Author

Topic: Pakistan - page 209. (Read 6469354 times)

hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
February 24, 2024, 12:16:46 AM
SLN Airdrop Received

Asslamoalikom!

Walaikumuslam!

Waw sir ye to bohat achi bat hai ky hmari community my sy kissi ko ye reward mila hai. Or Masha Allah kafi acha reward mila hai. Mfahad bhai ki tarah bilkul kissi bhi airdrop ko miss nai karen bss join marty jaen ab aagy reward kaya mily gaa koi ata pata nai hai.



Acha dosto kissi kaa Linea Park wala task mukamal ho gaya hai.
Thori detail dy den ky kitni fee lagy gi or kaya hisab hoga is sab ka?

My ny kuch task kiye hen or kafi abhi parry hen. Mehnat ye bohat ly rahy hen bss reward koi acha ho den. Starknet ki tarah Moye Moye naa kar den kahin. Kher dekhty hen kaya banta hai?
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 23, 2024, 08:36:39 PM

Yes bro Dymension same TIA ki trah he kuch airdop ane wale he shyed kafi airdop ne snapshot liya be hoga aur dosri be airdop achanak ajate he ek dam nahe ata he jab ajata he to ek to token ki price up jate he dosra pher log airdop ke bad stake karte ye tareeka teek nahe he staking pehle se karne chahie jab ajata he ek to token ke price us time kam hota he dosra pher airdop me elegible be asani se ho sakta he.

Dosre bat apke belkul sahe lag rahe he mere khyal se stake karne pe kuch aisy bat nahe baqe itna ilam to he nahe hamare pas leken Borrow aur Landing ye sahe nahe is ke bare mene suna he ye sahe nahe haram me ajata he o mene borrow lending karna chor diya he chahe samne wala project muje 1 lac $ be de jaye pher be nahe karta me mene Zero project is liye chor diya aur dosra mene Kinza be chor diya q ke usme borrow aur lending ta.

G brother, ap bilkul theek kah rehe han, borrow or lending jis mein apko interest milay ya apko interest pay kerna pry bilkul jaiz nhi ha. Es k ilwa Margin or future trading bi mujhy bilkul sahi nhi lugtibku k es mein bi apko borrowed funds pe rozana ki buniyad pe interest pay kerna perta ha.

Starknet ki ek campaign chal rehi ha jis mein 40 Million STRK tokens distribute kiay hain gay different tasks complete kerny pe. Mere kahyal mein yeh achi opportunity ha jo bhai join kerna chahein join ker sakty han. Link is given below:


https://www.intract.io/starknet?utm_source=navbar


sr. member
Activity: 462
Merit: 328
February 23, 2024, 02:33:49 PM
New Telegram Scam Targets Crypto Wallets Using ERC-2612 Tokens

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ


Attention! Best way to identify and Report Cryptocurrency Scams



السلام علیکم
Cryptocurrency scams barhte jaa rahe hain, jo ke social media platforms ko istemaal karke istemaal kar rahe hain taake istemaal karnay walay ko jhootay inaam ya fraud schemes mein paisay bhejne par dhoka de. Ye scams deepfakes ka istemaal kar ke impersonation se le kar jhooti naukri ki offers aur phishing tareeqon tak phailte hain. Ripple jaise companies industry mein mojood hain jo ke jhootay ads aur posts ko hatane mein kaam kar rahi hain, aur istemaal karnay walon ko is ke khilaf hifazati tajaweez di ja rahi hai.
Waalikun assalam, Aaj kal bahut zyada scam ho raha hai, chahe wo cryptocurrency me ho ya apke sath personal kuch. Isliye hamein in se bachne ke liye apni poori recovery karni chahiye. Scam se bachne ke liye pehle se hi sahi analysis aur decisio Lena chahiye . Jese sim swap scam hota hai ham apni personal information share kar detien hain Kabhi bhi apni financial jaankari ko anjaane logon ke sath na share karein.

Jese aj kal hamray Pakistan me hora hai Kunkown email ya phone call ati hai me jito Pakistan  ke taraf Sy bol raha Hun ap ka 10 lakh ka Inaam Nikal hai mujy ye Kal he Whatsapp par message Aya , ham keye karty hain ham lalach me ajatien hain phir Bina kush chanbian k ham apnie personal information share kar ditienhai jis Sy scamer ko pora pora muka mil jata hai scam karny ka

Aur investment  Jahan b karnie ho sab Sypehle thorough research karein aur sirf licensed aur reputable platforms ka istemal karein. Scam ke pehchaan karne mein active rahein aur agar koi shakhs ya scheme shady lagti hai, to turant report karein. Aur  mein hamesha cautious aur vigilant rahein taake aap scam se door rahein .

Bitcoin toh es waqt $51K k kareeb trade ho reha ha or next two days mein weekend hony ki se koi bri price move hoti nazer nhi aa rehi. Lugta aisy hee ha k Bitcoin $50K-$52K k dermaya hee trade ho ga jub tak market mein koi positive development nhi hoti or price ko $55k tak push nhi kerti. DYOR


https://cointelegraph.com/news/ethereum-price-hits-resistance-at-3k-but-data-currently-favors-eth-bulls
Blikul sir g  is haftay BTC ki price ne koi bohot zyada hamen khush nahi kiya. Price ki jo pichle do hafton se rally chali thi, woh rally jo hai usmein aur ab  BTC ki price ek khaas range mein trade ho rahi hai.

 Mein isko samajhne ki koshish kar raha tha pichle kuch dino se ke kya wajah hai ke pichle do hafton se BTC ki jo price hai woh pump kar rahi hai. Aakhir wajah kya hai abhi kyun price jo hai woh ek range mein trade ho rahi hai,
Yeh jaanna zaroori bhi tha kuin future ko dekhna aur samajhna investment karne mein kuch aasan hoti hai.

Toh mein ne thori c analysis ke thoda , jis ye pata chala ke BTC ki price jo hai woh range mein trade ho rahi hai aur price jo hai ye range break hogi aur hogi bhi OTCE dairies ke zariye aur retail ke hawale se bhi. Aaj ek chhoti si maloomat hai jo ye pic meny share ke hai , ek tarah ki good news hai lekin price range mein kuin  trade ho rahi hai k jo OTCE deal ki wajah se jo BTC ki iss waqt current daily demand barh rahi hai woh 600 million dollar se zyada hai jabki jo BTC circulation mein ata hai mining ke zariye woh koi 4 million dollar ki range pe hai, yani supply 40 billion ki hai aur demand jo hai woh  100 billion ki hai mujy ye aik waja lagi Bitcoin ke side way price me .


https://twitter.com/woonomic/status/1760821645395341766?s=19
sr. member
Activity: 1456
Merit: 326
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 23, 2024, 02:25:38 PM

Welcome brother, Dymension meri nazer mein TIA ki trh hee modular chain ha or yehan pe staking kerny se Insha Allah zarur airdrops milein gay or mere khayal mein ek snapshot ho bi chuka ha, ap staking kerny mein der mut keren agr airdrop k liye eligible hoa ha.

Jahan tak staking k Islamic point of view se jaiz hony ka taulk ha toh esky bary mein koi hatmi  rai toh Mufti hee de sakta ha hum toh bht gunahgar bandy han.
Mere khayal mein choun k es ka reward fixed nhi hota or transaction fee se distribute kia jata ha or es mein risk ka factor bi ha toh mujhy toh es mein koi masla nazer nhi aata bak Allah-ho-Alam bisswab.

Yes bro Dymension same TIA ki trah he kuch airdop ane wale he shyed kafi airdop ne snapshot liya be hoga aur dosri be airdop achanak ajate he ek dam nahe ata he jab ajata he to ek to token ki price up jate he dosra pher log airdop ke bad stake karte ye tareeka teek nahe he staking pehle se karne chahie jab ajata he ek to token ke price us time kam hota he dosra pher airdop me elegible be asani se ho sakta he.

Dosre bat apke belkul sahe lag rahe he mere khyal se stake karne pe kuch aisy bat nahe baqe itna ilam to he nahe hamare pas leken Borrow aur Landing ye sahe nahe is ke bare mene suna he ye sahe nahe haram me ajata he o mene borrow lending karna chor diya he chahe samne wala project muje 1 lac $ be de jaye pher be nahe karta me mene Zero project is liye chor diya aur dosra mene Kinza be chor diya q ke usme borrow aur lending ta.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
February 23, 2024, 01:42:01 PM
Siacoin Skyrockets 65% Surge Sparks Excitement After Network Upgrades



Assalam alikum to all community, Siacoin jo ke Sia naamak decentralized cloud storage platform ki native token hai ne haal hi mein network upgrades ke baad 65% ke izafay ke saath tezi se qeemat barhai hai. Is safar ka aghaz September 2023 mein $0.0025 ke dar se hua tha, aur yeh 360% izafa karke January 24, 2024 tak $0.0130 tak pohanch gaya. Ek 30% ki taqatwar correction ke baad bhi, Siacoin ne apne upar ki manzil ko hasil karne mein rukawat nahi ki aur February 21 ko $0.0175 tak pohanch gaya jo ke iske January ke kamzor pehlu se 100% izafa tha.


Siacoin ki price ma izafay ka sabab Sia network mein technical advancements hai jismein Utreexo hardfork ke liye RHP4 ka amal shamil hai jo ke eficiency aur scalability mein izafay ke liye maqsood hai. Metadata addition aur behtar upload processes jese naye features ne bhi data management aur user interaction mein behtar hone mein madad ki hai. Is izafay ka bara market context mein bhi kirdar tha qkh ke Siacoin ki qeemat ka izafah various cryptocurrencies mein bullish trend ke sath mila, jo investor sentiment ka bohat bada asar dikhata hai.



Bsqi Jabke technical analysis ek thora sa mushkil manzar pesh karta hai jismein bara bull cycle ke signs to hain lekin bearish divergence bhi nazar aata hai kuch analysts is potential correction ko ek sehatmand retracement ke tor par dekh rahe hain. Yeh retracement broken support levels ko test karna 2024 mein mazeed izafay ke liye raaste ko banane ka pehla kadam ho sakta hai. Siacoin ki mustaqbil ka kamyabi uske real-world adoption growing partnerships aur anay wale events jese Utreexo hardfork par mabni hai jo ke is cryptocurrency ko potential developments aur catalysts ke liye nigaar banata hai. details
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 23, 2024, 01:33:19 PM
Well, Many Thanks to Sayeds56 sir and apko b brother mai esko confirm krna cha rha tha k staking krni b chaheya mean agar hum islam k point of view sy dahain ya jiaz hai ya nai so thats why mai ny ap sy pooch liya. Asal mai bhai baat kuch asi hai Alhumdulila hum Muslim hai or agar earing start krna shuru krty hai through any source sab sy pehly hum usko verify krty hain k wo hamray liya halal hai ya haram beacause Haram k ak lukma b apna asar dekha daita hai Baki Allah Pak ki zaat hum sab ko rizakai Hallal ata farmaye or behtreen ata farmayee Ameen.

Ab to kuch had tak mera esky related Point of veiw change howa hai baki inshaAllah mai es par khud b thori research krta hoon q ya khud k research bohat zaroori hai koi b action lainay sy pehly.

Sayeds56 Sir ab b time hai k mai DYM ko stake kr k airdrop k liya eligible ho skta ho es liya pooch rha q k mai esko ly kr kuch zayda updated nai hoon or koi update hai DYM ki trarf sy k kab tak ya log second airdrop ki distribution karain gy. And last thing kitnay DYM stake krna zaroori hain airdrop k liya eligible honnay k liya? Kindly en question par thori rooshni daliya ga. jazzak Allah!

Welcome brother, Dymension meri nazer mein TIA ki trh hee modular chain ha or yehan pe staking kerny se Insha Allah zarur airdrops milein gay or mere khayal mein ek snapshot ho bi chuka ha, ap staking kerny mein der mut keren agr airdrop k liye eligible hoa ha.

Jahan tak staking k Islamic point of view se jaiz hony ka taulk ha toh esky bary mein koi hatmi  rai toh Mufti hee de sakta ha hum toh bht gunahgar bandy han.
Mere khayal mein choun k es ka reward fixed nhi hota or transaction fee se distribute kia jata ha or es mein risk ka factor bi ha toh mujhy toh es mein koi masla nazer nhi aata baki Allah-ho-Alam bisswab.
hero member
Activity: 2506
Merit: 645
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 23, 2024, 01:24:06 PM
SLN Airdrop Received

Asslamoalikom!

Alhamdulillah.

Mujy aaj Smart Layer Ka Airdrop receive huwa bzahir itna khas project nai Lagta tha. Lekn itni achi value ky sath upar Aaye ga socha nai tha. Kher mujy 67 tokens received huwe hen jin ki value almost $400+ Banti hai ap my sy kiss kissi ko ye Airdrop Mila he?


Waalaikum salam mere piare khushqismat bhai.

Ap ne tho kamal kar dia. Ye project par ap ne kab se kaam star kia tha? ham ne tho es k last task kia ha magar hame keh rahe k ineligible hi. Ap ne aisa kia mantar para ha k apko 400$+ profit dea. Chalo Shukar ha Allah Rabbul Izzat ka k kisi member ko tho profit huwa. Ese leye airdrop ko miss nahe karna chahe k kab konsa project profit de jae kuch pata nahe chalta. ab dekho na jo real airdrop hunters ha wo es ma eligible nahe ha aur hamara Rustam bhai 400$ yani 1 lakh legia. Umeed ha future ma aur be ache airdrop melege. es tarah ki opportunity ko share kia kare sab k sath.
sr. member
Activity: 1456
Merit: 326
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 23, 2024, 01:22:32 PM
SLN Airdrop Received

Asslamoalikom!

Alhamdulillah.

Mujy aaj Smart Layer Ka Airdrop receive huwa bzahir itna khas project nai Lagta tha. Lekn itni achi value ky sath upar Aaye ga socha nai tha. Kher mujy 67 tokens received huwe hen jin ki value almost $400+ Banti hai ap my sy kiss kissi ko ye Airdrop Mila he?

Merry reward Ka screenshot ye Raha.


Or agar kissi ko eligibility check Karni he to wo is link sy Kar Sakta he.
https://launchpad.smartlayer.network/sln-portal

Walikumsalam good mubarak ho pher to yar kesi ko to mela hamare commuinty me yar muje nahe mela halanke mene bhut old ye task kiye te aur refel be banay te bs pher be not elegible ta chalo koi bat nahe jese starknet pe nahe ta wesy aisy me nahe ta but khafa nahe ho q ke ALLAH PAK ne muje Manta me bhut zeyada profit diya uspe bhut shukar he magar airdop jare he Insha Allah bs is trah airdop karte raho kesi kesi jaga se prifit mel he jata he to airdop karte rehna chahie aur Smartlyer ka airdop rendom logo ko select kar ke reward diya he mere khyal se bhut logo ko mela he aur bhut logo ko nahe mela he bs jes ko mela he usko mubarak ho.
sr. member
Activity: 462
Merit: 354
Trade Big, Win Bigger!
February 23, 2024, 12:52:31 PM
Attention! Best way to identify and Report Cryptocurrency Scams



السلام علیکم
Cryptocurrency scams barhte jaa rahe hain, jo ke social media platforms ko istemaal karke istemaal kar rahe hain taake istemaal karnay walay ko jhootay inaam ya fraud schemes mein paisay bhejne par dhoka de. Ye scams deepfakes ka istemaal kar ke impersonation se le kar jhooti naukri ki offers aur phishing tareeqon tak phailte hain. Ripple jaise companies industry mein mojood hain jo ke jhootay ads aur posts ko hatane mein kaam kar rahi hain, aur istemaal karnay walon ko is ke khilaf hifazati tajaweez di ja rahi hai. Scams ko pehchan m shamil hai giveaway ki sharton ko madde nazar rakhna shakhsiyat ki tasdeeq karna aur ads ko official company websites aur social channels par check karna. Odd account names ya comments jese visual signals bhi impersonation scams ko pehchn mein madad kartay hain.



Scams ko report karna zaroori ha lekin is mein mushkil hoti hai kyun ke naye scams ki barhti hui tadaad ki wajah se. Istemaal karnay walon ko authorities ko shakhsiyat aur websites ki URL report karne ke liye tawajju deni chahiye, aur Google Safe Browsing jese tools ka istemaal karne se bhi faida uthaya ja sakta ha Cryptocurrency ke tezi se barhte hue space mein scams se bachne ke liye social media par hoshiyar rehna aur maali malumat ke sath ehtiyaat baratna ahem ha mazeed information ka lay vist kry.info
full member
Activity: 476
Merit: 227
February 23, 2024, 12:39:00 PM
Jeff Bezos sells another $2.37 Billion worth of $AMZN Stock


Assalam-o-Alaikum Dear bhai log!

umeed karta hoo meray sab bhai theek thak hongy or fit hongy or kushi khushi apni apni zindagi Guzaar rhy hongy. Acha mai ny last week b esky related news parhi thi k Jeff Bezos ny last week mai b big amount of $AMZN stocks sell kiya hai jo k Billion Amount ki worth rakhty hain or aj jab mai ny dobara ya news read ki k Jezz Bezos ny Ak hor bhari amount k $AMZN k stocks sell kr diya hain jo k $2.37 Billion Dollers ki worth k hain. Or agar hum Two weeks k assets ko plus karain wo $8.4 Biilion ki Worth k $AMZN stock banty hain.

Asal mai mai ya news es liya share kr rha hoon q k mai khud Amazon par seller reh chuka hoo or about one year and half expenice hai apk bhai k pass eska Alhumdulila. Mai asal mai Dropshipping krta raha hon Or mai ny Kam UK ki market mai kiya tha. But due to some reasons mujhy wo kam chorna para or InshaAllah Allah k Fazal o karam sy dobara shuru kroon ga in coming Future. Asal mai dakhny k baat ya hai pata nai Jeff Bezos q etni taizi sy AMZN k stocks ko sell kr rha hai. Any opinion over this?
sr. member
Activity: 350
Merit: 265
Catalog Websites
February 23, 2024, 12:14:51 PM
SLN Airdrop Received

Asslamoalikom!

Alhamdulillah.

Mujy aaj Smart Layer Ka Airdrop receive huwa bzahir itna khas project nai Lagta tha. Lekn itni achi value ky sath upar Aaye ga socha nai tha. Kher mujy 67 tokens received huwe hen jin ki value almost $400+ Banti hai ap my sy kiss kissi ko ye Airdrop Mila he?

Merry reward Ka screenshot ye Raha.


Or agar kissi ko eligibility check Karni he to wo is link sy Kar Sakta he.
https://launchpad.smartlayer.network/sln-portal
full member
Activity: 476
Merit: 227
February 23, 2024, 11:52:10 AM
.................

Well, Many Thanks to Sayeds56 sir and apko b brother mai esko confirm krna cha rha tha k staking krni b chaheya mean agar hum islam k point of view sy dahain ya jiaz hai ya nai so thats why mai ny ap sy pooch liya. Asal mai bhai baat kuch asi hai Alhumdulila hum Muslim hai or agar earing start krna shuru krty hai through any source sab sy pehly hum usko verify krty hain k wo hamray liya halal hai ya haram beacause Haram k ak lukma b apna asar dekha daita hai Baki Allah Pak ki zaat hum sab ko rizakai Hallal ata farmaye or behtreen ata farmayee Ameen.

Ab to kuch had tak mera esky related Point of veiw change howa hai baki inshaAllah mai es par khud b thori research krta hoon q ya khud k research bohat zaroori hai koi b action lainay sy pehly.

Sayeds56 Sir ab b time hai k mai DYM ko stake kr k airdrop k liya eligible ho skta ho es liya pooch rha q k mai esko ly kr kuch zayda updated nai hoon or koi update hai DYM ki trarf sy k kab tak ya log second airdrop ki distribution karain gy. And last thing kitnay DYM stake krna zaroori hain airdrop k liya eligible honnay k liya? Kindly en question par thori rooshni daliya ga. jazzak Allah!
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
February 23, 2024, 10:59:45 AM
New Telegram Scam Targets Crypto Wallets Using ERC-2612 Tokens

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Attention all my brothers , Ek naya scam Telegram par ERC - 2612 tokens istemal karke crypto wallets ko target banata hai, jisse hamlekar transaction ki tasdiq ke baghair victims ke wallets ko khaali kar sakte hain. Ye scam users ko ek message sign karne par dhokha dene par mabni hota hai, aksar phishing ke zariye. Jab zyada tokens ERC-2612 ko apnane lagte hain to ye scam aam ho sakta hai. Ek user ne OPNX ke liye fake Telegram group mein shaamil hone ke baad $600 ke OX tokens khoya.
Walikum slam bhai telegram channel ka scam ajj kal boht zadya increase hu gy hai is say bachy ka sarf yahi ik tariqa ha kh verified channel sy information get kary or kasi scam link par click na kry jasy kh kasi ksam ka wallet hack ya scam hony ka masla ha is lay careful rahy ha apny paaso ki jafizat kary dakhy ap kitni mahnat sy dollar earn kar rahy hai dollar ki price to ap sab janty ha agr kasi sa miumum 100$ ka scam bi hu jaye to oski value ik month ki salley ka barabr ha jo educated bandy ha oski salley banti ha is lay ehatoyat kary ERC ka naya scam dakh ka ma kbud haran hu kh ya kia sceen hai baqi asi usefull update daty rahy jasy say sb ko faida hu or apka knowledge ma bi aziafa hu.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 23, 2024, 09:17:19 AM

Transection Done as per request... Publicktalk bro check and confirm... your 140 TRX are sent as per promise. Oske illawa .. Stats JAN kaa mujhe idea nai haa and  feb kaa main try karon gaa ka on time upload akron wessy too unknown OP bi table bana dete hain baqi jab waqat ayee ga dekhaa jayee gaaa.

Appreciate your generous contribution to the community. I Hope other members will be inspired by your example and recognize the efforts of most active members and encourage them through financial incentives.

Market update: Bitcoin toh es waqt $51K k kareeb trade ho reha ha or next two days mein weekend hony ki se koi bri price move hoti nazer nhi aa rehi. Lugta aisy hee ha k Bitcoin $50K-$52K k dermaya hee trade ho ga jub tak market mein koi positive development nhi hoti or price ko $55k tak push nhi kerti. DYOR


https://cointelegraph.com/news/ethereum-price-hits-resistance-at-3k-but-data-currently-favors-eth-bulls
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
Enjoy 500% bonus + 70 FS
February 23, 2024, 08:55:24 AM
Axie Infinity co-founder loses $9.7M in 3,248-ETH wallet hack:

Axie infinity or Ronin Network ka co founder Jeff "Jihoz" Zirlin ka two personal wallet sa $9.7 million dollars ka worth of Ether stolen ka leya gya hacker naa or osa Siphoned( illegal transfer) kar deya gya Tornado Cash ko. PeckShield Jo ka AK Blockchain investigator haa unho naa 23 February ko alert deya ka hackers na 3,248 ETH stolen keya to is par immediately A. Larsen co founder of Ronin Network naa kaha ka ya hack personal wallet sa Howa haa or taveel je ka Ronin bridge to itself top security rakta haa halnaka asa NAHI taa. Below app dakh sakta haa UN ka taveel or Sath he hacker ka transfer data b.

Address: 0x73f428e1037a310d472A24100dA37fB1d8dEC8B8



Address: 0x39F817976C51A91b60145feBad81067e69713105



Address: 0xA4017DE6460bD63a77404dd2C2344D6135eD13b2



Larsen naa mazeed iss point ko be highlight keya ka Ronin Bridge ham naa network ke audit kee or agar large withdrawal paye gye to usea detect kar ka leya design creat keya gya haa. Or Maza ke bat yaa ha ka Sath he Sath os na iss bat je b tasdeek ke ka two wallet hack hogya haa or yaa hack Ronin Chain ya Sky Mavis operation ka andar mojooda weakness ke waja tee.

Baqi mazeed details ka leya reference visit Kara

Reference: <<<
sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
February 23, 2024, 06:56:36 AM
New Telegram Scam Targets Crypto Wallets Using ERC-2612 Tokens

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Attention all my brothers , Ek naya scam Telegram par ERC - 2612 tokens istemal karke crypto wallets ko target banata hai, jisse hamlekar transaction ki tasdiq ke baghair victims ke wallets ko khaali kar sakte hain. Ye scam users ko ek message sign karne par dhokha dene par mabni hota hai, aksar phishing ke zariye. Jab zyada tokens ERC-2612 ko apnane lagte hain to ye scam aam ho sakta hai. Ek user ne OPNX ke liye fake Telegram group mein shaamil hone ke baad $600 ke OX tokens khoya.

Scam ne users ko unke bots nahi hain yeh sabit karne ke liye apne wallets ko jorna ki taraf raghib kiye jisse funds ki chori ho gayi. Fake group ne Collab Land verification system ko nakal kiya users ko dhokha dene ke liye ek similar username aur URL istemal karte hue aur is tarhan ke profile Collab Land .Info


Aur ye transaction Jo  OX token contract par transferFrom function ka istemal karke users ke premission k baghair. Balkay scammer ne permit function ka istemal kiya aur  apne aap ko spender aur users ke account ko owner ke tor par set karte hue ek be hadd bada value ke saath.

Afsos k user friendly wallets ke liye potential faide hone ke bawajood  scammers is feature ka istemal karke funds ko churane mein kamyabi hasil kar rahe hain.
hero member
Activity: 2506
Merit: 645
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 23, 2024, 04:44:26 AM
Bitcoin Rockets 17% in a Week key Factors Driving the Crypto Craze

2024 ke qareeb aate he institutional interest aur technological developments ka ek aham imtezaaj nazar aata hai jo Bitcoin ki ahmiyat ko darust karta hai. Crypto Fear & Greed Index jo ke 79 hai yeh extreme greed ko darust karta hai aur yeh dikhaata hai ke market mein bullish sentiment hai. Bitcoin ke $50,000 tak pohanchne ka israr mainstream finance mein barhti hui qubooliyat ko darust karta hai jo informed investment strategies aur digital assets ko secure karnay ki ahmiyat ko izhar karta hai. Lambi muddat ke storage aur transactions ke liye hardware wallets jese ke KleverSafe ki tajaweez ki jati hai, jo cryptocurrency investments ko behtareen taur par secure karne mein madadgar hote hai details .

Brother, 2024 k shoro hopty bhee Bitcoin ne acha moemtum shpw kia ha uski bri waja jo mujhy samjha aati ha, wo es saal ghalibun June,24 se interest rate kum hony ki umeed ha or es silslay mein FED ne kuch ishary bi day thay mgr recent CPI data jo k thora upward trend show ker reha ha es ki waja se ho sakta ha k FED current interest rate ko esi level pe maintain rekhy or interest mein reduction ka decision aany waly dino mein economic conditions ko dekh ker lia jai. yehi waja ha k Bitcoin 17% increase hony k baad neechy aa gya ha.

MAJOR EVENTS OF 2024:

1-Bitcoin Halving

2- Reduction in Interest Rates

3- US Elections

Yeh three events Bitcoin k liay bht positive han or umeed k hum es saal end hony se pehle cytocurrencies market bht bullish phase mein enter ho jai gi or yeh trend 2025 mein bi jari rah sakta ha. Insha Allah.

Bitcon having ka asar tho abe se start ha. Jab se ye year 2024 start huwa ha thab se se ham musalsal dekhbl rahe ha k btc ki price ma ochal aa raha ha. Kabe kabe short taur par down ho jatha ha leken per se us se ziada speed se pump hotha ha. Yaha de ham andaza laga sakte ha k btc halving ka kitna positive asar hotha ha. aur jab ek bar halving ho jae us k bad ho sakta l short term k leye btc price down jae es leye k Whales apna faida yaha lethe jab koi bullish event ho tho waha market ko etna volatile karte ha k opar neeche long aur short dono liquidate kar dethe ha.

Interest rates ma reduction es kia kia scene ha es ka muje ilm nahe ha aur pehle martaba ap se suna ha. Ye america ma hoga ya all over the world aur es se kaise btc par acha impact parega?
legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
February 23, 2024, 04:28:15 AM


Transection Done as per request... Publicktalk bro check and confirm... your 140 TRX are sent as per promise. Oske illawa .. Stats JAN kaa mujhe idea nai haa and  feb kaa main try karon gaa ka on time upload akron wessy too unknown OP bi table bana dete hain baqi jab waqat ayee ga dekhaa jayee gaaa.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 23, 2024, 02:40:13 AM
Bitcoin Rockets 17% in a Week key Factors Driving the Crypto Craze

2024 ke qareeb aate he institutional interest aur technological developments ka ek aham imtezaaj nazar aata hai jo Bitcoin ki ahmiyat ko darust karta hai. Crypto Fear & Greed Index jo ke 79 hai yeh extreme greed ko darust karta hai aur yeh dikhaata hai ke market mein bullish sentiment hai. Bitcoin ke $50,000 tak pohanchne ka israr mainstream finance mein barhti hui qubooliyat ko darust karta hai jo informed investment strategies aur digital assets ko secure karnay ki ahmiyat ko izhar karta hai. Lambi muddat ke storage aur transactions ke liye hardware wallets jese ke KleverSafe ki tajaweez ki jati hai, jo cryptocurrency investments ko behtareen taur par secure karne mein madadgar hote hai details .

Brother, 2024 k shoro hopty bhee Bitcoin ne acha moemtum shpw kia ha uski bri waja jo mujhy samjha aati ha, wo es saal ghalibun June,24 se interest rate kum hony ki umeed ha or es silslay mein FED ne kuch ishary bi day thay mgr recent CPI data jo k thora upward trend show ker reha ha es ki waja se ho sakta ha k FED current interest rate ko esi level pe maintain rekhy or interest mein reduction ka decision aany waly dino mein economic conditions ko dekh ker lia jai. yehi waja ha k Bitcoin 17% increase hony k baad neechy aa gya ha.

MAJOR EVENTS OF 2024:

1-Bitcoin Halving

2- Reduction in Interest Rates

3- US Elections

Yeh three events Bitcoin k liay bht positive han or umeed k hum es saal end hony se pehle cytocurrencies market bht bullish phase mein enter ho jai gi or yeh trend 2025 mein bi jari rah sakta ha. Insha Allah.
full member
Activity: 280
Merit: 110
Eloncoin.org - Mars, here we come!
February 23, 2024, 12:39:12 AM
Grass Network Airdrop Earn Point and $Wynd Token

Asslamualaikum!
Kaya haal hen dosto Umeed karta hun sab kheryat sy hon gy.

Acha to 17 January ko my ny ek post share ki thi thi Grass Extension ky bary my ap ko details quoted post my mil jaen gi. Us ki update ye ai hai ky Galxe par us ki Early access ki ek campaign ai hai. To jin logon ny ye airdrop join kiya huwa hai wo is Campaign ky task bhi lazmi pury kar len. Kiu ky ap sab ko pata hai kuch criteria out ho sakta hai. So agar ap Grass users hen to ye Campaign bhi join karen.

Acha ab aaty hen task ki janib.
Ye raha campaign ka link.
https://galxe.com/EpsyS7LHJyJU4zMcBCDQHs/campaign/GC4GUt4qyd

Is my kuch Twitter ky tasks hen jo ap ny mukamal karny hen jis my follow like retweet shamil hai.
Discord par Gecko role lena hai jo discord milty hi ap ko mil jaye ga.
Or akhir par ap ny apni Email deni hai jiss sy ap ny Grass Project join kiya huwa hai.



Thanks Themepen bhai. Ek tho hamare hakoomat ha jo awam ka muft ma nuqsan karwati ha. Ab twitter ko band kia ha jis ke waja se bar bar VPN ko on karna parta ha. Ek bar VPN on ho jae tho ma koi exchange bi open nahe karta es leye k ek martaba logo k binance account ma issue aya tha jab unho ne VPN k through binance login kia. Magar ye bath samj nahe aathe k ye masla sirf Pakistan ma nahe ba bakke India k much telegram group ma b dekha m wo keh rshe k agar twitter work na kare tho telegram open kare.

Acha aaj k #006 Gamble quiz le le. Gomble games ko hargiz miss mat kare

Gaming
All of above
simple concept and Comprehensible rules
All of above

Jump to: