Author

Topic: Pakistan - page 154. (Read 6496683 times)

sr. member
Activity: 434
Merit: 360
April 22, 2024, 04:21:52 PM
Bitcoin Market Analysis: Expert Predicts Price Surge Beyond $100,000

Assalam alikum to all of the community, jasy ap ko pta Bitcoin ki havling start huchki hai or Market expert Charles Edwards ne BTC market mein aik significant change ka tajwez diya hai Halving event ke baad. Edwards ne ahem metrics par roshni daali hai jismein aik Bitcoin ko mine karne ka bohat zyada kharch jo ab $77,400 tak pohanch gaya hai. Ye rakam Bitcoin network ko chalane ke liye har naye BTC ko mine karne ke liye zaroori bijli ke kharch ko darshata hai. Mazeed Bitcoin Miner Price ned ned $244,000 tak pohanch gaya hai jis ke sath sath transaction fees bhi $230 par chali gayi hain, pichli record se chaar guna zyada. Edwards ke mutabiq BTC ab deep discount par trade ho raha hai mining costs ke muqablay me jis se keemat mein izafa hone ki umeed hai jo peechle all time high ko paar karega.

Edwards ne teen mumkin outcomes ka aitraaf kiya hai: aik ahem BTC ke keemat ka izafa kuch miners ke 15% band hone ka khatra economic challenges ki wajah se aur barqarar transaction fees ki bulandiyon ka. Us ne himmatwala taur par kehta hai ke Bitcoin ke din $100,000 ke neeche trade karne ke shumar hai aik keemat izafa ke mawaqe par is amal ki milavat ki wajah se. Jabkh market analysts jaise Ali Martinez ne $66,000 ke aas paas support levels ko ahem qarar diya hai, jahan bari rukawat ki umeed hai $69,900 aur $71,200 ke darmiyan.

baqii halqat ke Bitcoin metrics market mein aik paradigm shift ki nazar hai. Charles Edwards ka tajziya hai ke Bitcoin ki keemat jald $100,000 ko paar kar jayegi jis ka sabab mining costs ke muqablay mein ab deep discount hai. Miner shutdowns aur high fees jaise mumkin challenges ke bawajod Edwards Bitcoin ki keemat mein izafa ke liye pur umeed rehte hain. Ali ka tajziya bhi is tasleem ko support karta hai jo $66,000 par support ko darust kehta hai aur agle rukawat ke darwazon ko pesh karta hai. Aam tor par market ki feeling Bitcoin ke qareebi mustaqbil mein qeemati izafa ke liye hai details
hero member
Activity: 1428
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
April 22, 2024, 02:01:11 PM
Mei bei bahrea aur fet faat Faisal2202 بھائی both shukrea Mei aap kou seib Sei late reply kr rHa ho is wja ye hai Mei mein aek post tiyar Kei hai es Mei hum Electrum wallet ku through keisey apny address Ka sign message create Kar sakhtay h takay SB log es cheaz Ka faidha utha sakhay or apny address KO forum my proof KY tour par add kr sakhay Kei ap Kei account Kei real owner hai.
wa alaikum asalam dear I hope youa re doing fine, koi masla nhi dear ap ny beshak late reply diya lekin yaad to rkha, or yeh ap ny bohat achi contribution ki hai amazing, mai insha Allah apna wallet jld hi stake kroon ga or is ky ilawa hamain apny account ki 2FA bi on krni chahiya, I suggest ky hm apna old wallet hi istemal krain as new wallet ky liya to new seed phrase smbalna padhy gi, lekin wesy agr new bnaya jai to ik trf sy bhtr hi hai as purany waly agr compromise ho bi jain to koi issue nhi rhy ga. Baki Allah hr bury waqt sy bachy.

Acha 1 2 cheezain hain confusion hi kh lain, ky agr hm trustwallet ka bna howa account import krty hain tb hamain BIP39 choose krna hai, or agr hm direct new wallet creat kr rhy hoon on electrum tb hamain konsa type choose krna hai? or dusra question ky trustwallet use krty waqt BIP39 hi use ku krna hai. ik or baat ky jb hm new wallet creat krty hain electrum pr tb hamain more than 1 walllet address diya jaty hain, yani 1 say zayda kuch pr to limit lgi hoti hai ky yeh itni diar tk available rhey ga us ka kya ilaj hai. Trust wallet ko use krty waqt shaed 1 hi wallet address show hota hoo lekin jb new bnaty hain tb nhi hota tb different option available hoty hain.
hero member
Activity: 2464
Merit: 877
April 22, 2024, 01:35:56 PM
Quran Majeed parhne k adab

1- Quran Majeed ki talawat pak saf ho kr krni chaiye

2- Talawat shuru krne se phela taoqh aur tawmeyain parh leni chiyein

3- Tajweed k sath talawat krni chaiye

4- Talawat krte hue Allah aur iss k kalam ki azmat dil mai honi chiaye

5-Talawat aista aur buland awaz dono mai ho shkthi hai. Ilbata ye khayal rhne chiaye k buland aaz se khoi pareshan toh ni ho rha ya uski aram yak am mai khoi jalal toh ni ho rha.

6- Sajdah talawat wali ayat mai sajdah krna chaiye.

7- Quran k tarjamah k waqt khub gor o fiqr krni chaiye tak k ayat ka mafhoom achi tarah se smj mai aye.

8- Allah Tallah aur * Hazrat (PBUH)* ki muhabat aur ithahat k jazbe se sar shar ho kr ihkam deen sekhne aur in pr aml krne ki neyat se Quran ka mutallya bhi krna chiaye.

9- Talawat k akir mai apni, apna walden, teachers, marhoom aur puri umat e muslama k liye dua krni chaiye.

Source:- Class 7 Islamiyat Textbook Board book
sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
April 22, 2024, 11:18:08 AM
Bitcoin ETF demand turns negative around BTC halving

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Sabi ni Bitcoin par bhot umeedien lagi hai par is report k mutabik lagta nhi ab Bitcoin fastly pumping karie ga is  halving ke baad ab Jo b new Bitcoin investement products ki darkhwast khaaskar spot Bitcoin exchange traded funds ETFs kam hogayi hai Matlab ultta hogaya barny ke bejaye Kami Hogi jis Sy Bitcoin aik normal range pakray howay hai.

Starting me in ETFs ne investor karne walay idaron ki tawajju ko apni taraf khench liya tha, jald az jald $13 billion tak ki numaindagi manage ki thi. Lekin, rozana net inflows mein taqreeban $1 billion tak ke charam pe pohanchne ke baad darkhwast mein kami nazar aarahi hai. Is halving ke baad maloofo ko supply shock ka tasawwur tha lekin mojooda ETF inflows mein girawat ko chouthay halving se nahein balkay SPX aur Nasdaq indices mein kami aur saakht duniyawi tension jaise aham asbaab se wabasta kiya jaata hai. Jag Kooner Bitfinex ke derivatives ke sarparast, yeh girawat sarmaya dari ke portfolios mein risk ko dubara taqseem karne ka nateeja hai, khaaskar Bitcoin ETFs ke tawajju mein kami ka nahi Info
newbie
Activity: 3
Merit: 0
April 22, 2024, 09:27:00 AM
Hope aap Ku Meiri es post sei koch help Mel jaeay gee Thanks
Thank you so much😊
Okay g ma apki bataye howe rules samaj gayi and ma read out karti hun sarey rules. Mujhe idea nahi tha es lei confirm Karna chahti thi shukriya apney buht achey sey smja diya. Insha Allah time k saty sath ma sab seek jaongi.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 22, 2024, 07:14:53 AM

Market ki update ye ha k aaj jab ma ne apna mobile khol k dekha jo k ab aadat sa ban chuka ha k agar cha trading na b kar rahe ho aur fund b na hoo leken binance ma token price dekhna aur ye dekhna k btc opar ja raha k nahe, market ki kia condition ha ye dekhna zarori lagta ha ab.

jab binance ma ja k dekha tho market green ge greeb dekhai de raha tha jis ko dekh kar kaafi acha laga k market halving k bad ab positive movement ma aa raha ha. Ma tho soch raha tha k ab 2 mahina lag jaega leken agar yaha btc stable rahe tho per hame altcoins ma aacha khasa pump dekhne ko mel sakta ha. let's see k kia hotha ha.

Brother, Bitcoin ki haryali ko dekha toh mujhy apny Roof top garden ka khayl aya k Bahar k mausum ki waja se vehan bi ajkal heryarly hee heryali ha, Ghulab or Jasmine k phool na sirf khobsoorat lugty han blky khushboo bi phailaty han. I love nature because it is beautiful.

Regarding Bitcoin, eski haeryali toh pori crypto community mein muskerhat bker deti ha, Insha Allah any waly dino mein Bitcoin ka bull cycle bht sary logo ka fincnail future badel de ga. Insha Allah. DYOR
hero member
Activity: 812
Merit: 619
April 22, 2024, 01:41:55 AM

Brother, ab toh halving ko complete hoi 48 hrs guzer chuky han or Bitcoin mein koi khas momentum nhi ha or Bitcoin es waqt bi $64,883 pe trade ho raha ha. Bitcoin ETFs mein inflow slowdown hoa ha or BlackRock or Fidelity mein 30 or 55 million ka inflow hoa ha. Grayscale k outflow bi $45.8 million rahi ha. Aaj Monday ha or Bitcoin ki halving event k baad pehla working day ha or dekhty han k aaj sham tak kia new developments hopti han or Bitcoin ki price kia direction leti ha, wasy price brny ka imkan zayadeh ha. Mere analysis k mutabik Bitcoin $60K pe bottom out ho chuka ha or ab umeed ha k $80k ki trf journey jari rehe ga.. DYOR

https://cointelegraph.com/news/black-rock-bitcoin-etf-hits-69-days-inflows-4-20-halving

Bilkul sir my BHI positive hi hun bss Agar Israel or Iran Ki Tension mazeed naa barhi to. Abhi Bitcoin ny $65000 KY upar Ki jump lgai hy.
Asal my zyada masla Alts KY liye hota Hy. Bitcoin to recover kar leta Hy khud ko par Dominance high hony Ki waja sy Alts zyada dump kar jaty hen. Bitcoin KY dump sy zyada nuqsan to hota Hy par pump sy wo recovery nai aati sirf Dominance Ki waja sy.
Lekn bohat analysis still alt season Ki prediction kar rahy hen. Jo KY un KY mutabiq bohat jald Shuru hony WALA. To dekhty hen kab Shuru hota Hy. Smiley

Market ki update ye ha k aaj jab ma ne apna mobile khol k dekha jo k ab aadat sa ban chuka ha k agar cha trading na b kar rahe ho aur fund b na hoo leken binance ma token price dekhna aur ye dekhna k btc opar ja raha k nahe, market ki kia condition ha ye dekhna zarori lagta ha ab.

jab binance ma ja k dekha tho market green ge greeb dekhai de raha tha jis ko dekh kar kaafi acha laga k market halving k bad ab positive movement ma aa raha ha. Ma tho soch raha tha k ab 2 mahina lag jaega leken agar yaha btc stable rahe tho per hame altcoins ma aacha khasa pump dekhne ko mel sakta ha. let's see k kia hotha ha.
sr. member
Activity: 462
Merit: 354
Trade Big, Win Bigger!
April 21, 2024, 10:35:28 PM
Victory Securities Discloses Bitcoin and Ether ETF Fees

السلام علیکم
Hong Kong mein mojood investment firm Victory Securities ne Bitcoin aur Ethereum exchange-traded funds ke liye ahtemaal ka kharch disclose kiya ha jasy kah Securities SFC ne abhi tak manzoor shuda issuers ki list nahi jari ki hai. In ETFs ke primary market fees ka ahtemaal 0.5% se 1% tak ho sakta hai jahan minimum fee $850 hogi. Doosri market mein shares kharidne aur bechne ke liye online transactions ka fee 0.15% aur telephone transactions ka fee 0.25% hy source

Yeh fees waisa hi hai jaisa U.S based asset managers jo spot Bitcoin ETFs ka offer karte ha jahan fees ka range 0.20% se 0.90% tak hy. Grayscale Bitcoin Trust ka fee kaafi zyada yaani 1.5% hai. Hong Kong ne haali mein spot ETFs ke liye Bitcoin aur Ether ko manzoor kiya hai, jo ke offshore Chinese asset managers ka intezar kar raha hai jaise ke Harvest Fund Management Bosera Asset Management aur ChinaAMC jo jaldi apne spot Bitcoin aur Ether ETFs launch karne ka plan kar rahe hain. Lekin kuch industry analysts ko ehtiyaat hai ke mainland China ke investors ko shayad Hong Kong-listed spot Bitcoin aur Ether ETFs kharidne ki ijazat na ho kyunki unhe virtual assets kharidne se roka gaya hy
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
April 21, 2024, 08:33:54 PM

Brother, ab toh halving ko complete hoi 48 hrs guzer chuky han or Bitcoin mein koi khas momentum nhi ha or Bitcoin es waqt bi $64,883 pe trade ho raha ha. Bitcoin ETFs mein inflow slowdown hoa ha or BlackRock or Fidelity mein 30 or 55 million ka inflow hoa ha. Grayscale k outflow bi $45.8 million rahi ha. Aaj Monday ha or Bitcoin ki halving event k baad pehla working day ha or dekhty han k aaj sham tak kia new developments hopti han or Bitcoin ki price kia direction leti ha, wasy price brny ka imkan zayadeh ha. Mere analysis k mutabik Bitcoin $60K pe bottom out ho chuka ha or ab umeed ha k $80k ki trf journey jari rehe ga.. DYOR

https://cointelegraph.com/news/black-rock-bitcoin-etf-hits-69-days-inflows-4-20-halving

Bilkul sir my BHI positive hi hun bss Agar Israel or Iran Ki Tension mazeed naa barhi to. Abhi Bitcoin ny $65000 KY upar Ki jump lgai hy.
Asal my zyada masla Alts KY liye hota Hy. Bitcoin to recover kar leta Hy khud ko par Dominance high hony Ki waja sy Alts zyada dump kar jaty hen. Bitcoin KY dump sy zyada nuqsan to hota Hy par pump sy wo recovery nai aati sirf Dominance Ki waja sy.
Lekn bohat analysis still alt season Ki prediction kar rahy hen. Jo KY un KY mutabiq bohat jald Shuru hony WALA. To dekhty hen kab Shuru hota Hy. Smiley
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
April 21, 2024, 08:13:31 PM
Aisa hee ha ek chor jail ma para ha, dosre kuch chor bahir ha. Es mulk ma hotha he aisa ha k apas ma deal hothe ha k 3-4 saal ap hakoomat kare aur 3 saal per jail ma rahe aur per ham hakoomat ma aaenge aur yoohi selsela chalta jaega. Har candidate ki khwahish hothe ha k bas kis tarah fauj ka tabedar ban jae k hakoomat usko mele just like 2018. Ab tho had ye hogae k KPk ma Tiktokers aurto ko baqaeda inamat dene lage jis se Fahashi ko char chand lag jaega. Ek taraf Gandapur ha tho dosre taraf Maryam nawaz jin se pori taraqi ki umeed rakhma be sood ha. 
Yehi to bat hai boss. Chu*ya bnaya huwa hai awam ko. Or hmari awam ki aankhen naa abhi khulli hen or naa shayad kabhi khulen gi. Sab mil beth kar khaaty hen. Bss smjny ki zrurat hai. Allah hi hai ky ham par apna fazal kary nai to kartut hmary hen koi nai.

Jaha thak P2P ka case ha tho ye Pakistan ma aadh bar hotha ha aur India ma almost 90%. Ab agar hakoomat ye kare k 20% tax lagae thab b ham khush na honge tho bas behter yahi ha k P2P apne dost se he kia jae ya secondary bank account se. Ma tho Easypaisa se he karta ha aur shukar ha k abe thak koi masla nahe aaya.
Ji ji next time ab my ny yehi karna hai. Yani apna Easypaisa jazzcash hi use karna hai. Bank kaa bhi masla to nai huwa par zara ajeeb si situation ban gai. Matlab jiss ny send kiye us ka bhi block ho gaya account or mera bhi. Or ilzam ek alag hi lgaya jaa raha hai ky my ny fraud kiya. Kher dekhty hen kaya hota hai?

Same hi P2P problem kafi logo ko ayee jis par unky account freeze howy aur jab investigation Howe toh yahi Bandy aisy mulawis Paya ky P2P ky through is Sy dollar liya aur Issy wohi churaya ya black money ya fradia money dy de Gaye toh ab zahiri toor par iska koi kasoor Nahi but us chain Mai shamil hogaya. Isse tarah problem hamry learn fast earn ky owner Zulfiqar sir Ki bhi aye uska account freeze hogaya FIA ky dwara toh ab easypaisa ya jazzcash Sy agr ap karty ho toh woh just ap daily 50k karsakty ho toh baaz okaat woh zaroorat pore Nahi Karta isliya log iss bank Ki taraf jaaty ha. Toh agr ap chahy toh (Jazz Cash, Easypaisa, Upaisa, Alfa, Nayapay) yeh sab banwa ky in pa tarde Karly toh easily upto 200k daily nikaal skaty ho. Baki woh skrill waha bhi haa but kafi costly haa
Han ye to hai ye sources hi use karna behtar. Mera to first experience tha to pata nai tha to iss liye ab next time khayal rakhen gy. Ab sy Easypaisa jazzcash par hi P2P karun gaa. Taa ky agar koi esa masla ayee bhi to mery secondary account par issue naa aye. Smiley
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 21, 2024, 08:00:51 PM

G bilkul sir 18hr guzary chuky hen. Par Bitcoin my wo move dekhny ko nai Mila Jo KY Nazar ana chahye Tha. Or is Ki waja fill haal weekend BHI ho sakta hy. Yani ab Kal Monday Hy or UK USA Ki markets open hon gi. PHR pata lagy Ga KY Kaya move dikhata hy Bitcoin. Yani Jesy hype Bani hui Bitcoin Ki wesy move nai Aya. Abhi momentum Shayad nai Bana wo WALA. Mujy BHI fil Hal market my positivity hi Nazar araha hy. Han albata ye war season Shuru ho Gaya to Bitcoin Ki matt waja Jaye gi. Or Agar Bitcoin two times apni is support kaa chakkar Laga Chuka Hy yani $60000 ka or Kabhi Kabhi 3rd attempt par nichy Chala Jata Hy or Kabhi 4rth par. To kuch keh nai sakty Agar dubara support ko attempt Kiya to qabu my rahy gaa KY nai. Q KY 2 dafa attempt lent sy wo support thori kamzor ho Gai hy. So dekhty hen KY Bitcoin Kaya move deta hy. Behar haal iss waqt Bitcoin $64900 par trade ho raha hy.

Bitcoin Current Price:

Brother, ab toh halving ko complete hoi 48 hrs guzer chuky han or Bitcoin mein koi khas momentum nhi ha or Bitcoin es waqt bi $64,883 pe trade ho raha ha. Bitcoin ETFs mein inflow slowdown hoa ha or BlackRock or Fidelity mein 30 or 55 million ka inflow hoa ha. Grayscale k outflow bi $45.8 million rahi ha. Aaj Monday ha or Bitcoin ki halving event k baad pehla working day ha or dekhty han k aaj sham tak kia new developments hopti han or Bitcoin ki price kia direction leti ha, wasy price brny ka imkan zayadeh ha. Mere analysis k mutabik Bitcoin $60K pe bottom out ho chuka ha or ab umeed ha k $80k ki trf journey jari rehe ga.. DYOR

https://cointelegraph.com/news/black-rock-bitcoin-etf-hits-69-days-inflows-4-20-halving

sr. member
Activity: 235
Merit: 136
Part of AOBT Gang - English Translator to Urdu
April 21, 2024, 07:55:38 PM
Bitcoin's Fourth Halving "Soaring Fees and Market Dynamics"

السلام علیکم بھائیوں، امید ہے سب ٹھیک ہو گئے

Bitcoin ki history ka fourth halving event jo blockchain community mein World Cup aur Olympics jaise baray sports events ki tarah manaya jata hai hal hi mein hua. Is event ne miners ko di jane wali inaam ki miqdaar ko aadha kar diya aur is doran Runes protocol ke launch ne Bitcoin network par transaction fees ko bohot zyada barha diya. Ye protocol jisay developer Casey Rodarmor ne mutaarif karwaya users ko Bitcoin blockchain par digital tokens mint karne ki sahulat deta hai jis se transactions mein tezi aayi aur fees record satah tak pohanch gayi.

detail

Halving ke baad transaction fees mein izafa hua halving block ne 37.6 BTC ki record high fee dekhi jo $2.4 million se zyada thi. Runes ka block 840,000 par launch hone ke baad fees mein mazeed izafa hua, aur launch ke pehle ghante mein hi 853 runes kundiyaye gaye. Notably naye tokens mint karne ke liye muqabla dekhne ko mila jis ki wajah se users ki taraf se di jane wali fees ne lakho dollars tak ki bulandiyon ko chhua, jo mamooli fees se kahin zyada thi. Ye fees ka izafa Bitcoin network par ek bemisal stress test hai jaise ke mashhoor developer Jimmy Song ne Tone Vays ke livestreamed event ke doran zikar kiya.

Halving ke baad, fees ne pre halving rates se kahin zyada izafa dekha aur miners ko tawaqo hai ke wo kam hui mining inaam ko offset karne ke liye transaction fees par zyada inhisar karenge. Mining subsidy 6.25 BTC se ghat kar 3.125 BTC ho gayi hai aur miners naye revenue streams talaash karne ki koshish kar rahe hain jo Runes era mein faida mand sabit ho sakta hai. Halving event ke gird bohot ummeedain thi, lekin Bitcoin ki qeemat par fori asar abhi tak ghair yaqeeni hai jahan market commentators ke darmiyan ikhtilafat hain. Kuch logon ka khayal hai ke halving ka asar pehle se hi BTC ki qeemat mein shamil hai jab ke doosre log price rally ki tawaqo rakhte hain, jo cryptocurrency landscape ki paicheedgiyon aur badalti hui protocols aur idarati sarmayakari ke dakhil hone ko aur bhi naqabil-e-peshgoi banata hai.
sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
April 21, 2024, 06:52:39 PM
Scam Alert ZKasino Scandal Unravels and Crypto Community Warned of Rising Scam Incidents

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Brothers ZKasino jo crypto betting platform hai is  ke fraudule amal par gor ke ja rahi hai jis mein project development ke liye makhsoos funds ko  istemal karne aur users ko apni funding ke bare mein gumrahi dena aur developers aur contractors ko ada nahi karna shamil hai.
ZigZag decentralized P2P order book exchange ne ZKasino ko apne treasury se shuruati funds chura kar ke aroo ka ilzaam lagaya aur platform ki ilan ki gayi ecosystem fund ki asliyat par shak kiya. Yeh waqiya crypto space mein fraudd ki ahmiyat par sawal uthata hai. Jawab mein MEXC aur doosre investors ne ZKasino se apne aap ko door rakha hai.

Aur  MEXC ne  yahan tak kaha ke woh ilzaam lagaye gaye rugpull ke baare mein anjaan tha aur apne aap ko platform ke amal ka shikaar samajhta hai. Big Brain Holdings doosra investor ne apni ghair m direct shirkaat ka iqraar kiya ek pehle ke project ke zariye lekin ZKasino ki ikhlaqi aur tokens ko hasil karne ki dilchaspi ke bare mein shak kiya. Yeh suraty haal istemal karne walo aur investors ke liye cryptocurrency market mein fraudd aur nuksan se bachne ke liye sahi tafteesh ka ahemiyat ko buland karta hai Info
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
April 21, 2024, 06:45:05 PM
[L
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea chaal haal hai brothers loog

Bitwise kei CEO Hunter Horsley umeed rkhtei hai kei wealth management khaaskar ETFs ki demand barhne kei bd Bitcoin ETFs ke malikana hisse barhain geay khaaskar recent mei U.S Bitcoin ETF market mei positive inflows kei bd ETFs ki demand mei izafa hua hai. Ye sentiment market kei raayat ke saath milta hai ke ETFs logoun kei darmeayan maqbuul hu rhe hai jaise ke Bitcoin mein nivesh ke halving ki ghari se thori dair pehlei positive inflows kei traf indication krta hai joi peichle five musalsal dinon kei bd hua jb event ka daur tha. BlackRock ka iShares Bitcoin Trust (IBIT) Grayscale ke Bitcoin Trust (GBTC) ke nezdeik aa rha hai sirf $2 billion ki kami mei jou BlackRock kou shaead Grayscale ku world ka sab sei big Bitcoin fund banane ka imkan deta hai.
Waalikun assalam umeed Bhai ap b thik hon gy ,
Meny social media par aik bandy ka interview son us NY kaha k jab jab Bitcoin me event  aye hain tab tab  dump b Aya , phely to me us k ye phenomenon ko samj nhi k jab b koi event ata hai good news ati hai market pump Karti hai na k dump jese k ETF ka approved aur ab halving ka event chal raha hai par yahan pay bat os ke Sahi b sabt ho Rahi hai k halving event ho choka par price not going up asal bme hota ya hai k jab b koi bara event ata hai market me whale aur big investor holder liquidates hona shoro ho jaty hai jese Sy ham kasa pata nhi chal pata k event ka pump kuin nhi araha phir asat asat inning Hoti hai jis Sy price phir SE oper Jana shor ho jati hai .
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
Enjoy 500% bonus + 70 FS
April 21, 2024, 05:29:12 PM
Kher mera apna account block kiya inhon ny. Mujy P2P sy payment aai Eid sy pehly. Ab jo amount mujy aai or jis ny ki. Us kaa account block ho gaya. Us kaa huwa to mera bhi block kar diya. Mujy Branch Manager ki call ai kehta ap ky khilaf report darj hui hai ky ap ny fraud sy pesy wasul kiye hen. Yani hadd hi nai hogai. Ab kal branch visit karun gaa dekhun gaa kaya kehty hen. Ajeeb situation bana di hai.
Same hi P2P problem kafi logo ko ayee jis par unky account freeze howy aur jab investigation Howe toh yahi Bandy aisy mulawis Paya ky P2P ky through is Sy dollar liya aur Issy wohi churaya ya black money ya fradia money dy de Gaye toh ab zahiri toor par iska koi kasoor Nahi but us chain Mai shamil hogaya. Isse tarah problem hamry learn fast earn ky owner Zulfiqar sir Ki bhi aye uska account freeze hogaya FIA ky dwara toh ab easypaisa ya jazzcash Sy agr ap karty ho toh woh just ap daily 50k karsakty ho toh baaz okaat woh zaroorat pore Nahi Karta isliya log iss bank Ki taraf jaaty ha. Toh agr ap chahy toh (Jazz Cash, Easypaisa, Upaisa, Alfa, Nayapay) yeh sab banwa ky in pa tarde Karly toh easily upto 200k daily nikaal skaty ho. Baki woh skrill waha bhi haa but kafi costly haa
sr. member
Activity: 630
Merit: 404
April 21, 2024, 12:09:04 PM
Bitcoin ETF Market Dynamics: BlackRock's Rise, Grayscale's Decline and Growing Interest Among Wealth Managers

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea chaal haal hai brothers loog

Bitwise kei CEO Hunter Horsley umeed rkhtei hai kei wealth management khaaskar ETFs ki demand barhne kei bd Bitcoin ETFs ke malikana hisse barhain geay khaaskar recent mei U.S Bitcoin ETF market mei positive inflows kei bd ETFs ki demand mei izafa hua hai. Ye sentiment market kei raayat ke saath milta hai ke ETFs logoun kei darmeayan maqbuul hu rhe hai jaise ke Bitcoin mein nivesh ke halving ki ghari se thori dair pehlei positive inflows kei traf indication krta hai joi peichle five musalsal dinon kei bd hua jb event ka daur tha. BlackRock ka iShares Bitcoin Trust (IBIT) Grayscale ke Bitcoin Trust (GBTC) ke nezdeik aa rha hai sirf $2 billion ki kami mei jou BlackRock kou shaead Grayscale ku world ka sab sei big Bitcoin fund banane ka imkan deta hai.

Hlankei Grayscale ka GBTC 68 days tk kei douran price mei kaemi ka samna kar rha tha almost $16 billion dump kr geaya aur is ke assest $19.4 billion tk kam hu Gaea IBIT ku musalsal assest ka izafa hua jis nei almost $17.3 billion ki total assest tk pahunch geaya. But Grayscale ka spot Bitcoin ETF ne important capital ki outflows dekhi jhan investors nei sirf pechlei 5 days mein $89.9 million withdraw Keri lea j January sei aaj tk ka net outflow $1.6 billion ka hai. Grayscale ke early lead ke bawajuud unka Bitcoin ETF market mei ehtiyaat kamzour ho raha hai Fidelity aur BlackRock jld az jald barhne waleay market shares ku haseil kar rhe hai aur ek he week mei $37.3 million aur $18.7 million ke net inflows kei sth munsalik hu rhe hain. Ye development darust dilchaspi ku zahir krte hai Bitcoin ETFs mei ju kei registered investment advisers (RIAs) aur multifamily offices ke darmiyan hu rhei hai jo ke Bitwise ke CEO ne "chupke se lekin qabil e zikar" qrar deaya hai. major financial idaray chupke sei Bitcoin market ka tafseeli jaaizah kar rhe hain jeisa ke ETFs ke hali hawaleyon mei sabuut hai. GBTC ju 2015 mei launch hua aur January mei ETF mei change hua recent mei nazar andaz hota rha jeis mei 10 April ko $154.9 million se $17.5 million tak barh kar aya. Ye trend Bitcoin ETF market mei ek badalne waleay manzar ka nami darust bayaan arta hai jhan kei new players aur dynamic industry ko naeay andaz mei shift krta hai. source
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
April 21, 2024, 10:59:41 AM

Bitcoin halving ka effects eik dam sa zahir nhi hota. Halving ke effect dekhna ka lea apko almost eik saal tk price ko dekhna hota hy. Kyunka halving ka block mine hota saath he log buying start nhi kr deta aur na he miners apni machine switch off kr deta hn ka ab reward half ho gya gya hy. Mojuda ATH price ke bari wajha ETFs han na ka halving event.

Mera pass mazi ke halving sa related kuch data aya, jo ya zahir krta hy ka Halving ka immediate effects kuch zayda nhi hota pr eik saal baad price ma wazih izafa dekha ja saqta hy.
  
Bilkul Sahi kaha Musa bahi price hemesha Havling Sy phely aur halving k bad me Sahi pump Nazar ata hai wo b slowly slowly ,
Magar ab sawal ye horaha hai k keye BTC 100k doller Yan us Sy be oper Chala jaye keye altcoin coin b itna pump kar sakty hai Yan nhi
I think sab ke apni apni analysis  Hoti hai kuch altcoins ko chhod kar baqi altcoins mein shayad  itna popular nazar na aaye woh altcoins market se Bitcoin ke price ke peeche drive karne wale factors kaun se hain ham sab ko pata hai dunia ka saara sarmaya woh isko store value samajh ke is mein paisa daalna chahta hai. Haan jo doosre markets hain altcoins markets mein kon  kon si markets kar sakti hain jin mein isi tarah potential nazar aa sakta hai,

Aik to real-world assets ki tokenization wale protocols mein hamien ko achhe returns mil sakte hain,

Aur hamie  ko AI mein achhe khasse returns mil sakte hain,Aur gaming mein b  depend karta hai ke gaming ke jo purane issues hain ka wo Kon solve karie .Baqi sab ke apni apni analysis hai menie to yahan tak altcoin me me ye analysis nikali hai .
full member
Activity: 784
Merit: 204
April 21, 2024, 05:32:11 AM
What Will Be The Price Of Bitcoin At next Halving ?

Jaise ke ap ko Elam ha ke Bitcoin halving ho Chuka ha berso , jes se Bitcoin miner ka rewards 6.25 per block se kaam ho kar 3.125 per ageya ha. Per Abi analyst ane wale next halving per apni nazre jamaye huwe Hain. Ee zumre ma Kafi analyst ne apni apni pridiction pesh ki ha aur en sub ka maana ha ke next halving ko ke 2028 ma hoga Bitcoin ki price $200,000 tak pohnch Jayega.

Bitcoin halving ka effects eik dam sa zahir nhi hota. Halving ke effect dekhna ka lea apko almost eik saal tk price ko dekhna hota hy. Kyunka halving ka block mine hota saath he log buying start nhi kr deta aur na he miners apni machine switch off kr deta hn ka ab reward half ho gya gya hy. Mojuda ATH price ke bari wajha ETFs han na ka halving event.

Mera pass mazi ke halving sa related kuch data aya, jo ya zahir krta hy ka Halving ka immediate effects kuch zayda nhi hota pr eik saal baad price ma wazih izafa dekha ja saqta hy.

Bitcoin Performance Halving ka Eik Mah Baad

2012 - 9%
2016 - -10%
2020 - 6%

Bitcoin Performance Halving ka Eik Saal Baad

2012 - 8,839%
2016 - 285%
2020 - 548%
 
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 21, 2024, 05:26:03 AM

Mt.Gox Creditors Received Update on Tokens Withdrawal And Payment Status:
jasa k app sub log janta haaa k Mt.Gox AK popular Bitcoin exchange Jo 2010 ma start Howa taa or starting maa he bohat popular hogya qk log us par Bitcoin buying/selling Fiat ma b hote tee. Lakin 2014 maa maa Kisi na Mt.Gox ko hack karleya taa. Or pir bad ma pata Chala kaa wo Mt.Gox khud hee taa or illegal activity be kar rah taa as back side logo ka funds stolen Karn ka leya.

Last 10 years saa Mt.Gox trustee naa APNA barpoor Koshish kee  Grin ka Mt.Gox creditors ko APNA fund withdrawal ke permission da daa. But har bar ke Tara wo funds withdrawal schedule change kar dataa ha yani different reasons ke waja sa postponed kar dataa haa. Last time December 2023 ko Mt.Gox ka creditors ko email be send ka or inform keya ka ka Repayment Status introduce kar de haa website ka display maa to. Mail ka bad aksar logo naa samja ka ab funds withdrawal mil jyagee lakin Kuch log ko received to baqi zyada logo ko received NAHI how. Reason.....

Today 21 Apr 2024 maa Kuch information ka mutabik Kuch Redid users naa update keya haa ka ab pir sa MT.Gox naa creditors ko fund withdrawal da raha haa. Honwa Kuch u kaa Reddit ka Kuch users naa note keya ka website ka update maa Mt.Gox naa  na AJ AK (blank table) dya jis maa Bitcoin, Bitcoin Cash and Yen ko as options kar dee ha funds withdrawal ka leya. Ise ke waja sa Reddit ka users ka b/t discuss Howa ha ya AK just formalities ho saktee haa ka Mt.Gox APNA user ko tselee da raha ha they doing something, or Kuch users na kaha ka hosakta haa wo Mt.Gox creditors ko repayment da raha hoo lakin.

Image

Q: Ab ya 10 years sa ham ko Sunna ma a raha haa ka funds da raha haa lakin pir irada badal tata haa. Is bar App Logo ka Kya khyal haa ka waqi da da ga ka nahi share your opinion with us?

Brother, MT.Gox jo k kisi zamany mein japan ki ek exchange hoti thi or usko kuch wajohat ki bina pe bund ker dia gya thi, esky crditors ko Bitcoin milny ki news mein several years se crypto media pe dekh reha houn mgr yeh Bitcoin abi tak creditors ko milay nhi han. Bitcoin ki tadad ghalibun 1 lakh se zayadeh thi, mgr abi tak clear nhi ha k enky distribution ka mechanism kia ho ga. Wasy yeh news jub bi appear hoti ha es se Bitcoin ki price pe negative hota ha. Dekhty han MT.Gox k Bitcoin finally kub tak creditors ko milty han. DYOR
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
Enjoy 500% bonus + 70 FS
April 21, 2024, 04:45:14 AM
image

Jump to: