~snip
Hahaha kya he bacho wale bathe kar rahe ho. ek tho apne post ma saare Pakistan k ullama par fatwe khas rahe ho k ye apne faide k leye karte ha aur opar wale post ma tho har paragraph ma muje ghlat kaha. kher mera maqsad apko smjana the leken apko talab nahe ha aur jab talab he nahe ha tho wo kia samje. chalo ap jis Aalim k urs ma gae the us se hee kahe time le k ye masla pooch le, umeed ha k apko sab kuch clear hojaega.
Bhai signature aur logo advertising he tho ha aur kia ha. yaha par kitne countries k Ullama ne esko haram kaha ha, ek b aisa nahe ha es ne usko halal kaha ho. arab, africa, Pakistan, india har countries se ek fatwa aur ek hee dalee aur wo yahi ayat ha. Naraz na hona leken saare ummat k fatwe ko chor kar apne rae lena esi ko gumrahee kehte ha. Na Quran ka ilm, na hadees ka aur na he fiqha ka , ab aisa muslaman kahe k mere ye rae ha tho esko muatbar kehna jahalat ke inteha ha. sonpna thab hotha jab koi masle ma ikhtilaf hotha magar yaha tho sab kuch belkul saaf ha.
Hadees se jo masla nekala ha wo ullama ne apne fatawo ma lekha ha aur yahe Matlab leya ha jo ma ne kaha. Islam ma jo cheez mana ho tho uska hukam ye hotha ha k ham khud b bache aur dosro ko b bachae na k ham us haram kam ka sath de kar us se paisa kamae . Amar bil maroof aur nahee anio munkar ka maqsad he faut ho jaega agar haram cheez ki advertising ki ijazat mil jae.
Shukriya jnab ap ny bohat achy sy smjaya or waqy hi Mera koi zehan nai Tha smjny (issi liye to behas kar raha tha) kher shukriya iss fatwy K liye BHI. Or rahi bat Pakistan KY Ullama Ki to achy BHI hen or bury BHI. Or my ny ab tak bohat sy dekhy hen. Or nichor Kaya Nikla hy Shayad wo mujy bayan nai Karna chahye.
Or baqi bat Abhi BHI Banti Thi my zrur Karta lekn ap KY pas mujy deny KY liye jwab nai hy. Q KY Jo my ny bat Ki Thi jwab us par banta Tha. Or ap ny to Jo ap KY zehan Par asar Ki bat ap ny sirf ussy chuna yani my ny Jo Kaha KY Kaya bachon wali bat kar rahy hen USS ko mudda bnaya. Mera Bhai pehly apna Nafs ko to maar Len. Kher ye bhi ap ko bura hi lagy gaa or bat barh Jaye gi. Baqi to Hadees Shareef ap ny bayan Ki us ny bohat kuch waziha kar Diya Hy. Ab jab Hadees my agya hy to Jo KY clear BHI hy KY jiss ny dawat di to wo sadqa kar dy.
Ab ap ho yaa sari dunya KY aalim wo is ko Kissi BHI khaty my dalen to BHI Hadees kaa muqabla nai kar sakty.Ab Agar Hadees ny hi khol kar bayan kar Diya Hy. Yani Qur'an my to sirf mana Tha na or ap ny jiss ayat ko bunyad bana kar Haram kaa fatwa lgaya Hy wo USS waqt Walid Thi jab is Bary my Hadees sharif naa Hoti. Kher ap sy discussion hui ap ny ye Hadees bayan Ki jis ny sab kuch bayan kar Diya Hy.
Kher bat barhany kaa faida nai hy. Allah ap ko Khush rakhy. آمین