Author

Topic: Pakistan - page 537. (Read 6448735 times)

hero member
Activity: 2464
Merit: 877
March 15, 2023, 06:03:40 PM

Playoff:  Lahore Vs Multan (Aaj 7 PM)
Playoff:  Islamabad Vs Peshawar ( Kal 7 PM)
Playoff: Lahore aur Multan mai jo loss karega Vs Islamabad aur Peshawar mai jo win karega (17 March 7 PM)

Final: (19 March 7 PM) Gladiatorcomeback match dikh k jaana  Kiss


Muje en mai 2 team aise hai k mai chahooga k wo win kar jae. first one Peshawar Zalmii because of home team aur my favorite batsmen Haris jab k dosree team Multan because of Rizwan.


Ap ki aik wish tu puri hogi, Multan final mein pooch gia hay aur aus nay kaal Lahore ko boaht buri defeat di. Lahore Qalandar ko apnay home ground p 84 runs c defeat dena aik bari baat hay.

Meay khayla c final bhi Lahore Aur multan ka hi lag raah hay. Kaal agar app ki favortie team Peshawar jeet bhi jati hy tab bhi aus ko 2nd Eliminator Lahore c hi kelhna peray ga aur i don't think k Lahore consecutive two matches haray ga apni home pitch p.

Anyways koi bhi jeetay, yeh baat tu hay k PSL ka aik aur sucessfull edition sunday ko end ho jiey ga. Aik asay waqat mein jabkay mulk mein full inflation hy aur halat bohat kharab hein , this is a good sign k PSL sucessful hogia aur koi issue ni aya.
member
Activity: 112
Merit: 18
March 15, 2023, 03:08:26 PM
Quote
Bhai jaan wo bat to theak hai bhai jaan achi information hai . Par please ap ny ye information jahan sy bhi li hai wahan kaa link copy kar ky nichy reference ky tor par add kar den.

Copy paste sy gurez karen. Or kabhi karen bhi to please reference zrur den. Nai to plagiarism ky jurm my ap ko Bitcointalk sy be dakhal bhi kiya jaa sakta hai. So please bhai ehtyat karen. Copy paste bilkul bhi mat karen. Or information kaa source link zrur den. Bar bar ek bat dohra raha hun taa ky ap bachen iss sy. Shukriya
Bhot bhot shukariya Bhai jaaan  AP bhaiyon ke spot or guidance ke waja sy hamray yanhan par posting ka muka Mila . Main aap ka matlab samajh gaya hoon aur aap ke khayaalat ka qadar karta hoon. Aap ki baat bilkul theek hai ki agar kisi jaga se koi information li jaye to us ka source link zaroor diya jana chahiye. Agar yeh nahi kya jaye to yeh plagiarism ki surat mein dekha jata hai. Main aap ki salah par amal karunga aur aap ka shukriya karta hoon Dil Sy or bahi spot thori or spot kargiyan karien AP ke spot Sy hunsala wazai Hoti hai
 

The Bitcoin Miner game has presented more than 1 million players with the opportunity to acquire bitcoin.
Bitcoin Miner ek mashhoor mobile game hai jo Bitcoin ki mining process ko simulate karta hai. Khilari apne virtual mining rigs ka istemal karke cryptocurrency ko generate kar sakte hain aur inaam hasil kar sakte hain. Jabki game khilariyon ko Bitcoin kamane ka mauka pradan kar sakti hai, lekin mahatvapurn hai ki yah seedhe taur par cryptocurrency exchange ya doosre sadhanon ke madhyam se Bitcoin prapt karne se alag hai.

Bitcoin prapt karne ke liye, vyakti aam taur par cryptocurrency exchange ke madhyam se ise kharidna hota hai ya fir kisi aur vyakti se kharidne ke liye taiyar hai. Fir ve Bitcoin ko ek nivesh ke roop me ya cryptocurrency ko svikar karne wale vyaparik dukaanon mein kharch karne ke liye istemal kar sakte hain. Mahatvapurn hai ki Bitcoin ki kimat atyadhik avolatile ho sakti hai aur cryptocurrency mein nivesh karne se khatare hote hain.

Aakhir mein, jabki Bitcoin Miner jaisi khelon mein khiladiyon ko Bitcoin ki mining process ko simulate karne aur sambhavatah inaam kamane ka mauka pradan karne ki suvidha hai, ve cryptocurrency prapt karne ka avashyak sadhan ke roop me dekha nahin jana chahiye
full member
Activity: 308
Merit: 109
March 15, 2023, 02:17:22 PM
Aoa, Bitcoin ke peechay haalat ne bohat hila dala tha, lekin kuch hafton ke baad, March 13, 2023 tak Bitcoin ne taizi se 9% ke izafa ke sath 22,500 ke levels par trade kia. Bitcoin ka dobara ubhar kuch achi khabron ke bunyad par hai jo U.S. ke siyasi aur maali nizaam mein shamil hain. Un mein se aik khabar in line job data ke mutabiq thi aur sab se ahem khabar yeh thi keh U.S. authorities ne apne mulk ke maali aur banking nizaam ko bachane ka plan tayyar kia hai, jo keh shaky market mein crypto enthusiasts ke itmaad ko mazboot kardeta hai. Is waqt Bitcoin ki daily trading volume $35 billion ke upar hai.

Sirf aik hafta pehlay, dunya ke sab se bade cryptocurrency Bitcoin ke levels $20,000 se bhi kam hogaye thay. Is haftay mein technology-focused Silicon Valley Bank ke kharab honay ki waja se U.S. banking system mein baqiyaat mein bhi kharabiyan nazar aa rahi hain
Baki Jabke Bitcoin ki mustaqbil abhi tak anjaam nahin paa chuka, is liye retail investors ko Bitcoin ki her harkat par bohat hi ehtiyat se dekhna chahiye, kyunkay yeh Bitcoin ke liye bohat qisam ki musibaton wala mahina raha hai. Is tarah ki shadeed tabdeeliyon ki wajah major markets jaise U.S. aur UK ki maali halat hai.

Or 2022 k saal sab cryptocurrencies k liye aik mushkil saal raha, jis mein Bitcoin bhi apni market value k kareeb 65% gawa baitha. Lekin, Bitcoin ne taizi se bahali ki hai aur 13 March, 2023 tak taqreeban 9% izafa ho chuka hai, aur 22,500 ke level par musbat tareen tajawuz kar raha hai. Muta'liq mahireen Bitcoin k baare mein pur khuwah hain kyun k US authorities ki bachao plan aur agle saal hone wale halving event ki wajah se is ki supply ka tange waza'a hoga aur qeemat buland ho gi. Lekin, kuch investors, corporates aur bade hawale se institutions bearish nazriya rakhne k saath nazdiki mustaqbil mein girawat ka iqdam qaim karne ka tasawwur rakhte hain.
newbie
Activity: 20
Merit: 4
March 15, 2023, 01:37:18 PM
BITCOIN : THE EVOLUTION

As a fairly new explorer of crypto world , Bitcoin fascinates me .The evolution of Bitcoin is not less than a fairy tale.
From nobody to becoming the most valuable and stable coin , Bitcoin has evolved magnificently.

Many more currencies have emerged in market in the last few years, but Bitcoin still remains the most trusted one.
In year 2010 the value of the bitcoin was only $0.39 , today it stands at a whopping $24279.00.Having touched $61,699.00 in March 2021.

There were no exchanges available where Bitcoin could be traded. In 2009 Bitcoin talk forum went online and brought together people who were interested in Bitcoin and were ready to brainstorm together to take it further.

The very famous NewLibertyStandard founded the New Liberty Standard Exchange, and, exchanged 5050 Bitcoin against $5.02 via PayPal with another Forum user Sirius.
This started the journey of Bitcoin trading against Fiat currency.

Today there are numerous exchange where Bitcoin can be traded. The question how secure they are?

Coinbase, Binance are amongst the most popular one and secure one. Having started in 201 and 2017 respectively , they are being used worldwide by many users. What you need to make sure before using any exchange that they offer services in your region /country.

And most importantly you must check before making any  investments on any exchange that are secure and have a strict criteria for opening an account. Some accept only certain type of KYC others might be little lenient towards it. One must always be vigilant when investing their money.

This information might not be new for most of you, but for someone like me who has just started it is a simple summary of Bitcoin  journey and a little piece of advice on using an exchange for trading.

Sources used : Bitcoin Price History Chart (2009, 2010 to 2023) (buybitcoinworldwide.com)
                    : www.coinbase.com

hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
March 15, 2023, 01:28:43 PM
6 Ways to earn passive income from crypto in 2023
Bhai jaan wo bat to theak hai bhai jaan achi information hai . Par please ap ny ye information jahan sy bhi li hai wahan kaa link copy kar ky nichy reference ky tor par add kar den.

Copy paste sy gurez karen. Or kabhi karen bhi to please reference zrur den. Nai to plagiarism ky jurm my ap ko Bitcointalk sy be dakhal bhi kiya jaa sakta hai. So please bhai ehtyat karen. Copy paste bilkul bhi mat karen. Or information kaa source link zrur den. Bar bar ek bat dohra raha hun taa ky ap bachen iss sy. Shukriya.
jr. member
Activity: 37
Merit: 7
March 15, 2023, 12:42:20 PM
Assalamu Alekum everyone
Multan Sultan's final mn Qualify kar gya AlhamdulillAh.
Multan Sultan's fans k liye ye khushkhabri ki bat ha.
Actually aj boling pitch thi lekin phir b Multan Sultan's ny kaafi acha run bnaya as compare to Lahore Qalandar.
1) power play mn Jo Multan ny gripp pakri ha wo beneficial sabit hoi.
2) Cottrell ny buhat achi bowling ki jo main multan k liye beneficial sabit hoi.
3) Kieron pollard ki batting achi rahi pitch condition k hisab sy. 34 balls 54 runs
4) Fielding mn b achi performance thi AlhamdulillAh.
At the end buhat acha khela multan, best wishes for Multan Sultan's teams and fans
hero member
Activity: 462
Merit: 767
Instant cryptocurrency exchange with own reserves!
March 15, 2023, 10:30:01 AM
Dostoon!
Yaha koi ChipMixer use karta tha kya?
ChipMixer.com ka website Aj US aur German Authorities milke Seize kar liya. 1909.4 Bitcoin (44.2 Million Euro) aur 7 TB Data bhi Seize kar liya. Unka 4 Server tha, wo bhi Seized kar liya. Forum ka highest paying signature Campaign off hone wala hain.


http://chipmixer.com/

https://www.europol.europa.eu/media-press/newsroom/news/one-of-darkwebs-largest-cryptocurrency-laundromats-washed-out
member
Activity: 112
Merit: 18
March 15, 2023, 09:54:27 AM
Quote
Mai tho hairan hoo es bawaqoof awam par k ye jav sudhre ge. wo shaks jo girgit ki tarah rang badalta hai , kabe kahta hai k Giraftari do aur ab khud giraftaar hone se etna dar raha hai. esi makar, mulk dishman aur yahood dost niazi ki waja se tho aaj mulk es soorat hal se guzar raha hai. Acha bala mulk chal raha tha. Nawaz shareef ka Door Golden Period tha jaha belkul sukoon he sukoon tha aur ye Munafiq sift insan 70 rupe petrol, 50k rate per tola sona, doller 106 ko mehngai k naare lagane laga aur qarz na mangne ka dilasa dilatha raha. poori fauj ne mil kar es ko jitwa dia aur per jo haal huwa mulk ka k aunda 10 nasle yad rakhe gee. Allah Kareem es ko zaleel kare aur aisa zaleel kare jis tarah es ne Pakistan k logo ko zaleel

Quote
Bhai apni apni soch ke baat hoti hy. Khan na aur kuch kea na kea kam az kam 75 saal sa jo log is mulk ma jo drama ho rha tha us ka sub characters ko nanga kr gya. Ab hum kise galat fahmi ma nhi hn ky hmari establishment hmari haq ma decision lati hy

Khan ab hmari zid hy, jis tarah Army ke zid hy ky wo kise sorat nhi pecha hatya ge.

Allah Khan ka hami o nasar ho. Ameen

Assalam-o-Alaikum. Bhai ye AP ke bat bilkul prefect hai k har Kise ke apni apni soch Hoti hai . Hamray mulk mein hamesha se siyasi aur maashi masail ke hal ke liye logon ke apne apne nazariye hote hain aur unhain apne tariqon se hal karne ki koshish ki jaati hai. Lekin humein yeh bhi yaad rakhna chahiye ke koi bhi fard, chahe woh prime minister ho ya phir establishment ka hissa ho, mulk ke mukhtalif afsaron aur jamatono ke zimmedariyon ka hissa hota hai aur uske paas apni apni hadood hoti hain. Isi tarah Army bhi mulk ki suraksha aur qaum ki hifazat ke liye apni apni koshishon mein laga hua hai.

Lekin jab baat mulk ke masail ki aati hai, toh har fard aur har idaray ko mulk aur qaum ki khidmat karni chahiye. Siyasi jamatien apni apni siyasi agendas ko lekar mulk ke masail ko hal karne ki koshish karti hain, lekin in mein se koi bhi siyasi jamat ya fard mulk aur qaum ki khidmat ke baghair kamyab nahi ho sakta. Is liye hum sab ko chahiye ke hum apni apni siyasi aur maashi idaron ko support karte hue, mulk aur qaum ke masail ke hal ke liye apne qabil aur amli tariqon ko dhundhne ki koshish karein.

Allah hum sab ko mulk aur qaum ki khidmat karne ki tofeeq de. Ameen.


Baki Allah pak ham sab k halatun or hamray oper apni rahmat Karie 🤲 Ameen

sr. member
Activity: 560
Merit: 365
Pakistan Local Board Request
March 15, 2023, 09:28:25 AM
Assalamualaiqum
Hope everyone will be good. The reason of this typing here is that i want to know about the synchronizing leger in blockchain. I saw a lot of videos on this but none of them can help me to understand. After watching some videos it doesnot help me to fully understand then i realized why should i am not asking it on Bitcointalk forum. So i am here to knows the view of everyone on Synchronizing leger in blockchain , Not a few but want everyone to give his valuable answer about it. On thing you should remember is that to explain it in easy way as much as it possible.

Waalaikumaslam JunaidAzizi Bhai Umeed karta ho ap theek ho gay mene easy way m explain karny ki Koshish ki h hopefully apko samagh a jay

"Jab hum blockchain ki baat karty h to hum digital ledger ya transactions ka andaza lagaty h. Yeh ledger net work ke computers ya nodes ke zariye muntazim kiya jata h jo internet ke zariye apas mein jude hote h.
Is ledger ki durustgi ke leye net work ke tamam nodes ko ek he maloomat ki zaroorat hoti h. Is mein hum synchronization ke mutaliq baat karty h.
Synchronization woh amal hai jis mein net work ke har node ko ledger ki taza tareen version ke sath update kiya jata h. Jab neya transaction ledger m shamil hota h to usy net work ke zariye tasdeeq karky tamam nodes par shamil kiya jata h.
Yeh amal blockchain ki hifazat or sehat ky leye zaroori h. Agar kisi ek node ke paas dusry nodes sy mukhtalif ledger ki version ho to transaction tasdeeq ke sath masla paida ho sakta hai.
Tamam nodes ko synchronize karne ke leye blockchain net work proof of work ya proof of stake ke zariye kaam karta h".

Ye imgurl ko pata nahe kya huwa hai k kam hee nahee kar rahaa hai. jis k pas kaam nahee kar raha wo imgbb use kar sakthe hai image upload karne ke leye

Ji Anon Bhai Imgur my baaz oqat issue a jata h inki site he open ni Hoti or my isi Leye imgur use ni karta. Mene jab b koi post m use use Karni Hoti h m imgbb he use karta ho isko waisy b use Karna booht asan h inki site m my ziada issues b ni aty ha kabi kabar issue a jata h phir m Link picture ki site use kar laita ho wo b same imgbb Jessi he h



Assalamualaikum sab Bhaio ko! Umeed karta ho sab khariyat Sy ho gay
Hum janty h Pakistan my sab sy achi service Jazz Network ka h or m to personally jazz ki sim he use karta ho quu KY inki service booht achi or Fast h or dekha jay to inky packages b other networks Sy achay hoty h I think sab jazz network ki sim zaroor use karty ho gay or baaz oqat hum jab load karwaty h to package lagwany ke Leye to jab balance hamari sim my ata h to Kuch der KY baad wo khud ba khud cut ho jata h quu KY humny ya automatically Kuch services subscribe ho jaty jissy automatically hamary balance cut ho jata h phir mujy 1 code Mila jissy hum apny balance ko save kar KY secret balance my save kar sakty h or package lagany KY bad Kuch balance Reh jata h wo waisy para para zaya ho jata h is ke Leye kaafi mafeed h or jab apko zaroorat ho tab ap secret balance Sy transfer kar KY main account m ly sakty h or abi mere paas Kuch balance h m unko save Karna chahta ho


STEPS: How to Save Balance?

1. Sab sy pehly ap NY apny dialpad par *869# code dial Karna h phir Kuch option show ho jay gy

Note: First time jab ap dial Karne gay to kabi kabar yaha likha a jata h apki darkhasat par Amal Kiya ja Raha h jab y ay to phir Koshish ki jeay ga


2. Y teen option apky samny a jay gay
  • Raqam dalain
  • Raqam nikalein
  • Service khatam karen

Phir ap 1 likh kar send kar den or isky bad ap apni Raqam likhein jitni ap save Karna chahty h phir utni Raqam likh kar send kar den phir apka balance secret account my save ho jay ga


3. Ab ap dekht sakty Mera balance save ho Chuka h ab is balance koain account m transfer karny ke Leye apky same 1 Wala step Karna h lekin tab apny 2 wala option select ni Karna quu KY jab ap Wala option Karen gay or Raqam ko nikalein gay to error a jay ga Issy acha h ap 3 Wala option select kar Len service khatam karny Wala phir ap e likh kar send kar den phir apsy confirmation mangay gay q likh kar send kar KY confirm kar den phir apka balance main account m transfer ho jay ga.

Note: jab ap apny balance ko save Karen gay tab koi tax ni lagay ga lekin jab ap Raqam ko secret account sy mikalen gay tab 1 RS tax lagay ga or ap 2 RS sy ziada or 100 RS sy Kam balance save kar sakty h
hero member
Activity: 1120
Merit: 571
20BET - Premium Casino & Sportsbook
March 15, 2023, 07:27:30 AM
Mai tho hairan hoo es bawaqoof awam par k ye jav sudhre ge. wo shaks jo girgit ki tarah rang badalta hai , kabe kahta hai k Giraftari do aur ab khud giraftaar hone se etna dar raha hai. esi makar, mulk dishman aur yahood dost niazi ki waja se tho aaj mulk es soorat hal se guzar raha hai. Acha bala mulk chal raha tha. Nawaz shareef ka Door Golden Period tha jaha belkul sukoon he sukoon tha aur ye Munafiq sift insan 70 rupe petrol, 50k rate per tola sona, doller 106 ko mehngai k naare lagane laga aur qarz na mangne ka dilasa dilatha raha. poori fauj ne mil kar es ko jitwa dia aur per jo haal huwa mulk ka k aunda 10 nasle yad rakhe gee. Allah Kareem es ko zaleel kare aur aisa zaleel kare jis tarah es ne Pakistan k logo ko zaleel kia.

Bhai apni apni soch ke baat hoti hy. Khan na aur kuch kea na kea kam az kam 75 saal sa jo log is mulk ma jo drama ho rha tha us ka sub characters ko nanga kr gya. Ab hum kise galat fahmi ma nhi hn ky hmari establishment hmari haq ma decision lati hy.

Khan ab hmari zid hy, jis tarah Army ke zid hy ky wo kise sorat nhi pecha hatya ge.

Allah Khan ka hami o nasar ho. Ameen.



Funcoin Karobar Update # 4:

Yani abi bhi ham +$19.60 ~ 39.20% profit main hain Smiley..... Flop business


Mashallah Shahzad Bhai ya to bari achi news de hy ap na. 50$ invest kea hy aur 19$ ka profit a gya hy. Samjh nhi a rhi ka koe aur kyun nhi join kr rha ya investment pool? Smiley))
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
March 15, 2023, 06:36:09 AM
bas us k bad send kar de aur ap ka KYC pending mai chala jaega. ap apni KYC ka status yaha se check kar sakte hai.
Mujy kushi hoge agr apki KYC approved hojai q ky mujy KYC submit kiyaa howy more than 2 months hogai but still status pending Mai hai , abhi Jo forms ayee te KYC ky liyaa woh bhi fill kiyaa but unfortunately still pending..
Mary paas around 2000 pi hai jis ma 1050+ withdraw able hai but AP KYC pa baat atkee hai.

Muje en mai 2 team aise hai k mai chahooga k wo win kar jae. first one Peshawar Zalmii because of home team aur my favorite batsmen Haris jab k dosree team Multan because of Rizwan.
Personally ma two team ko support karr Raha hu ik toh same apki Tarah Peshawer due to home town aur doosre Islamabad ko woh issliya q ky yeh woh wahid 2 teams hai jinhoo ny gambling sponser ko avoid kiyaa. So abb Islamabad aur Peshawer ka game hai toh ma chahunga ky Peshawer jeety aur final bhi jeety , q ky Peshawer ki Jeet unn tamam teams ky Muu par tamancha hoga jinho ny gambling sponsers rakhy hai
And no doubt Peshawer ki batting lineup pa mujy baroosa hai q ky inho ny alredy Lahore bowling ky khilaf 200+ runs banai hai.
member
Activity: 112
Merit: 18
March 15, 2023, 05:45:16 AM
Quote
Local thread py dosra users yahi kah rhay hn ka ap apna case pursue krta rhyn. Aur apni thread ko active rekhyn. Bus yahi tareeqa hy apna local board lena ka. Bus hmara kam hy apni pori koshish krna. Baqi results Allah py choor dyn.
aap  ne bohat acha mashwara diya hai ke har shakhs apni thread ko active rakhein aur apna case pursue karte rahein takay local board ke members unki madad kar sakein.
Main poori tarah se sehmat hoon ke hamain apni mehnat aur koshish se kaam karna chahiye, lekin kabhi-kabhi koi insaan apni mehnat ke bawajood apne haq ki ladaai mein kamyaab nahi hota. Isliye Allah se dua karni bhi zaroori hai aur uske haath mein apni kamyabi ki qismat likhwani chahiye.
Mujhe puri umeed hai ke aap logon ki mehnat, lagan aur dua se apko apna haq zaroor mil jayega. Jazak Allah khair.

Quote
Bahot achi bath hai k ham ne 650 ka sange meel b jaldi oboor kar lia aur ye silsisla yunhi chalta rahe ga inshaAllah. jaha thak 1000 pages ka ap ne kaha tho ham ne Jo Meta ma request ki thee us mai jo reply ae the us se tho belkul nahe lagta k number of pages ka separate board se koi rishta ho. Local board depends karta hai Theymos k zehen k oper. Jab b us k zehen mai aaya tho hme khabar b na hogee k Congratulations k sadaae buland hogee.
Yeh bohot achhi baat hai aur main aapko badhai deti hoon!

Lekin aapko ye jaanna hai ki jab tak Theymos, BitcoinTalk.org ke founder aur admin, iss baare mein decide nahi karte ki kya hona chahiye, tak hum ye nahi keh sakte ki aapki achievement ka kya reward hoga. Isliye, aapko sabar rakhna hoga aur Theymos ki decision ka intezaar karna hoga.

Main aapko phir se badhai deti hoon aur aapki aur aapke saathiyon ki sada-kamyabi ki kaamna karti hoon!


6 Ways to earn passive income from crypto in 2023

1
Staking: Many cryptocurrencies, such as Cardano (ADA), Ethereum (ETH), and Polkadot (DOT), allow users to stake their coins and earn interest. Staking involves locking up a certain amount of cryptocurrency to support the network and validate transactions. In return, stakers receive rewards in the form of new coins.
2
Yield Farming: Yield farming involves lending out your cryptocurrency to earn interest, which is paid out in the form of more cryptocurrency. Platforms like Aave and Compound allow users to lend out their crypto and earn interest rates ranging from 2% to 20% per year.
3
Masternodes: Some cryptocurrencies, like Dash and PIVX, offer masternodes as a way to earn passive income. Masternodes are essentially servers that support the network by performing tasks like validating transactions and managing governance. In return, masternode operators earn a portion of the block rewards.
4
Staking Pools: Staking pools allow multiple users to pool their resources and stake their coins together. This allows small investors to participate in staking, which is usually only available to larger investors. Staking pool providers take a small fee for their services, but investors earn a portion of the rewards.
5
Decentralized Finance (DeFi): DeFi platforms like Uniswap and SushiSwap allow users to earn passive income by providing liquidity to their liquidity pools. Liquidity providers earn a portion of the trading fees generated by the platform.
6
Crypto Savings Accounts: Some platforms, like BlockFi and Celsius, offer crypto savings accounts that allow users to earn interest on their cryptocurrency holdings. Interest rates vary by platform and cryptocurrency, but can range from 1% to 10% per year.

2023 mein cryptocurrency se pasand income kaye tareekon se kamaya ja sakta hai. Coins ko staking kar kay, cryptocurrency ko interest ke liye loan dena (yield farming), masternodes chalana, staking pools mein shamil hona, DeFi platforms mein liquidity provide kar kay aur crypto savings accounts ka istemal kar kay passive income kamaya ja sakta hai. Cardano, Ethereum aur Polkadot jaisi cryptocurrencies users ko apne coins ko staking kar kay interest kamane ki ijazat deti hain, jab ke Aave aur Compound jaise platforms yield farming dete hain. Masternodes, jo network ko support karte hain, kuch cryptocurrencies jaise Dash aur PIVX ke liye uplabdh hote hain. Staking pools chote investors ko staking mein hissa lenay ki ijazat dete hain, jab ke Uniswap aur SushiSwap jaise DeFi platforms liquidity provide kar kay passive income kamane ki ijazat dete hain. Aakhir mein, BlockFi aur Celsius jaise crypto savings accounts 1% se 10% tak saalana interest rate provide karte hain

This my topic and my collection
yeh mera topic hai aur mein ummeed karta hoon ke aapko issey zaroori aur mufeed ilm hasil hoga. Is mawzoo par ghor karna bohat zaroori hai, aur yeh aapki ilmi taraqqi ke liye aik maqsad ki taraf ishara karta hai. Mein yahan iss mawzoo ke hawaley se apni ra'ay aur malumat ka izhaar karne ki koshish kar raha hoon, taake aap iss mawzoo ke bare mein mazeed tafseel se jan saken.
full member
Activity: 784
Merit: 204
March 15, 2023, 03:36:18 AM
~~~

Bahot achi bath hai k ham ne 650 ka sange meel b jaldi oboor kar lia aur ye silsisla yunhi chalta rahe ga inshaAllah. jaha thak 1000 pages ka ap ne kaha tho ham ne Jo Meta ma request ki thee us mai jo reply ae the us se tho belkul nahe lagta k number of pages ka separate board se koi rishta ho. Local board depends karta hai Theymos k zehen k oper. Jab b us k zehen mai aaya tho hme khabar b na hogee k Congratulations k sadaae buland hogee.

Local thread py dosra users yahi kah rhay hn ka ap apna case pursue krta rhyn. Aur apni thread ko active rekhyn. Bus yahi tareeqa hy apna local board lena ka. Bus hmara kam hy apni pori koshish krna. Baqi results Allah py choor dyn.


Gee bhai congratulations to all baki yeh baat confirm hai ky 1000 pages ky baad pakistan ko confirm board mil jai ga? Ky ya phr yeh khud hi ik aim rkha howa hai to apply again for board again. If this is the case then phly btana tha pages or 20 posts hoty hain and with proper strategy we can take it to 1000 pages like in one month i am not bluffin agr sb mil kr kaam krain to yeh possible hai and i am ready to contribute


Gee yeh baat to apki bilkul darust hai. Sb sy zayada sender ko sb sy km merits mil rhain hain so i think if he posts like maybe regulary or contribute like he was active before then defenetly he will gain merits that's what i said before. Baki contribute krny ki pori koshish kroo ga is baar shahzad bhai apky liya

Umer Idrees bhai na to sedha sedha na kr de hy. Kah rhya hn ky 1000 pages ky baad bhe koe gurantee nhi ka page mila ga ya nhi. Chalan hum apna kaam jari rekhtya hn.

@Shahzad Afzal please do the needful in light of Faisal2202 above highlighted comments Smiley

~~

Asa koi requirement ni hay k 1000 pages hon gay tu local board bunay ga. Even k kuch saal phelay kisi moderator nay kaha tha k pheay 600 pages tu ker loo phir board ki baad kerna aur ab 650 pages kay bawojod bhi koi  local board ni buna. Even Nigeria kay to 600 pages bhi ni thay aur aun ka board bun giya. I think ab bus luck chayee humein aur humra board bun jiey ga kabi na khabi.

Pta kryn ka Nigeria valon na aisa kya kr lea tha jo unko apna separate local board mil gya. Hum to posts kr kr thuk gya Thymous to reply krna ka naam he nhi ly rha.

~~
Ji bilkul MusaPk Bhai aisa he hota h mere Sath b m b koi token buy kar KY hold karo or jab buy kar laita ho to tab uski price nichay Jana shoro ho jati h or phir y dekh kar un tokens ko sell kar daita ho or phir UN tokens ki price my acha khasa pump ata h phir  Huh

Abhi phr hand ho gya hy. Bitcoin na rally mari to ma na phr kuch Bitcoins utha lea hn aur tb sa Bitcoin ko phr break lug gai hy.

~~
Naseem shah bhi chalay ga but we need pindi express....

City koe bhe ho bus express hona chahya. kyunka pora Pakistan hy apna Pakistan. Waisa Ihsanullah ke bhe achi pace hy.

~~
Nahi yar main kon hota hon Ayyan Ali tu hamari punch se bahir hia... wo tu bus aise he zikar aagia... i heard jab ho President house jati thi aur gaurd pochate the kon tu she use to say ..."First Lady to be".

Gee bhai ya to hy. Piece hy to bra tair Smiley

~~

بے لوث محبت کا صلہ ڈھونڈھ رہا ہوں
ناداں ہوں یہ اس شہر میں کیا ڈھونڈھ رہا ہوں.


wo ap k Bya-Los se ye shair yaad agia.... 78 merit yani iss main 39 tu ap ko lgon yahan lazmi shair karne chahin....

See the perfect example of MusaPk  10 Received 6 Retuned Ma Sha Allah...

wallah ye stats next hamin analyze karni chahin....kia khiyal hia... pata tu chalay yahan se meri le log ja kahan rahay hian Cheesy


bilkul sahin pakrin hian ap Musa bhai... bus agar stats pe ye parda uth jae ga aur dekhate hian kitni izatain taar taar hoti hian.... hahahaha just kiding dosto Smiley

Ma na in Stats ko thora sa dekha hy. Kuch aisa users bhe hn jo yahan sa sirf merits ly rhya hn aur contribution list ma unka kahen naam nhi. Yani Nawaz Sharif ke tarah paisa yahn sa bahr ya rha hy. Ma apni baat kron to 10 yahn se lea aur wapis 6 kea, yani 2 merits bahir sa la kr yahan dea.
Koe restricition nhi merits yahn share krna py pr akhlaqi toot pa hman thora khyal krna chahya.


hero member
Activity: 812
Merit: 619
March 15, 2023, 02:59:54 AM
PI KYC UPDATE
Aik Good news ai hai Pi Blockchain APP ki taraf se KYC k vaare mai. kuch din pehle Twitter pe unho ne announcement kii thee k 14 March ko ham Mass KYC karege. ab whatsapp pe Kuch dosto ne share kia k Kyc ho rahe hai tho mai je bii jaldi se step follow kar k KYC k liye apply kia. Detail tho saari de dee hai magar kuch din lagege KYC complete hone mai q k rush ziada hai. mere pas almost 1200 Coin hai jis mai se 600 thak withdrawable hai

Effect on Price:
es Mass KYC ki waja se unofficial Price mai farq par sakta hai. abe jo price chal rahe hai wo 0.3$ hai almost tho es hisab se mere 180$ bnte hai yani Pakistani 52000 Rs jo k achi raqam hai.

How to dd Kyc:
Behter tho yahi hai k ap Youtube par video dikhe agar belkul new hai. agar ap ne pehle se step kiye hai sirf KYC wala step reh gia gai tho per ye tariqa apnae KYC karne k liye

First step: Sab se pehle PI Browser ko open kare aur Kyc wale option ko select kare


Second step: es k mukhtalif option need honge jaise county, type of Kyc tho usko Apne requirement k mutabiq select kare aur per name etc daal de NIC k mutabiq . es k bad ap ne ID card Front, back aur apna selfie dina hai.

Note: Id card ka photo lethe waqt screen ko landscape mai rakhna hoga warna accept nahe karenge

bas us k bad send kar de aur ap ka KYC pending mai chala jaega. ap apni KYC ka status yaha se check kar sakte hai.


sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
March 14, 2023, 11:20:04 PM
Assalamualaiqum
Hope everyone will be good. The reason of this typing here is that i want to know about the synchronizing leger in blockchain. I saw a lot of videos on this but none of them can help me to understand. After watching some videos it doesnot help me to fully understand then i realized why should i am not asking it on Bitcointalk forum. So i am here to knows the view of everyone on Synchronizing leger in blockchain , Not a few but want everyone to give his valuable answer about it. On thing you should remember is that to explain it in easy way as much as it possible.
member
Activity: 196
Merit: 14
March 14, 2023, 07:54:24 PM
Bangladesh & Pakistan Vhai Vhai. Pakistani Vhai Ko salam Assalumu alaikum. Iss threat may Post karnee ayaa hu aaapko Romjan ki Mubarok ki liyeee.. Sab ko Ramjan ki mubarok hay. Iss threat par Senior member bohot jadha hay iss liyee iss thread par Sab ko itnii itnii unnoti hay. Mujhee urduu thora thora aata hay. Iss liyee kuch baath samaj may aaapko prb ho gi.. Sab ko bohot bohot payer love u all Pakistanj Brother. Thank You.
sr. member
Activity: 560
Merit: 365
Pakistan Local Board Request
March 14, 2023, 02:44:48 PM
Tmam members ko Mubarak ho. Hum na 650 pages complete kr lea hn posts share kr kr ky. Agr ma ghalat nhi to separate local board ka lea 1000 pages ka criteria hy? Jis speed sa hum log ja rhya hn aur new log join in kr rhya hn, umeed hy boht Jald hum log 1000 page ke mubarak baad dy rhya hn ga. INSHALLAH.

Apko b Mubarak MusaPk Bhai y dekh kar Khushi hoi hamny 650 pages complete kar Leye h or agar hum isi spreed Sy agay bharty rahay to inshallah hamay booht jald apni Manzil mil jay ge or y baat b h hamari community my members Kam h or agar Kuch new members b add ho jay to hum 1000 pages jald az jald complete kar Len gay or apna local board b hasil Karna h Inshallah



Market mai achanak se positive tabdeeli aii aur Btc 26k k bii opar gya. Cpi ka result 6% nekla jo k crypto k liye kaafi positive news thee aur es ka direct effect ham ne Btc price par dekha. 27k ka zone high volume se break kare tho market mai acha khaasa pump aa sakta hai khas kar Altcoins jaise Matic, Eth, bnb aur dosre big coins. ye week tho future traders k liye kaafi khatarnak nekla aur exchanges ne sahi paisa kamaya logo ko liquidate kar k

Market my achanak sy kamyabi ai or Bitcoin 26k ke upar chala gya. CPI ke natije 6% ke tor par samny ai jisny crypto ke leye kaafi khushkhabriyan lai or humny iska asar seedha Bitcoin ke qimat par dekha. Agar 27k ke zone ko zyada volume ky saath break kar diya jay to market mein achi taraqi ho sakti h khas tor par Matic, Eth, BNB aur dosry baray coins jaisy Altcoins ke leye. Yeh hafta future traders ke leye kaafi khatarnak sabit hua aur exchanges ny logo ko liquidate kar ky kaafi paise kamaye.



MUN Blockchain Update

Kuch din pehly mene aik airdrop share Kiya tha ap sab logo KY sath us airdrop my Kuch simple Sy tasks thy Jo mene apni pichli post my Bata deye thy KY kis tarha ap airdrop ke Leye eligible ho sakty h usmy Staking KY baray my kaha tha KY Kuch TMUN tokens ko stake kar Len 3 4 validator my lekin Sirf stake karny sy kaam ni chalay ga apko unmy sy Kuch ko unstake kar KY dosry validator my stake Karna h or phir staking Sy Jo reward milay gay wo b lazmi claim Karna ho ga or usky bad Crew3 my b live tha or usky reward tha 200,000$ MUN + 2500$ USDT or y Ka criteria y h KY apka jitna ziada level ho ga apko utny token or USDT milay gay Jessy agar ap level 8 par pohanchty h to apko 100 MUN token milay gay or aisy he level 12, level 18, level 24 par alag alag reward h


copper member
Activity: 1526
Merit: 2890
March 14, 2023, 02:02:18 PM
Yeh tu aur zada masala ho sakta hay kion k agar app ID card check hi ni kerain gay tu phir tu ghum naam log bhi aa saktay hein Huh
 
Aur rahi baat k agar hum sirf apna naam batana hoga like nidacoinlove, tu koi bhi kisi ka bhi naam lay sakta hay phir tu aur wahan p larai bhi hosakti hy. Yeh bhi hosakta hay k aik hi bunday kahay k meray 2 ya 4 ya 6 ya 10 naam hien  Cheesy Cheesy

Acha ais c better idea yeh hay k hum sab black burqay mein aien aur face na show kerian. Kion k face tu google c seach kr k hum real name tak pooch saketien hein. Ithehat zaroori hy kion k bitcoin aur USDT ka mamla hy. Aur waisay bhi govt kay pas dollar ni hien, tu hiemein apnay USDT ko chupa k rakhna chayee  Cool


hahaha nahi Umer bhai don't worry wo kia hia na meetup closed circle hoga... yani individual invitation hoga jo jo agree karin ge unhe he locaiton ki detail batai jae gi...

wese agar aisa ho bhi gia tu wahin bitcointalk ka dm kar confirm ho jae ga.

But again I'm 100 serious on this, if someone don't want don't disclose your name just use his bitcointalk username in meetup.

bhai itna tu trust krna he paray aur pics taking would not be allowed. Baqi don't worry jab plan karin ge precautions bhi discuss karin ge In Sha Allah.

----------------------------------

Bhai mera khyal ma ap theak kah rhya hn. I will support your idea of coverting 10 USDT + 100 TRX to MATIC.

Yes brother I already converted USDT and TRX to MATC other day and I'm posting the updated portfolio below

Sahi kah rhya hn ap Shahzad bhai. Ab yahan ke activity Naseem Shah ke pace ke tarah fast moving ho gai hy.

Naseem shah bhi chalay ga but we need pindi express....

Na shahzad bhai kam az kam Ayyan Ali ko bachari to na kahyn. Kafi ponchi hue cheez the. Khair jis mulk ma insaf ka nizam he boseeda ho vaheen brya bnda ka lea hera pheri krna asan hy.

Nahi yar main kon hota hon Ayyan Ali tu hamari punch se bahir hia... wo tu bus aise he zikar aagia... i heard jab ho President house jati thi aur gaurd pochate the kon tu she use to say ..."First Lady to be".

----------------------------------

Location Pakistan-Kpk-Kohat. Hamra elaqa Kohat City se almost 70 Km k fasle par hai. ek hint ye de ditha hoo k Veena Malik sahiba hamare elaqe mai bia huwe the aur ab ghaliban thalaq huwee hai. ham wese rehte city mai hai magar shadi ka program waha pe hoga.

Oh acha main punch gia... I wish yar agar main attend kar skata....

Good wese gaon ki shadion ka apna he maza hota hia.... city main hall main jate hian wahin se mun utha k ghar wapis aajao... shadi biya ka maza tu hota he goan main.

Acha tho ap hai wo jis k peeche 13 mulko ki police lage huwe hai magar apko pakarna mushkil hee nahe na-mumkin hai. Agar ap chahe tho poora kpk buy kar sakte hai

Nahi wo naih us se thora se peche... Smiley


Ye naam tho pehle baar sune. aise dishes sir big log hee kha sakte hai jaise Umeridrees, Shahzadafzal,Irfan, Themepen,Hamza2424. hamara tho ye system hotha hai k Chawal hotha hai. Charpaio mai 4 aadmi bethe hai aur oper se daal hotha hai. meete chawal b hothe hai.  Khule fiza mai ye sab hotha hai. Marriage haal wala system nahe hotha.

Full Serious: Kisi ko shadi mai shirkat karna hai tho mai yaha par telegram username share karta hoo waha contact kare magar muje person message Bitcointalk par karna zarori hai k ye mera telegram username hai. mai location send kar donga.

Kuch term and condition:

1: Shalwar qamees pehn k aana zarori hai q k agr pent shirt mai aae ge tho log theesri dunya ki makhlooq smje gee
2: agar location send karne k bad ap na ae tho 10$ jurmana jama karna hoga Fun karobar mai
3: Hafte k din aana hoga tha k thori gup shup ho jae
4: Rehaish aur khana mere zime baqi karaye k kuch kar Lena.
5: inshaAllah full friendly mahol milega magar pashto smaj na ae tho apko hamari gupshuo ki smj nahe lagega .

Mai bahot zor se dawat dee raha hoo k jis ko thori bem fusrat hio wo zaror aa jana. mai poori koshish kariga k mezbani mai kuch kami na karo. Bhai ko b Bathaya hai wo be ap k aane k munatazir honge. Hamari family k 5 member Bitcointalk k ap k sath milege inshaAllah waha pe.




Telegram Username: @Gladitorcomeback


aray Gladitorcomeback bhai phir wohi ye Namkeen tu I'm sure her pakhtoon bhai ko pata hoga.....

aray wah dal chawal ap ne naam lia aur mun main paani aagia... ye tu meri one of the favorite dish hai Smiley

Wallah ap ne inte piyar se dawat di ap yaqain karo main zaror aata but unfortunately I'm not in Pak... chalain Allah ki shadi khairo afiat se karay... In Sha Allah shadi pe nah sahi meetup pe mulkat kar lain ge... aur shadi bahoot bahoot mubarak in advance 




----------------------------------

Flop business mein investment kernay c bethar hay bunda koi aur kaam kr lay. Bitcoin dump hogia hay tu matic bhi gia, jo thora proft ho raha tha woh bhi a loss mein chal raha hay.  Sad

jee UmerIdrees tusi te kehna ae aey.. kion wo apka prize tha jo ham ne Funcoin main ror dia hahahaha

acha "koi aur kam" kon sa ham bhi wo "koi aur kaam" batain nae... isis k intezar main tu ham rul rahay hian....

----------------------------------


I am ready to join you . Mai tho chand din pehle hee pohanch jaoga. agar Shahzadafzal G aa gae per tho khoob maza aa jaega q k jo shakhs jitna parde mai rehta hai us k baare mai ziada justujoi hothi hai dikhne ki kike Satoshi Nakamota. Waleeme k liye be term aa gae (nawe nawee nizamoona dee noor wali khana)

jee fikar nah karin In Sha Allah meetup pe sahi... shadi pe zaro ata bus kuch aisi masrofiat hia k time he nahi mil raha.. ap ne dekha hon ga Pak thread pe bhi time lag jata hia aane main....

wese parde main kon hai? wo kia hia na parde main rahane do.... parda na uthao... parda jo uth gaya to bhed khul jayega dedicated to someone (to whom it may concern, let see if they get it)


----------------------------------

Agr ap MATIC ka 3 months ka price chart observe krn to price 18 Feb 2023 ka bad down jo rhi hy. Abhi MATIC 1 $ py khara hy to mera khayal ma ya achi price hy buy krna ka lea. Thora risk involve hy, ly leta hn jo ho ga dekha jya ga. Yahan sa agr boht necha bhe gya to 0.8$ tk jya ga. Mera rai ma agr 1.5$ ke price mila future ma to nikaal dena chahya MATIC ko.


Image source: CMC

Thank you WatChe for sharing your insight actually I converted USDT and TRX to MATIC on 12-03-2023 @ $1.08 details main neche post kar raha hon


----------------------------------

For Merit sending as we all know our merit source is only ShahzadAfzal with about 45%+ sending dominance so I am pretty hopeful with the end of 2023 we can obviously get our local board and permanent DTs (Which is not applicable still I have some thoughts about it) + 2 or more merit sources. Our community is growing obviously we need more merit sources. The total sending was 190 or maybe 190+ so that's all total senders and the receivers/senders list is in code.

Thank you Hamza2424 bro for sharing these stats and your efforts are really appreciated.

Wese jahan tak bat hia merit sources ki tu theymos ki apni he science hoti hai... local communities main jo merit sources hian un k pass sirf 50 merit/month hote hian... abhi ye 50 merit 10 active users bhi hon tu 5 5 he aate hian... likan baqi section main jese bitcoin discussion Marketplace or or Trading Discussion main merit source k source merit 500+ tak maine note kahin hian.. kabhi kabhi tu 1000 plus yani k ya acha insaf hia... khair you are right more merit source + apna board we need it Smiley


----------------------------------

Bilkul Right Hamaza Sir, New member jo post b kr rhy or strugling phase m han inki support krni chyee but shahzad Sir k Alwa or koi support ni kr rha group m chay kitni b informative post n share kr di jaye Support krni chyee ya humri apni Pakistani community apki support ki wja sy jo Next level pr jaye ga wo apko he duya dy ga or Allah jy apko jo is maqam pr ly kr aya han so dosry ki b help krni chyee m daily post krta answer krta post k but koi ni kr rha but disappointed hu jati baki no issue ap sb bhai han Baki yhi Request han ik dosry Help kry, Shukria

nahi Shan85 bro i don't agree main ye tu nahi kahon ga k mere elawa koi support nahi kara I see almost every one here is no sending merits agar main nahi bhi hota tu aisa koi post kam he hoti hia jo desrving ho aur us pe kisi ne merit nah dia ho..

baqi main pehle bhi kaha tha bai aik chota sa formula bana lain... jo sMerits apko yahan se milain yani iss thread unhin isi Pak thread main distribute kairn chahe wo 2 merit hon ya 10 ya 20. Bus iss se kia hoga merit ki rotation ziada hogi.

----------------------------------


Shahzad Afzal tari azmat ko salaam. Shahzad Afzal na 78 merits dea is thread py and to my surprise he is not even at number 10 of merits receiver. Koe shak nhi ky wo eik Bay Los insan hn.
MusaPk na is thread sa 10 merits lea aur 6 return kea.
Last but not the least, thanks hamza2424 for sharing these stats. Ap hamesha kuch naya aur acha krta hn.

بے لوث محبت کا صلہ ڈھونڈھ رہا ہوں
ناداں ہوں یہ اس شہر میں کیا ڈھونڈھ رہا ہوں.


wo ap k Bya-Los se ye shair yaad agia.... 78 merit yani iss main 39 tu ap ko lgon yahan lazmi shair karne chahin....

See the perfect example of MusaPk  10 Received 6 Retuned Ma Sha Allah...

wallah ye stats next hamin analyze karni chahin....kia khiyal hia... pata tu chalay yahan se meri le log ja kahan rahay hian Cheesy

No doubt Shahzad bhai yahn eik boht bra source hn pr mera point ya tha ka hum log sirf un sa receive kr rhya hn. Wo receivers list ma kaheen nazar be nhi a rhya.

bilkul sahin pakrin hian ap Musa bhai... bus agar stats pe ye parda uth jae ga aur dekhate hian kitni izatain taar taar hoti hian.... hahahaha just kiding dosto Smiley


----------------------------------


Gee yeh baat to apki bilkul darust hai. Sb sy zayada sender ko sb sy km merits mil rhain hain so i think if he posts like maybe regulary or contribute like he was active before then defenetly he will gain merits that's what i said before. Baki contribute krny ki pori koshish kroo ga is baar shahzad bhai apky liya

Aray way Faisal bro iss pe tu I love you kehne ko dil kar raha hia hehehe

yes dear we all are doing our best In Sha Allah.. and we will help each other for being Pakistani Smiley




Funcoin Karobar Update # 4:

If I'm not wrong ye update # 4 he hia since we changed the name

Jee tu ap spcial doston k mashwaray k bad I was able to convert our remaining 100 TRX and 10USD to MATIC @ 1.08

Do alag alag transaction ki thin with some up down price but total some ~ MATIC 20 added to our portfolio.

After that Funcoin Karobar portolfio stands at $69.60

Don't forget to see the portfolio updates here https://coinstats.app/p/geFhnE

Yani abi bhi ham +$19.60 ~ 39.20% profit main hain Smiley..... Flop business

Received funding:
shahzadafzal          $10 USDT
Sayeds56               10.55 BUSD
MusaPk                  175 TRX
WatChe                  10 USDT
Gladitorcomeback   100TRX

Current portfolio:





hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
March 14, 2023, 01:41:29 PM
Aj hmari fauj Zaman Park fatah krna ma masroof hy. Afsoos ky mulk default ho gya pr tmam political parties plus Army chief ke preference Imran Khan ko rasta sa hatana hy. Takya inke noora kushti chalti rhya aur ya ayesha sa Zindagi guzar saqyn. Lahore sa jo images a rhya hn aisa to kabhi Maqboza Kashmir sa nhi aya.
Imran khan na apni gang boht bahudri sa lari aur in choron ka agya ghutna nhi takya. Yahi us ka sub sa bra ezaz hy aur tareekh usa eik bahudr warrior ka Toor py hamesha yaad rekhya ge.
Jo kuch zaman Park ma ho rha hy wo boht takleef dah hy. Kafi dil udas hy socha yahn kuch likh ln.
Bilkul theak kha ap ne 100% Right. Imran Khan ne kaha hai ke "zindagi aur mout Allah ke haath mein hain, rizq bhi Allah ke haath mein hai. Phir darr kis cheez ka?". Ye baat sach hai ke hamari zindagi ki lambaai aur qismat ke faisley Allah Ta'ala ke haath mein hote hain, is liye hamen hamesha Allah ke hukm-o-razzaq par bharosa karna chahiye. Darne ki koi baat nahi hai kyunki hamari qismat hamare Rabb ke haath mein hai aur woh hamare liye behtareen faisley karte hain
Baki ink inti oquat ni khan ko hath lga sky khan ni mily ga inshallah
Bhai ye mukafat e amal hai. Shayad ap bhool rahy hen ky inhon ny TLP ( Tehreek e Labbaik Pakistan) ky sath kaya kiya tha. Tareekh ky un lahu lohan panno ko bhi zara khol ky dekhen ky uss waqt seedhi golyan nihatty logon par Imran Khan ky hi kehny par chlai gai thi. Buss wohi lotaya jaa raha hai. Wahan bhi order par amal kiya jaa raha thaa yahan bhi order par amal kiya jaa raha hai. Tab reham nai ayaa naa kissi ki zubaan hili. To ab kiu bhaio?
Dohraa mayaar kiu? Kaya wo masoom janen qeemti naa thi?
Or kuch nai kahun gaa sirf itnaa kafi hai.

Zara Sochye!
full member
Activity: 308
Merit: 109
March 14, 2023, 01:22:12 PM
Aj hmari fauj Zaman Park fatah krna ma masroof hy. Afsoos ky mulk default ho gya pr tmam political parties plus Army chief ke preference Imran Khan ko rasta sa hatana hy. Takya inke noora kushti chalti rhya aur ya ayesha sa Zindagi guzar saqyn. Lahore sa jo images a rhya hn aisa to kabhi Maqboza Kashmir sa nhi aya.
Imran khan na apni gang boht bahudri sa lari aur in choron ka agya ghutna nhi takya. Yahi us ka sub sa bra ezaz hy aur tareekh usa eik bahudr warrior ka Toor py hamesha yaad rekhya ge.
Jo kuch zaman Park ma ho rha hy wo boht takleef dah hy. Kafi dil udas hy socha yahn kuch likh ln.
Bilkul theak kha ap ne 100% Right. Imran Khan ne kaha hai ke "zindagi aur mout Allah ke haath mein hain, rizq bhi Allah ke haath mein hai. Phir darr kis cheez ka?". Ye baat sach hai ke hamari zindagi ki lambaai aur qismat ke faisley Allah Ta'ala ke haath mein hote hain, is liye hamen hamesha Allah ke hukm-o-razzaq par bharosa karna chahiye. Darne ki koi baat nahi hai kyunki hamari qismat hamare Rabb ke haath mein hai aur woh hamare liye behtareen faisley karte hain
Baki ink inti oquat ni khan ko hath lga sky khan ni mily ga inshallah
Jump to: