Author

Topic: Pakistan - page 173. (Read 6972353 times)

sr. member
Activity: 448
Merit: 354
May 06, 2024, 08:30:52 PM
Satoshi-era Dormant Bitcoin Address Wakes Up After 10 Years

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kaya haal hen dosto ap sab KY umeed Karta hun ap sab kheryat sy hongy.
Acha to bat ye hy KY ham sab janty hen aaye din hamen Roz koi naa koi Purana wallet active hota Nazar ata hy Kabhi koi to Kabhi koi. Kal phr EK wallet active huwa 10 saal KY bad jiss KY pas 687 Bitcoin mojud thy. Jo Aaj Ki value KY lihaz sy almost $44 Million banty hen. Or Abhi Dekha Jaye to bohat sy wallets esy hen Jo KY Abhi tak inactive hen. Or EK mohtat andazy KY mutabiq Abhi BHI 1.75 million dormant wallets hen Jo Abhi tak inactive hen. Or Agar in sab ko Dekha Jaye to in my taqreeban 1,798,681 Bitcoins mojud hen yani Agar Aaj Ki value KY lihaz sy Dekha Jaye to almost $121 Billion banty hen. Jo KY EK bohat barri amount hy ya ap keh sakty hen Bitcoin Ki total marketcap ka almost 10%.

Dormant Addresses Details

Acha jesa KY my ny upar btaya KY almost 1.75 million addresses esy hen Jo KY Abhi tak inactive hen. Or in my sy to 1.73 million esy wallets hen Jin my 50 sy Kam Bitcoins mojud hen. Or 12070 esy wallets hen Jin my taqreeban 50 sy 51 Bitcoins mojud hen. Or 2616 esy wallets hen Jin KY pas 51 sy 1000 tak Bitcoins mojud hen. Or thora aagy barhen to 168 wallets esy mojud hen Jin my 1000 sy LY kar 5000 tak Bitcoins mojud hen. Or 18 wallets esy BHI hen Jin my 5000 sy 10000 Bitcoins mojud hen. Or aakhir par 6 wallets hen Jo KY bohat barri amount my Bitcoin mojud hen yani 10000+ Bitcoins mojud hen. Ap is chart sy BHI andaza Laga sakty hen.


Source: Chainalysis

Or agar ap mazeed malumat hasil Karna chahty hen to ap ye article visit kar sakty hen. Details
sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
May 06, 2024, 03:39:06 PM
How to use Bot Trading

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Sabi brother kese hain kush din phely Kafi sary brother bot trading k barye me Jana chahty thy aur us ko use Karna b chahty thy . To meny soch k aik post bot trading k oper banie jy kuin k sabi ke yehe khawish Hoti hai k ham har trade me profit earn karien aur profit earn karnie k Leye ham Taran taran ke straight use karty hain par phir b lose ka shakar ho jaty hai ,to aj bot trading k bary me aur us ka sabi method janty hain aur short waqt me asha profit gain karty hain .

Sab Sy phely binance ko open karne k bad trade par ja kar
 
Bot trading ko open Karna Hai


Trading bot par click karnie k bad kush asa interface hoga, phir apnie Spot Grid par Jana hai .

Sopt Grid par click karie k bad hamray pass three potion hongy .

1 AI
2 popular
3 Manual

Manual par click Karna hai


Manual par click karnie K bad
Hamray pass again  3 option hongy ye main point Hai AUR is leye  meny  details Sy explain  Kardinya Hai .


1 Price Range : price range  par apnie aik lower price batni hai aur aik upper price batni hai .

Is ka matlb hai lower price Jo apne set ke hai agar is sy nichy jy to ap ke buying band hojy aur upper price Jahan par jakar ap ke selling hojy .

2 Number of Girds  number of Gird k opinion me two straight hai .

Aik Geometric aur Automatic


Geometric me hamien presentage batani Hoti hai .

Arithmetic me value batani Hoti hai k kitnie bar buying ho .

3: Investment : ap kitni investment lagana chahty hain .

Ye set karie k bad advance option mein ham Janie gy  to yahan par ham ko  kuch options is tarah ke mil gy .

grid trigger is set par  ap ne jo value batani hai us par is ne buying start karni hai agar ap value nahi bataoge to usi time jo buying start ho jaye gi .


Stop trigger k maximum agar down jaye agar ap ki buying hui hai to yahan ja kar us ko sell ho jaye h  is ko lagnie ka fiad nhi kuin k bot hai is me feature hain k ye khud he sell aur buying kar k dy .

Grid Tigger lagnie k bad confirm ka option aye ga it's mean k ap k sabi steps complete hojyien gy aur ap ka bot ready hojy ga trading k Leye.
hero member
Activity: 1484
Merit: 699
May 06, 2024, 02:19:51 PM

PCB officially released his kit for T20 World Cup
Guys Pakistan nu AJ officially apni kit launch karde haa Jo ky upcoming T20 World Cup ky liya banwai Gaye ha, mujy toh personally bohout awesome Lage haa colour combinations aur SAB ik dam perfect haa, bs ab iss Cheez ka dair ha ky kab iss jersey Mai world cup Jeet kar isko yaad gaar banwai gy. Waisy team ko daikha jai toh ache team lag raha haa Har side Sy balanced but thoore bohout changes hojai to Maza ajai ga. Waisy ap logo Ki Kya Rai haa paksitan ky squad ko daikhty ho aur American aur West Indies condition ko daikh ky Kaise performance Hoge kitan survive karskyngy hum aur ap is jersey ko Kitna rate Karo gy out of 10 Mai toh 10/10.
Waisy yeh news bhi sunny Mai aye ha ky PCB ky chairman NY paksitan team KY liya ik announcement Ki haa ky agr ap ny world cup Jeet liya toh officially PCB Ki taraf sy Har player ko 100k$ dy Diya jyngy Jo ky bohout aala Streategy haa player ky performance ko boost karny ky liya.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
May 06, 2024, 01:58:33 PM
Bitcoin Analyst Predicts $125,000 Price Target by 2025

Assalam alikum to all my community, ik fsmous analyst Peter Brandt ne Bitcoin ke liye ek bullish mustaqbil ka tajwez diya hai jis mein wo cryptocurrency ko 2025 tak $125,000 tak pohanchte dekh rahe hai aur 2026 ke baad $300,000 tak pohonchna mumkin hai. Brandt jo futures markets trading mein 50 saal ka tajurba rakhta ha
 Bitcoin ki be misaal khasiyat ko ahem samajhte hai jisey unhone uski karobari dhancha aur qeemat ke rawayye se wazeh kiya hai. Unho ne Bitcoin ke itihaas mein taraqqi se bhari faida aur qayamat se bhi bade asloob ka zikr kiya hai jo isay riwayati assooson se juda deta hai.

Waalikun assalam halving sy phely b Bitcoin b100k jata Nazar arah tha par gaya nhi , par aik bat paki hai 100k ke awaz aye thi expert ke big analysis karnie walon ke jaye ga zaror par yenhi PATA kab ab jese k Peter Brandt ne prediction kardi hai 125k  price 2025 ko ho sakti hai ab wo 2025 me na jy 2026 me Yan 27 me Chala jy matlb ye k prediction Jo b Hoti hain in ke Sahi Hoti hai par ye nhi confirm hota k ye jay ga kab .

Ab Bitcoin ke price par Nazar dalien to Bitcoin ke chal sy to yehe Lagata hai k Bitcoin ny jitnie correction Lanie thi ly le hai aur ab Barish hai aur aik bar phir apnie ATH par jy ga aur aik new resistance Creator karie ga .DYOR
Bilkul bhai prediction or reality ma fark hota hai ya jo prediction krty hai ya present ma technicaly or fundamentals cheezo ko dakh kar Karty hai baaz dfa ya prediction such sabit hu jati hai or kahi dfa ya pori ni hoti hai ab jasy dakha jaye to bitcoin ki kuch prediction bikul sahe sabit hovi abi jasy analyst nay Bitcoin ko 100k$ plus ka predict kiya hai mojy lagata ha bull run ma bitcoin lazmi isy cross kry ga or apna new ATH banay ga baqi investment krnny sy phly apni research zrori kry.
sr. member
Activity: 1008
Merit: 407
May 06, 2024, 01:45:51 PM
Ap ko kaya kagta hai mukamal regulate karna chahye for this purpose ky khul ky in scammers ky khilaf sakhat iqdaam kiye jaen.
Mai samajta Hu ky paksitan ko yeh step laina chahiya chahy American kitny bhi rude na hojai iss decision pa q ky iss Mai kafi fawaid haa na sirf paksitan ky awam ka Balky government Ki bhi. Ik toh yeh hoga ky awam khul ky iss ko Samaj sakyngy aur Issy adopt karlyngy toh trading regularly start kardyngy aur apni achi rozi roto kamingy aur dollar apny country laingy jis Sy no doubt economy kafi boost Hoge aur logo ko apny paisy Ki qadar ko hold karny ky liya ik asset mil jai ga toh awam kafi faidy Mai rahyngy aur doosra government inn big big exchanges Sy apny country Mai business karny ka acha khaasa paisa lyngy aur agr koi scam kary toh government fully support karyngy gi usky khilaf action lainy ky liya toh faidy hi faidy hi agr hum thoore samjdari dikhai
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 06, 2024, 01:30:20 PM
India Announces 'Successful' Crackdown on E-Nugget Scam

Asslamualaikum!
Kaya haal hen dosto.
Umeed karta hun sab kheryat sy hon gy. Ek interesting news samny sy guzri. Jo ky scam case ky mutaliq hai. Jo ky India my 2022 my huwa tha. Basically ye ek Game thi. Jis my scam huwa tha. To ab us par crackdown huwa hai or al ost $10M funds ko freeze kar diya gaya hai full investigation ky bad.

Acha ye article share karny kaa asal maqsad ye gai ky is par thori discussion ki jaye. Mery mutabiq issi waja sy India my Crypto Exchanges ki ban kiya jaa raha hai. Ye scams fraud or ye sab inhi ki waja sy ek aam user bhi preshani kaa samna karta hai.

Or iss lihaz sy dekha jaye to hmary Pakistan my bhi bigat si applications scam jar chuki hen or kar rahi hen or kuch to bss samaj len qareeb qareeb hi hen. Ap ko kaya kagta hai mukamal regulate karna chahye for this purpose ky khul ky in scammers ky khilaf sakhat iqdaam kiye jaen.

Kherr India kaa crackdown kamyad raha or $10M ky qareeb recover huwa jo ky India ky ek idaary ED (Enforcement Directorate) ny kiya or jo amount recove hui uss ko ED ny apny account my send kar ky yani crypto wallet my send jar ky mehfioz kar liya hai. Ab next kaya plan hai ye to koi nai janta. Lekn nery khayal my ye ek acha qadam hai. Taa ky baqi scammer bhi ainda khayal karen.

Or sab sy mazy ki bat ye hai ky iss scam ki back oar koi Amir Khan shaks naami shaks hai yaani ek muslim. Yaani name sy hi muslim lag raha hai. Kher wi bhi arrest ho chuka hai or investigation chal rahi hai. Dekhty hen further kaya natija niklta hai?
Full article Here

Walaikum salam brother, Pakistan mein bi waqtaum fawaqtum crypto currency k scam samny aatay rehty han or mere khayl mein Pakistanio k sath sub se bra scam One coin ne kia tha jis mein Pakistanio k Billions or Rupees doob gaye thay, One coin k founder k khilaf USA mein lawsuit chal rewha tha shayed usko prison ho gai ha.

En sub maslo ka ek permanenet hal yehi ha k Pakistan mein crypto ko regulate kia jai jis se hakumat ko bi significant amount vmein revenue milay ga. DYOR

https://www.youtube.com/watch?v=JSB7WIZ3tdU
sr. member
Activity: 504
Merit: 377
Trade Big, Win Bigger!
May 06, 2024, 01:17:21 PM
Bitcoin Privacy Faces Challenges as zkSNACKs Closes CoinJoin Service


السلام علیکم
zkSNACKs jo ke Bitcoin ke ecosystem mein aik mashhoor service provider ha ne apni CoinJoin coordination service ko band karne ka ilan kiya ha. Ye service Bitcoin transactions mein privacy ko barhawa dene ke liye mashhoor thi. zkSNACKs ke CEO Max ne bataya ke ye faisla nai kanuni aur regualatory updates ke mutabiq hone ke liye kiya gaya hai. United States mein cryptocurrency aur privacy-enhancing tools ke hawalay se regualatory wazehat ki kami ko ye service band karne ka aik ahem sabab kaha gaya hy source

CoinJoin ki bandi ko Bitcoin developers aur privacy ke haami logon ke liye aik nuksan ke tor par dekha gaya ha NSA ke pehle whistleblower Edward Snowden ne bhi is service ke band hone par apni nadamati ka izhar kiya. Hillebrand ne maana ke Bitcoin ecosystem aik ahem service kho raha ha jo ke CoinJoin ke mechanism ke zariye users ko zyada privacy ke sath transactions karne mein madad karti thi lekin unka kehna hai ke Bitcoin ki privacy phir bhi qayam rahegi. zkSNACKs ka privacy focused development ke liye support kam ho jayega Hillebrand ka yakin hai ke Bitcoin privacy phir bhi baqi rahegi magar nai regulatory dabao ki wajah se naye challenges ka samna karna par sakta hy
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
May 06, 2024, 01:12:10 PM
brother kasy ha ap Umaed krata ho achy khairyat sy hoo gay active user ka kami ki waajjah may be yabi ho skatti hy lakin jab ma fourm par active ha ma regular posts krni hoti chay din ma 1 he kiu na karo asy user ka aunchnak off hu jana kuch smajj ni ay rahy shyed kuch musrafat hu skatii ya phr merit ki distribution to theak ha Jab sy respectful Moderator sab or Shahzadafzal sir deserving post par daty rahaty takh jo demotivate hu rahya hy wo motivate hu jaye our ya sab sy acha qadam ha is community ki baqa ka laayy i hope any waly dinoa ka may be active user ma aziffa hy
Wase bahi mujy to lag raha hai k garmi ke waja sy user me kami Nazar arahi hai jese school  me garimeyon ke chottan Hoti hai wase he user ne forum Sy chottiyan ly hai garmi ke waja se Mazak kar raha tha menie b ye bat note ke thi aur asa tab se howa hai jab sy hamri community member ke post delete Hina shoro hoi thi aur kush poston par band Laga tha airdrops walien par wonuser Jin ke postien delete hoi wo to bachray dar gy aur dosaray section me Kafi active hai aur kush user Jo airdrops join b karty thy aur share b wo post  delete hojanie ke waja Sy Kam active honie lag parie par Mashallah ab phir sy community me jag mag aye hai aur inshallah agy b asie he rahy gi .
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
May 06, 2024, 06:23:37 AM
India Announces 'Successful' Crackdown on E-Nugget Scam

Asslamualaikum!
Kaya haal hen dosto.
Umeed karta hun sab kheryat sy hon gy. Ek interesting news samny sy guzri. Jo ky scam case ky mutaliq hai. Jo ky India my 2022 my huwa tha. Basically ye ek Game thi. Jis my scam huwa tha. To ab us par crackdown huwa hai or al ost $10M funds ko freeze kar diya gaya hai full investigation ky bad.

Acha ye article share karny kaa asal maqsad ye gai ky is par thori discussion ki jaye. Mery mutabiq issi waja sy India my Crypto Exchanges ki ban kiya jaa raha hai. Ye scams fraud or ye sab inhi ki waja sy ek aam user bhi preshani kaa samna karta hai.

Or iss lihaz sy dekha jaye to hmary Pakistan my bhi bigat si applications scam jar chuki hen or kar rahi hen or kuch to bss samaj len qareeb qareeb hi hen. Ap ko kaya kagta hai mukamal regulate karna chahye for this purpose ky khul ky in scammers ky khilaf sakhat iqdaam kiye jaen.
Walikm slam bhai Allah pak ka shukr hai boht acga qadam hai India ma insaf ka nazam ham ny khien zadya acha hai humry Pakistan ma boht application jinhy nay recently or saal phly scams kiya hai abi tak koi qadam ny ithiya PTA or na he insay koi umeed ki jaya sakti sway apny he citizens ka khalf Action krny ya tiktok ko band kar skaty ha ya ay jaa ka imran khan ka naam lany par padandi laga sakty baqi dosri bat kafi afsos wali hai kah mulsan naam shaks asy kam ma mulwas hai jo kh boht Buri bat hai
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
May 06, 2024, 05:52:32 AM
Bitcoin Analyst Predicts $125,000 Price Target by 2025

Assalam alikum to all my community, ik fsmous analyst Peter Brandt ne Bitcoin ke liye ek bullish mustaqbil ka tajwez diya hai jis mein wo cryptocurrency ko 2025 tak $125,000 tak pohanchte dekh rahe hai aur 2026 ke baad $300,000 tak pohonchna mumkin hai. Brandt jo futures markets trading mein 50 saal ka tajurba rakhta ha
 Bitcoin ki be misaal khasiyat ko ahem samajhte hai jisey unhone uski karobari dhancha aur qeemat ke rawayye se wazeh kiya hai. Unho ne Bitcoin ke itihaas mein taraqqi se bhari faida aur qayamat se bhi bade asloob ka zikr kiya hai jo isay riwayati assooson se juda deta hai.

Waalikun assalam halving sy phely b Bitcoin b100k jata Nazar arah tha par gaya nhi , par aik bat paki hai 100k ke awaz aye thi expert ke big analysis karnie walon ke jaye ga zaror par yenhi PATA kab ab jese k Peter Brandt ne prediction kardi hai 125k  price 2025 ko ho sakti hai ab wo 2025 me na jy 2026 me Yan 27 me Chala jy matlb ye k prediction Jo b Hoti hain in ke Sahi Hoti hai par ye nhi confirm hota k ye jay ga kab .

Ab Bitcoin ke price par Nazar dalien to Bitcoin ke chal sy to yehe Lagata hai k Bitcoin ny jitnie correction Lanie thi ly le hai aur ab Barish hai aur aik bar phir apnie ATH par jy ga aur aik new resistance Creator karie ga .DYOR
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 06, 2024, 01:49:55 AM
Bitcoin Reaches One Billion Transactions

Asslamoalikom!
Bitcoin ki barhti hui maqbulyiat ky sath sath Bitcoin ny ek or milestone achieve Kar liya he Yani Bitcoin NY 1 Billion Transactions cross Kar li hen Jo ky ek bohat Barri achievement he.
Halya Dino my Bitcoin NY apna ATH again cross Kiya he jis ny logon kaa rujhaan mazeed Bitcoin ki taraf khencha he.
Ab agar hisab Lagta Jaye to pata chalta he ky Bitcoin ko iss waqt almost 5603 din mukamal ho chunky hen or agar per day ky hisab sy hisab laya Jaye to Bitcoin NY taqreeban 178,475 transactions per day hui hen or is waqt Bitcoin 1B transactions mukamal ho chuki hen. Or ye mile stone kal 5 may KO 842,241 number block ky mine hone par achieve jis kaa time taqreeban 9.34pm UTC banta he.
1Billion transactions waqy hi my ek bohat Barri achievement he. Smiley


Total number of transactions processed on the Bitcoin network. Source: Clark Moody


Walaikum salam brother, G bilkul one Billion transactions Bitcoin ki brti hoi popularity ko zaher kerti ha. Es important milestone ko achieve kerna ek aisi digital asset jo k bht porani nhi mgr es nay apni outstanding  performance se baki stock market ki top companies jis mein Amazon k stock nay bi itni  zaberdast growth demonstarte nhi ki.

Bitcoin mein jitni tezi adoption br rehi nha aany waly dino mazeed miolestones achieve hon gay. DYOR
sr. member
Activity: 350
Merit: 265
Catalog Websites
May 06, 2024, 12:35:28 AM
Bitcoin Reaches One Billion Transactions

Asslamoalikom!
Bitcoin ki barhti hui maqbulyiat ky sath sath Bitcoin ny ek or milestone achieve Kar liya he Yani Bitcoin NY 1 Billion Transactions cross Kar li hen Jo ky ek bohat Barri achievement he.
Halya Dino my Bitcoin NY apna ATH again cross Kiya he jis ny logon kaa rujhaan mazeed Bitcoin ki taraf khencha he.
Ab agar hisab Lagta Jaye to pata chalta he ky Bitcoin ko iss waqt almost 5603 din mukamal ho chunky hen or agar per day ky hisab sy hisab laya Jaye to Bitcoin NY taqreeban 178,475 transactions per day hui hen or is waqt Bitcoin 1B transactions mukamal ho chuki hen. Or ye mile stone kal 5 may KO 842,241 number block ky mine hone par achieve jis kaa time taqreeban 9.34pm UTC banta he.
1Billion transactions waqy hi my ek bohat Barri achievement he. Smiley


Total number of transactions processed on the Bitcoin network. Source: Clark Moody

Source
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 05, 2024, 10:02:45 PM
Bitcoin Analyst Predicts $125,000 Price Target by 2025

Assalam alikum to all my community, ik fsmous analyst Peter Brandt ne Bitcoin ke liye ek bullish mustaqbil ka tajwez diya hai jis mein wo cryptocurrency ko 2025 tak $125,000 tak pohanchte dekh rahe hai aur 2026 ke baad $300,000 tak pohonchna mumkin hai. Brandt jo futures markets trading mein 50 saal ka tajurba rakhta ha
 Bitcoin ki be misaal khasiyat ko ahem samajhte hai jisey unhone uski karobari dhancha aur qeemat ke rawayye se wazeh kiya hai. Unho ne Bitcoin ke itihaas mein taraqqi se bhari faida aur qayamat se bhi bade asloob ka zikr kiya hai jo isay riwayati assooson se juda deta hai.

analyst ne Bitcoin ki volatile nature ki baat ki jiske mutabiq ye cryptocurrency mazeed munafa dene ke sath sath qeemat mein baray nuqsan bhi dila sakti hai. jab kh $64,000 ke qareeb resistance ka samna karne ke bawajod Bitcoin mustaqil hai abhi moatalla hai aur ek mazeed breaqout ke liye taiyar hai. Investors ko umeed hai ke Bitcoin apni sab se oonchi qeemat $73,750 tak wapas laayega. or future me zyada farokht dabaav ke sath $60,000 ke neeche girna mumkin hai but analysts Bitcoin ko crypto bull market ka numainda qarar dete hai jiske liye 100,000 dollar se zyada ke tajwezat ki sahulat hai details


Walaikum salam brother, apne ek bht prominent analyst ki bht interesting Bitcoin ki price prediction ki ko k mumkin or long term mein realize bi nho sakti ha ku k Bitcoin ki adaption grow ker rehi ha or ab Bitcoin k network pe bht sary DEX or DEFI platforms bi launch ho reay han jin mein B2, BEVM, BITLAYER bi shamil han.

Mera khayal mein es saal k end tak $100K tak toh jany ka bht imkan ha. DYOR
hero member
Activity: 1022
Merit: 806
I stand with Palestine.
May 05, 2024, 09:26:17 PM
India Announces 'Successful' Crackdown on E-Nugget Scam

Asslamualaikum!
Kaya haal hen dosto.
Umeed karta hun sab kheryat sy hon gy. Ek interesting news samny sy guzri. Jo ky scam case ky mutaliq hai. Jo ky India my 2022 my huwa tha. Basically ye ek Game thi. Jis my scam huwa tha. To ab us par crackdown huwa hai or al ost $10M funds ko freeze kar diya gaya hai full investigation ky bad.

Acha ye article share karny kaa asal maqsad ye gai ky is par thori discussion ki jaye. Mery mutabiq issi waja sy India my Crypto Exchanges ki ban kiya jaa raha hai. Ye scams fraud or ye sab inhi ki waja sy ek aam user bhi preshani kaa samna karta hai.

Or iss lihaz sy dekha jaye to hmary Pakistan my bhi bigat si applications scam jar chuki hen or kar rahi hen or kuch to bss samaj len qareeb qareeb hi hen. Ap ko kaya kagta hai mukamal regulate karna chahye for this purpose ky khul ky in scammers ky khilaf sakhat iqdaam kiye jaen.

Kherr India kaa crackdown kamyad raha or $10M ky qareeb recover huwa jo ky India ky ek idaary ED (Enforcement Directorate) ny kiya or jo amount recove hui uss ko ED ny apny account my send kar ky yani crypto wallet my send jar ky mehfioz kar liya hai. Ab next kaya plan hai ye to koi nai janta. Lekn nery khayal my ye ek acha qadam hai. Taa ky baqi scammer bhi ainda khayal karen.

Or sab sy mazy ki bat ye hai ky iss scam ki back oar koi Amir Khan shaks naami shaks hai yaani ek muslim. Yaani name sy hi muslim lag raha hai. Kher wi bhi arrest ho chuka hai or investigation chal rahi hai. Dekhty hen further kaya natija niklta hai?
Full article Here
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
May 05, 2024, 08:45:06 PM
Woh Kya kehty haa hum azaad hooky bhi ghulami Ki zanjero Mai jakry howy ha, aur ik naghma bhi ha ky fooj Sy mukhatib hooky ky yeh watan tumhara haa hum ha khwa makhwa iss Mai. Toh kuch hamary corrupt politicians ny mulk ko tabahi Kiya toh kuch hamary pyary army sahibaan NY. Khud apny mafadaat ky liya aur kuch American ky liya aur mulk ka yeh haal Kiya. Mai guarantee daita hu agr country Mai Marshalaw Nahi laghta toh AJ dollar below 100pkr hota ha.aur ab awaz utai toh Kabhi kidnap aur Abhi murdered.
Aur china wlai baat toh sabko maloom haa but jitna mujy laghta ha koi paisa paksitan NY Nahi Diya q ky inky paas Nahi yeh khud china NY Kiya ha paksitan ko India ky madee muqabil banwany ky liya.
Bhai asal my bat ye hy KY Karen sab kuch Karen Pakistan KY funds hen idaron par hi use hon to hi behtar hy lekn yrrr iss sab my APNA pait par haath naa Maren. Awam kaa BHI kuch sochen. Awam ko ghareebi my dhakela huwa Hy or khud Ki ayaashyan hi khatam nai ho rahi hen. Han sab kuch Karen lekn awam ko relief den. Yahan jiss kaa army sy taluq Hy USS Ki mojen lagi hui hen. Yaa Kissi politician KY sath koi rabta Hy to USS bandy Ki torr hi Alag Hoti Hy. Abhi tak to Pakistan Ki kuch Samaj nai arahi hy KY ye sab is ko kiss taraf LY KY Jaen gy. Behar haal Dua hy Allahi hmary mulke Pakistan par Reham kary.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
May 05, 2024, 07:44:22 PM
Bitcoin Analyst Predicts $125,000 Price Target by 2025

Assalam alikum to all my community, ik fsmous analyst Peter Brandt ne Bitcoin ke liye ek bullish mustaqbil ka tajwez diya hai jis mein wo cryptocurrency ko 2025 tak $125,000 tak pohanchte dekh rahe hai aur 2026 ke baad $300,000 tak pohonchna mumkin hai. Brandt jo futures markets trading mein 50 saal ka tajurba rakhta ha
 Bitcoin ki be misaal khasiyat ko ahem samajhte hai jisey unhone uski karobari dhancha aur qeemat ke rawayye se wazeh kiya hai. Unho ne Bitcoin ke itihaas mein taraqqi se bhari faida aur qayamat se bhi bade asloob ka zikr kiya hai jo isay riwayati assooson se juda deta hai.



analyst ne Bitcoin ki volatile nature ki baat ki jiske mutabiq ye cryptocurrency mazeed munafa dene ke sath sath qeemat mein baray nuqsan bhi dila sakti hai. jab kh $64,000 ke qareeb resistance ka samna karne ke bawajod Bitcoin mustaqil hai abhi moatalla hai aur ek mazeed breaqout ke liye taiyar hai. Investors ko umeed hai ke Bitcoin apni sab se oonchi qeemat $73,750 tak wapas laayega. or future me zyada farokht dabaav ke sath $60,000 ke neeche girna mumkin hai but analysts Bitcoin ko crypto bull market ka numainda qarar dete hai jiske liye 100,000 dollar se zyada ke tajwezat ki sahulat hai details


legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
May 05, 2024, 04:19:47 PM
Quote
Monthly Activity & Short Merit Summary April - 2023 + Q1 Activity
Hamza2424

Walaiqumassalm warahmatullahe wabarakatuho Sur.jee kaise ha app umeed karta hum ke apki sehat abi Kafi had tak sambal chuki hoge ,hum apke Leye dwaghu haaa.
Je Sir hamri activity ma Kafi had tak kami a chuki ha aur es ki waja ye ha ke hamre Kuch members regular posting tu karte Hain per yahn community ka kam chakar lagate ha aur dusri waja ye ke Jo Banda yahn per rank up ho jata ha tu wo be pir yahn per posting kar kar daita ha jes ki waja se active users kam ho Rahe Hain aur os ki waja se posting ma kami arahinha aur I think dusri waja ye be ho sakti ha ke wo abi zyada merits nahe gain kar Rahe Hain aur wo disappointed ho rHe Hain Soon In Sha Allah ThemePen sir be merits source ho jayenge pit Shehzadafzal sir, Xalolex sir be ha tu teen merits source ho jayenge tu our bat baane gee pir har traf haryale hoge aur ma be baqi log be form ye yahn per posting ke Leye ayen.

Hmm Long time no see haha, lagt ahaa appp bi laptaa the bohat dino baad apka qoute a raha iss see hii pata chal raha haaa, anyway haan Alhamdullialh I'm fit nad fine bass ye final year project maa thoda busy hgun woo biii ajj poraa hoo gyaa abb just  final paper haa and then i'll be graduted hehe, Oske baad dekhte hain kia karna haa as hum too waqat kaa musafir haain waqat jahan lee jayee odhar koo chal padtee hain..

App sunain kese hain, saab kahriyaat, Zainmalik see thodi bohat baat hoti rehti ajkal too onse bii nai hoo paa rahi jessa ka app ajntee hoo baqi khair cheezain badal rahi hain hum bii sath sath badal rehe, kuch masrrofiyat and all these things.. Forum kafi livey thaa ajj haha as BTC maa achi momentum aa rhai haa sath sath aabb dobara retail investor charge uupp hoo raha...


Also this is my 3000 Post Number ... 3k completed osme see almost 15% see oper oper hii hongi local community ma omeed tooo yehi haa baqi dekhtee hain...
sr. member
Activity: 1008
Merit: 407
May 05, 2024, 02:22:07 PM
Breaking News !



Whale rush on BitcoinBTC: 47,000 BTC accumulated in 24h

Past 24 hours maa AK crypto whales naa 47,000 Bitcoin accumulate key jabka recent droppe naa AK better opportunity provide ke whales ko. Waquia Kuch u haa ka CryptoQuant ka CEO ki Young Ju naa report de haa ka AK whale  significant amount of Bitcoin 24 hours maa accumulate key joka AK new rally ka agaz kar sakta haa. Report ka mutabik Bitcoin whales ka address maa 100 Bitcoin mojood taa holding assets maa or whales naa market ka fidha uthata Howa 47,000 Bitcoin mazeed add kar deya holding assets maa Jin ke current vale $2.9 billion dollars worth banta haa. Is 47,000 Bitcoin accumulation maa wallet ka association centralized Exchanges, Mining pools or Bitcoin ETFs sa he show howa haa.

Whales ke ya activity tab Howe jab Bitcoin ke price significants correction kar raha taa Matlab $60,000 sa below drop ho Raha taa. Or ya wo opportunity hota haa Jo institutional investors kaa mainly perceive hota haa buying kaa. Technical Analyst Rekt Capital batata haa ka Bitcoin ka $60,000 ka above closed ho jana is bat ka tasdeek  kara gaa ka ya level Bitcoin ke price ka leya AK strong support sabit ho sakta haa.

History naa show ke haa ka Halving ka bad jab rally strat Howe haa us sa pahla Bitcoin zaroor AK week danger zone ma spend karta haa. So ya wo danger zone taa Jo Bitcoin ka leya AK hurdle ho sakta taa lakin us par Whale maa help ka kaa massive amount of Bitcoin accumulate kar kaa price ko us danger zone sa Nikal deya. To umeed ha ka ab Bitcoin Bull run start ho chuka haa.detail
sr. member
Activity: 504
Merit: 377
Trade Big, Win Bigger!
May 05, 2024, 01:56:33 PM

Quote
Monthly Activity & Short Merit Summary April - 2023 + Q1 Activity
Hamza2424

Walaiqumassalm warahmatullahe wabarakatuho Sur.jee kaise ha app umeed karta hum ke apki sehat abi Kafi had tak sambal chuki hoge ,hum apke Leye dwaghu haaa.
Je Sir hamri activity ma Kafi had tak kami a chuki ha aur es ki waja ye ha ke hamre Kuch members regular posting tu karte Hain per yahn community ka kam chakar lagate ha aur dusri waja ye ke Jo Banda yahn per rank up ho jata ha tu wo be pir yahn per posting kar kar daita ha jes ki waja se active users kam ho Rahe Hain aur os ki waja se posting ma kami arahinha aur I think dusri waja ye be ho sakti ha ke wo abi zyada merits nahe gain kar Rahe Hain aur wo disappointed ho rHe Hain Soon In Sha Allah ThemePen sir be merits source ho jayenge pit Shehzadafzal sir, Xalolex sir be ha tu teen merits source ho jayenge tu our bat baane gee pir har traf haryale hoge aur ma be baqi log be form ye yahn per posting ke Leye ayen.
brother kasy ha ap Umaed krata ho achy khairyat sy hoo gay active user ka kami ki waajjah may be yabi ho skatti hy lakin jab ma fourm par active ha ma regular posts krni hoti chay din ma 1 he kiu na karo asy user ka aunchnak off hu jana kuch smajj ni ay rahy shyed kuch musrafat hu skatii ya phr merit ki distribution to theak ha Jab sy respectful Moderator sab or Shahzadafzal sir deserving post par daty rahaty takh jo demotivate hu rahya hy wo motivate hu jaye our ya sab sy acha qadam ha is community ki baqa ka laayy i hope any waly dinoa ka may be active user ma aziffa hy
full member
Activity: 434
Merit: 215
Addicted to HoDLing!
May 05, 2024, 01:30:33 PM
Coinbase Faces New Class-Action Lawsuit Over Unregistered Securities

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Cryptocurrency exchange Coinbase ko aik aur qanooni chunaoti ka samna hai, is dafa aik class-action lawsuit ki surat mein. Is lawsuit mein ilzam hai ke Coinbase ne ghair registered securities ko bech kar qanoon ki khilaf-warzi ki hai. Ye pehla ilzam nahi hai; ek doosra mukadma bhi court mein jaa raha hai.

Naye lawsuit mein aath tokens ko nishana banaya gaya hai jo Coinbase par trade hote hai jasy ALGO, XLM, SOL, MANA, MATIC, NEAR,
our UNI. Plaintiffs ka kehna hai ke ye tokens securities ha aur Coinbase ko Securities and Exchange Commission (SEC) mein inka registration karwana chahiye tha. Coinbase ne in ilzamat ko rad karte hue kaha ke is lawsuit mein koi qanooni buniyad nahi hai, aur woh is mukadma ka zor-shor se dafa karenge. Ye lawsuit ongoing SEC case se mukhtalif h lekin dono ka markaz yahi hai ke kya kuch tokens securities h source
Jump to: