Reletable story of old king and today's economic situation
Assalam-u-Alaiqum kaise ha aap sub
Aj ma soch raha ta ke post tu yahn sabhi karte ha per ma khuch different karta hun take aap log ache se samj jaye. Petrol ki price bharne per arz ha aap sub ke leye.
Purane zamane ma ek
badsha ta jo apne awam per hukumat kar raha ta , Per os ki awaz buhat he
zyada sust , nalaiq aur beghirat ti jes ki waja se badsha har waqt pareshan rehta ta aur sochta ta ke wo apne logo ko kaise es musibat se nejat delaye. Wo buhat kuch karta ta har haarba estemal keia per awam nae sudri .
Ek din wo baita tu osse khyal aya ke chalo ye harba be estemal karta he . Os ne ek
pull bnaya aur hukam deia ke sub log es se guzarenge aur har banda
ek seeka dega ,
Badsha soch raha ta ke shaid es se log ko thori aqal ajye ge aur wo apne haq ke leye awaz utalenge per aysa kuch be nahe huwa pir badsha ne hukam deia ke ab
ek seeke ke sath ek tapper be denge aur ek kaam ke ley ek banda muqara keia ke qo en se ek seeka lega aur ek tappr de ke rawana karega. Ab badsha ne kaha ke es bar tu awam tang akr zaroor awaz uta ke aynge.
Aur huwa be yahe sub log jama huwe aur bandsha ke pas ayi badsha buht khush huwa ke chalo akher kar awam ko ghairat tu ayii.
Sub logo ne ek latter leka badsha ko jes me leka ta brahe mehrabni es pull per ek bande ki bjaye 2 karde take hamara waqt bach sake aur hume jaldi se tapar mar kar rawan karde shukarya. Ye ke pure zmane ka qesaa ha jo ke reletive ha hamre sat , Ba daikte haīn ke aap log es ke bare ma kia raye daite hain .
Tu chalo ab sub es ka jawab do ke ap ko es se kia samj aya Is se hamen yahi samaj aya hai kh os badsh ki awaam aur pakistani awaam main koi farq nain hai.pakistani qaum ko bhi osi badsh ki tara azmaya ja raha hai khe ho sakta hai ab ki baar inko gairat ajaye .kabhi bijli ki qeemat barha lete hain magar awaam chup rehti hai.pir 15 din baad petrol ki qeemat barha lete hain magar pakistani awam chup.
balkhy tankiyan full karwane chaly jatey hain.ab yakdam 26 rupay petrol mehnga kar diya majal hai khe koi pakistani awaaz uthaye.ab agli bari pir bijli ya pir gas ki ho sakti hai .magar Bahiyo pakistani awaan ne nain nekalna .lagta hai qasam khai hai khe mar jayen ge magar apny haq keleye nain neklen ge.
jahan tak siyasi partion ki baat hai saary leadran chup hain ,koi mulk se bahir hain koi garon main chup kar khe baity hain.awaam ko zalimon ke rehmo karam per chora hai.belkosoos mujhe ulama hazraat se gila hai kh wo is zulam ke kilaf awaaz kiyon nahin uthate.agar wo maidan main ajahen to log bharpoor saat den ge magar shart ye hai ke siyasi ulama nain.balkey wo jinka siyasat se koi tahluq nai hai.un per hi logon ka bharosa rehta hai baqi sub kho daikh chuky hain.
baqi fareshty to any se rahy ,awaam ne hi apny haq keleye nekalna hai,aur is zulam ke nizaam ka khatma karna hai jo ab zarori ho chuka hai.jehaad sirf kufar ke kelaf nai hai balkhy her zulam ke khelaf karna hai.aur ye hum sub ka farz hai.zulam per khamosh rehne waly bhi zulam main barabar ke shareek tasawer kiye jate hain.