Author

Topic: Pakistan - page 364. (Read 6504478 times)

hero member
Activity: 812
Merit: 619
October 19, 2023, 08:56:55 PM
Yeh service tu achi hy but yahan p loan lenay p Interest dena perta hy, ab mera aik question hy k kia asa loan lena jis mein interest dena pertay sahi hy ?

interest par loan lena 100% haram hai aur muje kaafi afsos hai k jitne b ghalat kaam karte hai wo hamare muslaman hee karte hai. Shaitan ne haram cheeze hamare liye etnee asan kii hai k banda smjtha ha k es k elawa aur koi solution nahe hai halanka rozq deni wale aur har mamle ko suljhnae wali zaat sirf ek hai. Agr us par tawakul aur bharosa kia jae tho tamam begri ban jae.

Doorsa question k kia koi asi service ni hay jahan c interest free loan mil sakay ?  

Sab se best way tho apne relatives aur family ma se ya offline dost se loan lia jae tho hazar darja behter hai k us ma kaafi had thak safety hai aur chunke ham muslaman hai es liye khuda nakhasta hamare maut huwe tho wo apne qarz ka mutalba gar walo se kar sakta hai aur Hadeeso ma Aatha hai k Huzoor ﷺ jab kisi k oper qarz hotha tho uska janaza nahe parte the yaha thak k wo qarz koi apne zimee le letha. es tarah ye ham mobile ma loan lethe hai 15-20 pkr ka aur per paise nahe dalta , ye b aisa loan ha k gar walo ko pata nahe chalta aur ap par zimma baqi rahe ga.

online mai agar kisi known friend wagira se le le tho behter hai jaise k shadi k mauqe par ma ne kuch dosto se lia aur ha adaeege k waqt agar ap ziada ada kare magar start ma es bath par aqad na howa ho tho ye sood nahe balke gift hai

I remember k Irfan bhai ny yeh service without interest start ki thi [PAUSE]Do you need Loan➬➬Offering Micro-loan➬➬ 0% interest ➬Collateral Required lekin yeh ab pause hy, pata ni kion  Roll Eyes

I think ye kaafi arse se paused hai, agar Irfan sir only Pakistan users k liye telegram group ma koi system jaari kar de tho behter hoha k es sood ki nahoosat se jaan choote.
hero member
Activity: 2464
Merit: 877
October 19, 2023, 05:26:40 PM
Aj Kaal mein dekh raha hon k few of our members are applying and getting loans from shasan on this thread Lending Service Started! (USDT/BUSD/BTC/LTC/ETH/DOGE/ETC)!.

Yeh service tu achi hy but yahan p loan lenay p Interest dena perta hy, ab mera aik question hy k kia asa loan lena jis mein interest dena pertay sahi hy ?

Doorsa question k kia koi asi service ni hay jahan c interest free loan mil sakay ?  

I remember k Irfan bhai ny yeh service without interest start ki thi [PAUSE]Do you need Loan➬➬Offering Micro-loan➬➬ 0% interest ➬Collateral Required lekin yeh ab pause hy, pata ni kion  Roll Eyes
sr. member
Activity: 560
Merit: 365
Pakistan Local Board Request
October 19, 2023, 05:14:42 PM
Assalamualaikum tamam bhaio lo! Umeed karta ho sab khariyat sy ho gay

Is post my my AP ky Sath aik bounty ky baray my discuss Karna Chahta to aj sy Kuch mah pehky aik bounty Chali thi Egocoin ky Naam sy or isky manager thy yahoo enko to AP jantay he ho gay jo kaafi respectable manager hai or kaafi achi achi bounties or signature compaign enho my run ki thi Egocoin bounty b enho NY run ki thi kaafi der bad es bounty ki distribution update sun ne NY ko mele mere friend NY esko join kiya tha usny he mujay batya aisy aisy token claim karne ke leye unky portal par kar claim karny h mujy ziada is bounty ky baray my ni pata tha phit my only telegram group par gia waha BAAT cheet ki unho NY claim ka link send kar diya jab mei dost ka wallet usky Sath connect kiya to koi token b claim ke leye show ni howay then phit my telegram group par gia to ppcha kehty distribution done ho chuki h phit kuch user sy confirm kiya then pata chalay ky unko b token mil chukay h lrkin mere dost ko ni milay AP my sy Kisi Bhai NY isko join kiya thaagar haa to please Thora guide kar dy direct mil gy thy ya Kuch message ya or Kuch Karna para takaydpst lo Issy faudha ho jay token b already achi exchanges par lisyed h.

Token listed: Kucoin, Bybit, Digifinex, Bitmart, Cryptology or Pancakeswap

Bounty link: https://bitcointalksearch.org/topic/egocoin-bountyfinished-5384834

sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
October 19, 2023, 04:44:13 PM
Hazrat  Luqman Kon thy keye wo nabi thy Yan Rasol Yan Hekmaton Hakeem

Shoro Allah k name Sy Jo bara meharban aur nahayat  rayham karny Wala hai  .Doston Quran Pak me jis ke b wazahat karie wo hamray Leye Adbu wa Ehtaram ban jati hai .Luqaman k name Sy surat luqman hai Jo Hazrat Luqman ke wzahat Karti hai .Is ko share karny ka matlb ye hai k hamray kush brothers Luqman ko Hakeem ke shakseyat Sy janty hain balky ye darost nhi Luqman Allah k Danash mand bandy thy Allah pak NY inhy Danash mandi wali Hekmat ata ke thi na k nabaz wali Hekmat .Luqman Bala k neak Abad aur  zahad sahiby hikamat Dana thy.
Ye wazeya Nahi ye Rasol thy na he nabi .Aik martab ap apni Danaee ke batien Bata rahy thy k aik shak ny kaha apny ye hikamat Kahan Sy le Hazrat Luqman NY kaha Baton ke sachahi imanton ke adaygi aur fazol baton Sy parhez ke waja Sy Baz ketabon me ata hai k  Ap ny kaha meny 4000 Nabiyon ke hazri ke hai aur in Pegamron ke mukadas baton Sy meny 8 batien sekhi hain
1: jab namaz parho to apny Dil ke hafzat karo
2: Jab Tum Khana Khao to apnie halak ke hefazat karo
3: Jab Tum kis gair makan me ho to apni Nazar ke hefazat karo
4: Jab Tum majlis me ho to apni zuban ke hifazat karo
5: Allah Tala ko hemesha yaad karty Raho
6: Apny Mut ko hemesha yaad rakho
7: Apnie ehsano ko bol jao
8 : Dosron k zolumon ko Faramosh kar do


In ke hikamat ke masalien Surat luqman ke Aayt No 18 me kush ase  hain

Logon Sy apna Rokh mat phiro aur zamien me Akar k mat Chalo Besakh Allah Takabor karny walon ko Napassand karta hai .

Duniyan me esy koshish karo k jise hemesha yahien rahna hai aur Akhrat k Leye ase koshish karo jese Kal mar Jana hai

Menie bolny par har bar afsos keya hai magar khamosh rahny par kabi afsos nhi keye

Agar meda khany Sy bar jy to damag sojata hai aur zaban jism Allah ke ibadat wa reyazat Sy mehrom rah jata hai

Meny akal bewakhufon Sy sekhi Jin afal Sy wo nukasan uthaty hain me in Sy parhez karta hun

Aur ahead shikfon ar kabi itmad na karo

Aik kisa bhot famous hai k aik bar Hazrat Luqman k dost NY Hakeem Luqman k Leye tarboz lay aur hazrat Luqman k samny rakh diye hazart Luqman tarbozon ko bhot mazay Sy khaty rahy aur shukar karty rahy jab akhari tarboz rah gay to un k dost ny kaha me b khatam Hun k ye tarboz Kitna metha hai jab us chkha to wo itna Karwa tha k khanie k nakabal tha os NY Luqman ko kaha k ap kese kha rahy thy Tum Luqman farmaty hain  ay dost  in hathon Sy mujy bhot he ashi cheezien Mili hai jis k shukar Sy  Meri kamar joki hai mujy sharmati hai k Wo hath Jo mujy bhot he anayat cheezien deta hai aik cheeze in k hathon Sy karvi agie to in baton k lotaf ny in tarbozon ke karwahatt ko methas me badal diya.
Ek dafa Luqman ne apne bete se kaha, beta Logon ki khushnoodi hasil karne mein dil na bandho. Aap ke kamyaabi hone ka amkan nahi hai. Logon ki baaton par tawajjo na do. Is ke bajaye apne aap se kaho ke hamesha Khuda ki khushnoodi hasil karo.Luqman chahta tha ke yeh sabak hamesha yaad rakhya jaye. Kabhi na bhoolne wala. Usne ek tariqah socha. Is ke baad usne apne bete ko gadhe par sawar hone ko kaha. Bete ne itaat ki. Baap peechhe peechhe chala gaya. Inhone kuch faaslay tak isi tarah safar kiya. Kuch door jane ke baad woh logon ke ek group se mile. Bete ko gadhe par dekh kar un mein se ek bola, "Kitna badtameez aur badtameez ladka hai. Borha baap pedal chal raha hai. Jawan beta araam se gadhe par sawar hai. Yeh kisi ke baap ki izzat karne ka koi tariqah nahi hai." Baap bete ne yeh suna. Bete gadhe se niche utra. Luqman janwar par sawar hua. Kuch der baad woh logon ke ek aur group se mile. Baap ko gadhe par sawar dekha kar group ke bade ne kaha Aye borhay Bete ki parwarish ka yeh tariqah nahi hai. Tum usay tez dhoop mein chalne par majboor karte ho, jab ke tum araam se gadhe par baithte ho. Luqman ne logon ki baaton par tawajjo di. Woh gadhe se niche utra. Dono baap beta pedal chal pare. Gadha samne se chal pada. Woh thora aage gaye. Logon ne unhe dekh kar kaha ke tum kitne be-waqoof ho? Tum gadhe ke peechhe chalte ho. Tum us par sawar kyun nahi hote, Luqman aur uske bete ne ek baar phir logon ki baat maan li. Woh dono gadhe par sawar ho kar aage chale gaye. Woh ek dariya ke paar aaye. Ek pul ko paar karna tha. Wahin kuch log bethe the. Inhone Luqman aur uske bete ko gadhe par sawar dekha. In mein se ek ne kaha, Tum dono ka ghareeb gadhe par sawar hona bohat hi zalimana aur zalimana hai. Chhota janwar aap ka saara bojh mushkil se utha sakta hai. Chananchah yeh mashwara lete hue Luqman aur uska beta gadhe se utar gaye. Inhone thora faasla tay kiya. Luqman ne bohat pyaar se dekhte hue apne bete se kaha ke tum ne suna aur dekha logon ne kya kaha. Is ne ab tak aap ko yaqeen dilaya hoga ke aap jo kuch bhi karein ya jis raaste par bhi jayein, koi bhi duniya ke logon ko khush karne ke qabil nahi hai. Is ne bohat saaf taur par, aaj hamari duniya mein bhi aisa hi hai. Zubaan ki koi hadi nahi hoti. Yeh soche samjhe baghair bhi bol sakta hai. Duniya mein jitne log hain utne hi araaye hain. Doosre shakhs mein aib talash karna bohat buri baat hai, khaas kar jab woh kuch achha kar raha ho. Ek shakhs bohat takleef mehsoos kar sakta hai jab woh un tamam zabaanon ko sunta hai jo dheeli bolte hain. Dheeli baaton se chot pohnchne se bachne ke liye insaan apni tarbiyat kar sakta hai. Woh sochne ke liye khud ko nazm o zabt kar sakta hai. Sochne se woh jaan sakta hai ke kya ghalat aur batil hai. Jab ek shakhs ko yaqeen ho ke woh jo kuch bhi kar raha hai woh uske maalik, Allah Taala ko raazi kare ga, to usay kabhi fikar nahi karni chahiye ke doosre kya bolte hain.

hero member
Activity: 1414
Merit: 670
October 19, 2023, 04:04:42 PM

Waisy boss jis Cheez pa apka control hota haa MATLAB apky kehny sy USS pa farq parta haa us ky results change ho toh tab agr USS pa baat kary toh woh teek haa, jaisa ky hum different politician pa tanz karty haa unhy bura Bala kahty haa aur aisy idhary Jo ap Baar Baar by name Bata rahy ty hamary kuch bolny Sy inko Ganta farq Nahi parta albata humy farq parta ha q ky inky khilaf mindset waly Bando ka yeh bohout jald software update Karwa daity haa especially IOS taaky baad Mai bugs ka chance hi na ho, so Mai unka sath isliya dy raha hu ky woh powerful ha aur Kisi ky Maye ky laal Mai jurat Nahi ky USS Sy pooch ky ky yeh q Kiya waghaira even PM bhi inn stmy cheezy pooch ky Karta haa so bs ab Inka dominance haa aur hammy Issy accept Karna chahiya q ky iss ma bhalai haa. Baki woh behtr janty haa unki duty Kya Nahi aur Kya ha 😜
legendary
Activity: 3234
Merit: 1654
Enterapp Pre-Sale Live - bit.ly/3UrMCWI
October 19, 2023, 03:33:34 PM
-snip-
Meine bhi MS kia hua hy aur mein offline (mutlab full time) job bhi kr raha hon (Information Technology - IT ) aur sath sath bitcointalk p kam. Trading thori bohat kerta hon but zada ter woh investing mein hi convert ho jati hy kion k jab loss mein hota hon tu long term holding mein chala jata hon.  Roll Eyes
Muje skill seekhna ka bohat shock hy aur meine normal video editing seekhi hy, i want to start my own website, wordpress bhi seekhna ka dil hy (thora bohat seekha bhi hy)  aur  sometime dil kerta hy k pyton (programming) bhi seekh loon.  Digitial marketing bhi seekhni hy aur bhi skills
 but Irada bohat kuch hy seekhnay ka but kami sirf time ki hy. Job k baad sara time bitcointalk p hi rehta hon, bilkul bhi time ni miltha kuch new seekhnay ka.  


Good to know yar, hum kafy saray Masters degree walay han idar, an idea for you, kyu na app aik wordpress based chatgpt integrated blog bnao, blog jis peah daily 3-4 postig hoty rhy or apko sirf seo wgera hy maintain karny ho, its hot these days, it will be a fun activity or agar acha chal para to earning bhy start. Wesay telegram group myn main nay Mudassir aik larka ha usko add keya ha, you can learn alot from him, woh already meray aik blog peah kaam kar raha, I.A bohot jald online ho jaye ga.. main also 2-3 or niches soch raha hon jin peah blogs baan jye, hum mill kay bhy kaam kar saktay han..

Wesay kis kay pass koi hot niche ka idea ho to pls do share for a blog
member
Activity: 115
Merit: 69
October 19, 2023, 03:31:11 PM
Sentimental Analysis & Technical Analysis What's Your Take

Asslam o Alikum mere bhaiyo, kese hain saab market maa Investment ho ya phir trading dono ka lia analysis to important haa too aj kii iss post maa main ap seniors see apke views lena chahon gaa kaa ap kia prefer karte ho. Sentimental Analysis or Technical analysis maa konse wala kahan paar fit bethta haa.

Sentimental Analysis: Too sentimental analysis kaa matlba yee ha kaa market maa jo latest developments hoti hain, no news wagera aiti haain, yani ka koi adoption yaa phir legalization yaa koi fud wagera jiske hisaab se market ma volatility atii ha yee sentimental analysis maa ata haa market wessy sentimental ka hisaab see kafi limited range ma behave karti sentiments ko yuonn kaha ja sakta ka ye temporary influence rakhta haa haa. Market maa aik trader kaa lia sentimental analysis kafi importance rakhta ha or Investor joo kaa long term ka lia market ma enter krna chata haa Yaqeenan oske lia bi yee kuch hadd tak importance rkahta ha jessse kaa wo sentiments ko dekh ka andaza laga sakta ha ka market is waqat konse zone maa haa. Phir woo os hsiaab se market ma entry le sakt ahaa.

Iss Topic paa mera aik thread bii haa agar app mee see koi banda bi read karna chahe too woo jaa ka read kar sakta haa main link yahan daal deta hunn.


Technical Analysis: Too TA yani Technical analysis bii aik kafi achii approach ha magar ye dono ka lia yani aik trader or investor dono ka lia hii brarber importance rakhti haa. TA maa agar baat karain too yahan par price action, Onchain Analysis, Volume Analysis, Patterns and indicators wagera wagera  aa jatee hain main zayda lamba kheech ka topic koo bdha nai karon ga because apko bi behatr pata hoga mujh see hamra muda ajka jo haa wo complete different ha wo explain karna nai haa woo ispe tabsra karna haa konsa kahan zyada fit ata haa haa. TA long term maa kafi help akr deta haa orr jab hum accumulation ki baat krain to TA + DCA aik bohat achi hybrid approach haa accumulation kaa lia. Mere hisaab see to TA traders zyada use karte haan Investor bi sue akrte magar usability maa TA kii trader to daily basis paa use karte isko or investors paa depend karta kaa wo kesi buying yaa selling strategy chah rehe.

hero member
Activity: 2464
Merit: 877
October 19, 2023, 03:21:53 PM

By the way, Irfan bhai nay new commers ko intro denay ka kaha hy, app tu honay walay Hero Member ho  Wink
Anyways i like your mission in life.

Wesay why not lets gets intro of everyone thora thora. everyoen can participate, kyunkah jinkay leay post lgaye thy unko news traslate kar kay post dalnay c fursat ho to apnay baray main btyn.

Acha tu mein bhi apna little bit introduction day deta hon but zada ni doon ga, k kahien app log meray tak pooch hi na jein  Wink

Meine bhi MS kia hua hy aur mein offline (mutlab full time) job bhi kr raha hon (Information Technology - IT ) aur sath sath bitcointalk p kam. Trading thori bohat kerta hon but zada ter woh investing mein hi convert ho jati hy kion k jab loss mein hota hon tu long term holding mein chala jata hon.  Roll Eyes
Muje skill seekhna ka bohat shock hy aur meine normal video editing seekhi hy, i want to start my own website, wordpress bhi seekhna ka dil hy (thora bohat seekha bhi hy)  aur  sometime dil kerta hy k pyton (programming) bhi seekh loon.  Digitial marketing bhi seekhni hy aur bhi skills
 but Irada bohat kuch hy seekhnay ka but kami sirf time ki hy. Job k baad sara time bitcointalk p hi rehta hon, bilkul bhi time ni miltha kuch new seekhnay ka.  
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
October 19, 2023, 02:36:30 PM
Assalam o alaikum
Snip
وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Bhai esi bohat c companyan Pakistani awam ko loot chuki hen par bat ye hy KY hmari Pakistani awam bar bar in my chungal my phass jati hy. Or Us Ki waja ye hy KY ye awam ratio Raat ameer Hona chahti hy. Ye kehty hen Abhi $10 lgaen or agly hi lamhy wo $100 my tabdeel ho Jaye or mujy mil Jaen.
Last time Java Eye ny bohat hype pakri Thi. Mery bohat sy dosto ny invest Kiya Tha lekn Kaya huwa akhir China lga kar Bhaag Gai.
To esi application sy khud ko BHI door rakhen or Dusron ko BHI.
legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
October 19, 2023, 02:33:14 PM
Ahh ! This political shit  Sad, Koi a raha ha koi ja raha koi nai a raha koi nai ja raha bass yehi sab maa uljhe howee haare loogg iss se forsat hoo tooo phir baqi bacta haa cricktet yaa phir hamre Daily soaps..  1 2 din Muslam zinda hotee hain Watsapp status laga kaa so jatee hain kal kaa din zinda honne ka haa. Afsoos hum saab hii iss chakar maa padee howee.

Simply ye political nazam chal hi nai sakta.. 5 saal maa jo PM bana woo htaya nai jana cahiyee except for extreme senerios.. + 2 baar ka baad 3rd time koi PM honna hi nai chaiyee. aik 2 khanadanon kaa logg hi sirf MLA & MPA nai honne chaiyee. Khair yee badal bii to nai sakta haar kisi ko apna apna mafaad nazar ata haa.

SadaPay Empowers Pakistani Freelancers with Apple Pay Integration


Hmm.. Just a news, agar yahan Bitcoin hoata too baat alag thii.. wo sirf aik news nai hoti wo hoti adoption ki struggle woo hoti crypto news. Stop posting like that bhai jaan ap spamming see zyada kuch nai kar rehe .. apni positng quality increase karian  Cheesy
hero member
Activity: 1428
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
October 19, 2023, 02:12:50 PM
Yar mujy bhi thoora doubt Howa ky yeh Banda toh Satya Gaya haa q ky media ny uska bayan kuch serious mode Mai record Kiya taa so lag raha ta ky Banda shayad Dil sy bool raha ta, but wasiy laghta haa baat sirf biryani aur 125 bike Sy Nahi bane unhy yeh harba bhi apnan para uss choor ky achy istikbaal ky liya. baki sunny Mai aaraha haa ky iss bandy ka bhi program warny wala haa khair iska fasad already pail Chuka ha agr Warr jai tab bhi posion mojod hoga.
Waisy Mai daikh raha ta logo Ki nafrat especially after Imran khan arrest Har jagga log isky banner paar rahy ha spray Sy mu Kala Karwa rahy haa, Bary toh choro even bachy bhi iss Mai aagy aagy haa, yeh Indication haa Ku nafrat kis had tak Gaye haa q ky bachy ko Kya pata Nawaz Kon haa aur Kya Kiya.
Baki kafi Punjabi Bhai kehh rahy ty hamy aisy Banda Nahi chahiya Jo difficult situation Mai hamy choor ky London jai so bs yahi cheezy haa Jo Nawaz ko again zaleel kary ge
Bro baatain apki bilkul thik hain, hr bnda hi hakomaat sy istrha staya howa hai ky kisi ka bi dil inko acha nhi janta or IK ny to inky bandhy podh diya thy (raaz khool diya thy) jo ky sahed koi or na kr pata, bahir sy a kr inki pathi likh di us ny, we agr na hota to nawaz ki haqeqt samny na ati. khair ab is mozo pr baat krny ka kya fiada, wo to pak a hi jay ga. or in logo ny pakisstan ky physcology asi kr deni hai ky hr bnda in ky geet gy ga.

yeh to saaf hai ky yeh bnda asdurn rehman jiski video viral howi hai, yeh apna ullu sidha kr rha hai, ku ky hamary ilaqay my is trha ki batain kafi dekhi jati haim yeh log apna ullu sedha krty hain or phr nazar bi nhi aty or agr koi bnda inky smany bolta hai to baad mai badtamezi bi krty hain, mery pass is bndy ki videos hain jis may yeh logo ko galiya bi dy rha tha.

Khair galiya to am si baat hai, so, ignore kr dety hain hehe. overall, yeh jo teachers ka privatization wala chkr hai yeh bi to ij scene hai bs, nawaz ny pakistan aty hi khna ky mai ap teachers ky mutalibat manzoor krta hoon or schools ko private hony sy bacha loon ga etc. etc.

gareeb logo ky jain to wesy hi wapis a jani hai, ku ky phly yeh 1 bahari muskil problem kadhi krty hain khud hi or phr usy asy talty hain jasy ky in sy badha hmdard or gumgusar koi nhi dil jeetny ky liya, or yehi siayasat hai.
full member
Activity: 168
Merit: 102
October 19, 2023, 01:30:04 PM
SadaPay Empowers Pakistani Freelancers with Apple Pay Integration

Pakistani fintech company SadaPay ne apne SadaBiz freelancers ke liye aik interesting izafa paish kiya hai: ab woh Apple Pay ke zariye payments receive kar sakte hain. SadaPay ne SadaBiz business account pehle iss saal introduce kiya tha jo khaas tor par freelancers ke liye taiyar kiya gaya tha, jis mein fees ke mamlay mein shafafiyat ke sath global payments ka platform dene ka maqsad tha. Yeh ilan SadaSummit ke doran kiya gaya tha

jis mein IT industry ke mahir freelancing ke sochne wale, aur pehle se SadaBiz istemal karne wale shamil the. Isne un masail ka samna kiya hai jo Pakistani freelancers ko maloomiyat training aur international payments ke lehaz se aati hain, aur unhe asani se overseas clients se jurrne mein helpful sabit hu gai.

Iske ilawa, SadaBiz jald hi Google Pay ke zariye payments qubool karne ka faisla karega apni pohanch ko global tor par 700 million devices tak barhate hue.


Link
newbie
Activity: 13
Merit: 1
October 19, 2023, 12:37:47 PM
Assalam o alaikum
umeed hai sub bai dost kheriat se hongy. ajj hum bat karengy (Lame online earning application) ki jis ki kafi sari haype creat ho choki hai aur mery aksar dost muj se s bary mai pochty hain aur in ki sirf hi tantion hai k humy is app py invistment krni chaiye aur agar hum ivestment kr lety hai to ye ketny time tak chaly gi
dost sub se pehly main aplogo s ek bat shear karoun k s app ki haype ki ek waja hai k aksar pakistan k log kehty hai  k ye FBR ki taraf se reg: hai aur inka main office UK mian aur ye Long time Project hai. leken mery tehqeek mutabiq ye 2 dafa maintance main ja choki hai ab ap soch rahy hain k ye Mantanance kia hai to dosto har app k real aur fake maloom karny ki kuch method hoty hai  jis se inka real aur fake hony ka pata chalta hai.
SEO Security and Exchange Camision of Pakistan jahan se pata chalta hai k ye company FBR se REG: hai ya nahi. os k bad Google trend se pata chalta hai k ye Link kahan kahan work kr raha hai aur ye kon konsi Ip address use kr raha.
Os k bad Scan Advisor jahan se dheka ja sakta hai k ye real hai ya fake hai aur sat s k owners ki details b bata deta hai main ne scam advisor py check kiya jin ka screen shot link ap dhek sakty hai
https://ibb.co/Gk7KqjF
https://ibb.co/DYDgGm3
ab bat krty hain in ki maintinance ki dosto 2 dafa inka glitch a choka hai aur main kafi arsy se dhek raha houn k jo earning app hoti hai wo last main upgrade wala seen shoro ho jata hai aur ek or bat ye system upgrade ni kr rahy ye apka system upgrade krty hain aur ye bagny ki kushesh kr rahy hain lehaza mery jankari k mutabiq ye ab ziada time nahi rokny wala agar ap main se koi begenars hain to ihteyat karain
ye mery pas information ti jo main ne ap k sat shear kr di hain.
sr. member
Activity: 336
Merit: 292
20BET - Premium Casino & Sportsbook
October 19, 2023, 11:48:53 AM

Boss yeh haqeeqat haa ky hamary idaro NY kafi kuch bura Kiya haa, but woh strong haa so hum unky khilaf baat Nahi karty aur yeh woh bandy haa Jo khud ko iss kabil banwa daity ha tab hi aisy slot pa jagga milte haa aur yeh politicians toh normal bandy haa Jo iss slot ky eligible Nahi hoty na hi inn ma talent hota ha bus hammy paiso ka lalich dy ga apny apko eligible banwa daity haa.
So main baat Ki taraf aaty haa ap kehh rahy haa Jo bhi cases haa Jo nafrat haa woh Haq pa Nahi haa, waisy Mai kisi ka side Nahi ly rahy SAB same haa but jaisa ap ny Kaha ap PMLN ko point out kar rahy haa ky unho NY kuch Nahi kiya toh yeh batai jis bandy ka baap ik normal kisaan ho woh kaisy itna portfolio just London Mai banwa sakta haa just due to politics apko Bata haa unke salary bhi total 1lac to 2 lac Hoge but agr corruption ko mila ly toh phir itna banta ha Jo unky portfolio ka just 5% ha (Sharif family owns 21 properties in London worth £32 million or Rs 510 crores plus Hussain Nawaz recently sold One Hyde Park place for Rs 700 crore or £43m.)
Yeh just London Mai Zahir assets ha agr ginny pa awao corruption ky paisy Sy liya howy asset pa toh maths ky digits km par jaingy 😂😜😎


Dear agar hamary edharon ke log mazboot hain,ya wo apni qabliyat per aaty hain ,to pir apny kaam se kaam kiyon nahin rakhty.mery khayal main jis ka jo kaam hai os ko osi se garaz honi chahyee,chaukidaar ka kaam hota hai security karna.agar aap security guard rakh lety ho aur wo aap ke ghar ke muhamelat main apni marzi karna shoru kar de,to aap karny den ge? khabi nahin.balky osko foran farig kar den ge.yahi haal hamary gernelon ka hai,aur agar wo mazboot hain to pir un ko haq hai ke hum pe zulam kary,aur hum isleye khamosh rahey gr ke wo taqatwer hain.

agar aap sayasatdano ke saat gernelon ke bhi daulat aur asason ka chan been karen to acha ho ga,kiyonky unki bhi tankhwa aik do lac se zyada nahin hoti,pir ye dosry mulkon main jazery,aur properties kaisy bana lety hain.bajwa ke paas 12 arab kahan se aagay.pechly 5 army chief jo retired howy hain mujy aik dekho jo is waqat pakistan main rehta ho.sub Europe main apny biwi bachon ke saat ayashi kar rahy hain.pakistan ki awaam ka paisa loot kar le gay hain.jis tankhwa main wo pakistan main gar nahin bana sakty France ,Belgium main kaisy bana lety hain.

civil edharon main her jaga ya to retired gernail ho ga ya hazer service,dosry edharon main in ka kiya kaam hain.kiya pakistan main talent nahin hain ke her jaga fauji ko betaya jata hai,sirf apni man mani karny ke leye,baqi dunya ke kisi mulk main aisa nahin hain,her jaga civil hakumat hai.yahan sayasat dano ko kaam karny hi nahin diya jata.aur badnaam bhi sayasat dano ko karty hain.   

hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
October 19, 2023, 11:30:44 AM

Well awam behtr sy jante haa Kon choor haa aur kon gaddar haa, Kon ussy choor ka baag Gaya aur Kon difficult situation Mai sath taa. Aur Shayad nafrat Ki wajah bhi isliya haa q ky awam jaag Gai aur apny liya achy aur bury ka intikhaab achy sy karsakte haa
Bhai kiss awam Ki bat kar rahy hen jis ko pest milen gy to wo jis ko marzi vote dy gi. Jiss ko Honda 125 den gy to wo Jahan kahen gy pohnch Jaye gi. Awam my dam Khan hota to ye hmary hukmran naa Hoty Bhai. In sab ko EK hi Line my kharra kar KY EK hi Goli Maar KY urra Dena chahye Dusri bullet BHI in par zaya naa Ki Jaye to behtar hy. Ye issi laiq hen.
Ye ap ny bilkul theak kaha ye awam kaa kuch nai ho sakta. Or jo koi acha karny ky liye kharra hota hai us ko ye wesy hi daba dety hen. Jo mukhlis ho Pakistan ky liye wo zrur munh ki khaye ga.
Or jo mafia bethi hui hai wo Pakistan ko kath puti ki tarah nacha rahi hai. Or awam or hukmran dono naach rahy hen. Basss faraq itna hai ky hukmran esh wali zindgi guzar rahy hen or awam zillat wali. Or ye sab hmary apny hi amaal ka natijta hy jnab. Or bss hmary apny aamal.
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
October 19, 2023, 11:08:54 AM

Well awam behtr sy jante haa Kon choor haa aur kon gaddar haa, Kon ussy choor ka baag Gaya aur Kon difficult situation Mai sath taa. Aur Shayad nafrat Ki wajah bhi isliya haa q ky awam jaag Gai aur apny liya achy aur bury ka intikhaab achy sy karsakte haa
Bhai kiss awam Ki bat kar rahy hen jis ko pest milen gy to wo jis ko marzi vote dy gi. Jiss ko Honda 125 den gy to wo Jahan kahen gy pohnch Jaye gi. Awam my dam Khan hota to ye hmary hukmran naa Hoty Bhai. In sab ko EK hi Line my kharra kar KY EK hi Goli Maar KY urra Dena chahye Dusri bullet BHI in par zaya naa Ki Jaye to behtar hy. Ye issi laiq hen.
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
October 19, 2023, 10:24:56 AM
Mery khayal main hamen kisi bhi sayasi leader ki insult nahin karni chahyee,kiyonky hamary dilon main un ke khelaf jo nafrat paida ki gai hai wo sub jhoti hai,aur mangharat hai.hamary sayasat dan waisy badnam hain .asal kirdar is mulk ke jinhon ne pakistan ka khoon choosa aur mulk ko loot rahy hai,unko koi kuch nahin kehta,aur na koi naam leta hai.
Boss yeh haqeeqat haa ky hamary idaro NY kafi kuch bura Kiya haa, but woh strong haa so hum unky khilaf baat Nahi karty aur yeh woh bandy haa Jo khud ko iss kabil banwa daity ha tab hi aisy slot pa jagga milte haa aur yeh politicians toh normal bandy haa Jo iss slot ky eligible Nahi hoty na hi inn ma talent hota ha bus hammy paiso ka lalich dy ga apny apko eligible banwa daity haa.
So main baat Ki taraf aaty haa ap kehh rahy haa Jo bhi cases haa Jo nafrat haa woh Haq pa Nahi haa, waisy Mai kisi ka side Nahi ly rahy SAB same haa but jaisa ap ny Kaha ap PMLN ko point out kar rahy haa ky unho NY kuch Nahi kiya toh yeh batai jis bandy ka baap ik normal kisaan ho woh kaisy itna portfolio just London Mai banwa sakta haa just due to politics apko Bata haa unke salary bhi total 1lac to 2 lac Hoge but agr corruption ko mila ly toh phir itna banta ha Jo unky portfolio ka just 5% ha (Sharif family owns 21 properties in London worth £32 million or Rs 510 crores plus Hussain Nawaz recently sold One Hyde Park place for Rs 700 crore or £43m.)
Yeh just London Mai Zahir assets ha agr ginny pa awao corruption ky paisy Sy liya howy asset pa toh maths ky digits km par jaingy 😂😜😎

Quote
jinhon ne nawaz shareef ko chor aur ghadar banaya ,asal main wahi chor aur ghadar hain is mulk ke.
Well awam behtr sy jante haa Kon choor haa aur kon gaddar haa, Kon ussy choor ka baag Gaya aur Kon difficult situation Mai sath taa. Aur Shayad nafrat Ki wajah bhi isliya haa q ky awam jaag Gai aur apny liya achy aur bury ka intikhaab achy sy karsakte haa

Quote
KPK main 9 saal hakumat ki magar karkardagi zero.kpk main her taraf smuggling, corruption,rishwat,bhata mafia,nasha awar cheezen khuly aam,her mehkma zawal ka shikar,na sarkari hospital ,na school na koi aur edhara kaam kar raha hai,sirf nahry te,khokly nahry,aur poori hakumat is baat main guzari ke nahin choron ga.
Well Shayad ap Peshawar ayai Nahi ho, apko kpk Ki 75yr Mai history Mai first time itna development daikny ko Mila ho, chahy USS Mai Peshawar university ka new block ho, KTH hospital ka new block check karo aur poory Peshawar ky BRT ka naksha daiko , iska ilawa roads Sy ly ka zoo tak aur hundreds of new university and collages. Qasam KHUDA Ki apko in 10yr Mai poory paksitan Mai Iran development daikny ko Nahi Mila hoga jitna Peshawar KPK Mai Howa haa so yeh baat toh apki 1000% ghalat haa as Mai khud waha ka hu😎😜😎
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
October 19, 2023, 10:00:43 AM
Trading and Hold Token

Asalamualikum dosto aj ma ap logo ky sat trading aur hold ky bary ma bata deta ho agar kesi ky pas koi acha sa knowledge ya pher koi mashwara ho wo zarore share kary. chalo aj may bata deta ho phele trading ky bary may muje lagta ha aj kal trading bahut hi ihtiyat ky sat karna chahe q ky market ka condition jo hai wo bahut hi kharab hai kuch pata nahi chalta second second ma token bhut dump ho jata ha to ihtiyat bahut zarori hai. aur koi bhai agar trading karta be ho to kushish kary ky short trading kary long trading se bache agar ek bar long trading may phas gaye pher nekalna bhut mushkil hai koi be token long term ky liye buy na kary.

Ab batata ho token hold karne ka muje lagta ha aj kal koi token hold nahi karna chahie koi airdop ya kesi cheez se token mel jate hai to jetna profit mel jata hai sell kiya kary hold karne ki kushish na kary may khud sui ky airdop may win ta jab list hoa sui us time mere token se 2200$ ban rahe ty mene kuch sell ki aur kuch hold uska mene bara nouqsan otaya wo mene aj sell ki us time sui ki price 1.3 ti aj mene 0.37 pe sell kiya sirf hold ki waja se to ma ap sub ko mashwara yahi donga ky kushish kary koi token hold na kary jetne profit ho us pe shukar kiya kary.
Crypto me trading Karna waqie he risk hai kuin is me volatile bhot hai ,Par ham jitni simple trading karien gy hamie utna he zayada profit Hoga kush cheezon ko ham bhot zayada complicated bana letien hain jis ke waja Sy hamien profit hony ke bajie loss hojata hai halan k UN cheezon ko simple way sy Karne Sy he simple way me profit mil Sakta hai , cryptocurrency riskun k Leye zayada hai Jo  in aur out Yani decision making sahi nhi karty jis coin me hamnie investment karnie Hoti hai ham dekhty keye hain k ye pump ho raha hai to ham us me invest Karna shor kar ditien hain jab koi coin pump hona shoro hojata hai Yan pump ho jata hai to us k zayada chance dump k hoty hain Aur asa he hota hai , agar ham crypto trading Sy profit Lene chahty hai to hamien us coin ke puri tarhan analysis Karni paragy jis me ham investment Karna chahtien hain bhot saray method hain analysis k UN sab ko madie Nazar rakh ty Howe phir ham trading karien gy phir ham crypto trading Sy profit le sakty hain ise tarhan agar ham analysis karty howay trading karty hain to kahien par hamien risk ajat hai to hamray pass us risk ko control Karna ka b solution hota hai ,main bat yehe Hoti hai k risk to ata hi hai kuin k Jahan profit hai wahan los b hota hai magar anie Wala risk ap k control me huna chahiye.
Aur dosri bat ap ny sai kaha k hamien token ko zayada der tak hold nhi Karna chahiye , par kush coin hold karny waly hoty hain aur kush fori sell karny Wala jese wo token Jo hamien airdrops Yan other platform par work karnie Sy Milty hain unhy fori sell Karna he behtri hai kuin wo token supply karny Sy miliy hoty hai .
jr. member
Activity: 39
Merit: 2
October 19, 2023, 07:35:54 AM
Multiple Account Login On One Device

Whatsapp ki new update may ham 1 he whatsapp app may 2 different whatsapp use kr sktay hay.

Is kay liye Ap ka mobile may 1 he time may 2 sims ka huna lazmi hay.

For the very first time to switch between whatsapp, a one time otp you have to enter, then us kay baad app is fucntion ko use kr sktay hay. 

source
sr. member
Activity: 630
Merit: 404
October 19, 2023, 07:01:51 AM
Linea Testnet with zero Investment

السلام عليكم ورحمة الله وبركاته

Linea ka testnet kaafe arsay se chelta Huwa a rha hai aur ab tu eska mainnnet be a gea hai leken Abe tk Enhu airdrop nai kea aur buuht zeadha chances hai ke eska airdrop 2024 mei a jaeay ga aur kaafe cherchay hai es airdrop ke buuht he bara airdrop Karen gay baatein TU kehnay ke hute hai Koch b keh den leken keise ku confirm nai hota crypto mei kea hu jay eise leiye apni poori kusshes krtay rheay or jetna hu skhay task ku krtay rhay qyu ke testnet belkul free hutay hai es mei apka 1 be paisa nai lgay ga Koch choaty chotay aur simple se task ke Sath aaj mei ap sb Ke sth Aya hu like swap, provide liquiditya and remove, follow social media accounts serf yhe task hai or linea Ne Apne social media Twitter pr b hint deaya hai KY or quote kr ke kha hai ke nke exchange pr ja kr linea me testing Kren aur galxe ke task Kren ye b incentives mei shmil hu gae



-Sab Sy pehly Linea ko Metamask my add kar Lem is link ke zareay or yha Sy faucet claim kar Len linea ka is link Sy

- Is Exchange KY Sath wallet connect Kren or Kuch eth ko usdc my swap kr Len or ziada Sy ziada volume banay 10 to 15 transaction Kren (Do your own research)

- phr Koch Liquidty add Kren Kisi b pool mei

- Glaxe ke task Kren simple follow social media task aur phr testnet par NFT ko mint kr Len

Jump to: