Ab agar yahan qaanun hota or in hassas maslon par ussi waqt foran action liya jata to esy masly pesh naa aaty. Ab koi gustakhi kar ly or hmara qanun un ko chor dy to awam kaa dill to paash paash hoga naa. Ab ap ko pata najaany kitny hi cases hen Namus e Risalat ﷺ ky jo ky pending hen or un par fard e jurm aaid bhi ho chuki hai lekn un ko saza nai di jaa rahi. Agar yahan qaanun ki paasdaari hoti or logon ko pata hota ky haan hamen hmari adalten insaaf den gi. To wahan jahan ye waqiya huwa wahan kissi naa kissi n zrur kehna thaa ky iss ko police ky hwaly kiya jaaye. Or agar phr bhi esa naa hota or log ye kaam karty to jinhon ny kiya hai un ko pakra jata or pucha jata ky ap ny esa kiu kiya jab ky adalat mojud hai jo filfor saza deti hai. Lekn jab logon ko insaaf nai mily gaa to koi bhi us ko police ky hwaly karny ki bat nai kary ga.
Mery nazdeek in hassas maslon kaa hall sirf ek hi hai ky hmari adalat esy cases ko lamba naa kary jald az jald adalat bethy or agar jurm sabit ho to foran saza di jaye. Taa ky next koi esaa kaam karny ki koshish hi naa kary. Or ussy para ho ky ainda esa kaam nai karna.
Mujy same yeh mashal name ky student ka case lag raha ta jaga zaate jeoulusy aur dushmani Ki wajah Sy usko maar Diya aur AJ tak uska Jo bahurmate wlaa mamla ta sabit Nahi Howa toh mujy laghta ha government ko is pa strict action lainy chahiya taaky mujrimo ko saza mil skay