Author

Topic: Pakistan - page 168. (Read 6488701 times)

sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
April 05, 2024, 02:02:46 PM
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Walaiqumassalm warahmatullahe wabarakatuho

Ameen summa ameen Allah Pak ap per be rehmate nazil farmye. Insan ko Allah ke yaad se ghafil nahe hona chaye aur haar Haal ma apne Allah de toba aur austaghfar talab Karni chahye q ke hum log buhat zyada kmzur ha aur hame pata be nahe hota ke kab Kon si gunnah kar baite. Allah ne es ke Leye ek month ko hamre.leye muqarar keia ha jes ma har cheex ka Sela 70x hota ha. Ap ne Ma Sha Allah se akhri raato ma qeyam keia aur lailatul qadar ko talash kia ap ne Jo be ebadat ki ha Allah UN sub ko qabool farmye. Ma ne Jahan tak Sunna he tu es ki es neshani ye be ha ke ossi raat Jo log Laila tul qadar ko pa layte ha UN ko ossi time sub Kuch sajood ma Nazar ata ha aur dusri neshani ye ha ke ossi subha Suraj ayse nekla hota ha ke na tu wo garmyo Wala hota ha aur na sardeyo Wala , baqi ap kesi mufti sahab se mashwara kar le aur apne Dil ka shak dur kar le.
sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
April 05, 2024, 01:40:17 PM
Bitcoin Cash halving is successfully completed

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Brother aik bar ap ke har howie Hun gy jisa k me howa Hun meny jesi he dekh , par jab red keya k ye to Bitcoin cash halving hai ab Bitcoin halving b ab zayada dor nhi ab 15 din I think Baki hai to brother menie soch me yahan par share kardon meri yehe koshish Hoti hai me ap sab ko update rakhon kuin k har member Bitcoin ke update Chahta hai to me Jo update Hoti hai share jald Sy jald update karnie ke koshi karta hun k ham sab market me hunie waly facts Sy update rahien to brother Bitcoin Cash ka halving  Jo Kal ko huwi aur aur halving hoty hai hash rate mein kami Nazar arahi hai  jis Sy ham Bitcoin  ke halving ka b andaza Laga sakty hai k hamien halving k bad keye movement Karni hai,


 
Aur is ka 41 hafton ka record gira ke 1.34 EH/s tak pohanch gayi isse dikhata hai ke miners halving ke baad bharosa kam kar rahe hain. Hairat angez baat yeh hai ke network ki computational power mein kami ke bawajood BCH ne apna price momentum barqarar rakha, jo ke $720 tak pohanch gaya, jabke zyadatar market stagnated thi. Yeh price surge tezi se ghat rahi hash rate ke 5 dino ke doran 83% ki kami ke sath nazar aata hai. Hash rate aur price ke darmiyan kamzor talluqat ke asarat ke baare mein analysts ko BCH ke price momentum ki barqarar rahne ki istedad ko sawal uthane par majboor karta hai, khas tor par jab miners network se nikal rahe hain. Hash rate mein kami ke bawajood BCH mining revenue 2024 mein barhti hui rahi, jo ke 2 March ko $96k tak pohanch gayi jise cryptocurrency market mein hash rate aur price ke darmiyan talluqat ko samajhne ki complexity mein izafa kar Rahi hai Info.
sr. member
Activity: 462
Merit: 354
Trade Big, Win Bigger!
April 05, 2024, 12:59:58 PM
BlackRock's Bitcoin ETF Updated with Wall Street Giants


السلام علیکم
BlackRock a global asset manager, ne apna Bitcoin ETF prospectus update kiya hai aur paanch mashhoor Wall Street firms ko naye authorized participants ke tor par shamil kiya hai. Ye naye shamil hone wale firms mein ABN AMRO Clearing BlackRock, a global asset manager ne apna Bitcoin ETF prospectus update kiya hai aur paanch mashhoor Wall Street firms ko naye authorized participants ke tor par shamil kiya hai. Ye naye shamil hone wale firms mein ABN AMRO Clearing aur UBS Securities shamil hain. Ye firms pehle se authorized participants mein shamil hote hain jaise ke JPMorgan Securities jo ETF shares ke creation aur redemption mein madad karte ha jo ETF ka operational mechanism mein aik ahem kirdar ada karte ha.

Or Securities and Exchange Commission SEC ka tareeqa Bitcoin ETFs ke liye cash creation aur redemption mechanisms ke hawale se market manipulation risks ko kam karna hai. Bitcoin ETF ke naye shares ko sirf cash transactions ke zariye create ya redeem kiya jata ha traditional in-kind model ke bajaye. Baray asset managers jaise ke BlackRock aur Grayscale ne apne filings mein is mechanism ko SEC ke mashwary ke jawab mein shamil kiya hai. Abi hi mein Bitcoin ETFs ki trading volume mein izafa hua ha lekin tawazon ke isharon se lagta hai ke demand thanda ho sakti ha jahan BlackRock ke IBIT trading volume aur assets under management ma sabaq sabit hote ha
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
April 05, 2024, 12:38:45 PM
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
All bother , Sab par Allah ke barktien aur rahmatien Hun aj 26wa roza hai aur Allah k barkat Sy baqi 4 rozay rahy gy hain aur Kal ko 27th raat hai , Allah k payaray rasol Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne 21  ,23 , 25 , 27 aur 29 jaga kar ibadat ka hukam diya aur kaha in 5th raaton me taq raat ko talash karo Allah ka fazal Sy me 3 raaton ko to kayam ke hai aur Jin Jin NY mery Janie walon ne kayam keya un ka kahna hai k 23v raat taqa raat thi ab ye Allah k ilwa koi nhi Janta par Jo hamary payaray Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam nishaniyan batien hai un ko maday Nazar rakh ty huwat Kuch nishanyon ko paya hai jis sy confirm to nhi kaha ja Sakta par us raat Hawa aur santta bhot zahir howa aur Jin Jin ko 23v raat tak raat masos hoi sab NY kush na kush niyaniyan zahir ke hain Allah sab ko taq raat nasib karie asha kis kis bahi ne taq raaton ka kayam keya aur kis ko in 3 raaton me koi raat masos hoi ho.
Walikm Slam bhai pyara mahena ramzan ka ghuzray wala hai kuch din rah gay hai is barkat waly mahino ka khtam hony ma han taqq ratain ki abadat ki fazilat boht zadya hai jo banda ko taqa raat mil ge oska dunya or aukhrat 2no he samar jati hai is lay is raato ma zadya sy zadya abadat karni chaye or baqi ya din kuch gham waly bi han qkh Mola Ali ki shadhat hovi hai 21 ramzan ko is lay inko yaad krna cahyee kas ka lay qaynat bani insay pyar krna chaye qkh Nabi pak sy dayen ka avas sarf apni alhy baiet ki mabht he manghi the lakin dunya nay inpar inti zadya he masbity di or shahyeed kar diya sab ko Allah pak inpar rahmat farmhy or inka sadqy humry ghunnah maaf kary Ameen
sr. member
Activity: 630
Merit: 404
April 05, 2024, 11:35:57 AM
Bitcoin Gains Momentum as U.S. Banks Join BlackRock's "ETF: Eyes Set on $69k"



السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal chaal hai brothers loog ummed karta Hu SB kei ruzei achei guzar rhei Hu gaeay aur Ramzan janei walei hai or es baberket mahinay Kei mooch den baqei hai

Ajj Kei market Kei update Kei taraf chltei hai bitcoin Kei price Kei buuuht teizei fluctuate kr rhei hai buuht speed Sei fell down aur bounce back kr rhei hai and bitcoin ki price pheir sei crucial mark $69,000 kei traf price push kr rhei hai aur news Kei mutabeq U.S. banks Goldman Sachs ab BlackRock ke Bitcoin exchange-traded fund (ETF) mei shamil ho rhe hai. Ye atep Bitcoin mei barhte hue institutional interest aur confidence ku correct krtei hai quu ke large firms heissa lena chhte hai aur khule aam apnei aap ku Bitcoin ke saath jaur rhri hai.



USA mei mahsuos honei waale inflation kei isharoun ke bawajuod Bitcoin strong rehta hai jeis ki abhi price almost $68,000 hai. U.S banks ku BlackRock ke ETF mei shamil hone aur ETFs ka aam tour par big success Kei sth Bitcoin ko latest inflation ke shakho se bacha rahi hai. Jb kei opar sei mutawaqqa rozgar ke data Federal Reserve ku laga sakta hai ke wuh muddat tk darjaron ko zyada lamba samay tk buland rakhe Bitcoin mazeed investors ki tawajjo ka markaz hai. Kuch traders ka yeh bhi khayal hai ke agr Bitcoin $69,000 ke price ko break kr deti hai to yeh aur buland ezafa ka eahara ho sakta hai, kyun ke cryptocurrency strong potential banati hai aur oopar ki manfiyat ke momentum show krtei hai. source


full member
Activity: 784
Merit: 204
April 05, 2024, 10:20:08 AM
Brother, Bitcoin ki maximum supply 21 Million ha or supply in circulation 19.6 Million ha, jis ka mtlab ha k agr 4.25% Bitcoin (892,500) ETF insitituions k pass ha jo k ek significant miqdar ha. Micro stretegy k pass mere kahyal mein 200,000 k kareeb Bitcoins ha. ETFS institution ki holding lugta ha k bht tezi se br rehi ha or aany waly dino mein es mein tezi se izafa hony ka imkan ha. Future mein sub se zayadeh Bitcoin holding ETFs ki hee ho gi or wohi market ko control keren gay. DYOR

Ap sahi keh rhya hn ka Micro Strategy ka pass lag bhag 2 lac bitcoins hn aur inka founder Saylor Bitcoin ka barya ma kafi crazy hn. Aur ya baat bhe dursat hy ka 10 Jan 2024 ko jab pehla ETF launch hua tb sa Bitcoin ka price ma kafi bahtri ayi hy aur kafi arsa sa Bitcoin ke price 60k sa oper trade ho rhi hy. ETF na apni asr dekha dea hy aur ab bari hy halving ke jo 2 weeks ke dori pr hy aur uska baad umeed hy price aur oper jya ge.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 05, 2024, 08:40:20 AM
ETFs Currently Holding 4.25% Of Bitcoin Circulating Supply

Asslamoalikom!

Jesa ky ham SAB janty hen ky chand maah pehly hi SEC ny Bitcoin spot ky ETFs approved kiye thy. Or institutions ki involvement ki waja sy bitcoin ki price my itna pump Dekha Gaya ky Bitcoin apny ATH KO cross Kar ky new ATH Bana chuka he Jo ky again toot Sakta hen. Kaya ap janty hen in chand maah my in ETFs ny itna Bitcoin buy Kiya he ky ye is waqt Bitcoin ki circulating supply kaa 4.25% hold Kar chunky hen Jis my ham mazeed izafa Dekh sakty hen.




Or sath my ham SAB janty hen ky Bitcoin ki Halving bhi bohat qareeb he. Or ho Sakta he Uss sy pehly hi ham again ATH cross hota huwa dekhen lekn agar Uss sy pehly nai Gaya ATH par to Halving ky bad janty ky chances 80% tak hon gy. Baqi ye koi financial advice nai he apni search Kar ky hi market my entry li jiye ga.

Brother, Bitcoin ki maximum supply 21 Million ha or supply in circulation 19.6 Million ha, jis ka mtlab ha k agr 4.25% Bitcoin (892,500) ETF insitituions k pass ha jo k ek significant miqdar ha. Micro stretegy k pass mere kahyal mein 200,000 k kareeb Bitcoins ha. ETFS institution ki holding lugta ha k bht tezi se br rehi ha or aany waly dino mein es mein tezi se izafa hony ka imkan ha. Future mein sub se zayadeh Bitcoin holding ETFs ki hee ho gi or wohi market ko control keren gay. DYOR
sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
April 05, 2024, 08:18:08 AM


السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
All bother , Sab par Allah ke barktien aur rahmatien Hun aj 26wa roza hai aur Allah k barkat Sy baqi 4 rozay rahy gy hain aur Kal ko 27th raat hai , Allah k payaray rasol Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne 21  ,23 , 25 , 27 aur 29 jaga kar ibadat ka hukam diya aur kaha in 5th raaton me taq raat ko talash karo Allah ka fazal Sy me 3 raaton ko to kayam ke hai aur Jin Jin NY mery Janie walon ne kayam keya un ka kahna hai k 23v raat taqa raat thi ab ye Allah k ilwa koi nhi Janta par Jo hamary payaray Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam nishaniyan batien hai un ko maday Nazar rakh ty huwat Kuch nishanyon ko paya hai jis sy confirm to nhi kaha ja Sakta par us raat Hawa aur santta bhot zahir howa aur Jin Jin ko 23v raat tak raat masos hoi sab NY kush na kush niyaniyan zahir ke hain Allah sab ko taq raat nasib karie asha kis kis bahi ne taq raaton ka kayam keya aur kis ko in 3 raaton me koi raat masos hoi ho.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 05, 2024, 04:56:59 AM
US Govt Transfers $90 Million in Bitcoin from Estonian Scammers

Asslam alikum to all community, United States government ne haal hi mein do Estonian qoumiyun se zabt shuda Bitcoin aur Ethereum ki qeemat ko taqreeban $90 million se zyada transfer kiya jo ke ek bade scale ke cryptocurrency fraud aur paisa dhokaybazi ke aik hissay thay. Ye transfer mukhtalif transactions mein ki gayi cryptocurrency community ka tawajjo hasil hui jo ke Silk Road marketplace se mutaliq aik ahem transfer ke baad hua. Fund jo ke HashFlare aur Polybius Bank jese projects ke zariye aik $575 million ke cryptocurrency fraud ka ailaan karte huye pakre gaye thay October 2022 m


Arkham Intel naye pata lagane ki technology ka istemal karte hue ne in transactions ko observe kiya jo ke Bitcoin aur Ethereum ko naye pehchan shuda addresses par transfer karne shamil the. Ye harkat sarkari daftaron ke zariye assets ko fori farokht ke bajaye darusti iktisadi tor par intekhab kiya gaya hai. Ye tareeqa pehle bhi sarkari harkaton ka hissa raha hai jese Silk Road ke Bitcoins ke transfer me jo ke zabt shuda digital assets ka intezami tareeqa dikhata hai.


Baqii crypto market is tarah ke tajurbaat ke darmiyan mustaqil rahi jahan Bitcoin $66,000 ke oopar trade ho rahi thi, sarkar ke in asseyon ka intekhabi tor par intizam investors aur dekhnay walay ke liye nazar aata hai. Ye ehmiyat hai ke ameeriki sarkar aam tor par Bitcoin ya Ethereum ko aam order books par farokht nahi karti, balke OTC ya muhaiyati farokht ko pasand karti hai. Ye intizami tareeqa zabt shuda digital assets ka intizam karne ka aik ehtiyati rawaya darust karta hai details

Walaikum salam. Brother, agr ap Silk Road Bitcoin ki bat ker rehe han jo k US government nay apny kabzy mein le liay thay ki bat ker rehe han toh woh total 50,000 Bitcoin han or unki worth toh 2 Billion dollars se bi zayadeh ha. En mein se kuch Bitcoin coinbase exchange pe move hoi thay jis ka market k sentiment pe kuch negatice aser hoa ha. laikin jasa k apne kaha ha es kism ki deals aker OVER THE COUNTER (OTC) hoti han jis ka direct market pe aser toh nhi hota mgr market k sentiment pe zarur negative aser hota ha.DYOR

https://cointelegraph.com/news/silk-road-bitcoin-justice-department-wallet

sr. member
Activity: 350
Merit: 265
Catalog Websites
April 05, 2024, 04:21:54 AM
ETFs Currently Holding 4.25% Of Bitcoin Circulating Supply

Asslamoalikom!

Jesa ky ham SAB janty hen ky chand maah pehly hi SEC ny Bitcoin spot ky ETFs approved kiye thy. Or institutions ki involvement ki waja sy bitcoin ki price my itna pump Dekha Gaya ky Bitcoin apny ATH KO cross Kar ky new ATH Bana chuka he Jo ky again toot Sakta hen. Kaya ap janty hen in chand maah my in ETFs ny itna Bitcoin buy Kiya he ky ye is waqt Bitcoin ki circulating supply kaa 4.25% hold Kar chunky hen Jis my ham mazeed izafa Dekh sakty hen.




Or sath my ham SAB janty hen ky Bitcoin ki Halving bhi bohat qareeb he. Or ho Sakta he Uss sy pehly hi ham again ATH cross hota huwa dekhen lekn agar Uss sy pehly nai Gaya ATH par to Halving ky bad janty ky chances 80% tak hon gy. Baqi ye koi financial advice nai he apni search Kar ky hi market my entry li jiye ga.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
April 05, 2024, 12:37:14 AM
US Govt Transfers $90 Million in Bitcoin from Estonian Scammers

Asslam alikum to all community, United States government ne haal hi mein do Estonian qoumiyun se zabt shuda Bitcoin aur Ethereum ki qeemat ko taqreeban $90 million se zyada transfer kiya jo ke ek bade scale ke cryptocurrency fraud aur paisa dhokaybazi ke aik hissay thay. Ye transfer mukhtalif transactions mein ki gayi cryptocurrency community ka tawajjo hasil hui jo ke Silk Road marketplace se mutaliq aik ahem transfer ke baad hua. Fund jo ke HashFlare aur Polybius Bank jese projects ke zariye aik $575 million ke cryptocurrency fraud ka ailaan karte huye pakre gaye thay October 2022 m


Arkham Intel naye pata lagane ki technology ka istemal karte hue ne in transactions ko observe kiya jo ke Bitcoin aur Ethereum ko naye pehchan shuda addresses par transfer karne shamil the. Ye harkat sarkari daftaron ke zariye assets ko fori farokht ke bajaye darusti iktisadi tor par intekhab kiya gaya hai. Ye tareeqa pehle bhi sarkari harkaton ka hissa raha hai jese Silk Road ke Bitcoins ke transfer me jo ke zabt shuda digital assets ka intezami tareeqa dikhata hai.



Baqii crypto market is tarah ke tajurbaat ke darmiyan mustaqil rahi jahan Bitcoin $66,000 ke oopar trade ho rahi thi, sarkar ke in asseyon ka intekhabi tor par intizam investors aur dekhnay walay ke liye nazar aata hai. Ye ehmiyat hai ke ameeriki sarkar aam tor par Bitcoin ya Ethereum ko aam order books par farokht nahi karti, balke OTC ya muhaiyati farokht ko pasand karti hai. Ye intizami tareeqa zabt shuda digital assets ka intizam karne ka aik ehtiyati rawaya darust karta hai details
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
April 04, 2024, 08:43:28 PM
Be Aware Of Scammer and Fraud in Cryptocurrency Trading and Online Schemes


السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Bhai ye to PHR Har jaga paye jaty hen. Kaya hmary Pakistan my Kam hen ye log? Hmari ho yaa koi BHI hamesha bhola bhala insane hi phasta hy ya wo shaks phassy Ga jis ko raato Raat ameer ban'ny kaa show ho. Iss liye in sab sy hamesha Bach KY rehna chahye. Abhi upar my ny Themepen sir Ki post parhi wo keh rahy thy KY utna invest Karo Jo bardasht kar sako. I agree with him ab Agar ap apni jama punji Laga den gy or nuqsan ho Jaye to ap to Gaye naa kaam sy.
Kher Allah sab ko hi bchaye. آمین


Acha to ab Market Ki bat kar lety hen Bitcoin is waqt $68000 KY qareeb qareeb trade ho raha hy or already $69000 sy above kaa chakkar Laga KY AA Chuka Hy. Or still positive sentiments hen market my. Or Aaj Friday BHI Hy or market closing par BHI Jaen gi. To ho sakta hy slightly dump dekhny ko mily. Baqi Agar Bitcoin $68000 sy upar hi raha till weekend so next week acha ho sakta hy. DYOR.

Bitcoin Current Price:
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
April 04, 2024, 08:08:35 PM
Attention OneCoin Legal Chief Sentenced to Four Years in $4 Billion Crypto Scam
Walaikumuslam!

Bhai ham sab janty hen Cryptocurrency ki ek alag hi dunyan hai or is dunya my bhi alag alag qisam ky log paye jaty hen. Kuch naram dil.or kuch Faradye. Ab dekha jaye to $4B ek achi khasi amount hai. Kher pichly dino hi ek coin tha blast Network par us ki pre-sale chal rahi thi. Us ny bhi apna Twitter delete kar diya tha. Or almost $1billion ka fund raise huwa tha. Or ye to phr ye hen naa boss ap baqi bhi dekh sakty hen chalty chlaty exchanges or top 100 my rehny waly coins logon kaa pesa ly urry jesy ky 2 bohat hi mashhoor waqiyat sab janty hon gy. FTX or Terra Luna. In dono sy to hmary Community members like UmerIdrees sir ny bhi uthaya tha. Ye market hai to is my bohat ehtyat sy chalna chahye. Or sab sy zruri bat ye hai ky utna invest Karo jo bardasht kar sako. Nai to naa karo. That's it. It is a simple rule.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
April 04, 2024, 06:40:39 PM
Bhai mojy iska pta ni tha ya to waqia ha ajeeb ya rule ay gya hai kah ab bowling team ko apny over phly sy identify kar ka rakhny chaye hu gay kh kab kasy over dena hai pakistan team to time boht leti ha sochty hovy kh kasy ober dena khas kar ka at last of match jab kasi bowler ko zadya runs phar jaye than Babar azam to soch ma ghum hu jata ab kasy over dena hai agr dakha jaye to ya kafi acha rule bi lagta hai kah ab bowling ma jo extra time waste kartu ha dosri team wo ni hu ga or time sy match khtm hu jaye kary ga.
Mostly logo ko aise cheezy ky hawaly Sy koi knwoledge Nahi taa aur iski bare reason yeh te ky logo NY na suna isky baary Mai aur na daikha yeh time wala scene toh tab thoora highlight Howa jab Bangladesh aur sirilankan team ka match Chal raha ta aur unka batter Shayad kuch bhol Gaya toh ussy lainy wapis Gaya ya ayaa hi late ta toh aisa koi scene ta jis pa umpire NY late aany pa usko out kardiya baghaur ik baal kaily howy. Aur phir yeh SAB trend start Howa may be ICC NY usky baad yeh start karny ka soocha ho but yeh rule pahly Sy Ty but use Mai Nahi aya jab practically Issy apply Kiya toh SAB aware howy haa but apko batata chalu ky innings Ki bhi ik time hote haa like ap ny itny time Mai over complete karny hoty haa otherwise apko circle ky bahir Sy ik feilder km Karna hota ha Jo ky hum recently India paksitan match Mai daikh chuky ha.
Bhai ya bowling ka sath batting ma bi ya rule apply hota hai ma ny ya Bangladesh or Sri Lanka ka match time out jo methows out hova tha wo histoty ma first player that jo timwd out hova tha shyed wo helmat change krny gya or jasy wapis aya kafi time oper hu gya tha umpire nay osy out dy diya tha ya first out tha shyed is rule ma nithjay ma or bowling ma rule shyed ab ayy or fielding team ko after two warning ka over 60 sec ka andar start na krny par kuch runs ya shyed 5 run extra batting team ko deny hu ga ya ajeeb lag raha hai wsy acha hu ga match time sy end hova kary gy
sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
April 04, 2024, 06:34:34 PM
Bhai mojy iska pta ni tha ya to waqia ha ajeeb ya rule ay gya hai kah ab bowling team ko apny over phly sy identify kar ka rakhny chaye hu gay kh kab kasy over dena hai pakistan team to time boht leti ha sochty hovy kh kasy ober dena khas kar ka at last of match jab kasi bowler ko zadya runs phar jaye than Babar azam to soch ma ghum hu jata ab kasy over dena hai agr dakha jaye to ya kafi acha rule bi lagta hai kah ab bowling ma jo extra time waste kartu ha dosri team wo ni hu ga or time sy match khtm hu jaye kary ga.
Mostly logo ko aise cheezy ky hawaly Sy koi knwoledge Nahi taa aur iski bare reason yeh te ky logo NY na suna isky baary Mai aur na daikha yeh time wala scene toh tab thoora highlight Howa jab Bangladesh aur sirilankan team ka match Chal raha ta aur unka batter Shayad kuch bhol Gaya toh ussy lainy wapis Gaya ya ayaa hi late ta toh aisa koi scene ta jis pa umpire NY late aany pa usko out kardiya baghaur ik baal kaily howy. Aur phir yeh SAB trend start Howa may be ICC NY usky baad yeh start karny ka soocha ho but yeh rule pahly Sy Ty but use Mai Nahi aya jab practically Issy apply Kiya toh SAB aware howy haa but apko batata chalu ky innings Ki bhi ik time hote haa like ap ny itny time Mai over complete karny hoty haa otherwise apko circle ky bahir Sy ik feilder km Karna hota ha Jo ky hum recently India paksitan match Mai daikh chuky ha.
Wow new new rules emerge ho rahe Hain cricket ma hahhaha achi bat jetne zyada rules tight honge utna zyada maza ayega ye baghir rules Wala game aysa hota ha jaise ke Bache gaali ma kail Rahe ho. Es rule ke hawale se ma batata Chalu ke agr overs pehle se select hote ha.aur bowlers ko bata deia jata ha ke ap ne ye nbr over karna ha tu ek tu wo zyaada mentally tyar honge aur dusra captain per pressure be kam hota Jayega joke ek khushayenda bat ha ke captain per jetna pressure kam hoga utna he best wo decision lay payega. Aur es dusre rules ke bare ma ap ke sath sehmat hun q ke jab ap daikte ke ek player bating kar raha hota ha tu dusra batsman pavilion ma tyar hota ha Jo ke show kar raha ha ke ye rules pehle se ta bs abi es per Zur deia geya ha.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 04, 2024, 06:11:15 PM
Ab is Institutional dilchaspi aur exchange taded funds ETF ki manzoori ke saath, Wood ke mutabiq Bitcoin ki qeemat ko barhane mein aur bhi kai wajohat hain, jaise ke kuch countries ki currency ki girawat. Wood ko lagta hai ke Bitcoin sirf ek sarmaya dar nahi, balkay ek insurance policy bhi hai kharaab fiscal aur monetary policies ke khilaf. Unki bullish nazar hai ke 2030 tak Bitcoin ki qeemat ek million dollar tak pahunch sakti hai, kyun ke institutional istemal aur sarmaya kaari ka sath barh raha hai Info


Brother, kal Bitcoin ki price me 4.4% izafa inflation k bary mein Minneapolis Fed president k hawkish comments k bqawajoud hoa jo Bitcoin ki demand br rehi ha kpo demonstrate kerta ha, jis k peechy institutional support ha or halving event bi bht kum time baki ha jis k bary mein general public ka  bi positive sentiment ha. Es bat ka imkan bi ha k within bext 10 days mein Bitcoin ka naya all time high bun jai.

https://www.coindesk.com/markets/2024/04/04/bitcoin-adds-45-as-stocks-reverse-lower-on-hawkish-fed-commentary/?_gl=1*amvs34*_up*MQ..*_ga*MTMzODM2NTg3MS4xNzEyMjcxNTQw*_ga_VM3STRYVN8*MTcxMjI3MTU0MC4xLjAuMTcxMjI3MTU0MC4wLjAuMA..
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
April 04, 2024, 04:31:54 PM
Bhai mojy iska pta ni tha ya to waqia ha ajeeb ya rule ay gya hai kah ab bowling team ko apny over phly sy identify kar ka rakhny chaye hu gay kh kab kasy over dena hai pakistan team to time boht leti ha sochty hovy kh kasy ober dena khas kar ka at last of match jab kasi bowler ko zadya runs phar jaye than Babar azam to soch ma ghum hu jata ab kasy over dena hai agr dakha jaye to ya kafi acha rule bi lagta hai kah ab bowling ma jo extra time waste kartu ha dosri team wo ni hu ga or time sy match khtm hu jaye kary ga.
Mostly logo ko aise cheezy ky hawaly Sy koi knwoledge Nahi taa aur iski bare reason yeh te ky logo NY na suna isky baary Mai aur na daikha yeh time wala scene toh tab thoora highlight Howa jab Bangladesh aur sirilankan team ka match Chal raha ta aur unka batter Shayad kuch bhol Gaya toh ussy lainy wapis Gaya ya ayaa hi late ta toh aisa koi scene ta jis pa umpire NY late aany pa usko out kardiya baghaur ik baal kaily howy. Aur phir yeh SAB trend start Howa may be ICC NY usky baad yeh start karny ka soocha ho but yeh rule pahly Sy Ty but use Mai Nahi aya jab practically Issy apply Kiya toh SAB aware howy haa but apko batata chalu ky innings Ki bhi ik time hote haa like ap ny itny time Mai over complete karny hoty haa otherwise apko circle ky bahir Sy ik feilder km Karna hota ha Jo ky hum recently India paksitan match Mai daikh chuky ha.
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
Enjoy 500% bonus + 70 FS
April 04, 2024, 02:22:27 PM
Attention OneCoin Legal Chief Sentenced to Four Years in $4 Billion Crypto Scam
Oohh acha yeh toh woh Purana wala scam coin haa mujy Laga koi new agaya haa jis ny hamary masoom awaam ko choona lagwa Diya, khair ik baat haa agr first time paksitan Mai crypto scam ka name sunny ko Aya ta aur woh bhi bohout bare satah pa woh ta yeh one coin, aur phir Issy Sy mamla kharab Howa logo ky lakho rupy Ty so police ky paas kafi complain aany KY baad Mairy khayal sy crypto currency Ki itne buree image ban Gaye paksitan ky awam Ki nazro Mai aur uska nuksaan Howa yeh ky Jo Asal aur real Cryptocurrency coin ko paksitan Mai official tareeky Sy used karny Nahi Diya Gaya aur uska nuksaan still haa ky hamary log iss pa wishwas Nahi kar rahy aur Issy same one coin Sy joor rahy haa jiske agr waqar zaka bhi kafi qissy sunaty haa. Waisy agr aisa koi kaam Nahi Howa hota toh possible haa ky may be paksitan AJ officially Bitcoin ko paksitan Mai chalwa raha hota aur hamary log kafi zyada tadaad Mai iss Mai invest Karky apny apko ghareebe ky line ky opper kardaity.
sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
April 04, 2024, 01:47:37 PM
A Trader Falls Victim to Cryptocurrency Scam Loses Rs 2.5 Lakh
Well brother ma ap ki bat se agree karta hun , ap ne jes ke bare ma batya wo India se he per hamre han be same situation paye jati ha hamara masla ye ha ke hum buhat jald yaqeen kar layte Hain aur bena tehkiq ke bs os per agree ho jate ha. Ab Jo mbl application hum download karte Hain wo pehla hum se hamre mbl ka access mangta ha like gallery access , contact access aur hum Bina daikte bs sub Kuch allow karte ja Rahe hote ha per es sometime hum se ghalti ho jati ha aur hum kesi scammer ke hatho ma ajate ha jes se wo hamra faida uta ke Chala jata ha. Tu barye  mehrabni ap log es cheez ki ehteyat kare aur Jo shakhs ap ko saarsabzo shadab baghat dekha raha ha bs os ki bato me bilkul be nahe ana .
sr. member
Activity: 462
Merit: 354
Trade Big, Win Bigger!
April 04, 2024, 01:42:55 PM
Attention OneCoin Legal Chief Sentenced to Four Years in $4 Billion Crypto Scam

السلام علیکم
ik jhooti cryptocurrency OneCoin ki qanooni aur ittefaqat ke chief ko ab tak qaid mein char saal ki saza sunai gayi hai jis mein unho ne manzoor kiya ke unho ne scam se laakhon karodon dollars ko dhona main madad ki. Apne do chotay bachon ki dekh bhaal ke liye Bulgaria jaane ki darkhast par bhi US District Judge ne saza ko barqarar rakha Dilkinska ke zehmat aur gunah ko pehchaan ne ka zimmedari dete hue. Judge ne unhein $118.4 million ka ehsaas-e kasr faraham karne ka hukm diya scam ki maloomat ka maqool ilm rakhne aur pehle hi apne aap ko is se alag karne ki kami ka izhar karte hue link
Dilkinska ka case OneCoin ke ongoing crackdown ka hissa hai jise Ruja jise Cryptoqueen kehkar bhi jana jata ha ne chalaya. Dilkinska ne maan liya ke unho ne Mark ki madad ki jo OneCoin ka US-based lawyer tha $400 million ko jali investement funds ke zariye dhona main. Jabke Dilkinska narmi ke liye guzre hue waqt ki wajah se saza ko kam karne ki darkhast ki judge ne thodi rahat ka izhar kiya lekin qaid ki saza ko barqarar rakha uska scam main shaamil hone ka bara khandan kiya.
Jump to: