Author

Topic: Pakistan - page 321. (Read 6475324 times)

legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
November 20, 2023, 01:55:21 PM
__SNIP___

Apne already mention kia kaa apko zyada pata nai haa omeed ha Galadiator kaa replies see apko kuch an kuch too waziah howa hoga, vohat sari cheezain hain jinke baree ma wazih hukam nai haa agar dekha jaye maar indrectly to mojud haa na yee too abb Insaan kaa Taqwaa pa haa kaa wo apni nafsaai khwahishaat ko kese dbata haa.

Secondyl Gunah karna ya osko karne maa madad karna dono hii aik hii zumree ma tee hain, ispe boat sare topics already covered haamri community maa. Main try karta hun apko past kii discussion jo mujh pata hain hoi hoi onko zara mention karon as kuch links mere saved hain baqi bii InshALlah maa next psot maa nikal kaa apko report karta hun haha.

Baqi apne tuka sai mara haa FIsal bhai ka liaa..
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
Enjoy 500% bonus + 70 FS
November 20, 2023, 01:48:04 PM
Norway's launching its own digital currency

Is digital world mai jaha sub kuch Badal raha hai ya aik name shakal me convert horaha hai ...toh wo waqt door nahi jab hum aik cashless society me je rahe hongy..

Norway ka apna CBDC (Central Bank digital currency)
Ko launch kardiya hai ...central banking digital currency bhi same  wahi blackchain technology use karti hai jo bitcoin use karti hai magar CBDC aur cryptocurrencies like bitcoin mai sab sa bada farq yahi hai ka CBDC aik traceable aur centralised aur satable hota hai aur government authorities ko control karte hai jab k ctypto is se different hai is situation mai ....
Reference
Yeh toh bohout ache baat ha ky Duniya digital side pa ja rahe haa, but hamary hukamraano ko yeh baat Koon samjai ky digital side Ki bhi ik Duniya haa Jo cheezo Mai shafifayat laate haa cheezy SAB ky record Mai hooty haa but Nahi inhy waisy ka waisy rehna haa but ik baat haa jab Europe ik technology ko Purana Karky choor daity haa tab woh yaha shift hojata haa  Grin bus ab yeh paksitan ky living cycle Mai enter hogaya haa. Well toh baat Ki taraf aaty haa ky paksitan Mai bhi aisy koshih Ki Gaye different logo NY official statement bhi Jari Kiya but usko Abhi tak amli jaama na pehna saky. Agr reality Mai daikhy toh ik toh SAB record Mai hoga aur doosra Jo paisa hum is paper currency ky paper Mai aur printing Mai waste kar rahy haa woh awam ky Kisi aur shoaby mai use hojai ga. Aur Jo Abhi logo NY crores ruppes dabai haa woh Nahi hoga sabka account aur paisa show hoga aur koi bhi tax Sy bach Nahi jai ga Jo Abhi chup.rahy haa. Aur mustahiq logo ky paisa Mai izafa hojai ga
Ik chart share kar raha hu jis Mai hum NY Har modern Cheez ko adopt karliya haa aur ussy normal zindagi Mai use kar rahy haa toh q na sirf yeh paper money rehngaya ha Issy q upgrade Nahi Kiya ja raha Roll Eyes Huh Roll Eyes Huh
sr. member
Activity: 336
Merit: 292
20BET - Premium Casino & Sportsbook
November 20, 2023, 01:29:11 PM
If this is your password, change it immediately


Dosto is waqat aap aur hum sub samait billions log internet ka istemal kar rahy hain.hum logon ki jo bhi internet ke saat juri cheezen hain jaisy EMAIL,SOCIAL Media accounts,CRYPTO Accounts ,hum in ki hefazat password ke zarye karty hain.magar abhi bhi itny advance hony ke bawajood logon ki aik bari tahdaad aisy Password ka istemal kar rahi hai.jo hackers ke leye hack karna bahot asaan hota hai.

cyber security mahereen ne 2023 main 20 aisy badtreen password ki fehrist jaari ki hai jo aap logon ko hairan karny waly hain.aur ye list NORDPASS jaisi company ne jaari ki hai.is company ne leak password ka jahiza leya aur jo badtareen password un ko mila jo bahot zyada istemal ho raha hai wo hai 123456 .dosry number pe admin aur 3rd number pe 12345678.agar aap bhi aisy asaan password sirf is leye rakhty hain ke ye asani se yaad rehty hain to yaad rakhen ke ye hackers ke leye hack karna aik second ka kaam hai.

source

sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
November 20, 2023, 01:10:22 PM
Gladiator Era
Assalamualaikum kaise Hain ap sub log khas kar gladiator shab.

First of all tu bahi Congratulations ap ko ke ap ne hero rank achieve kar leya ha. Late Karne per ma ap se mazraat khuwa hun aur es ki be ek waja ha. Ma soch raha ta ke ma ne ap ko wish kardeia ha q ke ap ne jab 500 merits complete kar Leye te tu ossi time mane ap ko keia ta pir ma ne soch ke ma ne keia ha per pir zzehn nahe man raha ta ke agr ma ne nahe keia ha tu pir
. Tu ab m ko kardiea ha aur reason be ap ko btya umeed ha ap naraz nahe huwe honge muj se.

Ap ke es khaas moqe per ma ap ke Leye laya hun Gladiator era ke bare ma information. Pehle tu ye btaye ke ap ne waise he ye account name raka ta ya pir es cheez se waqef te aur ap ne apna account name raka.

Ye ek khaas kesam ki fouj Hoti ti Roma empire ma from 15 bc to 404 ce tak. Ye buhat zyada powerful army ti os time ke es ma 4 qesam ke gladiators hote te Jen ke nam Thracian gladiators, Samnite gladiator, Murmillo gladiator , Retarii gladiator ha . En ma sub se zyada powerful Samnite galidator te Jo.ke full weapon se laay hoke goomte tee. Baqi information ke Leye ma link dai raha hun wahm per jaye agr koi aur zyada information chahata ho. Per ap galidator sahb en ma se Kon se type wale hoo Grin Grin ya pir Kon sa Wala ap ko passnd ha.
Link

hero member
Activity: 1428
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
November 20, 2023, 12:48:18 PM
Belkul bhai Chatgpt use karne ky liye sahi ya pher waha se ap kuch seek b sakte ho but yaha masla ye hai kuch log waha se direct copy kar yaha paste karte hai pher bad ma unke liye bhut mushkilat ajajti hai ye bat apki sahi hai jes ko kuch samjaj na aye to ap waha check kar sakte ho. muje jo acha lagta hai ky jo post insan khud se banay ya uske pas khud kesi cheez ka ilam ho wo khud se post banay us may copy paste nahi ata hai. beher hal har kesi ko chahie ky wo ihtiyat kary aur khud ky liye asan tareeka istemal na kary ky waha chatgop se copy kary usko post kiya jaye ye uske liye ek khatra paida karega ek na ek din wo pakra hi jata hai.
Gee dear AI sy hamain copy paste nhi krna chahiya or past mai asy bohat sy cases open ho chuky hain or un sy ibrat pakdni chahiya lekin mazy ki baat yeh hai ky jany anjany my log AI ka istemal krty hi hain, jasy ka umeridress and Gladiator bro ny kaha. Is liya agr ap in ghltiyo sy bachna chahty hain to apko pta hona chahiya ky ghlt kya hai or sahi kya hai or is ky liya apko AI ka ilm hona zarori hai.

Misal ky tor pr mery batch my kuch larkiya hain unho ny apni story share ki ky un ky clients khty hain ky ap ny yeh article AI ko use kr ky likha hai, jb ky unho ny AI ka istemal nhi kiya tha, lekin jb un ky manually written content ko AI detection tools my check kiya ga to waqai detection 70% sy zayda ai. lekin unho ny to manually likha tha. Baaz okat yeh tools jo AI ko detect krny ky liya istemal kiya jaty hain khud hi AI algorithms pr mabni hoty hain, or jo badhy DT members is forum ky yaha chudary bny bethy hain wo bi yehi tools istemal krty hain.

Or in faulty tools ki bunyad pr kafi logo ka parcha kat dety hain, lekin sary cases ki baat nhi kr rha, sirf kuch rare cases ki baat kr rha hoon maqsad baat krny ka sirf yehi hai ky ai detection tool abhi apni peek performance pr nhi pohnchy hain isliya un pr zayda dependent rhna nhi chahiya. Or mazy ki baat ky Google AI written content ko accept krta hai or khud khta hai ky chahy content AI ho ya humanoid ho hona user friendly chahiya or user friendly banan koi mushkil kaam nhi khair yeh baatain to web site ki hain lekin yaha pr bi apply hoty hain isliya bta di.
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
November 20, 2023, 12:25:13 PM
Mere piare bhai , Satisfication Ilm ki baqadar hothe ha. Ap Islam par satisfied ha magar kafir nahe, es tarah deen k bahot se maamlo ma ham satisfied ha magar dosre log nahe hai q k wo apne ilm k baqdar he sochta ha. meri bathobse ap satisfied nahe hai magar signature gambling ma aise konse daleel ap ko paish huwe k ap bina daleel k satisfied huw.
MATLAB ye huwa agar my signature campaign ko theak kahin gaa to Kaya ap mujy samjaen gy Nahi? Yani mujy mukamal daleel KY sath is bat par satisfy nai Karen gy KY Bhai ye iss waja sy Galat hy. Or my ny apni waja btai KY iss waja sy my ny Kaha KY sharab or Juwe ko EK pallry my rakha jab KY Sharab kaa Hukam or Hy or gambling ka kuch or. Gambling my gambling WALA hi Galat hy. Par sharab my 10 sy 20 bandy munslik ho kar Galat ho gaye. Ap ny bat ko ghumaya bohat Hy jab KY Mera swal simple Tha. Kher Faisal Bhai ny Kaha hy KY my jwab dun gaa Shayad wo Bhai koi thos answer dy kar mujy is sy Bacha paen.
G bhai bahot acha, Acha sood ki tareef ap kia karenge? Qarz dekar ziada paisa lena? ya kuch aur b?
Han to yehi Hy Sood Kissi KY sath muqarra waqt par zyada pesy Lena or Agar dy naa saky to barhaty Jana. Kher ap mujy sirf swalon my uljha rahy hen my ny just EK simple question Kiya hy jiss kaa jwab mujy chahye. Par ap bat ko buss Ghuman rahy hen.


G bhai yahi tho ma keh raha hoo k Islam mukamal pehloo ma rehnumai karta ha. Islam riyast ma faisla Fiqha par hothe hai. ap ye nahe keh sakte k muje sirf Quran aur hadees se ye hukam dekhae q k waha kuliyat hothe ha. ab chars haram ha magar kahe b hadess aur qurab ma zikar nahe. es tarh afeem, easypaisa par sood lena etc .
Ye sari cheezen Jo ap ny bayan Ki Bhai ye bad Ki hen. Chard afeem yaa easypaisa ye sab bad Ki hen jab KY Gambling ab Ki nai Hy ye tab BHI Thi sir. Tab sharab BHI Thi USS kaa Hukam Alag Hy or gambling kaa Alag. PHR wohi bat Karun gaa Jo my bar bar pehly kar Chuka hun. KY gambling my sirf gambling Karny WALA Galat hy bss. Baqi sab ko ragra q Diya jaa raha hy mujy is ka jawab chahye jab KY Abhi tak mujy iss kaa jawab nai Mila. Or bat ko idhar sy udhar sirf khud ko sahi sabit Karny KY liye Kiya jaa raha hy. To Bhai bat par aen or Jo Mera swal hy us kaa simple saa answer den.
bhai hadees aur sunnat ma kia farq hai?
Again PHR swaal my uljha rahy hen.


hahaha bhai ijmae ummat esko nahe kehte ye tho logo ka amal ha. Ijmae umaat se murad Mujtahideen ki rae ha jo Quran aur hadees se mustanbit ho.
Lekn iss my wo Cheez aati hy Jo naa Hadees my Hy naa Qur'an my. Lekn Mera swal gambling KY mutaliq Hy Jo KY tab BHI Thi jab Mery Pyary Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ka dore Mubarak Tha.


Quran ki ek ayat he es k liye kaafi ha k gunah (ism) aur zulm(udwan) k kamo ma thaawan na kare. ap es ayat ki tafseer dekhe. Nabi ﷺ k zamane se le kar aj thak kisi ne ye kia ho k ek haram kaam ko khud na kia ho magar dosro ko dawat detha ho aur daleel ye detha ho k ma kisi ko majbor tho nahe kar raha. Ye tho shaitan b kahe ga k ma ne kisi ka hath pakar kar esko ghalat kam par nahe lagaya , ma ne tho sirf waswasa dala.
Yahan to PHR Bhai wohi bat again naa KY mixer BHI Galat sabit huwa PHR ap KY link sy koi land kary or money laundering kary. To ap BHI pakar my aen gy to kahen gy my ny to issy nai Kaha Tha KY tum ye Karo my ny to just signature lgaya Tha. PHR yaa to sary hi Galat Hoty hen.

Or EK bat jnab signature ko ap dawat Dena nai keh sakty dawat Dena ye hota hy KY bhai m ap ko dawat dy raha hun ap iss ko open Karen. Or ye us shaks ka personal decision hy KY open Karna hy KY nai or PHR open kar KY gambling Karna dusra amal hy. Dawat Dena EK Alag muamla Hy jnab. My ny upar yehi bat Ki KY signature wear Karny ka contract hota Hy na KY ye KY my logon ko force Karun gaa KY link open Karen yaa PHR ap gambling Karen. This is a personal decision.

ap Jo signature wear karte ho, usko advertising kehte ha aur sirf ye kaam ha thawan alal ism ha aur esi se tho mana ha k gunah k kaamo ma madad na kare. ap es waqt sirf etna likhe signature ma k Israel haq par ha tho kia zameer ijazat detha ha halanke sirf signature ma lekha hoga aur kuch asar b nahe parega. baqi dalael ap k reply k bad inshaAllah
Are sir Mera swal again wohi hy KY sharab sy munslik logon par lanat hui Sood sy munslik logon par lanat hui. Lekn gambling kaa ESA Hukam nai hy. Jab KY tab gambling mojud BHI Thi.
Or yehi to bat hy KY my Abhi tak clear nai hun jnab. KY signature wear Karny tak theak hy. Jab koi link open kary gaa to apny personal decision sy to tab wo or PHR wo aagy jaa kar gambling kary gaa apni personal decision sy to wo Galat huwa. Wo BHI wohi gunahgaar huwa q KY wo apny personal decision par gambling kar raha hy. Or USS KY personal decision ko ap tawun my daal kar signature waly ko BHI Galat keh rahy hen.
Is Ki sada c misal kuch Yun LY Len. KY Jesy Kissi  ny Kissi shaks ko Makan karaye par Diya or wo karayedaar upar zina Karta hy to Malik Makan kesy Galat ho Gaya?
Ab mery signature sy koi jaa kar gambling Karta hy to my Galat kesy ho Gaya. ?

@Faisal2202 Bhai ap KY jwab kaa BHI intzar rahy Ga ye post lambi hogai. Next post my ap sy bat Karen gy.  Smiley
sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
November 20, 2023, 12:24:16 PM
Kal ka match tho sab ne enjoy kea hoga..kitne ache tareqe se Australia ne bowling kee aur India jaise team jis k pas ghazab ki batting the aur home pitch be tha usko 240 par dher kea aur bad ma jab batting ke baari ae tho Travis Head ne kea he khoob karnama sar anjam dea..Es match se pehle mera kheal tha k India jeet jaega q k Match fix lag rahe the magar ab mind saaf huwa aur acha bei laga..
Kal ka match tu waqe ma daikne laiq ta yaar kia performance dekaye ha Australia.walo ne . Austrlia aur India ke.teemo ma  maa India ko support kar raha ta ke ye he Jeet jaye q ke ma ne ke buzarg se suna ta ke jab 2 lo laar Rahe ho aur UN ma se ap ek ko jante ho aur wo ke nazreez be ho tu ap ko oss ko support karna chahye chahe wo ap ka dushman he q na ho . Ab ma ne sunna ta tu es waja se ma india walo ko support kar raha ta per jab match end huwa.aur ma ne Facebook open keia tu paata chala ke India ka koi Banda ha Irfanpattan jo har waqt Pakistan ke players ka Mazak urata ha crownd ne apni team ko Kafi tang keia ta tu ma ab es bat pe buhat Khush hun ke wo log har gaye ha. Essi ke sath sath in ki Kafi khrab image be bahi Chalo gaye ha Modi na be Kafi ghalat tareeqe se treat keia hai un logo ko.
newbie
Activity: 15
Merit: 0
November 20, 2023, 11:47:14 AM
Norway's launching its own digital currency

Is digital world mai jaha sub kuch Badal raha hai ya aik name shakal me convert horaha hai ...toh wo waqt door nahi jab hum aik cashless society me je rahe hongy..

Norway ka apna CBDC (Central Bank digital currency)
Ko launch kardiya hai ...central banking digital currency bhi same  wahi blackchain technology use karti hai jo bitcoin use karti hai magar CBDC aur cryptocurrencies like bitcoin mai sab sa bada farq yahi hai ka CBDC aik traceable aur centralised aur satable hota hai aur government authorities ko control karte hai jab k ctypto is se different hai is situation mai ....
Reference
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
November 20, 2023, 11:44:45 AM
[Snip]
Attention To This Post

Rehan Zakir bro ma ap ko es post ke zaryr warn karta hun ke ap apna post delet karde ya pir apna post edit karde edit karna best hoga.
Junaid brother bilkul correct kehh rahy haa Iska yeh Matlab Nahi ky ap khud Sy ik lafz bhi Nahi likhy aur kahi Sy copy words to words copy paste kardy aur just palagrism Sy bachany ky liya source daal Diya, aisy normal post Mai apko agr koi kuch na kehy toh iss pa Kush na Hona q ky jab ap signature Mai select hojawo aur manager ko maloom hojai ky ap copy paste karty ho toh apko signature Sy kick out kardy gaa so Abhi sy apni aadat banwa ly ky cheezo ko behtr kary, ik toh ap kafi waqt baad yaha forum pa ayai ho so aisa kuch na Karo Jo wati apky liya asani paida kary matlab apko post easily Banty mil jai but agr ap lamby Mai mushkilaat paida kary. Baki Mai NY check Nahi kiya ky waqi copy paste ha but Junaid Bhai keh rahy haa so uski bat ko quote Karky kehh raha hu, umeed haa ap apni mehnat ko zaayah Nahi hoony dyngy aur bahir section Mai agr posting Nahi karsakty to at least yaha Pakistan Mai geniuen posting to kardy
sr. member
Activity: 630
Merit: 404
November 20, 2023, 11:25:36 AM
Airdrop to acha tha magar jahan pehly aayee aur pehly paheeye wala system hota hai,wahan bahot kam chance hota hai ke her bandy ko mauqa mily ,kiyonky aik makhsoos tahdaad  ko hi diya jata hai,hum ne check kar ke koshish ki magar aaj kal log saary jaisy airdrop ke intezaar main baity hoty hain,jaisy hi aata hai log shuroo ho jaty hain,

jab hamain pata chalta hai to jaga hi nahin hoti hisa leny ki,bahar haal achi baat hai jahan se bhi dollar kamany ka mauqa mily miss nahin karna chahyee,koshish karni chahyee jo airdrop free main mily yahni jis main koi transaction na karni pary wo to zaroor karni chahyee kiyonky koi karcha nahin hota.baharhaal ap ne achi information di hai kisi na kisi ka faida to howa ho ga.
Belkul theek Kaha Aapne Honda brother ho strong airdrop atay hai un mei to slot he buht kaam hote hai pta chalne se pehle he finish or pta be huta hai ke es airdrop be future mei Koch na Koch zarur dei kr jaeay GA phr be miss hu jata hai baat Kren Tu es airdrop slot tu kaafe zeadha hai leken chance utne he Kam ACS protocol airdrop ke trha system Kren gay sab KO ni den FCFS system kr den gay ya phr Jenky task theek Hu gy unki dy den gay leken en Sei walu Ka behroosa nai hai pehle be enhu my airdrop chalay tha leken us ke distribution he nai ke ab phir se airdrop ke rhe hai es par be doubt hai ke den gay ya nai

Ye baat to hai ke airdrop Tu full free hai he keise Ku join krne Chahiye agar airdrop Karen Kam sy Kam 4 5 dollar Tu meilay gay he waisy be kunsa koi pocket se fund lg RHA just candies he use Hu the hai ju free my collect hote hai or 5 sy 10 min ke mehnat lge ge just or kaam hu jaeay GA mei ne wise kr liya hai ab dekhtay h Koch melta hai ya nai
hero member
Activity: 1428
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
November 20, 2023, 11:09:58 AM
G g Bhai انشاء اللہ Puri Koshish Hogi esy hi Safar teh Kiya Jaye or apni agli Manziel BHI the Ki Jaye.
Good dear keep it up khuda apky hq my bhtri kry or ham sb ky haq may bi ameen.

Niyyat to Bhai PHR sab Ki hi Hoti hy Kon chahy Ga KY APNA Safar yahin rok Diya Jaye. انشاء اللہ jald hi next rank kaa Safar BHI teh kar Len gy. Ap ny Dua dy di Thi bohat Hy issi ki Barkat sy my wahan tak pohnch jaun Ga.
Masha Allah good keep it up, wesy agr kbi demotivate hon to nigeria ki community pr bi nazar daliya ga, meri kafi dino sy nazar hai, wo to dadha dadha full member paida kr rhain hain jiss speed sy wo chl rhain hain us speed sy jld hi is forum pr un ka hi raaj ho ga haha. khair fun aside lekin mehnat nhi chodhni.

-snip-
Gee bhai mai apki baat smj gya lekin mai apko jawab kuch time tk doon ga, ku ky apki post mai ny abhi padhi or agr kl hi padh leta to aj tk reply dy deta lekin ab kuch cheezo ko samny rkh kr (like ahadees or ayat ko) phr hi reply kro ga apky question ka.

Han wohi na ap KY lafz Roti sy ye Andaz lgaya KY ap ka Gujranwala ya Faisalabad sy taluq hy. Wo aksar Roti ka lafz bohat istemal karty hen. Yani Agar ap Yun likhty KY Halal Rozi to Shayad Mera shak naa Jata. Gujranwala my khaas kar log is lafz ko istemal karty hen. O roti khaa Lai oo. Ajaa Roti khaan chalye. My Roti khaan Lai ay. O yrr wo roti Kaman E Lagga hoya a. yani aksar esy use karty hen.
Haha, nhi pory punjab my log jo khas to pr punjabi hain wo roti hi khty hain wesy to dusry bi roti hi khty hain. Ap ny shaed wo Tiktok pr video ekhi ho gi jis my gujrawanla my log hr waqt roti ki baat krty rhty hain.
hero member
Activity: 812
Merit: 619
November 20, 2023, 10:45:42 AM

My ap Ki baton sy satisfy nai hun mujy Bhai satisfaction chahye.

Mere piare bhai , Satisfication Ilm ki baqadar hothe ha. Ap Islam par satisfied ha magar kafir nahe, es tarah deen k bahot se maamlo ma ham satisfied ha magar dosre log nahe hai q k wo apne ilm k baqdar he sochta ha. meri bathobse ap satisfied nahe hai magar signature gambling ma aise konse daleel ap ko paish huwe k ap bina daleel k satisfied huw.

Ab ap ny Sood KY lafzi MATLAB par hi Neha's kar di jab KY Sood ka waziya Hukam Hy KY nai Lena to nai Lena. Issi tarah Sharab KY Bary my BHI Agar Qur'an my Hukam Hy to Bhai Hadees Shareef my BHI Hukam Hy Qur'an my naa peeny kaa Hukam Hy to Hadees my Kaha Gaya KY ye 10 sy 20 admi BHI Jo iss sy munslik hen jahanum my Jaen gy.

G bhai bahot acha, Acha sood ki tareef ap kia karenge? Qarz dekar ziada paisa lena? ya kuch aur b?

Sir Islam EK mukamal zabta Hayat hy.

G bhai yahi tho ma keh raha hoo k Islam mukamal pehloo ma rehnumai karta ha. Islam riyast ma faisla Fiqha par hothe hai. ap ye nahe keh sakte k muje sirf Quran aur hadees se ye hukam dekhae q k waha kuliyat hothe ha. ab chars haram ha magar kahe b hadess aur qurab ma zikar nahe. es tarh afeem, easypaisa par sood lena etc .

Yani Agar Qur'an my nai to Hadees my USS kaa zikar zrur hoga. Or Hadees my nai to Sunnat my hoga or Sunnat my nai to PHR Imama E ummat ajati hy.

bhai hadees aur sunnat ma kia farq hai?

Yani Ijmaye ummat wahan aati hy sir Jahan koi masla Qur'an on Sunnat or Hadees my naa ho yani Jesy mobile kaa use. Ab Hadees Shareef my yaa Qur'an yaa Sunnat my iss kaa zikar nai milta. Lekn log use karty hen. Q KY Ijmaye ummat hy. 

hahaha bhai ijmae ummat esko nahe kehte ye tho logo ka amal ha. Ijmae umaat se murad Mujtahideen ki rae ha jo Quran aur hadees se mustanbit ho.


Ab gambling kaa Hukam BHI Aya or AP (S.A.W) ky dor my BHI gambling Thi to USS par Hukam agya. Or sharab par BHI Hukam agya. KY iss sy munslik 10 sy 20 admyon ka BHI Hukam agya.
Ab gambling my sirf gambling Karny waly ko hi Galat Kaha Gaya. Agar iss sy munslik 10 sy 20 logon Ki mumaniyat Hoti to Hukam ajata.

Again in conclusion mujy ye btaen Kaya kahin Hukam mojud Hy Jesy Sharab KY mutaliq Hukam agya or Islam ny khol kar bayan kar Diya. Ab gambling my gambling Karny waly ko Galat Kaha Gaya. Baqi iss sy munslik Kissi ka Hukam Hy to dikhaen.

Quran ki ek ayat he es k liye kaafi ha k gunah (ism) aur zulm(udwan) k kamo ma thaawan na kare. ap es ayat ki tafseer dekhe. Nabi ﷺ k zamane se le kar aj thak kisi ne ye kia ho k ek haram kaam ko khud na kia ho magar dosro ko dawat detha ho aur daleel ye detha ho k ma kisi ko majbor tho nahe kar raha. Ye tho shaitan b kahe ga k ma ne kisi ka hath pakar kar esko ghalat kam par nahe lagaya , ma ne tho sirf waswasa dala.

Bhai mujy satisfaction chahye. Phr my koi fesla Karun Ga KY ye theak hy KY nai hy?

Or rahi bat signature campaign KY contract sign Ki to my ny sirf contract sign Karna hy KY my ap ka signature wear Karun gaa par Mera link koi open kary yaa naa kary koi gambling kary ya naa kary iss sy Mera koi taluq nai hy. To jab my ny Kissi ko force kar KY nai Kaha naa hi company mujy force kar rahi hy KY nai AAP koi naa koi Banda zrur lgaen gambling par. To PHR Galat hoga. Or gunah jariya Ki ap ny bat Ki. Bhai jab koi mery link sy jaa kar gambling kary gaa to wo USS Ka APNA zaati fesla hy. Naa KY my ny ussy force Kiya...

ap Jo signature wear karte ho, usko advertising kehte ha aur sirf ye kaam ha thawan alal ism ha aur esi se tho mana ha k gunah k kaamo ma madad na kare. ap es waqt sirf etna likhe signature ma k Israel haq par ha tho kia zameer ijazat detha ha halanke sirf signature ma lekha hoga aur kuch asar b nahe parega. baqi dalael ap k reply k bad inshaAllah
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
November 20, 2023, 10:09:33 AM
Waisy SAB log yahi keh rahy ty india NY world cup fix Kiya ta aur lag bhi raha ta kuch aisa hi haa q ky agr woh toss ho ya DRS SAB unky Haq Mai ka rahy ty aur sath Mai unky bowlers ko help mil rahe te jabky Same pitch Mai aur bowler struggle karty ty but anyway jistarah Ki performance Abhi final Mai haa toh aisa lag raha haa Australia ky khilaf yeh drama Nahi Chal sakta woh SAB cheezo ko kafi ghoor Sy daikh rahy haa so bs Abhi daikhna haa Kya results nikala haa.
India ny barri koshish ki bohat her pher ki thi pitches my or khud bohat shatir tariqy sy upar ly ky aya or bohat bhtreen tariqy sy khud manage bhi kar raha tha. Yani yun keh len agar pitches my her pher naa hota to definitely India pichly matches bhi esy hi haar jata. To my yahan yehi kahun ga. India phr final jeet gaya tha. O naiii India kahan jeet gaya... India to warr gaya.
Kher Australia ny sai India ki team or nation kaa ghurur tora hai. Or bohat hi well managed kiya unhon. Australia ky pichly matches my dekh sakty hen unhon ny apni run rate first overs my kabhi girny nai di. Lekn yahan bhi inhon ny run rate set karny ki koshish ki par jab dekha run rate ky chakron my ab wickets jaa rahi hen to Bumrah or Shami ky overs ko sukun sy khela.
By the way bohat kamal kaa match tha.



Es match ma agar ap logo ne ghaur kia tho Kohli ka ek fan security se bachna howa Kohli k pas aaya aur poore dunya ko ek paigham dea k Palestine ko free kare. us ne shirt par likha huwa ye pehna tha. Us ne apna haq ada kea aur ye message ab top trend ban gea ha. Ese tarah ham ko ye message aam karna chaeye tha k Israel badnam aur Muslaman hamesha oppar rahe.
Asal my bhai hona ye chahye thaa hmary Pakistan ki team ki wardi par ye likha hona chahye tha. Par kaya karen hmary hukmran pithu hen to wo esa hony nai den gy. Or agar kissi ny koi acha kam kiya hi tha Palestine ky liye to us par ungliyan uthni shuru ho gai. Muhammad Rizwan ki misaal ap ky samny hai.
Sary Muslim mumalik hi yun keh len Khusry hen samet hmary jo abhi tak apny Muslmaan bhaio ky liye koi iqdaam nai kar paye.
member
Activity: 71
Merit: 32
November 20, 2023, 09:43:05 AM
Australia bari zaheen qaum hai.unhon ne pitch ka bhi akhri lamhat tak negrani ki.aur pitch ki condition ko daikty howy faisly kiye.aur mery khayal main toss ne bhi india ki shikast main bara aham kirdar adda kiya.agar india  tos jeet jata to yaqeeni tor per unhon ne bowling karni thi.australia ko pata tha ke agar unhon ne shuroo ke 10 ,15 overs aram se nikaal leye  to pir pitch per bowlers ke leye kuch nahin ho ga.

is leye shoro main jo wickets gir gai ,os ke baad pich bowlers ke leye saazgaar nahin rahi.aur indian ke top bowlers bhi bari koshish ke kuch na kar saky.Bahar haal australia ne behtareen team hony ka saboot diya,aur itny tamashayeeon ke darmiyaan pressure main nahin aye,aur apny team ko match jetwa diya.

Ye bat belkul sahi hai aur s may koi shak be nahi hai ky Australia ki team koi mamoli team hai ha lehaz se deka jaye Australia team may ache player aur mehnati player hai aur ye bat be apne sahi kaha ky ye ek zaheen qoum hai agar ap previous record be check karo to Australia team kahyi bar world cup win kar chuke hai aur har bar ache player team ma shamil ho jate hai muje khud ye team pasand hai q ky ye team jab khelti hai to 6ko aur 4ko ky barish karte hai tabhi ye team muje passand hai mene deka match 1st 10 overs may India team ky bowling may bhut spin ti bad may pher bowling normal halat may hogya tab pher Australia team ne runs banana shoro kiya.
full member
Activity: 280
Merit: 110
Eloncoin.org - Mars, here we come!
November 20, 2023, 08:03:56 AM


Kal ka match tho sab ne enjoy kea hoga..kitne ache tareqe se Australia ne bowling kee aur India jaise team jis k pas ghazab ki batting the aur home pitch be tha usko 240 par dher kea aur bad ma jab batting ke baari ae tho Travis Head ne kea he khoob karnama sar anjam dea..Es match se pehle mera kheal tha k India jeet jaega q k Match fix lag rahe the magar ab mind saaf huwa aur acha bei laga..

Es match ma agar ap logo ne ghaur kia tho Kohli ka ek fan security se bachna howa Kohli k pas aaya aur poore dunya ko ek paigham dea k Palestine ko free kare. us ne shirt par likha huwa ye pehna tha. Us ne apna haq ada kea aur ye message ab top trend ban gea ha. Ese tarah ham ko ye message aam karna chaeye tha k Israel badnam aur Muslaman hamesha oppar rahe.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
November 20, 2023, 07:12:29 AM
XRP Analysts Eye Potential Reversal Amidst Price Surge

Assalamalikum to all my community, XRP ke hal hil mein tezi ke baad jo 6% izafa hua hai, woh investors aur analysts mein nayi umeed ka bais bana hai. Khaas taur par Dark Defender aur Egrag ne is ubharti hui trend ko XRP ke liye aik moar par samjha hai Dark Defender ne XRP ke 4-hour time frame mein aik correctiv structure ka ikhtetam aur oversold area ki tashkeel pe roshni daali ha jis se XRP ka aik move $0.6649 ki taraf mutawaqqa hai. Dark Defender ne Fibonacci retracement levels aur consistent 5 Wave Elliott structure ke sath is harkat ko support diya hai.

Baqii ik analysis k matbak jo consolidate ho rahi markets ko aik potential breakout ki taraf ishara karte hain. $0.50, $0.54 sy $0.60 pe support levels ke sath sath mary khayl sy $0.85 pe resistance levels ko bhi pehchana gaya hai. Iske sath sath ihtiyaat ke sath intezar ki peshkash bhi ki gayi hai, but XRP ke liye ek bullish trend ka intezar kiya ja raha hai.

In technical analyses ki milap se XRP ke liye bullish trend ki sambhavna samne aati hai agar woh kuch khas support levels ke upar qaim rehta hai. 1-day chart ki tafseeli analysis ne dikhaya hai ke $0.625 pe rukawat hai, agar yeh rukawat door ki jaye toh $0.688 aur $0.759 potential targets hain, jo XRP ke short-term movement mein bull aur bear ke darmiyan ki chalti phirti jung ko darust karte ha baqii invest analysis kar ka krni chaye Source.


Walaikum salam brother, XRP long term investors k liye bi acha coin sabit ho sakta ha or eskia previous all time high (ATH) $4 k kareeb tha or jahan tak mujhy yaad ha yeh ATH 2018 mein bna tha. Usky baad se XRP ne ko impressive performance demonstrate nhi ki ku k SEc k sath eska legal dispute ki waja se esy bht sary exchamges ne delist ker dia tha. Ab aisa lugta ha k SEC k sath esky legal issues resolve ho reha ha agr aisa ho jata ha toh eski price 5-8X br sakti ha. DYOR
sr. member
Activity: 336
Merit: 292
20BET - Premium Casino & Sportsbook
November 20, 2023, 04:55:25 AM
         

Asalamualikum mere bhaio sub kese ho kal ka match to sub ne deka hoga wesy match bhut zabardast hoa ta india ne pore tournament may ek match be nahi hara 1 match just hara wo be aisa match hara ky wo jo sary win kiya wo ek match be kam nahi aya wesy mouqbala bhut hi zabardast aya Australia ky start hone may 3 wicket gir gaye ty agar travis Head aur Marnus Labuschagne aram aram se ya partnership na karte to shyed ye match india win kar jata Virat Kohli bechara bhut khafa khafa lag raha hai wo kehte hai ky jo acha khelte hai wahi fatah karte hai beher hal ye match ka qanoon hai ek jeet jata hai aur dosra win karta hai ye match Australia ky naseeb may ta so wo win kar gaye. Travis Head bhut acha khela well played and conguralation Australia Team.

Australia bari zaheen qaum hai.unhon ne pitch ka bhi akhri lamhat tak negrani ki.aur pitch ki condition ko daikty howy faisly kiye.aur mery khayal main toss ne bhi india ki shikast main bara aham kirdar adda kiya.agar india  tos jeet jata to yaqeeni tor per unhon ne bowling karni thi.australia ko pata tha ke agar unhon ne shuroo ke 10 ,15 overs aram se nikaal leye  to pir pitch per bowlers ke leye kuch nahin ho ga.

is leye shoro main jo wickets gir gai ,os ke baad pich bowlers ke leye saazgaar nahin rahi.aur indian ke top bowlers bhi bari koshish ke kuch na kar saky.Bahar haal australia ne behtareen team hony ka saboot diya,aur itny tamashayeeon ke darmiyaan pressure main nahin aye,aur apny team ko match jetwa diya.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
November 20, 2023, 03:56:47 AM
XRP Analysts Eye Potential Reversal Amidst Price Surge

Assalamalikum to all my community, XRP ke hal hil mein tezi ke baad jo 6% izafa hua hai, woh investors aur analysts mein nayi umeed ka bais bana hai. Khaas taur par Dark Defender aur Egrag ne is ubharti hui trend ko XRP ke liye aik moar par samjha hai Dark Defender ne XRP ke 4-hour time frame mein aik correctiv structure ka ikhtetam aur oversold area ki tashkeel pe roshni daali ha jis se XRP ka aik move $0.6649 ki taraf mutawaqqa hai. Dark Defender ne Fibonacci retracement levels aur consistent 5 Wave Elliott structure ke sath is harkat ko support diya hai.


Baqii ik analysis k matbak jo consolidate ho rahi markets ko aik potential breakout ki taraf ishara karte hain. $0.50, $0.54 sy $0.60 pe support levels ke sath sath mary khayl sy $0.85 pe resistance levels ko bhi pehchana gaya hai. Iske sath sath ihtiyaat ke sath intezar ki peshkash bhi ki gayi hai, but XRP ke liye ek bullish trend ka intezar kiya ja raha hai.

In technical analyses ki milap se XRP ke liye bullish trend ki sambhavna samne aati hai agar woh kuch khas support levels ke upar qaim rehta hai. 1-day chart ki tafseeli analysis ne dikhaya hai ke $0.625 pe rukawat hai, agar yeh rukawat door ki jaye toh $0.688 aur $0.759 potential targets hain, jo XRP ke short-term movement mein bull aur bear ke darmiyan ki chalti phirti jung ko darust karte ha baqii invest analysis kar ka krni chaye Source.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
November 20, 2023, 03:12:00 AM
Brothers, aaj ki crypto markets ki updates:

1- Bitcoin ki price mein behtri aai ha or es waqt bi $37,222 pe trade ho reha ha.

2- Ethereum $2019 pe trade ho reha or mere analysis k mutabik yeh bht under-valued ha or eski price $3000 k kareen honi chaye.

3- SOL , LINK or NEAR bi acha perform ker rehe han. NEAR abi bi under-valued ha. Eska potential $5 tak toh banta ha.

4- PYTH token aaj sham ko Kucoin exchange pe list ho ga or ki listing price 0.8 se 1 dollar tak expected ha. Jin bhaion ko eska airdrop mila ha woh bht lucky han.


https://cointelegraph.com/markets
sr. member
Activity: 462
Merit: 354
Trade Big, Win Bigger!
November 20, 2023, 01:28:55 AM
               
             


Asalamualikum mere bhaio sub kese ho kal ka match to sub ne deka hoga wesy match bhut zabardast hoa ta india ne pore tournament may ek match be nahi hara 1 match just hara wo be aisa match hara ky wo jo sary win kiya wo ek match be kam nahi aya wesy mouqbala bhut hi zabardast aya Australia ky start hone may 3 wicket gir gaye ty agar travis Head aur Marnus Labuschagne aram aram se ya partnership na karte to shyed ye match india win kar jata Virat Kohli bechara bhut khafa khafa lag raha hai wo kehte hai ky jo acha khelte hai wahi fatah karte hai beher hal ye match ka qanoon hai ek jeet jata hai aur dosra win karta hai ye match Australia ky naseeb may ta so wo win kar gaye. Travis Head bhut acha khela well played and conguralation Australia Team.
Australia deserve kart tha final jasy wo khalay ha maza aya gya dakh or India ki haar dakh maza aya kiu kh India ne hamare mulk ka mazaq udaya, agar bhi yeh sirf aik khail tha magar un logon ne khail ko bhi jang ka darja diya.
India ne media par musalsal hamare players ka morale down rakha aur hamare mulk par musalsal yeh log hasta rahe. India ne hamare pakistani fans ko match dekhne ki ijazat tak nahi di. Jab bi Pakistan dosri teams ke khilaf haar gaye to un ke official logon ne camera ke samne nach pesh karke ICC ke asoolon ki khilaf warzi ki. Oru Aaj indian players ke utre hue chehre dekh kar sukoon sa munsar hua jasy to tasa
Jump to: