Author

Topic: Pakistan - page 159. (Read 6018478 times)

sr. member
Activity: 462
Merit: 328
March 19, 2024, 01:07:28 PM

Shahzadafzal sir yaha par kuch nazar karin Apki community ko apki zaroorat hai. As in my point of view bohat sy community members en rules changing sy kafi frusturation mai hain or asa lag rha hai postain krni b choor gyee hain k unko ab yahee dar hai k unki hor post furthure delete na hoon. Sir posting to ho rhi hai laikn wo ronak nahi rahee community mai jasiy sab members pehly active rehty thy or hamain har kuch mintues bad new posts dakhny ko milti rehti thi. Jazzak-Allah

G bilkul community ke Hal kasta kast c lag Rahi hai , meny b note keya hai Kuch member Jo daily basis par postien karty ty wo ab dosaray section me active ho gien hain ye bilkul b ashi bat nhi hai ,

Ab ye forum waly hamien ye bat bolien par majbor kar rahien hai k ham gulam hai kis  k haha , by the way is ka solution to chahiye wo b jald kuin k hamri community phir Sy grow up ho jy .

Aik to hamray moderate PATA nhi keye kahty hain samja he nhi ati in ke bat koi Hoti hai jawab kush aur jawab short Sy aur ulja SA hota hai , Baki Jo hota hai ho ham to community me postien khul k karny me Baz nhi ayien gy .
staff
Activity: 2436
Merit: 2347
March 19, 2024, 12:50:11 PM

You don't need to explain to me in English, I can read what is written in your thread myself.


Brother, we are delighted to hear that you can understand Urdu language, as well.

Bhai Jan, mein kuch topics neechy list ker rhan kia es pe hum apny thread pe discussion ker sakty han?


1- Local and International Politics

2- Crypto market price movements

3- New narratives of crypto market

4- De-centralized Exchanges (DEX)

5- Developments regarding legalization/adoption of Bitcoin

6- Sports including Cricket


Thanks in anticipation of your detailed reply.


I'll tell you easier, in one sentence. Judging by the recent deleted posts, there should be no posts announcing specific altcoins, with airdrops and translations of signature campaigns. However, I have already talked about this in my previous posts. And yes, please pay attention to the topic created by global moderator hilariousandco, which is in this section. Here is a quote from that topic:

This sub forum is for those languages that don't have a local board to have their own thread to discuss bitcoin in.

And in general, what rules are needed if the forum was originally created to discuss bitcoin, and there is a specially created section "Alternate cryptocurrencies" to discuss specific altcoins (airdrops and subscription campaigns among others).
hero member
Activity: 2422
Merit: 875
March 19, 2024, 11:16:26 AM

Bhai Jan, mein kuch topics neechy list ker rhan kia es pe hum apny thread pe discussion ker sakty han?

1- Local and International Politics

2- Crypto market price movements

3- New narratives of crypto market

4- De-centralized Exchanges (DEX)

5- Developments regarding legalization/adoption of Bitcoin


Thank you Sayeds56 bhai for telling us some tips for the topics of discussion. Ais mein app sports aur cricket discussions ko bhi add kr saktein hein kion k bohat c Pakistani ko cricket ka craze hy ayr abi kaal hi PSL ka final hua hy.

Ab toh pura Pakistan ko pata toh chal hi gya hoga k Islamabad United ne Multan Sultan ko hikast de kr match apna naam kr lia hai aur isi k sath raat ko khoi 1 bhaje match khatam hua  aur 1 30 tak sab ne trophy pakr li lakin kam ki baat pr hatein hain toh akir kal k match mai itna zada crowd aya toh aya kaise aik seat bhi ni bachi hui thi pura ground full hogya.

Asal mai jab PCB ne dekha k final dekhne toh log hi ni aye zada phir unhoin ne raat 10 bhaje tickets free kr dein jis ki waja se full ground baar gya but aik bounce thing batatha chalun k wpo sara crowd Babar abar kr rha tha jab k Babar Azam match mai hi ni tha. Wapis ateein hain toh dekhain mai na kuch time phela aik post ki thi jis mai Karachi ki seats ka batay gya tha toh wo toh such bat hai buut jab wo bhi free mai hojaye toh kia hi baat hai aur isi tarah kal raat Karachi ka ground aisa full hogya jo ane wale arse shayad se hi khabi hoga.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 19, 2024, 10:36:09 AM

You don't need to explain to me in English, I can read what is written in your thread myself.


Brother, we are delighted to hear that you can understand Urdu language, as well.

Bhai Jan, mein kuch topics neechy list ker rhan kia es pe hum apny thread pe discussion ker sakty han?


1- Local and International Politics

2- Crypto market price movements

3- New narratives of crypto market

4- De-centralized Exchanges (DEX)

5- Developments regarding legalization/adoption of Bitcoin

6- Sports including Cricket


Thanks in anticipation of your detailed reply.
full member
Activity: 462
Merit: 227
March 19, 2024, 10:11:37 AM

Meri jaan ky totty my ny apni pichli post my mentioned kiya hai or Shahzadafzal sir sy request ki hai ap ek thread bnaa den iss mutaliq. Ab un ki mehrbani ho gi agar wo thora time nikaal kar thread bna den. Or hmari awaz ko buland karen. Asal my un ka thread bnana ham sab ki awaz hogi. Issi liye un ko request ki.

Hamza2424 ko iss liye nai kaha kiu ky wo to khud khilaf hen. Haha Smiley

Or mazy ki bat to ye hai pichly 12 ghanty my only 2 posts hui hen. Grin Happy restriction days Cheesy

Haye kiya keh diya haha Janab Shukriyaa acha hamara dard ak he hai well moderator ki recent post ko maday nazzar rakhty howay agr hum dakhain to moderator sir es cheez sy apnny hath khary kar rhy hain so agar Shahzadafzal  sir busy hain to hor koi senior member thread create kr ly as jo b create kry ga usko Baki sab members ki support hogi or hum sab ko maloom hai es cheez ka esi postain delete howie hain jo nai honni chaheya thi. Baki Phir b agar Shahzadafzal sir agar thread create karain gy to zayada behtr rhy ga meray khayal mai. As wo Most senior member hain community mai.

Shahzadafzal sir yaha par kuch nazar karin Apki community ko apki zaroorat hai. As in my point of view bohat sy community members en rules changing sy kafi frusturation mai hain or asa lag rha hai postain krni b choor gyee hain k unko ab yahee dar hai k unki hor post furthure delete na hoon. Sir posting to ho rhi hai laikn wo ronak nahi rahee community mai jasiy sab members pehly active rehty thy or hamain har kuch mintues bad new posts dakhny ko milti rehti thi. Jazzak-Allah
legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
March 19, 2024, 09:11:42 AM
Meri jaan ky totty my ny apni pichli post my mentioned kiya hai or Shahzadafzal sir sy request ki hai ap ek thread bnaa den iss mutaliq. Ab un ki mehrbani ho gi agar wo thora time nikaal kar thread bna den. Or hmari awaz ko buland karen. Asal my un ka thread bnana ham sab ki awaz hogi. Issi liye un ko request ki.

Hamza2424 ko iss liye nai kaha kiu ky wo to khud khilaf hen. Haha Smiley

Or mazy ki bat to ye hai pichly 12 ghanty my only 2 posts hui hen. Grin Happy restriction days Cheesy

Hayee itna metha andazz.. main sadqee jaon haha.. anyway bro esi baat nai khilaaf hun links kaa bagair app joo marzi share kro mujhe koi problem nai link bi sahre karna hoo too mujhe koi talak nai as main to link hmeshaa double check karke hii click kartaa hunn.. baqi app logon koo bii thoda conscious rehna chaiyee.. ye to bass additional +point haa kaa koi ewbie phass naa jayee baqi actiivty paa affect too hogaa as you know bbohat sari cheezain hain jink hum ignore nai kar sakte bitcoin kaa illawa market maa..

Thread bnanee maa kia maslaa haa bnaa lete hain agar community wale chahtee hain too.. i would say galadiator yaa koi esa banda thread bnaeyee still acitly posts kar raha main too 2 3 months se gyab hun ksii see bhar intrection bi nai hoi itni.. Shahzad sir too kafi buys hain onko too main nee kafi arsee see nai dekhaa...
staff
Activity: 2436
Merit: 2347
March 19, 2024, 08:06:08 AM
I was thinking that if there is one local thread, then everything can be discussed there (including specific altcoins and airdrops). But it turns out that's not the case. If I thought otherwise, I would have deleted all these posts myself.
Sir may I ask why are you answering according to your taste?
Can you please ask him to discuss with us, who made these rules?
I have many questions in my post but you answer this question which was easy for you.

What are you talking about, according to what "your taste"? If you're not satisfied with my answers, create a topic in Meta, maybe you'll get the answers you need there. Maybe the person who deleted those posts will answer your questions there.

Let me explain in simple words in English what he is asking?

You don't need to explain to me in English, I can read what is written in your thread myself.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
March 19, 2024, 07:38:14 AM
Bitcoin Price Struggles Near $65k Resistance More Downsides Ahead?

Assalam alaikum to all the community, kasy ha sb
Bitcoin ki qeemat grwait ka samna kar rahi ha btc ki $65,000 ke ahem support ke neeche aur ziada nuqsan ki khatra hai. Bitcoin ne $65,500 ke upar ek naye trend ka aghaz karne ki koshish ki but $69k ke qareeb bearish hawalat ka samna kiya. Abhi qeemat $63,000 aur 100 ghante ke simple moving average ke neeche hai jo chhotay arsay mein bearish nazar aata hai. agar Bitcoin $67,800 ke resistance zone ko paar nahi kar pata to yeh ek aur girawat ka aghaz kar sakta hai.



Baqi next support $65,550 ke aas paas mojood hai, jahan pehla bara support $65000 par hai aur aham support zone $64,500 par hai. Agar $64500 ke neeche bandish ho jati hai to yeh mazeed girawat ka aghaz kar sakta hai jahan pehle $63,500 ke darjaat ko talaash kiya ja sakta hai aur agar bearish momentum jari rahe to $62000 ke support zone ka imtihan ho sakta hai. Is tarah Bitcoin ke liye chand aur girawat ki sambhavana hai jo ahem resistance aur support ke asar par mabni hai. Baqi abi market untable ha investment kanry sy phly apni research lazmi kary details
hero member
Activity: 2506
Merit: 645
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 19, 2024, 07:37:00 AM
Kuch dino se dekh raha hoo k hamare community wale delete post k hawale se bare pareshan ha jis par moderator sir be comment be kia ha k eski waja kia ha. Hame alag se board nahe mela tho ham koi announcement nahe kar skte. bas ek ko kahe ge k bhai kia hal ha ap je ye bath teek kahe ha. Ya ye kahege k bahi ap k bath se ma agree ho ya per ye kahege k apki bath muje pasand nahe aae. Agar airdrop share karege tho us par pabandi ha halanke asal mana refer code ha jo ham ma se koi nahe karta aur na he mukammal copy paste karta ha tho es ma koi harj nahe ha leken ab ham kia kahe jab sarkar ki yahe decision ha.
full member
Activity: 462
Merit: 227
March 19, 2024, 06:54:41 AM
Bitcoin Has Gained The Attention From Japan Government "1.4 $Trillion Pension Funds"


Assalam-o-Alaikum To all of you dear Community!

Kasiy hain sab log umeed krta hoon sab behtreen hal mai hoongy. acha mujhy social media use krty waqat aj ya news mili haha umeed to ki ja skti hai k ab ya post delete na ki jayee as ya Bitcoin k he related hai or according to rules hum Bitcoin ki related thread mai postain/ news / analysis share kr sktain hai. To chalo point par aty hain Japan ny 1.4 $Trillion ki investment approve ki hain For bitcoin jo k unki government chahti hai k wo esko Pension funds k liya reserve kry for long term. well unho ny ya b kaha hai k funds ko diversify krain gy different assets mai like Bitcoin, Gold.

Laikn meray khayal mai ya b achi amount k agar ya Bitcoin market mai enter hoti hai to market k liya achi cheez hai or hamain price ki movement mai achi changes dakhny ko mil skti hai. Kiya khayal ap logo ka? Ab ak achi baat ya hai ya wala bull run waqai mai kafi special ho rha hai q k agar hum goor karaun Bicoin ny bohat sy logo ka Dill jeet liya hai or abhi b on the way hai jaisa k, Blackrock ki involvemnt esmai as ak waqat asa b tha Jab blackrock Bitcoin ko hate krta tha or aj hum dakhain to Bitcoin ny Duniya ki sab sy bhari organization ka b dil jeet liya hai. Or El Salvadar ka es mai interested honna, Ab japan b es mai interested ho rha hai, or b kafi bahary bharay log esmai interested hain jo k meray khayal mai anay waly Waqat k liya ak bohat acha sign hai.

Well abi to sari market ki sorat hal buri hai as abhi market bleeding situation mai hao or meray khayal sy kuch na kuch buyibg yaha par hooni chaheya kiya khayal hai? Wasy Ab to Halving Event b kareeb ata ja rha hai maybe maybe Halving k bad ak achi correction dakhny ko mil skti hai or phir us correction k baad market boom! upar jana start hogi. DYOR!

hero member
Activity: 1414
Merit: 670
March 19, 2024, 06:04:38 AM
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Koi post deleting kaa hall Nikla hy KY nai PHR?
Ab to Pakistan thread my post Karny sy BHI darr lagta hy kahin post delete ho naa ho Jaye or kahin mehnat zaya naa ho Jaye.
WA Allaikum Salam brother,
Yar ab yeh toh teek Nahi ho raha ha, ik toh hamre apni community Ki activity aur posts aur bandy km howy ha aur doosre taraf yeh alag Sy imtihaan Mai daal rahy haa, yar to be honest inko iss Cheez Sy farq Nahi Parna chahiya, q ky Bitcoin ik wide range pa pailaa Howa haa aur inn choote coin Sy inko koi takleef Nahi aur na Bitcoin ka muqabala karsakty haa toh phir usky baary Mai baat Cheez normal Cheez hone chahiya, pata Nahi mujy aisa q lag raha haa ky hamary forum staff ko USS doosry forum Sy thoore bohout Jalan hoony Lage haa Jo ky Nahi hoona chahiya q ky jab USS forum pa iss forum ka zyada traffic Gaya toh tab Sy mamla thoora off haa. Pahly inho NY dihaan Nahi Diya but ab damage inko nazr aaraha ha

Quote
Nai to Agar koi report Karta hy hmari community sy to wo khud hi Sammy a Jaye. Or Agar nai a sakta bahir to Kam az Kam khayal kary reporting sy Baz aye. Ye bilkul BHI theak nai hy.
Hamare community Mai mujy aisa koi suspicious Banda nazr Nahi aaraha aur ma samajta Hu aisa hoona bhi Nahi chahiya q ky hum ik body Ki tarah haa poore community ik Ki takleef Sy sabko takleef hoona chahiya.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
March 19, 2024, 05:38:29 AM
IMF wants Pakistan to tax crypto gains to pay for $3B bailout:
MATLAB ye to full Moye Moye hony WALA hy.
Or har hukumat IMF Ki Ghulam or ye wali to kuch zyada hi Ghulam hy. Or ye Maan BHI Len gy. Or koi chara BHI nai hy.
Bohat sy Pakistani migrate kar rahy hen. Reh aa ja KY ghareeb hi hy. Agar kahin koi hm jesa ghareeb koi thori C earning kar hi raha hy to wo hi phass Jaye Ga.

Asal my hoga ye Jo already Barra investor hy yaa to wo pesy dy kar munh band kar Ga yaa PHR. Visa lgwaye Ga or bahir Chala Jaye Ga or sukun sy zindgi guzary Ga.
Or akhri par Bach Jaen gy hm ghareeb PHR ham sy niklwaya Jaye Ga.

Bss Allah hi Reham kary hmary Mulk par nai to ye hukumat to Bani hi lootny KY liye hy. Awam ko relief naa Kabhi pehly Mila naa ab milna hy. Taqawar mazeed taqatwar hota jaa raha hy or kamzor, kamzor sy kamzor tar. Sad
Bilkul theak kah rahy hai brother ya hukmat ni blkay humry mamal ki saza hai inti koi currupt tola ha ya choor kar ka oper sy seena zori katy hai inhy ab jo curruption krni to history ma ni hu ge or establishment chahti he asa PM the jo khud currput hu or inhy bi azadi hu apni marzi krny ki ab crypto par taz lagny ja rahy ha jo boht galt bat ha phly bi hr cheez par taz ha agr koi 1000 ki shoping krta hai to 450 plus ka tax lagta ha or kia ab awam ki jaan ly gy ab inak khalif nilkklna hu ga Sri linka kintrah phr he kuch hu ga warna ya choor to apni jabbey phar kar landon chly jaye ga jasy he humket khtm hu ge ya pakistan ka kia sochy gy jin ki sri property bhair hai
sr. member
Activity: 322
Merit: 260
Catalog Websites
March 19, 2024, 05:23:08 AM
IMF wants Pakistan to tax crypto gains to pay for $3B bailout:
MATLAB ye to full Moye Moye hony WALA hy.
Or har hukumat IMF Ki Ghulam or ye wali to kuch zyada hi Ghulam hy. Or ye Maan BHI Len gy. Or koi chara BHI nai hy.
Bohat sy Pakistani migrate kar rahy hen. Reh aa ja KY ghareeb hi hy. Agar kahin koi hm jesa ghareeb koi thori C earning kar hi raha hy to wo hi phass Jaye Ga.

Asal my hoga ye Jo already Barra investor hy yaa to wo pesy dy kar munh band kar Ga yaa PHR. Visa lgwaye Ga or bahir Chala Jaye Ga or sukun sy zindgi guzary Ga.
Or akhri par Bach Jaen gy hm ghareeb PHR ham sy niklwaya Jaye Ga.

Bss Allah hi Reham kary hmary Mulk par nai to ye hukumat to Bani hi lootny KY liye hy. Awam ko relief naa Kabhi pehly Mila naa ab milna hy. Taqawar mazeed taqatwar hota jaa raha hy or kamzor, kamzor sy kamzor tar. Sad

Crypto par tax sirf Pakistan ka masla nahe balke ye international masla ha aur es ma koi ghalat bath nahe ha. Jan ham mulk k wasaio istemal karte ha aur kuch darje k aman aur facilities lethe ha tho es k badle ma tax dena hamara farz ha. Indian 30% tax pay kar rahe ha aur ham filahal abe thak tax free ha jo k ab thak k leye ache bath ha. Es se ek faida hoha k crypto kuch had thak legal hojaega aur ham apne bank card ko buy sell k leye use kar sake ge..

Masla ye ha k aise qanoon saazi ki jae k us se hakoomat aur logo dono ko faida ho aur us ma ameer, ghareeb,bare, chote Investment wale sab ma insaf kia jae na k masawat. Tax ko total profit par rakh jae aur us ko mulk k leye sahe estemal kia jae. Jaha thak hakoomat ki bath ha tho 2018 wale hakoomat b lootne k leye bnai gai the ayr ye nai bath nahe
I agree with you.
But sir jest Publictalk ny Kaha in conclusion Yahan qanun he Kahan?
Ab dekhen naa IMF ny Kaha ky tax lgaen. Or laga bhi den to problem nai he. Lekn ye na ho naa ky jesy property par he. Ky agar hold bhi Kiya huwa he to tax dena Hoga.  Ab kissi ny BTC hold kiye huwe hen profit par nai bal ky ap ki investment par tax Lagta he to ap Kaya Karen gy?
Or Hona esa hi he. 2018 ho ya 2013. Jo bhi Aya he lootny hi Aya he. Or nuqsan sirf Mulk Ka hi Kiya he.
Kher abhi to dekhty hen Kaya qanun paas hota he. Smiley
hero member
Activity: 812
Merit: 619
March 19, 2024, 05:02:54 AM
IMF wants Pakistan to tax crypto gains to pay for $3B bailout:
MATLAB ye to full Moye Moye hony WALA hy.
Or har hukumat IMF Ki Ghulam or ye wali to kuch zyada hi Ghulam hy. Or ye Maan BHI Len gy. Or koi chara BHI nai hy.
Bohat sy Pakistani migrate kar rahy hen. Reh aa ja KY ghareeb hi hy. Agar kahin koi hm jesa ghareeb koi thori C earning kar hi raha hy to wo hi phass Jaye Ga.

Asal my hoga ye Jo already Barra investor hy yaa to wo pesy dy kar munh band kar Ga yaa PHR. Visa lgwaye Ga or bahir Chala Jaye Ga or sukun sy zindgi guzary Ga.
Or akhri par Bach Jaen gy hm ghareeb PHR ham sy niklwaya Jaye Ga.

Bss Allah hi Reham kary hmary Mulk par nai to ye hukumat to Bani hi lootny KY liye hy. Awam ko relief naa Kabhi pehly Mila naa ab milna hy. Taqawar mazeed taqatwar hota jaa raha hy or kamzor, kamzor sy kamzor tar. Sad

Crypto par tax sirf Pakistan ka masla nahe balke ye international masla ha aur es ma koi ghalat bath nahe ha. Jan ham mulk k wasaio istemal karte ha aur kuch darje k aman aur facilities lethe ha tho es k badle ma tax dena hamara farz ha. Indian 30% tax pay kar rahe ha aur ham filahal abe thak tax free ha jo k ab thak k leye ache bath ha. Es se ek faida hoha k crypto kuch had thak legal hojaega aur ham apne bank card ko buy sell k leye use kar sake ge..

Masla ye ha k aise qanoon saazi ki jae k us se hakoomat aur logo dono ko faida ho aur us ma ameer, ghareeb,bare, chote Investment wale sab ma insaf kia jae na k masawat. Tax ko total profit par rakh jae aur us ko mulk k leye sahe estemal kia jae. Jaha thak hakoomat ki bath ha tho 2018 wale hakoomat b lootne k leye bnai gai the ayr ye nai bath nahe
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
March 19, 2024, 04:40:37 AM
IMF wants Pakistan to tax crypto gains to pay for $3B bailout:
MATLAB ye to full Moye Moye hony WALA hy.
Or har hukumat IMF Ki Ghulam or ye wali to kuch zyada hi Ghulam hy. Or ye Maan BHI Len gy. Or koi chara BHI nai hy.
Bohat sy Pakistani migrate kar rahy hen. Reh aa ja KY ghareeb hi hy. Agar kahin koi hm jesa ghareeb koi thori C earning kar hi raha hy to wo hi phass Jaye Ga.

Asal my hoga ye Jo already Barra investor hy yaa to wo pesy dy kar munh band kar Ga yaa PHR. Visa lgwaye Ga or bahir Chala Jaye Ga or sukun sy zindgi guzary Ga.
Or akhri par Bach Jaen gy hm ghareeb PHR ham sy niklwaya Jaye Ga.

Bss Allah hi Reham kary hmary Mulk par nai to ye hukumat to Bani hi lootny KY liye hy. Awam ko relief naa Kabhi pehly Mila naa ab milna hy. Taqawar mazeed taqatwar hota jaa raha hy or kamzor, kamzor sy kamzor tar. Sad
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
I ❤️Bitcoin
March 19, 2024, 04:00:36 AM
Image

IMF wants Pakistan to tax crypto gains to pay for $3B bailout:

(IMF) international Monetary Fund naa Pakistan ka FBI (Federal board of revenue) sa kah deya kaa jitna ba cryptocurrency investors or investment haa UN par (CGT) tax ke wasoole kejya to tab 3 billion $ loan ke qualify pore hogee Matlab IMF ka quarza ke shirtt haa ka cryptocurrency investment par tax collect kee jyaa. Haha Abb ya rahna baqi taa...

Ya statement $3 billion (SBA) ka meeting ka doran Howa jab IMF na na recommend keya ka Pakistan's FBR ko Crypto Capital gain par tax lagana caheyaa. Or Sath he Sath Pakistan ko Taxation of real estate or listed securities ke review kar ka UN par be tax implied karna ko kaha gya haa IMF ke janib saa. Matlab IMF chahta haa ka real estate or crypto saa capital gains tax wasool kejya per year. Real estate ma chahaa app property ko sell kar ya hold kar app ko tax Dane hogee.

Mazeed ya ka property developer ko tracking or reporting ko strictly follow Karne hogee Matlab report ke investigation or agar NAHI kee ko heavy fine par saktee haa. Or source ka mutabik IMF ke recommendations upcoming EFF ka bailout package ka hisa ban saktaa haa. As results 2024-2025 ke budget bailout maa Crypto tax on capital gains officially  Pakistan mutaarif karsakta haa.

IMF ke 4-day review 14 March 2024 sa start Howa taa or agar Pakistan in IMF ke term and  condition ko manta haa yani agree karta haa to  around $1.1 billion loan IMF ke janib saa deya jasaktaa haa otherwise NAHI.Taxing Crypto Capital gain lagna ka mutalba approximately 1 year ka bad Aya jab minister of state for finance and revenue Ayesha Ghaus Pasha na kaha ka mulk crypto trading ko kabi quanoni hisyat NAHI da gaa.

Baqi details source maa dakha saktaa haa.


Source<<<
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
March 19, 2024, 02:57:07 AM
Haha.. i was just kidding bro dont mind it, i know apki intention.. haan daily too nai kar sakta koi but hum hain naa haha, baqi yee rules for airdrops and links mere hissab see theek haa as forum is about Bitcoin and altcoin kaa lia bi discussion allow too haa magar still as you know, airdrop ka chakar maa kabi akbar galat links bi share hoo jate i know jo sahre karta wo responsibility koo mjhta haa but still aik achii cheez haa newbies koo bachanee ka lia phsiing atack see.

For the rest hamara yehi aik thread haa hum yahan bi agar restricted content share karain gee to bass theek haa phir acitivity to nill hoo jayee giii
Hamza bhai agar ap muj sy puchen to my is ko galat nai smjta. Or my ny jo observe kiya hai. Wo ye ky hmari community my agar koi airdrop share hota hai to ek to khud us ko simple words my explain hota hai or dusra official link hota hai to ye phishing wala muamla mujy samaj nai ata.
Ab agar my apni misaal ln to pehly my khud airdrop my khud join karta hun or phr my is ko community my share karta hun. Or raji bat phishing ki to ham sab ko pata hai or itna experience bhi hai ky kiss link ko open karna hai or kiss ko nahi. Wo alag bat hai ky ap ki qismat my likha huwa ho to phr to naa chahty huwe bhi click ho jata hai.

Kher haqiqat yehi hai ky is restriction sy hmari progress nill/sannata ho jaye gi.



I was thinking that if there is one local thread, then everything can be discussed there (including specific altcoins and airdrops). But it turns out that's not the case. If I thought otherwise, I would have deleted all these posts myself.


Sir may I ask why are you answering according to your taste?
Can you please ask him to discuss with us, who made these rules?
I have many questions in my post but you answer this question which was easy for you.

And you ignored this too.

Well, I figured out who deleted all those posts and why. In local threads like yours, there should not be any announcements of specific alternative cryptocurrencies, posts with airdrops and subscription campaigns. Since you don't (yet) have a separate section for altcoins, bitcoin and other cryptocurrencies should be talking about here (discussion only).

Yani ham ko yaha par azaadi nahe ha balke bande huwe ha. Ye rules kaha Theymos ka bnaya huwa ha ya moderator ka? Agar Theymos ka bnaya huwa ha tho per main rules ma esko add q nahe kia. Es rules ko par kar muje bahut afsos huwa k jaha par decentralization aur government force se azadi ki bath ke jaathe ha waha par members ko es tarah posts ka paband kia jatha ha. Koi post hoga, announcement hoge tho ham us pat discussion karege. Ab start se 1 page se lekar ham 1000 page thak ek he cheez ki discussion karege? Ye bathe ap se nahe balke rules bnane wale se pochna chahooga.

Let me explain in simple words in English what he is asking?

He is asking. Is these rules made by theymos or moderator? If theymos made so why he didn't add these rules in main rules?
In conclusion he is asking to the mastermind who made these rules we will discuss only one topic from first page to 1000 pags.?



ThemePen dear ap kiya kehty ho es baray mai hamian thread bana chaheya k nai? abi tho hamary sirf 1000 pages complete howay thy or hum par unwanted restriction lug chuki hai or thread ka grow honna b mushkil ho gaya hai. Ap dakh skty hain jab ki ya restrictions lagi hain members ny posting karni choor d hai or most of the post helpful howa karti thi. well, ap kiya kehty hain es baray mai apna opinion share kijiya ga. Jazzak-Allah
Meri jaan ky totty my ny apni pichli post my mentioned kiya hai or Shahzadafzal sir sy request ki hai ap ek thread bnaa den iss mutaliq. Ab un ki mehrbani ho gi agar wo thora time nikaal kar thread bna den. Or hmari awaz ko buland karen. Asal my un ka thread bnana ham sab ki awaz hogi. Issi liye un ko request ki.

Hamza2424 ko iss liye nai kaha kiu ky wo to khud khilaf hen. Haha Smiley

Or mazy ki bat to ye hai pichly 12 ghanty my only 2 posts hui hen. Grin Happy restriction days Cheesy
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 19, 2024, 02:17:11 AM
Bitcoin Faces Pre-Halving Risk as CEOs Stay Positive

السلام علیکم
Bitcoin qareeb hai aik ahem marhale tak jo pre-halving danger zone ke tor par jaana jata ha jahan tarekhi trends ishaara dete hain ke halving event se pehle qeemat mein izafa ho sakta hai. Analysts ka kehna hai ke peechle halving cycles m Bitcoin ne event se pehle aham wapas jhoolay darust kiye h jin mein pehle tajurbaat mein 20% se lekar 40% tak ka giravat dekha gaya ha. Is mohlik khatrey ke bawajood, crypto CEOs Bitcoin ke lambay muddat ki raftar par pur umeed ha.
Binance CEO Richard Teng ka kehna hai ke Bitcoin apne urooj ki raftar jari rakhega mukhtalif institutional investments aur kam hone wale tawazun se mustafeed ho kar jis ke nateje mein qeemat mumkin hai ke saal ke ikhtitaam tak $80,000 ko paar kar sakebjo aset ki lambi muddat ki umeedon ko ahamiyyat deta ha

Lakin Bitcoin ki mojooda qeemat ne hal hil ke peechle oonchi sarharon se 8.5% ka giravat dekha ha jo is ki qareebi rawish ko mazeed ghaer mustaqil banata hai. Girawat ke bawajood dono Teng aur Marszalek umeed rakhte hain ke Bitcoin ki qeemat mein aahista izafa hoga jahan Marszalek ne peechle cycles ke muqablay mein aset ki kam volatility par zor diya hai. Jab ke Bitcoin qareebi 33 dinon mein agle halving event tak pohnche ganinvestors market ke dynamics par tawajjo dete ha chhoti muddat ke khatron ko lambi muddat ke bullish jazbat ke sath mawafiq karte hue jo ke institutional qabooliat aur bunyadi factors se faraham hota ha


Walaikum salam brother, ap theek kah rehe han k Bitcoin ki price jo drop ho reha ha wo Pre-halving correction ho sakti ha or yeh zayadeh se zayedh BTC k price ko 60K tak neechy le ja sakti ha. 60K k level se market recover kerna shoro ker sakti ha. Long term investors ko pareshan hony bki zarurat nhi k ku k long term target $one lakh se zayadeh ha or yeh target Insha Allah 2024 mein hee achieve ho jai ga. Mein ek video ka link share ker reha houn, Alessio Rastani ek prominent crypto analyst ha es ka kahna ha k jub tak Bitcoin 50K se oper ha toh strong pull back mumkin ha or Bitcoin dobra upwards journey shoro ker sakta ha.

https://www.youtube.com/watch?v=5ZlYnwN5Cpk
sr. member
Activity: 420
Merit: 325
Trade Big, Win Bigger!
March 18, 2024, 09:07:30 PM
Bitcoin Faces Pre-Halving Risk as CEOs Stay Positive

السلام علیکم
Bitcoin qareeb hai aik ahem marhale tak jo pre-halving danger zone ke tor par jaana jata ha jahan tarekhi trends ishaara dete hain ke halving event se pehle qeemat mein izafa ho sakta hai. Analysts ka kehna hai ke peechle halving cycles m Bitcoin ne event se pehle aham wapas jhoolay darust kiye h jin mein pehle tajurbaat mein 20% se lekar 40% tak ka giravat dekha gaya ha. Is mohlik khatrey ke bawajood, crypto CEOs Bitcoin ke lambay muddat ki raftar par pur umeed ha.
Binance CEO Richard Teng ka kehna hai ke Bitcoin apne urooj ki raftar jari rakhega mukhtalif institutional investments aur kam hone wale tawazun se mustafeed ho kar jis ke nateje mein qeemat mumkin hai ke saal ke ikhtitaam tak $80,000 ko paar kar sakebjo aset ki lambi muddat ki umeedon ko ahamiyyat deta ha


source
Lakin Bitcoin ki mojooda qeemat ne hal hil ke peechle oonchi sarharon se 8.5% ka giravat dekha ha jo is ki qareebi rawish ko mazeed ghaer mustaqil banata hai. Girawat ke bawajood dono Teng aur Marszalek umeed rakhte hain ke Bitcoin ki qeemat mein aahista izafa hoga jahan Marszalek ne peechle cycles ke muqablay mein aset ki kam volatility par zor diya hai. Jab ke Bitcoin qareebi 33 dinon mein agle halving event tak pohnche ganinvestors market ke dynamics par tawajjo dete ha chhoti muddat ke khatron ko lambi muddat ke bullish jazbat ke sath mawafiq karte hue jo ke institutional qabooliat aur bunyadi factors se faraham hota ha

copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 18, 2024, 07:18:18 PM


Haha.. i was just kidding bro dont mind it, i know apki intention.. haan daily too nai kar sakta koi but hum hain naa haha, baqi yee rules for airdrops and links mere hissab see theek haa as forum is about Bitcoin and altcoin kaa lia bi discussion allow too haa magar still as you know, airdrop ka chakar maa kabi akbar galat links bi share hoo jate i know jo sahre karta wo responsibility koo mjhta haa but still aik achii cheez haa newbies koo bachanee ka lia phsiing atack see.

For the rest hamara yehi aik thread haa hum yahan bi agar restricted content share karain gee to bass theek haa phir acitivity to nill hoo jayee giii



what a timing I'll comment on most things soon.. ass abi abi post kii so .. for better view

Brother, ap theek kah rehe han restrictions ki waja se yehan pe activity bht kum ho jai gi. Mere khayal mein jub tak hamara apna board approve nhi ho jata hum logo ko koshish kerni chaye k rules ko follow kerty hoi yehan pe active rehen or aisa content share mut keren jo allow nhi ha. Bitcoin market ko discuss kerny pe koi issue nhi ha, local or International politics bi discuss ker sakty han. Mere khayal mein zayadeh focus Bitcoin pe rekhin toh koi issue paida nhi ho ga.
Jump to: