Pakistan me yahe to qanoon he sachai bolne walo ky liye saza he aur mujrim ko kula kulam chalne ka ijazat he pakistan me agar ap rehna chahte ho to 3 cheeze ap accept karna hoga 1 agar ap pakistan me teek tak aur salamat rehna chahte ho to chup rehna hoga aur 2sra agar paksitan me rehna chahte ho to jhot bolna mulk ka qhadar crupption karna hoga aur agar 3sra apne sachai ya sach bolne ke himmat ke to apko itne jhote case me phasa denge ke ap ko itna zalil kar denge ke jeena bhool jaynge yaha jawanaro ka hakomat he yaha koi kuch nahi kar sakta he siway ALLAH ke ek din ayega azab hamare country par dek lena q ke bhut zulam start he had se zeyada start he barish nahe ho rahe he yahe to hamare gunah he har insan gunah me doba hoa he.
G brother, adalatein hee ek common man ki aakhri umeed hoti han jahan pe ideally usy insaf milna chaye laikin Pakistan ki adalti history ko jub observe kerty han toh Justice Muneer se le ker aaj tak yeh hamesha takatwar tabkay ka sath deti rehi han esi liye yehan pe na jamhoriat sahi se pervan char saki ha or economy ka haal toh hum sub k samny ha.
Laikin es sub k bawajoud mein Allah ki zat se na-umeed nhi houn ku k ab Pakistan mein majority ko ab ahsas ho chuka ha jasa 75 saal se chal raha ha ab woh nhi chal sakta. Change is the only constant.