Threats and Prevention
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Kea haal ha mry dosto
DDoS attack aik system ko ziada requests se overload kar deta hai, jis se wo crash ho jata hai aur sahih access ko disturb kar deta hai. Hackers malware ka istemal karte hain taake bohot se internet-enabled devices ko control mein la sakein jo aik botnet bana ke target ko traffic se flood karta hai. Halankeh blockchain networks decentralization ki wajah se DDoS attacks ke liye mukhlis he lekin ye mukhtalif attacks ke liye kaam kar sakti hain. Hamare dekhe hue Solana network ke incident mein bhi fake transactions ka spam dekhne ko mila. DApps aur crypto exchanges bhi aam DDoS targets ha jin se temporary service outages hoti hy info
DDoS attacks blockchain networks ko baray nuksaan se mutasir kar sakte ha transaction flooding aur smart contract vulnerabilities ka faida utha ke. Ye attacks software crashes node failures aur overall network congestion ka sabab ban sakte hain. In attacks ko roknay ke liye blockchain networks ko node-level aur network-level security measures ko implement karna hoga jaise ke mazboot authentication load balancing, firewalls aur intrusion detection systems. Regular audits, stress testing aur redundant infrastructure maintain karna zaroori hai taake network DDoS attacks ke khilaf mazboot rahe