Author

Topic: Pakistan - page 108. (Read 6032464 times)

hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
May 16, 2024, 10:58:51 PM

Umer bhai, hum yeh toh ker sakty han k Binance ya phir kisi or exchange k through P2P ko use kerny se avoid keren ku k usy use kerny pe bht sary logon k account block ho rehe han. Baki dekhty han k es silslay mein kia legislations propose hoti ha or parliament mein es pe kia debate hoti ha.
Sir door naa jaen. Mera apna account block huwa hai. Faysal bank my mera account tha jo ky P2P karny ki waja sy block huwa hai.
Or ab my gladiatorcomeback bhai ky mashwart ky mutabiq secondary account use karta hun yani easypaisa jazzcash wgera.
Han phr bhi ek or ehtyat my btata chalun agar ap ny koi bhi amount P2P karni hai us ko within 1 hour withdraw karen apny account sy. Agar wo ap out nai karen gy to agar ap kaa account block hota hai to ap ki amount phass jaye gi. So be careful phr baad my preshani hoti hai. Meri bhi amount phassi hui hai. Allah ka shukar hai igni zyada nai thi amount. So sab sab ky iss sy bachen.

Or iss sy bhi behtreen tariqa ye hai jis country my ap crypto regulation hai or wahan tax kam hai or ap kaa koi esa relative wahan par hai jiss par ap aitbar kar sakty hen to ap ko uss sy rabta karna chahye or wo ap ko withdraw kar ky ap ky account my send kar dy ga. Phr koi issue nai hota.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 16, 2024, 09:45:45 PM

Tu ab kia kerian ? Crypto trader = Crypto investors = Bitcointalk posters, sab aisi ka part hein  Roll Eyes
If this proposal becomes a law, then if you are involved in crypto, then you can go to jail and it is very easy to track who is accessing crypto sites and wallets.


Umer bhai, hum yeh toh ker sakty han k Binance ya phir kisi or exchange k through P2P ko use kerny se avoid keren ku k usy use kerny pe bht sary logon k account block ho rehe han. Baki dekhty han k es silslay mein kia legislations propose hoti ha or parliament mein es pe kia debate hoti ha.

Bitcoin market update yeh k kal USA market open hony k baad Bitcoin ki price mein $1000 se zayadeh kami hoi lakin bht sary analysts ki opinion ha k recently Bitcoin ne $56,000 pe bottom out ho chuka ha or ab danger zone se baher ha or aany waly dino mein hum esko ek naya ATH bnaty hoi dekhin gay, Insha Allah. DYOR

https://cointelegraph.com/news/bitcoin-56k-bottom-price-chart-btc-breakout
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
May 16, 2024, 07:46:15 PM
Gold ETF vs Bitcoin ETF

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kaya haal hen dosto?
Acha internet scrolling karty huwe EK interesting picture hath lagi. Jiss sy hamen EK bohat hi achi malumat BHI milti Hy or ye BHI pata chalta hy KY Bitcoin jitni ehmiyat ka haamil hy. Or is waqt barri firms is ko bohat zyada grab Karny Ki Koshish my hen. Han is kaa muqsan zyada hen KY faida Abhi iss Bary my to kuch nai Kaha jaa sakta. Fill haal ESA Hona Abhi tak nuqsan kaa basis hi hy.
Jo picture internet sy Mili wo ye hy.


Source: Twitter


Acha dekh sakty hen Gold Jo KY EK bohat purani market Hy or barri firms is my kafi involve BHI hen or log aksar Bitcoin kaa muqabla Gold sy karty hen or mujy lagta Hy KY Gold kaa muqabla Bitcoin sy karwana bewqufi C hy. Bitcoin APNA EK muqami rakhta Hy jab Gold APNA. Or Dekha Jaye to gold sy zyada qeemti is waqt Bitcoin hy. Acha ye to ho Gaya Bitcoin ba muqabla Gold.

Lekn ab Yahan Dekha Jaye to Bitcoin ny EK or Cheez my Gold ko maat di hy. Or wo ye hy KY Jo recently Bitcoin Ky ETFs Approve huwe or Jo Gold KY ETFs Approve huwe un Dono ka first Q1 ka analysis dekhen to Bitcoin ny bohat acha jump Liya huwa hy. Yani ham chart my dekh sakty hen jab Gold ka ETF kaa approval huwa to only 95 firms hi is my in hui lekn jab ham Bitcoin ka ETF approve hota Hy to 937 firms is my involve Hoti hen. Yani Gold KY ETF KY muqably 10x. Yani ye EK shocking C Cheez hy. Or waqy hi Bitcoin ny apni 14 15 saal Ki life my bohat hi zyada maqbulyat hasil Ki Hy.  Smiley
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
May 16, 2024, 03:09:15 PM
Graphical Activity And Achievment Of Our Local Board Members  

Assalamualaikum
WA Allaikum Salam MashALLAH MashALLAH ALLAH buree Nazar Sy bachai bohout khoobsoratee Sy banwaya haa aur bohout achi knwoledge paishh Ki haa Mai ny poore par li haa aur thank for compliment. Baki ap Maire Rai par poore tarah Amal kar rahy haa Jo ky Mairy liya kafi kushi Ki baat haa bohout saary legends ky achievement aur graphs daikhny ko mil Gai aur apun top 5 local contributer Mai at least haa Jo ky kafi proud Ki baat haa. Baki jistarah Mai NY apko suggestion de te ky rank ko alag alag Karky category vice banwa dy yeh upcoming stats toh bohout umda dikyngy

Walikm slam bhai ya to boht achai activity report bani apny waqia he boht achi lagi but buri bi lagi moj Jesa most active senior member ko list ma add he ni kiya haha just kidding bhai no issue ham asy he theak hai ya report achi ha Shahzadafzal Sab MashAllah most merit wala community ki leader hai ya community inki wajjah sy he chal rahi or jas trah sir koshsih krty ha sab ko united krny ki great hai Allah pak humri community ki roniq ko humeaha khush rakhy or zindgai ma har madan ma kamyab kary Ameen
Brother ap tension q ky rahy haa yeh Mai NY Junaid bro ko suggestion de te ky pahly hero aur legendary ko Mila ky ik post banwa ly phir Sr Member aur full member ko Mila ky aur phir neechy wali awaam Ki toh InshALLAH Dil taam ky baity thoory hi Dino Mai apko apka amaal nama mil jai ga😁. Aur apko special Sy mentioned Kiya jai Maire junaidazizi Sy request ho ge as ap ny itny pyar Sy shikwa Kiya.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
May 16, 2024, 03:00:27 PM
ETH Market Activity Sparks Investor Speculation

Assalam alikum to all of the community, kasy ha ap sab Ethereum ka market haal hi mein buhat activity se guzra hai jab ek haal hi mein hui tezi se tabadla investors mein tajziya paida kar rahi hai. Ek tez girawat ke baad Ethereum ne ek mamoli tor par behtar hone ka dekha jis se debate shuru hui ke yeh ek sath sahi rukh ki shuruaat hai ya sirf mazeed kami ki taraf ek temporary bounce hai.



 Ethereum ke 24 ghanton mein 3.7% ki izafati tezi ka umeed aur hosla par sawal utha hai conflicting on-chain data ke bina par. Jab kuch tajziye ne Ali jese analysts ne kharid ke signals ke mutabiq taraqqi ke imkanat ko dikhaya to kuch log is par shak karte hai. analyst ke data se maloom hota hai ke ETH ke exchange reserves mein izafati raftar hai jo ke accumulation ki bajaye bechne ke dabao ko zahir karta hai.



baqii bade investors ya whales ke rawaiye ne bhi gumraahi ko izafa diya. Jab ke top addresses jo Ethereum ko qaim rakhte hain woh mustaqil rahe lekin iska tabadla kehna ke analysis diff tareeqon se hota hai. Kuch log isay ek intezar aur dekhen ke tor par samjhte hai jab ke doosre ek market ka chhat manate hain. Milay jule signals ke darmiyan, metrics jese ke Ethereum ke NVT ratio price mein izafati izafa ki taraf ishara dete hai but conflicting technical indicators jese ke Rsi aur MACD tajziye ko mushkil banate hai details
sr. member
Activity: 420
Merit: 325
Trade Big, Win Bigger!
May 16, 2024, 02:23:07 PM
Mere khyal mein yeh sub kuch IMF k pressure ki waja se ho ga. Sub se pehle toh Pakistan ko ek regulatory authority establish kerna pry gi jo cryptocurrencies ki trading or es se related dosry mamlat k liye kanoon sazi kere gi or shayd usy parliament se manzroori bi kervana pry gi. India ki trh Pakistan mein bi crypto currencies ki trading pe tax bi implement ho sakta ha. Dekhty han government es silly mein kia kanoon sazi kerti ha. DYOR
Well brother mojy bi asy he lag Raha Ya sab IMF ka pressure ki wajjah say karny par majboor hy agr koi regulatory authority bu banatu ha to itna easy ni hu ga manage krna crypto traders ya inpar tax impose krna ha albata agr asa koi qunoon bana diya jata ha jasy recently suna tha non filer ki SIM block krny laagy hy jo kah galat qadam tha lahore high court ny is order ko rock diya kh ya karboor krny ka banyani asool ka khalif ha so dakhty ha kia karti ha government or kas trah ka tax lagty hy cryptocurrency par
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
May 16, 2024, 02:05:46 PM

SNIP
Sorry Bhai late reply me Thora sa personal meter me busy hogaya tha bahi ab to asi asi machine  a gien hain k ap aik he machine  me puri body ke main main game lag sakty hain aur me jis bench ke bat kar raha Hun us k name to yehe hai 1 in 10 bench bahi wo design he kush asa keya hai k ap comfortable sy chest ke 3 game Lagalo gy upper bech press aur dicaline press aur Sath me wings rood hota hai jis Sy ap wing aur shoulder ke 3 game lag sakty hain aur Sath bie aur Tri sap aur ye itha comfortable  hai k ap ko kush be changing karny ke zarorat b nhi parti bass ap NY weight apni marzi Sy up down Karna hota hai Bhai agar apnie Lena ho to me mazid guide kardon kuin k ap ko pto PATA hai ye Pakistan hai aik jaga ap ko wohi machine 20k ke Mily gi aur dosri jaga wohi machine 30k ke Mily gi aapnie jab dekhna hai k itna gaib apnie 20k waly par pansa Jana hai kuin k ap new ho ap ko bech ke baton ka abi ilam nhi ap jab ke jao to koi experience waly person ko Yan walding Wala person ko ly kar jy ga .
Koi bat ni bhai biht Shukria apka inti details sy guide kiya apny mojy ma gaym ka ardia bania tha but ab garmy he boht zadya ay ge hai khair dakhty ha garmi ma bi loog gym kary hai baqi bhai jo bech ki ap bat kar rahu thy kah mukti function ap sari games laga skaty ha ma YouTube sy video dakhi the wo to kafi costly lag rahy thy mojy shyed wo branded thy is lay but dakhny ko pyary lag rahy tgy agr yahi bench apki btai hovu range ma mil jaye to kia he bat ha ap koi pics send kar skty jas m fark wazua hy knsa best hai
sr. member
Activity: 616
Merit: 384
May 16, 2024, 11:16:17 AM
Bitcoin Eyes $70K Target Amid Positive Market Indicators and Inflation Data



السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea chaal haal hai brothers loog


Recent bitcoin Kei pum kuuu Tu Seib nei deikha Hou gaa Bitcoin ki price peechleay 24 hour mei 7.54% up hoe hair $65k kou break keir gae hai positive U.S inflation data kei bawajuud. Traders ab 2 key indicators peir tawejjaa dei rheay hai taakei yeah deakha jaa sakei kei kea Bitcoin $70k tk pohanch seakta hai ya nae. Blockchain Mei aek pseudonymous crypto trader ne Gann Fans model kou highlight kea hai juu kei market kei geometric aur cyclical movements ko analyze kerta hai taake dekhaa ja sakhei kei kea Bitcoin bullish reh saakta hai. Gann Fans aek time aur price momentum indicator kei taur par kaam kartei hai jou traders ku market cycles aur price action kuu behtar andaaz mei deikhnei mei help kartei hai. Is time Bitcoin market cycle kei aek important mour peir hai aur agr positive pivot houta hai tuu yele May ke last tk markup phase mei enter ho sakta hai. Mgar agr negative pivot houta hai to sideways ya downward trend ka silsila jari rh sakta hai.



Eske elawa core inflation hal hi mei 3.6% tk neechei dump hwluuwa hai jo ke 2021 ke baad ka sabsei kaam level hai ju kei potential interest rate cuts ku support kar sakta hai. Blockchain Mane ne kaha kei Bitcoin kuu apnei pehlay resistance level $63k ku support level mei changes karna hoga taake bullish trend confirm hu sakeqy. Iss waqt Bitcoin $66k kei around par trade hu raha hai. Aik stable sideways price action altcoins ki growth ku foster kar sakta hai jabke iss price level ke rejection seu altcoins ku nuqsan pohanch sakta hai. Bitcoin ka market dominance pichlay hafta 2.23% pump kar 55.99% tak pohanch gaya hai. Aik aur indicator inverse head and shoulders pattern yeh zaher kerta hai kei Bitcoin ka downtrend kaam hu rha hai ju kei aek potential bounce ka signal hai. Agar yeh pattern barqarar rehta hai tu Bitcoin $70k tk pouhench sakta hai aur apne ATH $74,580 ku tour sakta hai ju ke iss waqt ke price se taqreeban 12% ka ezafa hoga aap Seib Ku kea lagta hai brothers? detail



sr. member
Activity: 462
Merit: 328
May 16, 2024, 10:55:11 AM

Bhai ma bikul new gyam ma ab Recently apny cazn ka pass gy tha wo waha par wo raat ka 1bjy tak gyam ma work out karty thy or MashAllah active thay is lay mojy shok ha hai baody acho ban jaye wasy bi insan ki personality lagta ha kasi job ka interview ka lay jaye ya kasi business ki meeting ma jaye to sab achi nazaro say sakhty hai is lay ma new saman buy krna ka soch raha hu mojy ik bat ki smaaj ni ayi jab gyam ma hr ik game krny ka alag alag sman ha to kasy ham ghar ma ik he bench sy 10 games laga skaty hai kindly ap zra explain kar dya ya kasy possible hai
Sorry Bhai late reply me Thora sa personal meter me busy hogaya tha bahi ab to asi asi machine  a gien hain k ap aik he machine  me puri body ke main main game lag sakty hain aur me jis bench ke bat kar raha Hun us k name to yehe hai 1 in 10 bench bahi wo design he kush asa keya hai k ap comfortable sy chest ke 3 game Laga lo gy upper bech press aur dicaline press aur Sath me wings rood hota hai jis Sy ap wing aur shoulder ke 3 game lag sakty hain aur Sath bie aur Tri sap aur ye itha comfortable  hai k ap ko kush be changing karny ke zarorat b nhi parti bass ap NY weight apni marzi Sy up down Karna hota hai Bhai agar apnie Lena ho to me mazid guide kardon kuin k ap ko pto PATA hai ye Pakistan hai aik jaga ap ko wohi machine 20k ke Mily gi aur dosri jaga wohi machine 30k ke Mily gi aapnie jab dekhna hai k itna gaib apnie 20k waly par pansa Jana hai kuin k ap new ho ap ko bech ke baton ka abi ilam nhi ap jab ke jao to koi experience waly person ko Yan walding Wala person ko ly kar jy ga .
hero member
Activity: 2422
Merit: 875
May 16, 2024, 10:28:49 AM
Thanks brother for sharing this important news item. Mere khyal mein yeh sub kuch IMF k pressure ki waja se ho ga. Sub se pehle toh Pakistan ko ek regulatory authority establish kerna pry gi jo cryptocurrencies ki trading or es se related dosry mamlat k liye kanoon sazi kere gi or shayd usy parliament se manzroori bi kervana pry gi. India ki trh Pakistan mein bi crypto currencies ki trading pe tax bi implement ho sakta ha. Dekhty han government es silsaly mein kia kanoon sazi kerti ha. DYOR

Tu ab kia kerian ? Crypto trader = Crypto investors = Bitcointalk posters, sab aisi ka part hein  Roll Eyes
If this proposal becomes a law, then if you are involved in crypto, then you can go to jail and it is very easy to track who is accessing crypto sites and wallets.

UmerIdrees
Acha dusre nbr per ate Hain umer bahi, agr en ke post history ke bare ma bat ki jaye tu sub se zayada post enke he haaa aur total post count be en ki sub se zyada ha community ma Jo ke 5533 poste ha Jo Ma Sha Allah se buhat zyada ha. En ki community ma poste 1793 ha Jo ke 32% banta ha total post ka Jo sub se zyada percentage ha abi tak koi be nahe pohncha en ke percentage tak. Dusre nbr per en ki posts gambling section ma be zyada ha Jo ke 1717 ha Jo 31% of the total posts bante Hain. UmerIdrees bahi ke merits 842 ha joke 610 time la chuke hain.
En sub ke elawa DT2 member bi ha aur Kafi badges be laag chuke Hain en ko jaise ke Most earned merits, Most Active waghira ke Hain.


Bohat Alllaaa. Zarbast effort, hats off to you @JunaidAzizi for getting this data complled.


Once again on the 6th over, Hasan Ali came back to do the over, and at this time, for sure everybody thought to finish his over as fast as we could because later on the death overs, we could not afford too many runs. After all, those overs may change the game. In the second over, he also done that over as he did the first over. I think if he plays like this then it could be his first match in 2024 and last also before the World Cup. In these two overs, no wickets and a lot of runs were given to the other team.  Undecided
Quote
Umer Bhai yeh achanak tune kaisy change hogaya🤣 like ap Urdu Sy direct angraizi pa utar ayai khairyat haa ya zyada jazbati hogai lol kidding waisy mazak kar raha ta mind na Karna woh thread Mai sab aisy chup chup aur serious baity haa laghta haa sabki murghiya mar Gaye ha so Mai NY isliya thoore shokiya mare taaky mahool thoora garam hojai.

Ais is mind kernay wali kia thing hy ? You nay achha kia jo Enviroment ko little enjoyment aur Lutf Andooz made kia, Good laga Me ko.

Bagi garmi very increase ho rahi hy tu ais conditions mein murghiya kahan alive rehein gi aur jo zinda hien woh 600rs per kilo gram p sale ho rahi hein.

copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 16, 2024, 09:55:29 AM
Pakistan govt Stricter punishment for Crypto trader or use Huh


السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal ha mry dosto

Pakistan ke Wazir khazana Muhammad Aurangzeb ne halaat ko dekhte hue haal mein aik conference ka intizam kia jahan ghair qanooni cryptocurrency istemal karne walon ke lie sakht sazaon ka intizam kiya gaya. Ye qadam Pakistan ke regulatory frameworks ko mazboot karne ki koshish ko darust karta ha. jabke IMF is tajwez ko mali istaqbal aur finansiyal istiqrar ke liye ahem samajhta hai. Pehle Pakistan mein cryptocurrency ko regualte karne ki koshishat, jese ke 2018 mein jaari circular jo ke financial institutions ko transactions ko rokne ka hukm deta tha ne puramal ban ka tanqeed ka samna kia. Ahem tareen mamlaat jese ke paisa aur illegal funding ko hal karne ki koshish ke liye ye tajaweez wazeh hai. Magar iska amal regulatory authority ke mustaqil hukm ki intizar karta hai jo ke Pakistani cryptocurrency community ke baray mein beshak omeedwar ha or 5 saal ki saza dany ka failsa kiya crypto trader jo kah Galat hn Sb bhaio ki koa ray Hn  source


Thanks brother for sharing this important news item. Mere khyal mein yeh sub kuch IMF k pressure ki waja se ho ga. Sub se pehle toh Pakistan ko ek regulatory authority establish kerna pry gi jo cryptocurrencies ki trading or es se related dosry mamlat k liye kanoon sazi kere gi or shayd usy parliament se manzroori bi kervana pry gi. India ki trh Pakistan mein bi crypto currencies ki trading pe tax bi implement ho sakta ha. Dekhty han government es silsaly mein kia kanoon sazi kerti ha. DYOR
full member
Activity: 409
Merit: 211
Addicted to HoDLing!
May 16, 2024, 06:53:32 AM
Pakistan govt Stricter punishment for Crypto trader or use Huh


السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal ha mry dosto

Pakistan ke Wazir khazana Muhammad Aurangzeb ne halaat ko dekhte hue haal mein aik conference ka intizam kia jahan ghair qanooni cryptocurrency istemal karne walon ke lie sakht sazaon ka intizam kiya gaya. Ye qadam Pakistan ke regulatory frameworks ko mazboot karne ki koshish ko darust karta ha. jabke IMF is tajwez ko mali istaqbal aur finansiyal istiqrar ke liye ahem samajhta hai. Pehle Pakistan mein cryptocurrency ko regualte karne ki koshishat, jese ke 2018 mein jaari circular jo ke financial institutions ko transactions ko rokne ka hukm deta tha ne puramal ban ka tanqeed ka samna kia. Ahem tareen mamlaat jese ke paisa aur illegal funding ko hal karne ki koshish ke liye ye tajaweez wazeh hai. Magar iska amal regulatory authority ke mustaqil hukm ki intizar karta hai jo ke Pakistani cryptocurrency community ke baray mein beshak omeedwar ha or 5 saal ki saza dany ka failsa kiya crypto trader jo kah Galat hn Sb bhaio ki koa ray Hn  source

sr. member
Activity: 434
Merit: 360
May 16, 2024, 12:23:23 AM
Kaal Pakistan Ireland c match tu jeet gia magar maza ni aya kion k Pakistan phela match jo tha ais series ka woh Har kia aur Ireland jasi kamzoor team k sath asi performance hy tu agar England aur phir T20 world mein kia hoga humara  Huh

Once again on the 6th over, Hasan Ali came back to do the over, and at this time, for sure everybody thought to finish his over as fast as we could because later on the death overs, we could not afford too many runs. After all, those overs may change the game. In the second over, he also done that over as he did the first over. I think if he plays like this then it could be his first match in 2024 and last also before the World Cup. In these two overs, no wickets and a lot of runs were given to the other team.  Undecided
Pakistan cricket proud ma chairman Mohsan naqvi is Ireland ka khalif series jheety ko kah raha pakistan dunya he No 1 team hai but first match harnay sy series jheety ka bi maza ni aya wo sunna hu ga na first impression is the last Ireland ny phela match pakistan ko hura kar apna naam nikal liya jab kh aeries wo har gya hai but dil jheet liya hai phly match harny ka bad jab daora match hu raha tha to cricket fan of pakistan team ny PCB ka chairman ko kh tha inki training sahe ni hovi dobra training krway lakin wah say ni jaha sy phly krwi the mean kah army sy ni krwni haha
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
May 15, 2024, 11:50:03 PM
Graphical Activity And Achievment Of Our Local Board Members  

Assalamualaikum kaise Hain sub log umeed karta hun ke khairyat se honge. Kuch din pehle ma ne Hamza2424 ki activity share ki ti yahan per community ma jes se baqi members ka bi Dil keia ke sub community ki activity share honi chahye jes se Syed bahi aur baqi Kuch members ne kaha ke ma es ko share karun. Tu ma ne ossi per kaam start keia aur aj compelet hogeya ha, sub members ki ma ne activity ko yahn per share keia ha agr koi ghalti huwi ho ya pir koi reh geya ho tu os ke Leye advance ma maghzirat , ap mention karde ma wo post ko dubra edit kar ke add kar dunga.
Walaikumuslam.

Are wah ham bhi panchon swaron my. Are mujy nai pata tha ky meri post history my sab sy zyada contribution meri apni ho community ky liye hai. Wesy ap ny mujy is legends ky sath mila diya my to in ky brabar hun bhi nai. Yani wo kehty hen naa ky my to abhi naya chooza hun.
Chalen iss bahany hmary irfan_pak10 sir ny bhi apni community ko yad to kiya. Nai to ye to bhooly huwe thy ky Bitcointalk par apni Pakistani community bhi hai. Hahaha!
Baqi bohat achi report bnai hai. Keep it up bhai.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 15, 2024, 11:40:45 PM
Bitcoin Surges Above $65,000: CPI Data and ETF Inflows Drive Optimism

السلام علیکم
kia hall ha brother Aaj Bitcoin ka qeemat $65,000 ke upar chali gayi jis mein Consumer Price Index CPI ke positive ka asar tha. April ke CPI data ne kam taqeed ki gayi mahangai dar ka izhar kiya jis ne 2024 mein Federal Reserve ke interest rate cuts ke baray mein tajziya ko force diya. Traders abhi sirf June mein interest rate cut ka kuch zyada imkan nahi de rahe ha. jo ke monetary policy ki mustaqilat par umeed ke izhar ko darust karti hai. Our is ke ilawa spot ETF mn dakhilay Mukhtar ETFs ke lehaaz se musbat hogaye ARK 21Shares Bitcoin ETF ARKB mein khaas taur par bara investments ke saath jo Bitcoin ke investment products me azafiy institutional interest ki nishaani hy source

hal ki qeemat ka ralay bhi mukhtalif timeframes par bullish signals ko darust karta hy jahan Bitcoin ne resistance levels ko toor kar aur apne ubhar mein quwat dikhayi. Pachas din ka EMA ko tor kar aur do so din ka EMA ko support bananay ki nishani hoti hai ke agle muddat mein upar ki taraf aham kadam uth saktay hain. Technical indicators jese ke RSI aur TD Sequential indicator bhi musbat trends ki alamat dete hain, traders aur investors ke darmiyan umeedon ki shiddat ko mazeed barhate hue.  
our aaj Bitcoin ki qeemat ke izafay ka sabab CPI data ka musbat asar musbat ETF daakhilay, aur bullish technical signals ha jo cryptocurrency ke nazdeek future rukh ke liye ek umeed afza manzar faraham karte hy

Walaikum salam brother, mein nay apni prtevious posts k analysis mein predict kia tha k es week mein inflation/CPI report ki announcement k baad Bitcoin mein breakout aa sakta ha or Alhamdulilah ab hum Bitcoin market ko sideways nhi kah sakty blky ab sub analysts kah rehe han k ho sakta ha aany waly dino mein Bitcoin ek naya all time bnai.

Es optimism ki bri waja yeh ha k market analysts next month k end tak interest rate mein kami ki umeed ker rehi ha jis se liquidity behter ho gi or esi waja se ab ETFs mein bi inflow aana shoro ho gya ha or aany waly dino mein esmein mazeed izafa ho ga, Insha Allah. DYOR
full member
Activity: 235
Merit: 136
Part of AOBT Gang - English Translator to Urdu
May 15, 2024, 09:00:47 PM
Two brothers manipulated Ethereum protocols to steal $25M

السلام علیکم بھائیوں، امید ہے سب ٹھیک ہو گئے

USA meri rehneay walei do bhae Anton aur James Peraire-Bueno par $25 million cryptocurrency steal ka ilzam lagaya hai jo Ethereum blockchain ko manipulate kar ke anjaam diya gaya. Justice Department ne unko wire fraud aur money laundering ke saazish ke ilzaam mein charge kiya. Bhaiyon ne reportedly yeh chori fraudulent tareeke se pending transactions ko access karke unko manipulate karke aur 12 seconds ke andar funds chura kar anjaam di. Yeh case notable hai kyun ke yeh blockchain ki integrity ko challenge karta hai ise "first-of-its-kind" manipulation ka waqia banata hai. Unhone test transactions ka istemal karke proposed block ka pura content prematurely release kar diya jo chori ka zariya bana.

source

Stolen funds wapas karne ki requests ke bawajood bhaiyon ne inkaar kiya aur assets ko shell companies aur foreign crypto exchanges ke zariye chhupa diya aur multiple wallets mein transfer kar diya. Agar convict ho gaye, to unko har count par 20 saal tak ki jail ho sakti hai. Yeh waqia blockchain security ke barhote hue vulnerabilities ko highlight karta hai kyun ke blockchain security platform CertiK ne note kiya ke crypto hacks aur scams ne April mein takriban $25 million ka nuksaan pahunchaya jo 2021 ke baad se sabse kam mahana figure hai. 2023 mein takriban $1 billion cryptocurrency ilicit activities ki wajah se kho diya gaya jo crypto landscape mein mojood mustaqil khatron ko darshaata hai.
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
May 15, 2024, 07:49:51 PM
Graphical Activity And Achievment Of Our Local Board Members  

Assalamualaikum kaise Hain sub log umeed karta hun ke khairyat se honge.
وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ

Wah Bhai Kaya bat hy. Ap ny waqy hi mehnat Ki Hy is post par I really your efforts.
Koi nai Kabhi ham BHI is lost my AA hi Jaen gy. Baqi legends PHR legends hi hen or hamesha top par hi rahen gy. Hamari contribution or un Ki contribution PHR EK to ho nai Sakti.
Baqi ap ny bohat achi report B'nai Hy.

Acha to Market Ki bat Karen to Market ny bohat acha move Diya Hy. Or ham sab janty hen KY iss waqt Bitcoin 66000 sy above hi trade ho raha hy. Or market still positive hi hy. Or Agar performance esy hi rahi to Bitcoin APNA ATH again cross kar Jaye Ga. So dekhty hen Kaya movement hoti Hy ab next.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 15, 2024, 07:39:51 PM
Graphical Activity And Achievment Of Our Local Board Members
Bharte Hain apne next member ki traf, ye member be baqeyo member jaise high profile Hain en ki na serf post counts zyada ha balke same badges se be Nawaza ha forum ne en ko.
En ke post ke bare ma bat karte Hain tu en ki total post 4905 ha aur total merits 709 ha. En ki community ma poste buhat zyada ha joke 1851 ha ko ke 37% of the total post bante ha jab ke Umer Bhai ki 31% banti ha aur es ma ye umer bahi se age Hain. Es ke elawa en ki 30 days aur 7 days post be buhat zyada ha community ma agr ma aysa kahun ke ye sub se zyada active person ha community ma tu ghalat nahe hoga aur sath ma DT2 member be ha.
Es ke elawa en ke merits 709 ha Jo enho ne 613 time le Hain. En ke badges ma most trusted , aur most earned merits shamil ha.


Thanks brother, apne bht mehnat se  zaberdast Pakistani local mboard ki activity report present ki ha jis mein subhee prominent members shamil han. Mera khayal tha k Umer bhai shayed  all time historical data ki bunyad pe top poster han mgr Alhamdulilah mein 1851 posts k sath top pe houn. Meri koshsish hoti ha k apni community ko encourage keroun taky yeh activity brti rehe or eventually hum apna local board achieve kerny mein kanyab ho jain. Aameen.

Once again thanks and appreciate your efforts.
legendary
Activity: 3234
Merit: 1654
Enterapp Pre-Sale Live - bit.ly/3UrMCWI
May 15, 2024, 04:51:17 PM
Graphical Activity And Achievment Of Our Local Board Members  


OGs of pakistan community.  Cool
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
May 15, 2024, 03:52:24 PM
Zain bhai wallet bana tu koi masla nahi aur community se help ki appeal krna ka bhi koi problem nahi.. but main masla hia contribution ki amount us jagah punchana.

Ye sab ko pata hia wahan kia situation hai wahan kisi bhi tarah ki koi donation punchana iss wakat takreban na mumkin hia... phir le de ke yehi UN ki aur dosri tesri NGOs reh jati hain jo wada tu karti wahan punchane ka likan in k paise ka actually 10% bhi donation main nahi jata... 90% in k high perks aur inki apni meetings gatherings aur campaigns main use hota hai.

aur iss mamale main transparency 100% chahiye ye transperancy tabhi ho sakti jab koi actual ground pe mojod hai jo aaj kal tu possible nahi hai.

Baqi phir bhi ham sab discuss karte hain... tu mera tu iss main yehi aik point hia k iss wakat donation deserving people tak nahi punch sakti. Baqi yes beshak ye bhi sach hia k agar ham Palestine ya Gaza ki support k liye kuch start karin ge tu wo automatically Israel k khilaf he hoga but this we can bear Alhamdulilah.

Anyway please let me know I'm still open to discuss more.

Sir g apki baat bilkul correct haa Abhi koi aisa Nahi haa but Mai NY alkhidmat foundation ko daikha haa Jo waha directly Gaza Mai donation Sy buy Ki howi cheezy yani food, water aur kuch kary waghaira poncha rahy haa aur Abhi bhi woh kar rahy haa inky kafi saary video as a evidence apko social media pa mil jaingy toh Mai samajta Hu yeh hamare taraf Sy ik koshih Hoge jiska ALLAH haamy sila dy ga Baki phir woh NGO's us Sy Kitna daity haa aur Kitna Nahi woh un ka aur ALLAH ka mamla haa hamare taraf Sy ALLAH qabool farmai aur yahi Maira main maqsad haa hum fund combined Karky unko bijwa dyngy through debit card or any jazz cash Jo ky ap unka site visit Karky daikh skaty haa waha Sy kardyngy aur InshALLAH haamy iska bar poor ajr mily ga aur thoore bohout unki help bhi hojai ge. Baki ap Kisi aur NGO ko select karsakty haa but Mai chahta Hu yeh banny aur chaly BS phir nataiz ko baad Mai daikha jai ga.❤️🙏
Jump to: