السلام علیکم
Ethereum ka layer 2 platform Base ne January se le kar ab tak phishing scams se chori gayi cryptocurrency mein takreeban 1,900% ke shandar izafa dekha ha. haal hi ki data ke mutabiq phishing scammers ne sirf March mein Base se karib $3.35 million chura liya jo ke February ke muqable mein 334% aur January ke muqable mein 1,880% izafa hai. Ye izafa tamam chains mein aam ha jahan lagbhag $71.5 million ki cryptocurrency phishing scams mein march mein kho gayi ha jis se pechle mahinon ke izafay ko peechay chor diya ha
Our Phishing scams mein izafa ke bawajod crypto hack thefts ne March mein 48% ki girawat dekhi jisme blockchain security firm PeckShield ke reports ke mutabiq $187.2 million tak cryptocurrency chori gayi. Hack thefts mein izafa ke sath sath $98.8 million ke qareeb ki recovery hui jis ne chori gaye funds ko kuch had tak wapas laaya jaise ke Munchibles jaise mashhoor hacks se churaye gaye funds.