Gambling signature mai ko haram kehna daleel ki bunyad par hai. Apne 7 saala ilmi saal se figha, quran aur hadees se jo seekha us se ek percent b gambling promoting k halal ya kisi qism k jawaz ka tasawwur b nahe milla. Gambling promote karna haram 2 waja se hai. mai ilmi andaz k bajae nehayat sada alfaz se smjane ki koshish karta ho
1: Enki jitni kaamai hai wo haram hai wazih thor par aur jo paisa milta hai wo haram hee hotha hai q k ap ko pata hai mai jis k liye kaam kar raha ho uska saara paisa haram hai.
2: agar wo paisa halal ho (aisa filhal mumkin nahe) thab b jaiz nahe q k ap aik aise kaam mai uska thawon aur madad kar rahe jis ka Quran mai full clear haram qarar dia hai.
Kitni sharam aur afsos ki bath hai k bajae sharminda hone k ulta jo sahi bath kar raha ho usko hee nishana bnane ki koshish kare. ap tho Themepen, Musa aur Unknown Op ki bath kar rhe, agar ye gambling Shahzadafzal ya Irfan (Sorry sir magar yaha par ap log hee purane aur rutbe k lehaz se ziada hai otherwise mujhe pata hai k Irfan gambling project k bounty ko reject krta hai) b wear kare tho b ye haram hee hai aur ye Allah ka hukam ha na k hm jaise haqeer insano ka.
ap k pas es k jaiz hone ki koi daleel hai tho le aae. Daleel 4 cheeze hothe hai. Pehle quran se sabit kare, agar quran mai nahe tho hadees se kare, agr hadees ma nahe milta tho ijmae ummat se sabit kare aur agar yaha b nahe milta tho Qiyase Sharii se sabit kare agar har jaga nahe milta tho maafi mang jar tauba kre.
Jab b behes aathi hai, ap k pas kuch b daleel nahe hothe just Mixer ko aage peeche karte ho. bahi aisi daleel laon jis se apka gambling signature halal sabit ho jae aur yad rakhe apka zehen daleel nahe. daleel mai ne oper bian kii hai jis pe Puri ummat ka ijma hai.
Ma kafi time sa Duel bit signature campaign ma hn aur ya eik gambling platform hy. Mujhya is signature campaign ke income sa koe masla nhi. Kyunka ma to mehnat kr rha hn na ka gambling ma participate kr rha.
Yahn rehna hy to maximum campaigns gambling sa related hn gi. Waisa apko yaad ho kafi arsa pehla tasveer kashi bhe haram hua krti thi. Aj kal to molvi logo ky bhe million subscribers hn YouTube py.
Mehnat tho chor b karta hai chori karne mai, cricket k par agar bet lagai jae tho wo b mehnat hai, bank wale jo sood karobar karte hai wo b mehnat hai. ye apko kis ne sekhaya k mehnat ho tho wo cheez halal hothe hai?
Kia quran ki ayat nahe pare k " zulam aur guanh k kaamo ma madad na kare"". mehnat ko sahi jaga par lagae jaha par haram ka shuba na ho.
jaha par koi gunah aam ho aur us se bachna b aasan ho tho us ko apne marzii se karna k yaha tho sab karte hai, ye daleel hai haram ko halal karne kii? kal ko zinaa aam ho jaegee per ap zina karoge. Aurthe nange sar ya bareek lebas mai Lahore aur big cities ma jae tho ap esko b halal keh doge?
aur ye koi daleel hai k pehle tasveer k baare mi fatwa aur tha aur ab aur hai? fatwa janthe ho kaise dethe hai? aur agar zamane k sath farwa badal jae tho ap pehle wale ko ghalt kahoge?
koi toss daleel hai , jis se ap gambling promoting ko halal kehte ho? agar toss daleel nahe hai tho jaan lena chaiye k k jan boj kar haram ko halal kehna kufar hai aur thaweel k sath kehna gunahe kabeera hai.