Author

Topic: Pakistan - page 534. (Read 6449533 times)

jr. member
Activity: 37
Merit: 7
March 21, 2023, 06:05:40 AM
Assalamu Alekum everyone

"Main afsos ke sath sun raha hun keh Pak Suzuki Motor Company (PSMC) Pakistan mein aik mashhoor automobile manufacturer hai aur unho ne December 31, 2022 tak ke liye shadeed nuqsan riport kiya hai.
Ye bhi note kiya jana chaiye keh $184 million ke jari qarz-e-azim company ke maali haisiyat aur raqam ka dabao barha sakta hai. Yeh isliye keh jari qarz-e-azim aksar foreign currencies mein denominated hote hain, jin par exchange rate fluctuations ka asar hota hai. Agar Pakistani rupee in currencies ke khilaf gir jaye to company ke qarz-e-azim rupee ki shakal mein mazeed mehngay ho jayenge, jo company ki numayafi ko mutasir kar sakta hai.
Situations ko behtar samajhne ke liye riport kiye gaye nuqsan ke peeche ke wajohat ko dekhna zaroori hai. Companies nuqsan ki wajohat alag-alag ho sakti hain, jaise bechne ke kam hona, operation ke izafay, ya overall maeeshat ki arzi burai. Agar nuqsan ke wajohat waqai dar-asal rukawaton ke bajaye temporary hain to company mustaqbil mein kamyab ho sakti hai.
Dekhna ye hoga keh PSMC kaise in challenges ka muqabla karta hai aur future mein apni maali haisiyat ko behtar banane ke liye kin qadamat uthata hai"

https://twitter.com/PakStartup/status/1638118257788944386?t=2XU2_SlwsP_YimHrQe1W-A&s=19
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
March 21, 2023, 06:04:13 AM

Silicon Valley Bank Explain:
Silicon valley bank:
Silicon valley bank 1983 Mai United States of America ky ik State California ma Santa Clara ky makaam pa wajood Mai ayaa, jisy silicon valley bhi kaha jaata hai, jaha ajkal uska main headquarter mojood hai. Iss bank ky total 4 Branches hai different states Mai isky ilawa more than 10 offices hai different states Mai.
SVB bank banaya hi different new emerging startups ko support karny ky liyaa, basically yeh bank investor sy thoory interest rate par paisy deposit karwaty ty aur phir yehi paisa different startup ko high interest pa lend karty ty Jo beech ma Jo margin hota ta woh bank ka profit taa,  2021 ma inho ny claim kiyaa taa ky United States of America ky more than 50% venture-backed startup ko inho ny paisy lend kiyaa.
Agr total assets ky hissab sy daikha Jai toh yeh United States of America ka 18th big bank hai jisky paas total 212$billion assests hai.

Ancident of SVB Explain:

Agr AP iss graph ko ghoory dy daikhy toh yeh SVB bank ka share price graph haa jis ma share ki price Kafi achi movement karty howy above 700$ per share pooch chuke hai, aur iske ahm wajah yeh tee ky iss bank ny jinn startup ko paisy lend kiyaa ty unn ma tech startups bhi tee Jo Kafi achi perform karr Rahe tee jiska directly faida iss bank ko horaha ta, q ky unky profit ki wajah sy iss bank ko zyada interest milta ta aur doosre woh jitna zyada profit karr rahy ta utna zyada paisa bank ma deposit karr rahy ty. Jis ka bank ko faida yeh howa ky unka capital increase hota gaya jiska positive effect unky share pa parr Raha ta. Lakin mamla yaha kharab howa jab 2019, 2020 ma COVID-19 ki wajah sy saary startup effect howy jis ki wajah sy bank ko Jo zyada interest mil Raha ta woh km howa aur doosra Jo yeh startup daradar paisy deposit karr rahy ta woh km hoy jis sy bank ka capital bhi decrease hota gaya.
Isky ilawa agr daikha Jai toh inn ky paas 2017 ma 44$billion assests ty Joky increase hooty hooty 2021 ma 189$billion dollar hogai, par agr daikha Jai toh inho ny 2017 Mai 23$billion lend kiyaa ta Jo 2021 ma increase hoky just 66$billion hogaya joky itna zyada nahi taa, q ky inky interest return sy bank ka loss recover nahi ho pa Raha ta.
So apni loss recover karny ky liyaa bank ny apny total assets ky (50 to70)% amount ky bond government sy buy karliyaa jis ki worth 128$billion tee, jis par unhy achy Kuch khaas percentage of interest milta taa jis sy bank ka fil-waqt kaam chal gaya aur inn bonds ki maturity 5yr 0r 5yr+ hai .

But doosre problem waha ayaai jab government of America ny due to inflation new bond ky interest percentage increase kardiyaa, jabky bank ky paas old bond ty jiske interest rate km tee so SVB ny (50 to 70)% of total assets ky old bond ko sell kardiyaa (in order to buy new bond for higher interest return)

But Peter Thiel Jo ky ik Entrepreneur hai unho ny different startup ko warn kardiyaa ky SVB ky Sath Kuch teek nahi horaha toh iss news ko sunty hi Kafi aur logo ny bhi warning start kardee aur apny Funds withdraw karna start kardiyaa, jab logo ny yeh daikha toh ik FOMo create ho aur sabb logo ny fund withdraw ki application start karde but bank ky paas itny reserve ty nahi ky woh sabb ko withdraw dy saky.

So unho ny logo ki need ko poora karny ky liyaa apny 21$billion ky share sell kardiyaa aur 2.25$billion ky share aur bhi sell karyngy logo ki need ko poora karny ka liyaa.
So inn share selling ka nuksaan yeh howa ky SVB ka Jo share 700$ ky above to woh decrease hoty hoty ik hi din ma 60% crash hogaya aur u SVB officially closed hogaya.

Relation of USDC with SVB:
Jaisa ky market ma jitny bhi stable coins hai, like USDT, GUSD, BUSD etc unki jitni total supply hote hai utny amount of real dollar USS stable coin ky backing ky liyaa different bank ma rakhy hoty hai.
Toh isse Tarah USDC ky backing ma Jo real dollar rakhy gayai ty unn Mai just 3.3$billion Silicon Valley Bank Mai rakhy. As a backup to maintain the USDC stable. Jabky baki backup dollar aur saary banks ma rakhy howy ha

Reason of USDC Depeg:

Toh USDC ka depeg Kuch istarh sy howa jaisa ma ny opper bataya ky inky backing ky liyaa 3.3$billion SVB ma rakhy haai, toh jaisy hi SVB Mai yeh ancident howa toh logo ma ik FOMo create howa ky USDC jald depeg hojai ga, q ky unky backup dollar SVB Mai hai, toh logo ny daradar apny USDC sell karna start kardiyaa jis sy yeh howa ky USDC depeg howa aur apni 1$ ki value loss karty howy around 0.87$ par agai. Lakin Baad ma usky teams ny tweet karky logo ko batayai ky unky total backup of 40$billion ky just 3.3$billion SVB Mai hai baki safe hai. Toh phir ahista ahista USDC recover hoony Laga.

Conclusion:
Last ma hummy iss sy yeh seekhny ko milta hai ky hum Jin bank par blindly trust karky apny million of dollar Rakh rahy hai woh bilkul safe nahi , q ky kabhi bhi aisy ancident bank ko closed karsakte hai aur results ma just government apky million of dollar ky badly apko few thousands dollar refund kardy ga, jaisa ky SVB crashed ky Baad jisky jitny bhi billions of dollar ty unko just 250,000$ refund kiyaa jaiya ga. Soo iss sy bahtr nahi ky AP apny funds bank ki bajai crypto like Bitcoin ma invest kardy Jo Kuch waqt ky liyaa apko loss ma Rakh sakta hai lakin jald hi apko profit ky Sath return bhi dy daga. So the choice is yours...........
image source
full member
Activity: 784
Merit: 204
March 21, 2023, 04:11:09 AM

Ais ki wajah hy k shaid woh log dekthay ni PSL kion k ais mein koi indian player ni hota aur international players bhi kam hi hotay hein, as compare to IPL. Lekin Indians ki kam post kay bawojod bhi yeh thread bohat zada active raha pura PSL, mujhee seriously intni umeed ni thi. Even k meine khud bhi ais thread p na honay k barabar post ki kion k meri kosish hoti hy k zada posts Paksitani thread p hi keron aur sb ky software update keroon  Cheesy

Mazaq apna jagha pr ya baat sahi hy ka gambling haram hy aur is ko hr haal ma avoid krna chahya. Yahan Bitcoin talk py boht zayda gambling hy. Allah hum sub ko is sa mehfooz rekhya. Ameen
Ma boht active rha throughout PSL us thread ma jo ap na create ke hy. Ap sahi kah rhya hn, India ka pass asal ma ab aur boht kuch hy krna ko. Unka pass IPL hy jis ma pori dunya hoti hy aur boht bra event hy wo. Khair hman to apna PSL he aziz hy.
member
Activity: 112
Merit: 18
March 21, 2023, 03:24:46 AM
Quote
App bilkul sahi kah rahay ho. Hum tu ais bitcoin field c hein jahan p trading aaam hay aur har bunda hi future trading kr raha hy witout knowing k sahi kia hay aur gult kia. Interest tu har jaga hi hay, even k agar app credit card letay hoo tu yeh bhi gult hay as it is also interest base aur Profit&loss bank account bhi interest ka hi kaam hy. Aisi leiy meine credit card bunya hi ni aur bank mein sirf current accoutn open kia ua hy takay sood ka profit na ayee aus mein.
Main samajh sakta hun ke aap apni apni nazariye se financial transactions ko handle karte hain, aur yeh aapki apni marzi hoti hai. Har individual ke paas apni financial situation aur needs hote hain aur unke hisab se woh apne transactions handle karte hain. Agar aapko yeh tariqa apnaana sahi lagta hai toh aapka faisla bilkul theek hai.
Lekin is baat ka bhi yaqeen rakhna zaruri hai keh financial transactions ko handle karte waqt, sahi aur jaaiz tareeqon ko apnana chahiye. Aise tareeqon mein sood ka istemaal karna jaaiz nahi hai aur islam mein bhi yeh mana jata hai. Lekin yeh bhi sach hai keh financial transactions ka maamla bohot complex hota hai aur ismein bohot se factors hote hain, jaise ki investment ke maqsad, risk tolerance, aur financial situation.

Isliye, har individual ko apne financial decisions ko carefully evaluate karna chahiye, aur agar koi shak ho toh expert se salah lena chahiye.
full member
Activity: 308
Merit: 109
March 21, 2023, 03:23:30 AM
Assalam  o  alikum, Pakistan ka andar logo par rockets sa hamla ho raha ha, Pakistan ma qanoon nam ki chiz hi khatam ho gai ha
Pakistan ke qanoon ke mutaliq sawaal ki taraf ata hun toh yeh kehna ke Pakistan mein qanoon ki koi wajood nahi hai, sahi nahi hai. Pakistan mein qanooni nizaam maujood hai jo kay kanoon, riwayaat aur insaaf ke insititutions ko shamil karta hai. Jaise har mulk mein hota hai, kuch waqiyat aisay bhi hote hain jahan qanoon sahi tareeqay se istemal nahi kiya jata, lekin iska matlab yeh nahi keh poray mulk mein qanoon ka wajood khatam ho gaya hai. Smiley

image source
hero member
Activity: 1414
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
March 21, 2023, 01:46:04 AM
snip
To be very honest mujhy, bilkul bi idea nhi hai ky coinmixer min cheezo my involve that like totally idea nhi tha, last time when i wrote this post, tb main ny yeh search ---- compaign (did not want to mention name here)  ki waja sy ki thi actually i found an article back then in which, 2022 ky sary hacks and stolen cases likhy howy thy, un my mostly, stolen currency was belonging to North Korean, Unofficially, and they were using some mixer to launder some currency, Well obiusly it was unofficial so thats why that compaign is still chl rhi hai,  so i thought ky is ky bary my thodha bohat search kiya jay,

AS i do not have that much knowledge about mixer back then, well my ny kuch videos dekhi and read some article and wrote this small article of what i learnt, baki us article my main ny coinmixer ky bary y koi baad nhi likhi because mujhy us ky bary my kuch nhi idea tha, post kr deny ky baad mujhy reply my dosry memebers ny btaya ky coinmixer is that lava, hehe, khair phr in example points i added coinmixer too, well i really was unaware maybe apko kuch pta ho before the ban, baki yaar wo to obviously baat hai if a feature of application of blockchain has some bad and good usecase then people of both kind will use both, this is the feature of that platform (maybe jaan booj ky dala gya ho) baki, consequences sbi ko pta hai.

Ab rhi baat gambling sites ki to wo bi money launder krny ky liya istemal hoty rhi hai, maybe kafi abhi bi ho rhy hain. but kuch log waha gamble krty hain kuch gambling sites pr dosri services sale kr rhy hoty hai, no doubt islam my kaha gya hai ky hr burai sy perhaiz kro or yeh bi ftfy diya gy hain ky gambling sites pr koi muslman apna koi hala business bi na kry, baki apki baat apni jagga thik hai mai to bs itna kh rha hoon once i known the fact ky kuch ghlt ho rha hai. (ha confirmed one) hehe.
hero member
Activity: 2464
Merit: 877
March 20, 2023, 11:45:01 PM
kafi logo sy wasty nikl rhy hain in real life who are involved like in interest base things i do not understand why, they have earned that much money ky agr wo beth kr khana bi chahy to kha skty hain but nhi halal rozi ko haram kr rhy hain.

App bilkul sahi kah rahay ho. Hum tu ais bitcoin field c hein jahan p trading aaam hay aur har bunda hi future trading kr raha hy witout knowing k sahi kia hay aur gult kia. Interest tu har jaga hi hay, even k agar app credit card letay hoo tu yeh bhi gult hay as it is also interest base aur Profit&loss bank account bhi interest ka hi kaam hy. Aisi leiy meine credit card bunya hi ni aur bank mein sirf current accoutn open kia ua hy takay sood ka profit na ayee aus mein.


same for mixer. as far as i know nothing bad happening in yomix so, i am in. when i came to know if kuch ho rha hai to Allah sy dua hai ky wo mujhy hidayat ata frmy. ameen.

Mein yeh ni keh raha k yomix mixer gult kamoo mein involve hy k ni, but hume ni pata ais ka. Generally mixers gult use ky liey hi hotay hien. Ab kia app ko pata tha k chipmixer kia ker raha tha in backend ? Agar app chipmixer compaign mein select ho jaty ajj c 1 month phelay tu kia app join na kertay  Huh
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
March 20, 2023, 10:38:46 PM
Aoa all community Ramadan al-Mubarak 2023 ka intizam Jumaraat, 23 March 2023 (Saudia Arab ke mutabiq) se shuru hone ka imkaan hai aur yeh Jumaraat, 20 April 2023 ko khatam hoga. Eid al-Fitr 2023 ka jashn manane ka imkaan hai jo Jumma, 21 April 2023 ko hoga. Yeh mazmoon takhmini tareekh hai kyunki Ramadan al-Mubarak ki waqai aaghaz ki tareekh chaand ke dekhne ke mabeen hoti hai.
member
Activity: 112
Merit: 18
March 20, 2023, 04:22:35 PM
Assalamualaikum "T-coin ke dino mein na ghaani izafay ne Blishterind ki bahali ki nishandahi ki hai, agar bairish pol bayk ke imkan ke bawajood. Ulta coins ka teerha rukh mutasir-kun tor par peechay reh raha hai, lekin mae'ari chemistry par quwwat baqi hai, jis ki nishandahi karta hai ke bari qeemti karwai ke aamad ki kam az kam imkan hai. Jabke marketz sabz rang ke ho chuke hain aur numaya barhtay trend ki pesh goi ki ja rahi hai, lekin bairish pol bayk ke imkan ke sath mumkin hai, jis ke tahat fori tor par himayat ki dobara azmaish ke liye taqreeban 25,000 dollar tak ka nichla samrti haita dobara anay ki imkan hai. Ellah Shahab type kya hai ke bair market ka khatma kar diya gaya hai, lekin bairish pol bayk ki imkan qabil-e-ghaur hai."


Google
hero member
Activity: 2464
Merit: 877
March 20, 2023, 12:47:12 PM
Gambling to waqai boht bre industry hy aur almost hr sports ma jvari satta lagtya hn. Baqi Gambling ka religious aspect ka barya ma zayda detail UmerIdrees aur Gladitorcomeback dy saqta hn. Hahaha mazaq kr rha tha. Umer bhai ab mera software na update kr dena is baat py.

Haha, Dil tu bohat kr raha hy apka software update kerna ka magar app nay muna ker dia tu ni kerta. Smiley
Bagi hum duno aik hi page p hien aur woh yeh k Gambling jitni bhi bari industry ho, hume ais c dur hi rehna chayee.


Yaad aya @umeridrees na jo thread create ke the Gambling discussion ma wo kafi achi chali pora month. Ma na eik baat note ke ky boht sarya Indians jo cricket section ma post krta thy un na pora PSL eik bhe post nhi ke hmarya PSL ke thread py.

Ais ki wajah hy k shaid woh log dekthay ni PSL kion k ais mein koi indian player ni hota aur international players bhi kam hi hotay hein, as compare to IPL. Lekin Indians ki kam post kay bawojod bhi yeh thread bohat zada active raha pura PSL, mujhee seriously intni umeed ni thi. Even k meine khud bhi ais thread p na honay k barabar post ki kion k meri kosish hoti hy k zada posts Paksitani thread p hi keron aur sb ky software update keroon  Cheesy
hero member
Activity: 1120
Merit: 571
20BET - Premium Casino & Sportsbook
March 20, 2023, 12:20:39 PM
Ise mera aik topic started ha jisme ye sare points and Bitcoin ki valuation and possible outcome from future possibilities ko discuss kia ha thread new ha itna purana nai ha so must check. Rahi baat Bitcoin ka concept ki iska primary maqsad sirf or sirf user ko control on money provide karna tha aik esa system jo ka P2P hoo Jo ka decentrali\ed ho jo ka user ki needs ko pooora kare jo ka cross border fess ka concept ko khatam karee. Lekin ajkal iski zarorat as a Universal currency ha due to economic crisis as USD ne pooori ecnmics ki esi ki tesi kardi jiska zimmadaar sirf or sirf US jo ka andha doondh Money print kar raha.

Yahan Hum 1 2 Billion Dollars ko roote ye sirf for avoiding Bankcuppcy $2T print lete jaab dil karta jitna dil karta print kar dete and ku kaa hum jessy mulkon ne USD ko abu ka darja de ka reserve rakha howa check karain zara hamare kaam.

$1M Bitcoin Valuation until the end of this Bull Run

Ma recommend krn ga sub logon ko ky wo Satoshi Nakamoto ka whitepaper zaroor Read krn. Is ma zayda technical baatan nhi han aur ya Bitcoin ke working ko samjhna ma madad deta hy. Ya whitepaper freely internet py available hy. Agr kid ko koe cheez samjh na aya to yahan post kr dy hum apas ma discuss kr lyn ga. Ise tarah knowledge sharing sa knowledge increase hoti hy.
Ma apki post py nikl rha hn yahan sa.

hero member
Activity: 1414
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
March 20, 2023, 11:49:53 AM
snip
hahaha, sorry for late reply, gee cricket naam hi unpredictable khail ka hai bazi kb bdl jai kuch pta nhi chlta, baki rhi baat gamblers ki unka to Allah hafiz hai hm kya kr skty hain, chahy paisy doby ya ay, multan waly game ly to gy thy actually 5 wides bi gy thi lahore walo ki trf sy and akhir my jo over krwa rha tha lahor walo ka wo kafi chill lg rha tha pressure mai nhi aya. tension bndy ky chehry sy nazar a jaty hai but he was chill like fully confident about success. baki psl ka maza ata hai dekny ata hai lekin mai ny pichly 2 nhi dekhy like not a single interest.


Khair again me ni encourging gambling and you are not promoting and assisting in dark web crimes. Right?
For me right, For you not right, hehehe. mazak kr rha. bro apki apni niyat hai apni koi base hai idk what but dua hai Allah sy ky wo sbhi ko (including me and you) seedhy rsty py ly we any of us at wrong or not. baki ap sy bi isi ki umeed krta hoon. thing is no doubt people thought like paisa any jany wali cheez hai. kafi logo sy wasty nikl rhy hain in real life who are involved like in interest base things i do not understand why, they have earned that much money ky agr wo beth kr khana bi chahy to kha skty hain but nhi halal rozi ko haram kr rhy hain. (mai koi milvi to nhi hoo lekin kisi hd tk galt or sahi ka dehan rkh leta hoon Allah ky huk sy) well amlo ka daro midar niyato pr hai lekin agr sharab is niyat sy raat ko pi jai ky nasha time sy utry or subha nimaz padhy ja sky then idk what the case here. same for mixer. as far as i know nothing bad happening in yomix so, i am in. when i came to know if kuch ho rha hai to Allah sy dua hai ky wo mujhy hidayat ata frmy. ameen.

please spot me Thank so much regards[/color][/center]
Ok compromise bro apko hm compromise krain gy wesy apka naam kafi unique hai kya souch kr rkha tha. if you do not mind to share back end story.

snip
Totally agreed.

snip
hahaha bhai shan apki post ky oper hi hina api kuch kh kr hti hain, well i can understand the feelings ky jb apki pasndeda cheez khtm ho jaty hai to dukh hota hai as jb series khtm ho jaty ho gi hehe. well sb temporary hai ramzan any wala hai drasal isliya mahol bnany ki koshish kr rha hoon.

Agli dafa mere city ki team aye giii haha and I am sponsor.
wesy hamza2424 bro news to ai hai next time 2 new teams add ho rhi hain well that will be a turning point for psl and for fans lets see which teams are those, baki ap ki team ka kya name hai, maybe hm kuch rs invest kr dain. profit 50 50 ho ga ok? hehe.

Yani 800CC sy kam gari walo ko Petrol Rs.50 sasta diya jaye ga.

Yeh to good news hai mujh gareebo ky liya heheh. sorry students ky liya. well shit, a rush padh jay ga pumps pr. maybe PSO walo pr padhy right? ya sbhi pr available ho ga.

legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
March 20, 2023, 09:52:57 AM
Bitcoin ka asal concept jo 2008-09 ma Satoshi Nakamoto na dea wo "P2P electronic cash transfer" hy. Yani hr owner directly kise dosra receiver ko directly transfer kr saqta hy baghr kise middlemen ka. Ya eik unique concept hy jo aj sa pehla nhi dekha gya. Banks and central government is concept ko zayda pasand nhi krta kyunka ya monetary control un sa ly leta hy. Is ka bavjood Bitcoin grow kr rha hy kyunka iske apni eik boht bre community hy.

Ise mera aik topic started ha jisme ye sare points and Bitcoin ki valuation and possible outcome from future possibilities ko discuss kia ha thread new ha itna purana nai ha so must check. Rahi baat Bitcoin ka concept ki iska primary maqsad sirf or sirf user ko control on money provide karna tha aik esa system jo ka P2P hoo Jo ka decentrali\ed ho jo ka user ki needs ko pooora kare jo ka cross border fess ka concept ko khatam karee. Lekin ajkal iski zarorat as a Universal currency ha due to economic crisis as USD ne pooori ecnmics ki esi ki tesi kardi jiska zimmadaar sirf or sirf US jo ka andha doondh Money print kar raha.

Yahan Hum 1 2 Billion Dollars ko roote ye sirf for avoiding Bankcuppcy $2T print lete jaab dil karta jitna dil karta print kar dete and ku kaa hum jessy mulkon ne USD ko abu ka darja de ka reserve rakha howa check karain zara hamare kaam.

$1M Bitcoin Valuation until the end of this Bull Run
hero member
Activity: 1120
Merit: 571
20BET - Premium Casino & Sportsbook
March 20, 2023, 07:58:32 AM
Banks are dumping and Bitcoin is pumping

Assalam  o alikum, Bitcoin ki mashoori ka ek wajah yeh hai keh yeh ghair markazi hai, yani isey kisi bhi hukumat ya mali idaray ka intizam nahi karna parta. Iss se sarfeen ko apnay maali amoor par zyada control milta hai aur hukumati dakhal o tadbir ya musalsal currency ki tabdeeli ke khauf kam hote hain. Is ke ilawa, Bitcoin ki transactions aam banking ke tareeqon se zyada tez aur sasti hoti hain, jis se kuchh sarfeen ke liye yeh aik mazeed asan tareeqa ban jata hai.
Iast mein, jabke bankon ki "dumping" aur Bitcoin ki "pumping" ke trend cryptocurrencies mein barhte hue dilchaspi ka aik ishaara ho sakta hai, magar sarmayedaaron ke liye zaroori hai ke woh Bitcoin ya kisi aur cryptocurrency mein invest karnay se pehle khatray aur faiday ko muntakhib tarz-e-fikr se ghor se sochen.

Bitcoin ka asal concept jo 2008-09 ma Satoshi Nakamoto na dea wo "P2P electronic cash transfer" hy. Yani hr owner directly kise dosra receiver ko directly transfer kr saqta hy baghr kise middlemen ka. Ya eik unique concept hy jo aj sa pehla nhi dekha gya. Banks and central government is concept ko zayda pasand nhi krta kyunka ya monetary control un sa ly leta hy. Is ka bavjood Bitcoin grow kr rha hy kyunka iske apni eik boht bre community hy.
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
March 20, 2023, 05:55:43 AM
To bhaio ab ap kaya aspect karty hen Arbitrum ki price ky bary my. Ek dafa to shoot out ho gi price phr panic selling hogi or dump bhi aye ga. Or phr pump bhi aye ga. Han I will suggest to hold for a while. Phr acha profit mil jaye ga. I am still bullish on ARB token. But koi kuch keh nai sakta may be I can be wrong. Kher ab pehly Rozy ko hi dekhty hen ky kaya price aati hai.?

full member
Activity: 784
Merit: 204
March 20, 2023, 05:03:39 AM
Mashallah community grow kr rhe hy aur roz ba roz new members a rhya hn. Ap, Umer aur Shahzad bhai hum juniors ko time to time guide krta rha krn. Ise tarah insan sekhta hy.
Busss community hi grow kar rahi hai bhai jaan or hmari activity bohat kam hoti jaa rahi hai.

To politics my bohat zyada shor hai aaj kal bhaio. Jesa ky PDM ki hukumat ny ghareeb ky liye Petrol my subsidy di hai. Yani 800CC sy kam gari walo ko Petrol Rs.50 sasta diya jaye ga.


Apna bilqil sahi point out kea hy. Aj kal hmaria activity kafi down ho gai hy even Bangladesh ke activity hum sa oper ja rhe hy. Ma jb bhe yahan ata hn Bangladesh ke thread ko Pakistani thread sa oper he pata hn.
Patrol ke price oper jana sa mehangai ka eik tofan aya hua hy. Agr ap 50 rupees ka rebate ly bhe leta hn tb bhe apko hr cheez mehangi he mila ge. 50 rupees discount ka baad bhe Patrol 220 ka bnta hy. Eik saal pehla Shahbaz Sharif na March kea tha 150 rupee per liter ka khelaf.
member
Activity: 112
Merit: 18
March 20, 2023, 05:01:48 AM
Assalamualaikum SHIB jis kaafi mushkilat ka saamna kar raha hai, jaise Silicon Valley Bank ke girne ke baad. Shibarium ke launch ke baad, SHIB ki keemat ko buland hone ki ummeed hai. Is ke alawa, Vitalik Buterin ke zariye SHIB coins ko jalane aur Shiba Inu community ke mukhtalif muhimat ki himayat jaise maamlaat bhi zikr kiye gaye hain. Is article mein Shiba Inu Incubator aur Shiba CC Game jaise karobari masail bhi uthaye gaye hain. Lekin, memecoins ke mustaqbil aur Crypto whales ke SHIB coins farokht karne ke asraat ke hawale se is ke mustaqbil ke baare mein shak o shuba ka izhaar bhi kiya gaya hai
full member
Activity: 308
Merit: 109
March 20, 2023, 04:10:49 AM
Banks are dumping and Bitcoin is pumping

Assalam  o alikum, Bitcoin ki mashoori ka ek wajah yeh hai keh yeh ghair markazi hai, yani isey kisi bhi hukumat ya mali idaray ka intizam nahi karna parta. Iss se sarfeen ko apnay maali amoor par zyada control milta hai aur hukumati dakhal o tadbir ya musalsal currency ki tabdeeli ke khauf kam hote hain. Is ke ilawa, Bitcoin ki transactions aam banking ke tareeqon se zyada tez aur sasti hoti hain, jis se kuchh sarfeen ke liye yeh aik mazeed asan tareeqa ban jata hai.
Iast mein, jabke bankon ki "dumping" aur Bitcoin ki "pumping" ke trend cryptocurrencies mein barhte hue dilchaspi ka aik ishaara ho sakta hai, magar sarmayedaaron ke liye zaroori hai ke woh Bitcoin ya kisi aur cryptocurrency mein invest karnay se pehle khatray aur faiday ko muntakhib tarz-e-fikr se ghor se sochen.
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
March 20, 2023, 03:29:22 AM
Mashallah community grow kr rhe hy aur roz ba roz new members a rhya hn. Ap, Umer aur Shahzad bhai hum juniors ko time to time guide krta rha krn. Ise tarah insan sekhta hy.
Busss community hi grow kar rahi hai bhai jaan or hmari activity bohat kam hoti jaa rahi hai.

To politics my bohat zyada shor hai aaj kal bhaio. Jesa ky PDM ki hukumat ny ghareeb ky liye Petrol my subsidy di hai. Yani 800CC sy kam gari walo ko Petrol Rs.50 sasta diya jaye ga.

https://www.thenews.com.pk/print/1051783-rs50per-litre-petrol-subsidy-for-poor

Or Petrol ki Subsidy hasil karny ka tariqa kaar is photo my ap dekh sakty hen. Jis ky mutabiq ap ko apna qomi shnakhti card number 786 par SMS karen.

full member
Activity: 784
Merit: 204
March 19, 2023, 11:43:28 PM
Assam I Alikum,
Community how it going, to khair ye saab to chalta rehe ha but I was curious is haha hamri Naga sai New members ne lii ha humian moqa hi nai milta post karne ka khair Jo bi ha schwa haa abb lagta ha hamara kam sirf inko guide karna reg gya ha baqi ye behtar jantee hain still abi kuch keh nai sakte reason ka ye new to kafi months se add jo rehe but active 2 3 reh jate woo bi rare case ha haha.

kuch interesting to nai raha as politics to kafi kam discuss hoi is month + hamari voting ka bi koi reault nail nikla maximum ne rules ko follow hi nai kia khair ye to purani baat ha.

New ye ha ka Dil boat roya Multan haar gya But wo bii 1 run see. But prize sare inko hi mille gain haha 😂. Agli dafa mere city ki team aye giii haha and I am sponsor. Team name abi soocha nai kuch suggest karwao pata chale kitna talent ha hamari community. Maa.

Mashallah community grow kr rhe hy aur roz ba roz new members a rhya hn. Ap, Umer aur Shahzad bhai hum juniors ko time to time guide krta rha krn. Ise tarah insan sekhta hy.

Poltics ma to aj kal sirf Imran khan he hy. Lug yahi rha hy ka us leader ko ya log arrest kr ka he dum lyn ga. Mulk to pehla he default hua hy, khair inko kya parwa.

Final matcch bra he entertaining tha. Maza aya dekhna ka. Apka city kon sa hy? Naam btyn ma uska lea naam sugges krta hn.
Jump to: