Aoa, pakistan ma gold Rate ki price mein ahem kami aayi hai, aur ek tola ke liye Rs2600 ki kami ke baad ab yeh Rs209,400 per tola tak pohanch gayi hai. Yeh kami sonay ki keemat mein ahem tabdeeli ko darust karti hai. Sona k price mein yeh kami mukhtalif asbaab par asar kar sakti hai jaise ke aalmi market ki rawayat, currency exchange rates, aur demand or supply. Gold ki price ki tabdeeli ko dekhte hue, sone ke market mein shamil logon aur gold ke assests ya gehnon ki kharedari ka lay price sy update rahna zorri hai
chalo achi baat hai ke kuch kami waqea howi hai.magar ye kami mere kayal main aaty main namak ke barabar hai.kahan 209400 aur kahan 2600 rupee.sona itna mehnga ho chuka hai ke ab gareeb aadmi ki ponch se bahot door chala gaya hai.gareeb log apni beti ke shadi ke leye aik tola bhi leny se qasir hain.ye ab sirf ameer logon ki aurten pehn sakti hain.
aik waqat aisa ta ke garib ki betiyan bhi sona pehn sakti ti.magar yahan pakistan main her cheez ko jaisy per lagy howe hain.aur hamari apni paidawar bhi jab doller mehnga hota hai to unki qeemat barh jati hai,pir jo cheezen bahir se aati hain onki adaegi dollers main hoti hai.is waja se sony ki qeemat asmaan per ponch chuki hai.gareeb log sony ko sirf daikh hi sakty hain kareedna un ke bas ki baat nai hai.aj agar 2600 sasti howi hai to kuch din main hamara rupaya girny ke baad 3600 rupy barh jay ga.ye pakistan hai yahan cheezen 10 rupe sasti hoti hain to pir 100 rupy mehngi kar dety hain.