. Or Agar fillhaal Dekha Jaye to Bitcoin just near to the $100000 again or ye again Cross hoga. Or Mery khayal sy next year KY first week my hi ho sakta hy Bitcoin APNA ATH again break kar Jaye. So fillhaal kuch BHI kehna mumkin nai. But overall Dekha Jaye to Alt season BHI bohat qareeb Hy or Bitcoin multi ATH crossing BHI qareeb Hy. So I this is the time to accumulate some coins. Agar ap ny research Ki hui Hy to un coins my invest Karen. Or Mery khayal sy koi thakky sy thakka huwa BHI coin huwa naa to wo BHI Kam az Kam 2x to kar hi Jaye Ga. DYOR

Bitcoin Current Price



Brother, Christmas or new year holidays douran Bitcoin price mein most likely side-ways movement hee expected, Bitcoin price mein guzesgata dino mein jo achanak move aai thi or eski price $99K ko hit ker k deop hoi yeh ek ghair mutwaqo jump tha jo sustain nhi ker saka or es waqt price $94k k around hee trade ho reha ha.

January,2025 mein Bitcoin ki price mein ek bara izafa ho sakta ha agr Trump oath k baad koi crypto friendly statment deta ha, zayadeh ter analysts ki opinion ha k next year Bitcoin market bht bullish rehe go or first major milestone $120,000 ho ga. DYOR
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
December 27, 2024, 11:42:33 AM
Yhe toh khafi ajeeb baat ahi or iss ka khain b correct faida nazr toh ni arahaa. Han internet ka glt istimal to har jagah hota hai jesa k scam wagera lakin ab iss ka yeh mtlb toh ni hai k internet hi band krdein bcz aj kal toh kam hi internet k zrye hota hai aur aksr jab Pakistan mai net band kia jata hai jalsa ya kisis related to politics reason ki wja se toh us din toh pura Pakistan VPN laga kr guzara krta hai.

Agr Internet ni hoga toh yeh wala form jis pr hum batein kr tein hain yeh b ni hoga matlab in short Iran 20 se 30 saal peche chala gya hai aur ab whan pr net naam ki khoi cheeze mojud ni lakin iss se toh communicatio ko b bht zada effect pare ga jesa agar kisi ne Iran se Pakistan ys kisis or country pr call krni ya msg krna hai toh us k lia phela call center wagera ghumna pare ga or phir baat ho pae gi jis k charges b lagein gein wahi gooogle toh dunya ka sub se bara search engine hai aur sth k sth no internet, no ai,  for them. Yeh toh bilkul achi cheeze ni hai Iran k lia. Lekin ye hacha hy agar pandani hata li jiey aur sab ko technology use kernay ka haq dia jiey.
UmerIdrees Bhai Asa bat ni hai Iran nay sarf kuch app par restrictions kagai hai baqi overall internet ka access ha waha par or kuch app par restrictions laangy ma koi galat bat bi ni hai asy bahat sari counties ha jaha par whataapp par badani hai ab Saudi Arab ko he dakah lay waha par Whatsapp ni chlta VPN lagna phrta hai Russia nay bi whatapp or paystore service apami country ma band ki hovi hai wo smajayy ya haumri information share karty ha or bat shae bi hai qkh jab bi koi product or service ham use karyu free to hummy use kiya jata ya huamri information ko or agar dkahan hu to dark web open kar ka dakh leana kia kuch hu rahai

Pakistan ka internet ka hall to bahat bura yah ka wazeer kah rahaiy kah internet ko sarf maqsad ka lay kary haha kia din ay gay bc mulak ka bera girk kiya hova Plmn or establishment nay mil kar abi kuch mah phlay internet pay establishment nay firewall lagai takh social media ki taqeqt ko control kiya jaye but abi tak ka result ma matbak to firewall war gya hai is lay to internet ko slow down kar daty or kabi kabinto full access he khatam kar daty hai ya kafi alarming situation hai or abi tak Twitter jani kah X ko ban kiya hova hai
hero member
Activity: 1050
Merit: 521
December 27, 2024, 11:09:18 AM
Ye baat sahi hy k internet k faiday be hy aur nuqsaan. Nuqsaan ki taraf wahi jaega jo bewaqoof hoga q k faida ye hy k ye apko knowledge and paisey ke lehaz se independent karta hy apko kisi job ki zarurat nahi hoti paise ke liye aur kisi college ya academy ki zarurat nahi hoti kuch skills hasil karny k liye.

Lekin nuqsaan se is situation may bacha ja sakta hy agar Chinese check and balance policy apnai jaye q k waha pr koi internet pr ghalat mawad nahi de sakta na hi easily visit kr sakta hy

Yhe toh khafi ajeeb baat ahi or iss ka khain b correct faida nazr toh ni arahaa. Han internet ka glt istimal to har jagah hota hai jesa k scam wagera lakin ab iss ka yeh mtlb toh ni hai k internet hi band krdein bcz aj kal toh kam hi internet k zrye hota hai aur aksr jab Pakistan mai net band kia jata hai jalsa ya kisis related to politics reason ki wja se toh us din toh pura Pakistan VPN laga kr guzara krta hai.

Agr Internet ni hoga toh yeh wala form jis pr hum batein kr tein hain yeh b ni hoga matlab in short Iran 20 se 30 saal peche chala gya hai aur ab whan pr net naam ki khoi cheeze mojud ni lakin iss se toh communicatio ko b bht zada effect pare ga jesa agar kisi ne Iran se Pakistan ys kisis or country pr call krni ya msg krna hai toh us k lia phela call center wagera ghumna pare ga or phir baat ho pae gi jis k charges b lagein gein wahi gooogle toh dunya ka sub se bara search engine hai aur sth k sth no internet, no ai,  for them. Yeh toh bilkul achi cheeze ni hai Iran k lia. Lekin ye hacha hy agar pandani hata li jiey aur sab ko technology use kernay ka haq dia jiey.

Haa yahi baat to mene be ki hy faida be hy aur nuqsaan lekin nuqsaan sirf un mulko may hy jaha is pr check nahi hy. Check rakni chahiye takay mulk sirf achai k liye use karay aur mulk taraqi karay
full member
Activity: 434
Merit: 215
Addicted to HoDLing!
December 27, 2024, 10:28:01 AM
Iran lifts on Ban waatspp and Google Play

Assalamualaikum kesy ha AP sab umeed krta hu thk hon gye or Khush hon gye.

Aik sarkari news KY mutabik pta Chala ha KY Irani authorization NY waatspp or internet or Google per pabandi lagai thi magar ab vo kam kr di Gai. Me samjta hu KY AJ KY dor me iska bohat zaroorat ha kuin KY agar kisi ko call ya msg krna ho tu waatspp ko pwhly choose kia jata ha. Or usky Liye internet hona lzmi ha or ye cheezen google KY Sath related hain. Magar AJ KY dor me usky Sath bohat Galat kam bi kia jata ha is Liye ye faisala correct bi ha or incorrect bi.

Safar Masood NY is bat ka Faisala kia ha or prove kia ha KY ye internet har aik ko milna chaiye or ye kam votes KY zariye hoa ha. Or is me aik Jo cheez me chaita tha vo zaroor ha vo ye ha KY internet ko zada istamal nai kia jaye Yani KY is per zada control kia jaye ga kuin KY agar internet zada ho ga tu uska Galat istamal  bi ho ga is Liye is SE bachny KY Liye isko kam chalany KY Liye zada SE zada control kia jaye ga.
bro iran ka whatapp ban kanry ka faisla to mujhe bhi samajh mein Nahin a Raha ki WhatsApp aur Play store per kyon band kar diya Gaya hai halanki yah donon main stone hai Kisi bhi online field mein jab bhi aap group mein ya kam karte Hain to Whatsapp ke grouping hoti hai aur Play store say downloading bro ya baat theek ha kuch soch samaj kar is per pabandi lagai Hogi han yah hamle mein unke president shaheed hue aur bahut se mamla ho rahe hain Israel ka sath larie jaarri hai Jmamlat kar raha hai to Iran ne shayari isi wajah se lagaye ha mujhe lag raha iran WhatsApp jaisi Koi apni app develope karega jis tarike ki China Whatsapp ke mukabale mein apni bottom all allow ki Hui user ko.
hero member
Activity: 2464
Merit: 877
December 27, 2024, 09:58:34 AM
Ye baat sahi hy k internet k faiday be hy aur nuqsaan. Nuqsaan ki taraf wahi jaega jo bewaqoof hoga q k faida ye hy k ye apko knowledge and paisey ke lehaz se independent karta hy apko kisi job ki zarurat nahi hoti paise ke liye aur kisi college ya academy ki zarurat nahi hoti kuch skills hasil karny k liye.

Lekin nuqsaan se is situation may bacha ja sakta hy agar Chinese check and balance policy apnai jaye q k waha pr koi internet pr ghalat mawad nahi de sakta na hi easily visit kr sakta hy

Yhe toh khafi ajeeb baat ahi or iss ka khain b correct faida nazr toh ni arahaa. Han internet ka glt istimal to har jagah hota hai jesa k scam wagera lakin ab iss ka yeh mtlb toh ni hai k internet hi band krdein bcz aj kal toh kam hi internet k zrye hota hai aur aksr jab Pakistan mai net band kia jata hai jalsa ya kisis related to politics reason ki wja se toh us din toh pura Pakistan VPN laga kr guzara krta hai.

Agr Internet ni hoga toh yeh wala form jis pr hum batein kr tein hain yeh b ni hoga matlab in short Iran 20 se 30 saal peche chala gya hai aur ab whan pr net naam ki khoi cheeze mojud ni lakin iss se toh communicatio ko b bht zada effect pare ga jesa agar kisi ne Iran se Pakistan ys kisis or country pr call krni ya msg krna hai toh us k lia phela call center wagera ghumna pare ga or phir baat ho pae gi jis k charges b lagein gein wahi gooogle toh dunya ka sub se bara search engine hai aur sth k sth no internet, no ai,  for them. Yeh toh bilkul achi cheeze ni hai Iran k lia. Lekin ye hacha hy agar pandani hata li jiey aur sab ko technology use kernay ka haq dia jiey.
hero member
Activity: 1050
Merit: 521
December 27, 2024, 08:56:20 AM
Iran lifts on Ban waatspp and Google Play

Assalamualaikum kesy ha AP sab umeed krta hu thk hon gye or Khush hon gye.

Aik sarkari news KY mutabik pta Chala ha KY Irani authorization NY waatspp or internet or Google per pabandi lagai thi magar ab vo kam kr di Gai. Me samjta hu KY AJ KY dor me iska bohat zaroorat ha kuin KY agar kisi ko call ya msg krna ho tu waatspp ko pwhly choose kia jata ha. Or usky Liye internet hona lzmi ha or ye cheezen google KY Sath related hain. Magar AJ KY dor me usky Sath bohat Galat kam bi kia jata ha is Liye ye faisala correct bi ha or incorrect bi.

Safar Masood NY is bat ka Faisala kia ha or prove kia ha KY ye internet har aik ko milna chaiye or ye kam votes KY zariye hoa ha. Or is me aik Jo cheez me chaita tha vo zaroor ha vo ye ha KY internet ko zada istamal nai kia jaye Yani KY is per zada control kia jaye ga kuin KY agar internet zada ho ga tu uska Galat istamal  bi ho ga is Liye is SE bachny KY Liye isko kam chalany KY Liye zada SE zada control kia jaye ga.




Isky Sath Sath Jo main apps Twitter or vpn ha Jo KY bohat zada Galat kamo KY Liye istamal kiye jaty ha un per bi zada SE zada tawaja de jaye gi. Kuin KY in KY zariye na tu kisi ka pta chalta ha jiss ki waja SE bohat SE generation Karab ho Rahi ha or inko control krna bohat mushkil ha jis ki waja SE ye system Sara karab hoa ha.

https://arynews.tv/whatsapp-and-google-play-ban-lifted-in-iran/
Ye baat sahi hy k internet k faiday be hy aur nuqsaan. Nuqsaan ki taraf wahi jaega jo bewaqoof hoga q k faida ye hy k ye apko knowledge and paisey ke lehaz se independent karta hy apko kisi job ki zarurat nahi hoti paise ke liye aur kisi college ya academy ki zarurat nahi hoti kuch skills hasil karny k liye.

Lekin nuqsaan se is situation may bacha ja sakta hy agar Chinese check and balance policy apnai jaye q k waha pr koi internet pr ghalat mawad nahi de sakta na hi easily visit kr sakta hy
member
Activity: 1106
Merit: 54
December 27, 2024, 07:44:53 AM
Meri last post ka kuch dost ziada hee ghusa ker gai hai aaj mai nai check kia to kareeban 8 members nai mujai tag ker kai reply kia hai mera maqsad sirf yai kahna tha kai yaha per seekhna seekhana aur samjana bilkul bee nahi hai ziada ter members apnai merit purai hotai hee yaha sai ghaib ho jatai hai jaisai yai community in ka hoon choose rahi thee.
Baki sab kuch chalta rahta hai kabi hushi kabi gham laikin yaha per kuch to positive hona chahia jo kissi kai kaam aai mai nai bee bohut josh sai kuch cheezai shuru ki thee laikin sab fairgh ho gai ab sirf time pass kai liai kabi kabi yaha aata hu jo kai ab wo bee bohut kam ho gia hai laikin agar kissi kai pass koi achi information ya skills ho zarur yaha share karai.
sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
December 27, 2024, 07:29:30 AM
Assalamualaikum kesy ha AP sab umeed krta hu thk hon gye or Khush hon gye.
Walaiqumassalm warahmatullahe wabarakatuho, shukar alhumdullilah ma tek tak hun bahi.

"Agr aksareyat ghalat faisla daite ha tu es ka matlab ye nahe ke wo tek he honge"

Asal bat ye ha ke agr iran ne agr ye ban hata deia tu es ka matlb wo wala hoga ke *  abail muje maar* wahe wala scean hoga en ke sath. We all know their tension with amr..ica(abc) aur iran hamesha see abc ki waja se kafi safar kar chuka ha agr keisi ko interst ha tu wo hake *fate fucker* mission ke bare ma study kar le unko pata chal jayega. Tu whatsapp tu abc ka ha  aur agr ye log os ko allow karte hain tu enko kafi security ke masail ho sakte hain . Ab abc ko daar laga rehta ha china aur russia se aur es waja se china aur russia ke Auto mobile aur os ke soear parts ban ha abc ma 2027 aur 2030 tak , aur waja yahe security ke madali ke aysa na ho wo jo chip ke xarye en ka data collect kar leee.

Es ke elawa china be hoshuyar huwa ha Whatsapp facebook insta wahan per ban ha wahan per unho ne apne leye alag se social applications bnaye huwe ha. Halanke wo direct conflict ma be nahe ha per oir be wo log etna ehelteyat kar rahe haim aur iran tu direct detter kar raha ha per pir unko asani wala rasta provide kar raha ha .
member
Activity: 126
Merit: 41
December 27, 2024, 07:14:13 AM
Iran lifts on Ban waatspp and Google Play

Assalamualaikum kesy ha AP sab umeed krta hu thk hon gye or Khush hon gye.

Aik sarkari news KY mutabik pta Chala ha KY Irani authorization NY waatspp or internet or Google per pabandi lagai thi magar ab vo kam kr di Gai. Me samjta hu KY AJ KY dor me iska bohat zaroorat ha kuin KY agar kisi ko call ya msg krna ho tu waatspp ko pwhly choose kia jata ha. Or usky Liye internet hona lzmi ha or ye cheezen google KY Sath related hain. Magar AJ KY dor me usky Sath bohat Galat kam bi kia jata ha is Liye ye faisala correct bi ha or incorrect bi.

Safar Masood NY is bat ka Faisala kia ha or prove kia ha KY ye internet har aik ko milna chaiye or ye kam votes KY zariye hoa ha. Or is me aik Jo cheez me chaita tha vo zaroor ha vo ye ha KY internet ko zada istamal nai kia jaye Yani KY is per zada control kia jaye ga kuin KY agar internet zada ho ga tu uska Galat istamal  bi ho ga is Liye is SE bachny KY Liye isko kam chalany KY Liye zada SE zada control kia jaye ga.




Isky Sath Sath Jo main apps Twitter or vpn ha Jo KY bohat zada Galat kamo KY Liye istamal kiye jaty ha un per bi zada SE zada tawaja de jaye gi. Kuin KY in KY zariye na tu kisi ka pta chalta ha jiss ki waja SE bohat SE generation Karab ho Rahi ha or inko control krna bohat mushkil ha jis ki waja SE ye system Sara karab hoa ha.

https://arynews.tv/whatsapp-and-google-play-ban-lifted-in-iran/
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
December 27, 2024, 07:04:13 AM
Bhai @compromise me aik tu apka thanks apny hamy yad raka or dusra Bhai hum NY galti ki tu tasleem tu kr I thi na agar is community me na krty tu koi faida nai hona tha magar hum Allah KY ru ba ru tu nai na akar sakty hain is Liye hum nyafi mangi ha is community SE bi Bhai Zain SE bi or Allah SE bi.

G han ye tu mana pary ga KY Bhai Zain samjty bohat acha ha isi Liye tu hum I ki aik hi bat per sab kuch Sahi se samj gye ty tu Bhai Zain hamay asy hi guider krty rahin. Or in Sha Allah Meri taraf SE apni pori kosish ho gi KY me asa koi day KY Bary me Kuch na liko taky me bi guna lon or mery Bhaio ko bi shame feel ho. Khair Bhai AP NY tu Zain Bhai Sahi darasal neki ka moka Allah NY Zain. Bhai KY naseeb me lika tha jiss SE waja SE apko ye moka na mil Saka.

Kabi kabar aisi baatein hoti hain jo hum samajh nahi pate aur galat fehmi ka shikar ho jate hain. Lekin hamiwn aik baat hamesha yaad rakhni chahiye ke seniors jo kuch bhi karte hain, unka maqsad sirf aur sirf humein mushkilaat se bachaana hota hai. Ostad ki maar aur senior ka mashwara insaan ki zindagi mein bohot aage tak le jata hai. Ye dono cheezein insaan ki tarbiyat aur behtari ke liye hoti hain.  

Is liye jab bhi aap koi new  activity  karna lagien to zaroor seniors se mashwara karein. Unka tajurba aur samajh aapko galat raaste par jaane se rokenge. Hum apke liye hamesha available hain aur chahte hain ke ap har faisla soojh boojh se karein. Mashwara lena aapko sirf faida hi dega  Hamesha seniors ka izzat se mashwara lein aur unki baaton ko dil se samajhne ki koshish karein.
member
Activity: 126
Merit: 41
December 26, 2024, 06:09:59 PM
Well thanks (qurbanshah02, Farhan99) both of you, maire Baat par Amal karny ky Liya as Kuch cheezy hum us waqt samaj nahi paaty jab karty ha but Baad Mai jab us par soochty ha tab pachtawa hota ha ky yeh toh baari mistake hoagay hum Sy. I know apko koi aise intention nahi hote but ap us believe ko bhi samjny ki koshih nahi ki ky yeh q ho Raha ha kis cheez ki Kushi mana rahy ha. Anyway ap logo ny regret feel Kiya aye post delete ki that's it. But still hamary Kuch brother ha jo Mai NY daikhy aur jo nahi daikhy kindly thoora grainaan Mai jaanky daikhy ky mairy samjany ky bawajood still koi farq un par nahi para.

Iska har giz yeh Matlab nahi Howa ky jinko mentioned Kiya just woh hi iss Baat ko ma'an ly. Balky yaar ALLAH ki wahdaniyat par yaqeen hamara imaan haa toh phir yeh aanky q band ki Howe haa. Adiljutt156 aur BTC FutureKing ap dono ki post still live haa jis Mai jo words likhy ha woh ALLAH ky wahdaniyat ky yaqeen ko damage kar Raha ha so iss post mai apky username pa click karny Sy apko apky post tak rasai mil jai ge jisko remove karna haa. Also ap agr maire Baat ko smaj nahi Pai toh above maire post read karky samj jaingy
Bhai zainmalik hamy apko thanks kehna chaiye kuin KY apny Sahi waqat me hamy Bata dia ha KY ye kam Galat ha is Liye hum NY Socha or samja or is ko search kia tu hum waqai hi me Galt ty is Liye hamay apni galti ka ehsas ha bs yahi Dua ha KY Allah hamy maf kr de or hum is guna SE pak ho jayen. Bhai apka bohat bohat shukria Allah apko asy hi hafayat kr waya rahy or ahar deta rhay Ameen.


Bhot ashy qurbanshah02 apnie ny apni galti taslim ke aur beshak Allah pak ke zat maf karien wali goforo rahien hai.
ZAINmalik75 bhai mujy ap par proved hai mujy nhi balky hamri pure community ko ap par proved hai k ap ka gudie karnie ka stly aik to bhot asha hota hai aur oper sy pura waziya kar k samjty hain jis sy agla band asani sy samjy ap ny yaqien mana bhot asha kam keye hai.

Meny khud ye note keye tha par aj kal wedding season chal raha hai aik shadi khatam hoti hai aur dosari shadi ka card ajta hai is leye thora masrofiyat chal rahien hain, me b is par bahas karna chahta tha par ap ny kafi asha sy bahyon ko gudie kar deya, Allah aap ka haami o naasir ho aur aap hamesha khush rahain.


Bhai @compromise me aik tu apka thanks apny hamy yad raka or dusra Bhai hum NY galti ki tu tasleem tu kr I thi na agar is community me na krty tu koi faida nai hona tha magar hum Allah KY ru ba ru tu nai na akar sakty hain is Liye hum nyafi mangi ha is community SE bi Bhai Zain SE bi or Allah SE bi.

G han ye tu mana pary ga KY Bhai Zain samjty bohat acha ha isi Liye tu hum I ki aik hi bat per sab kuch Sahi se samj gye ty tu Bhai Zain hamay asy hi guider krty rahin. Or in Sha Allah Meri taraf SE apni pori kosish ho gi KY me asa koi day KY Bary me Kuch na liko taky me bi guna lon or mery Bhaio ko bi shame feel ho. Khair Bhai AP NY tu Zain Bhai Sahi darasal neki ka moka Allah NY Zain. Bhai KY naseeb me lika tha jiss SE waja SE apko ye moka na mil Saka.
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
December 26, 2024, 06:04:05 PM
Well thanks (qurbanshah02, Farhan99) both of you, maire Baat par Amal karny ky Liya as Kuch cheezy hum us waqt samaj nahi paaty jab karty ha but Baad Mai jab us par soochty ha tab pachtawa hota ha ky yeh toh baari mistake hoagay hum Sy. I know apko koi aise intention nahi hote but ap us believe ko bhi samjny ki koshih nahi ki ky yeh q ho Raha ha kis cheez ki Kushi mana rahy ha. Anyway ap logo ny regret feel Kiya aye post delete ki that's it. But still hamary Kuch brother ha jo Mai NY daikhy aur jo nahi daikhy kindly thoora grainaan Mai jaanky daikhy ky mairy samjany ky bawajood still koi farq un par nahi para.

Iska har giz yeh Matlab nahi Howa ky jinko mentioned Kiya just woh hi iss Baat ko ma'an ly. Balky yaar ALLAH ki wahdaniyat par yaqeen hamara imaan haa toh phir yeh aanky q band ki Howe haa. Adiljutt156 aur BTC FutureKing ap dono ki post still live haa jis Mai jo words likhy ha woh ALLAH ky wahdaniyat ky yaqeen ko damage kar Raha ha so iss post mai apky username pa click karny Sy apko apky post tak rasai mil jai ge jisko remove karna haa. Also ap agr maire Baat ko smaj nahi Pai toh above maire post read karky samj jaingy
Bhai zainmalik hamy apko thanks kehna chaiye kuin KY apny Sahi waqat me hamy Bata dia ha KY ye kam Galat ha is Liye hum NY Socha or samja or is ko search kia tu hum waqai hi me Galt ty is Liye hamay apni galti ka ehsas ha bs yahi Dua ha KY Allah hamy maf kr de or hum is guna SE pak ho jayen. Bhai apka bohat bohat shukria Allah apko asy hi hafayat kr waya rahy or ahar deta rhay Ameen.


Bhot ashy qurbanshah02 apnie ny apni galti taslim ke aur beshak Allah pak ke zat maf karien wali goforo rahien hai.
ZAINmalik75 bhai mujy ap par proved hai mujy nhi balky hamri pure community ko ap par proved hai k ap ka gudie karnie ka stly aik to bhot asha hota hai aur oper sy pura waziya kar k samjty hain jis sy agla band asani sy samjy ap ny yaqien mana bhot asha kam keye hai.

Meny khud ye note keye tha par aj kal wedding season chal raha hai aik shadi khatam hoti hai aur dosari shadi ka card ajta hai is leye thora masrofiyat chal rahien hain, me b is par bahas karna chahta tha par ap ny kafi asha sy bahyon ko gudie kar deya, Allah aap ka haami o naasir ho aur aap hamesha khush rahain.

member
Activity: 126
Merit: 41
December 26, 2024, 04:48:57 PM
Well thanks (qurbanshah02, Farhan99) both of you, maire Baat par Amal karny ky Liya as Kuch cheezy hum us waqt samaj nahi paaty jab karty ha but Baad Mai jab us par soochty ha tab pachtawa hota ha ky yeh toh baari mistake hoagay hum Sy. I know apko koi aise intention nahi hote but ap us believe ko bhi samjny ki koshih nahi ki ky yeh q ho Raha ha kis cheez ki Kushi mana rahy ha. Anyway ap logo ny regret feel Kiya aye post delete ki that's it. But still hamary Kuch brother ha jo Mai NY daikhy aur jo nahi daikhy kindly thoora grainaan Mai jaanky daikhy ky mairy samjany ky bawajood still koi farq un par nahi para.

Iska har giz yeh Matlab nahi Howa ky jinko mentioned Kiya just woh hi iss Baat ko ma'an ly. Balky yaar ALLAH ki wahdaniyat par yaqeen hamara imaan haa toh phir yeh aanky q band ki Howe haa. Adiljutt156 aur BTC FutureKing ap dono ki post still live haa jis Mai jo words likhy ha woh ALLAH ky wahdaniyat ky yaqeen ko damage kar Raha ha so iss post mai apky username pa click karny Sy apko apky post tak rasai mil jai ge jisko remove karna haa. Also ap agr maire Baat ko smaj nahi Pai toh above maire post read karky samj jaingy
Bhai zainmalik hamy apko thanks kehna chaiye kuin KY apny Sahi waqat me hamy Bata dia ha KY ye kam Galat ha is Liye hum NY Socha or samja or is ko search kia tu hum waqai hi me Galt ty is Liye hamay apni galti ka ehsas ha bs yahi Dua ha KY Allah hamy maf kr de or hum is guna SE pak ho jayen. Bhai apka bohat bohat shukria Allah apko asy hi hafayat kr waya rahy or ahar deta rhay Ameen.

hero member
Activity: 1050
Merit: 521
December 26, 2024, 04:29:52 PM
Aik baat ka experience huwa hai kai online earning ka jitna shur hai itni assan nahi hai kiunkai ap kai pass koi hunar hona chahiai ya koi aisee cheeze jis sai ap kuch ker sako yaha per ziada ter aisai log hai muj samait jo kuch bee nahi jantai aur online earning ka hawab daikh rahai hai jo kai sirf hawab hee hai. Laikin agar koi bhai aise course ya system janta ho us ko chahiai yaha share karai kiunkai agar is sai kissi ka bhala ho jai ga to kai aur logo kai liai raastai bee khulai gai is forum per jald income ka koi chance nahi hai without investment aur investment bee thory ziada honi chahia dosra trading bee koi asan nahi hai kiunkai risk factor bohut ziada hai.

May be koi software engineer ya IT diploma holder nahi thi bs jo be seeka internet se seeka. Start may to crypto pr itna kaam nahi hua tha na hi YouTube Pakistan may monetize thi to waha be koi videos nahi dalta. Akjal to internet par jaha jao waha teacher aur skills available hy learning k liye.

Thora time do learn karo aur phir start lo
Pages:
Jump to: