السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
This is a good news. UAE ny EK Pakistani pharmaceutical company ko register kar Liya hy. Searle Company Limited. UAE Health ministery ki taraf sy Kissi company ko allowance Milani EK bohat barri bat hy q keh ham sab janty hen KY bahir Ki countries health par koi compromise nai Karti hen to Pakistani company ka register Hona EK aizaaz Ki bat hy. Or iss sy iss company ka product value ka BHI pata lagta hy.
https://tribune.com.pk/story/2436256/first-pakistani-pharma-firm-to-register-in-uae
Yaqeenan ye bahot achi baat hai aur aik ahzaaz ki baat hai,khe pakistani company main itna telent hai khe dosry mumalik main pir UAE main jahan kisi bhi shoby main qabliyat aur ahliyat ko bahot ahmiyat di jati hai.aur khabi bhi sehat ka muhamla ho ya koi aur muhamla ho khbi compromise nai hota.pakistani company ka ragister hona is baat ki dallil hai khe compny behtareen hai.
pakistan main talent bahot hai.aur pakistani bary zaheen hain,magar is mulk pakistan main imaandar aur achey aur mulk ke leye faida mand logon ki na qadar hai aur na jaga hai.isleye talented log bahir ke mulkuon main ja rahe hain.aur hamara wazir e azam kakar kehta hai log pakistan chor kar ja rahy hain to kia howa.ab is bewaqoof ko koi poochy ke koi aam pakistani mulk chor kar nain ja rahe hain balky doctors,engineers,phd,karobari log,hunarmand log mulk chor kar ja rahy hain.
ab agar yahi pharmaceutical company pakistan main reh kar kaam karti to kis ka fahida hota,kin logon ko achi dawaheeyan melti.yaqeen karen khabi khabi lagta hai ke jaisy hamara mulk naho balkey koi jungle ho jahan insano ki koi qadar hi nahin hai,kiyonkh her taraf khoonkhwaar darendy hain .insaan kaisy yahan reh sakty hain.