السلام علیکم
Hashdex ne U.S. SEC ke sath combined Bitcoin aur Ether ETF ko Nasdaq exchange par launch karne ke liye filing ki ha jo assets ko unke market capitalizations ke hisaab se balance karega. ETF ka maqsad Nasdaq Crypto US Settlement Price Index ko track karna hai. Coinbase aur BitGo assets ke liye custodians ka kirdar ada karenge. Analyst James ne combined-asset approach ko support kiya hai. Dusri taraf Bitcoin-based NFTs ne Ronin ko pichlay 30 dinon mein sales volume mein peeche chor diya ha aur $148 million ka record banaya ha jo ke sirf Ethereum ke $157 million ke baad dusre number par hai. Buland sales ke bawajod NFT volumes mein girawat dekhi gayi ha aur top 3 chains ne 40% drop experience kiya hay Info
Crypto market ne aik bara downfall dekha, jahan altcoins jaise Shiba Inu aur Avalanche ek din mein 10% se zyada gir gaye. Market cap $2.46 trillion tak gir gaya, jo ke 3.5% decline hai. Doosri notable girawat mein Uniswap, Dogecoin aur Solana shamil ha. Bitcoin aur Ether ne bhi 1.3% aur 4.4% girawat dekhi. I think XRP akela bara coin tha jo red mein nahi tha, aur sirf 0.1% ka chhota increase dekha. Market fall ka sabab wazeh nahi ha lekin spot Bitcoin ETFs mein kami interest is mein ek factor ho sakti ha