Pages:
Author

Topic: Pakistan - page 34. (Read 6106137 times)

sr. member
Activity: 462
Merit: 328
September 23, 2024, 02:55:31 PM

Umer bahi apke Kuch post ma ne phar li ha ducky bahi ke hawale matlab ma sub ke post pharta hun Kuch time se note kar raha hun ke ap ducky bahi ke vlogs ke bare ma bat karte ha es se muje aysa andaza ho raha ha ke ap ducky bahi ko Pasand karte ho Kafi zyada tabi ap os ka koi vlog miss nhe karte. Tek ha es ma koi buri bat nahe ha bilkul be ma khud be os ko follow keia huwa ha per Kuch time se ma es ko ignore kar raha hun q ke ye abi Kuch aur bate karta rehta ha en ki vlogs ma abi wo wali bat nahe rahi bas Sara din bewi ko dekata rehta ha pehle pehle ye Kafi zyada crypto ke bare ma btata ta per abi mushkil se bat karta ha aut shaid muje ye family vlogging ma Pasand nahe ha. Her kesi ka apna view ha aur careteria ha aur es ko daik kar wo Pasand na Pasand rakta ha.

Ducky ko koi content nhi milta to phir bechari biwi ke atma rol jati hai asal me ye ho raha hai mujy aik bat ke samaj nhi ati jab larkiyan  apna vlog shuru karti hain to apnie ap ko middle class show karwny k leye Sar pe dupatta  aur jese jese kam famous hota hai aur apnie ap ko rich show karnie k leye  dupatta sar se gira deti hai hain.

Han thik hai k sab ny kush na kush earning ka zariya banaya hai par qirat ke to had par nhi karnie chahiye chalo thik hai man leye biwiyon k bagir volg viral nhi hoty  aj kal , chlo screen k samnie lana b ho  to kis ddang aur hisab k sath  lana chahiye anie wali posh ko kharab kar deya inho ny .
sr. member
Activity: 1204
Merit: 290
September 23, 2024, 01:22:05 PM
Ducky Bhai ne 2 minute pr Imran Khan k upper bolna start kia and finish khoi 2 minute and 20 second tak kia.

Umer Bhai mazrat agar aapko bat buri lage, kehte hain k sach kadwa hota hai, aap shayad ducky bhai ko as a fan like krte honge, main bhi karta tha aek waqt men jab wo roasting karta tha games khelta tha, lekin jabse usne vloggin start ki hai family k sath drame wagera karna ab mjhe wo boht over lagta hai aur mjhe wo log nai pasnd jo boht over hote hain.

Bat main yeh karne ja rha tha k jis tarha Cheema bhai ne kaha, mjhe yeh cheez sirf aek publicity tactic k tor pe nazar aa rhi hai qk main in cheezon ko le k updated rakhta hon khud ko aur jahan tak maine observe kiya hai ducky bhai k aaj tak kabhi bhi khul k imran khan ko support nai kiya.. Dhabe chupe alfaz men aek do baten krdene ko hum support karna nai keh sakte mera yeh manna hai... Aur aap khud socho, kia imran khan k sath jo hua hai aur jo horha hai uspe apna support zahir karne k liye sirf 20 seconds kafi honge?

20 seconds men kiye jane wali cheez sirf aek reference k tor pe li ja sakti hai isko support ya haq men bat krna nai kaha ja sakta. Agr wo imran khan k haq men bat karta toh usko pure 10 mint ki alag se video bnani parh jati itni baten aek insan kar skta hai un sb cheezon ko us zulm o jabr pe jo imran khan aur unke party k dosre members k sath hua hai aur abi bhi horha hai.

It's just a personal opinion, nothing against anyone.  Smiley
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
September 23, 2024, 12:13:00 PM
Aj k vlog mai Ducky Bhai ne Imran Khan k bare mai baat ki hai. Ye v;log khoi ab se 19hours phela aya tha, jis mai Ducky Bhai ne Imran Khan k upper baat ki thi, maltab Imran Khan k haq mai baat ki thi. Jesa k o I phone lene k liye Dubai gya tha toh us ne kal k vlog mai le liya lakin aj k vlog mai khoi 2 minute pr us ne Imran Khan k haq mai baat ki. Jesa k app logon ko pata hai k Imran Khan ka qadi number 804 hai toh us ka room number bhi 804 tha jis ko dkeh kr Ducky ne kha “Ducky Bhai k liye special room number, log smj toh gye ho gein” aur phir or bhi baat ki.

Vesse us k sath Nadeem Nani Wala bhi gya hua tha Dubai, ye woi shaks hai jis ko Ducky Bhai ne apni Audi E tron sell ki thi, aur ab Nani Wale ne us ki number plate pr bhi IK 804 ka number khareda hua hai jis ki mujhe excat price toh ni malun lakin us ne batya tha k khafi manga para hai aur price bhi batayi thi apne Tiktok account pr lakin wo ab mujhe yaad ni.

Aj k vlog ka link __ https://www.youtube.com/watch?v=STKVCz1Fmzk
Ducky Bhai ne 2 minute pr Imran Khan k upper bolna start kia and finish khoi 2 minute and 20 second tak kia.
Umer bahi apke Kuch post ma ne phar li ha ducky bahi ke hawale matlab ma sub ke post pharta hun Kuch time se note kar raha hun ke ap ducky bahi ke vlogs ke bare ma bat karte ha es se muje aysa andaza ho raha ha ke ap ducky bahi ko Pasand karte ho Kafi zyada tabi ap os ka koi vlog miss nhe karte. Tek ha es ma koi buri bat nahe ha bilkul be ma khud be os ko follow keia huwa ha per Kuch time se ma es ko ignore kar raha hun q ke ye abi Kuch aur bate karta rehta ha en ki vlogs ma abi wo wali bat nahe rahi bas Sara din bewi ko dekata rehta ha pehle pehle ye Kafi zyada crypto ke bare ma btata ta per abi mushkil se bat karta ha aut shaid muje ye family vlogging ma Pasand nahe ha. Her kesi ka apna view ha aur careteria ha aur es ko daik kar wo Pasand na Pasand rakta ha.
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
September 23, 2024, 12:09:31 PM
Aj k vlog mai Ducky Bhai ne Imran Khan k bare mai baat ki hai. Ye v;log khoi ab se 19hours phela aya tha, jis mai Ducky Bhai ne Imran Khan k upper baat ki thi, maltab Imran Khan k haq mai baat ki thi. Jesa k o I phone lene k liye Dubai gya tha toh us ne kal k vlog mai le liya lakin aj k vlog mai khoi 2 minute pr us ne Imran Khan k haq mai baat ki. Jesa k app logon ko pata hai k Imran Khan ka qadi number 804 hai toh us ka room number bhi 804 tha jis ko dkeh kr Ducky ne kha “Ducky Bhai k liye special room number, log smj toh gye ho gein” aur phir or bhi baat ki.
Yeh vlog Khair Mai NY toh nahi daikhe but yeh jo clip ta jis ka waqia ap ny bayan Kiya woh bohout viral Howa aur Mai NY woh daikh Liya ta, jis Mai ducky ko room number 804 mila. Waisy yaar Khan ki popularity Daikho Jo number usky naseeb Mai ayaa woh bhi mashroor Howa. Baki Yar Mai Kisi ki burai bayan nahi karta sab logo ky samny haa ky Kya performance haa kis ki. I know Khan ky dor Mai bhi mushkilaat te but uski ahm wajah COVID-19 ki layer tee jis Sy world Kitna effect Howa ta.

Inn logo ny toh Daikho binah Kisi world wide azaab ky jis Mai world economy collapse Howe te yaha toh binah usky economy collapse Howe ha aur debt ki BAAT toh chooro asmman choo Rahe haa ab koi loan dy nahi Raha aur mazy ki BAAT Loan ly rahy haa loan ko chukany ky Liya Matlab like seriously ham kaha pa aaky kary hogai yeh hamara mulk jo kisi waqt Mai Germany ko loan daita ta AJ Pai Pai ko tarap Raha haa abhi ik report ky mutabiq Pakistan Mai har ik Banda chahy woh bacha ho doodh peeny wlaa boora ho ya Jawan sab 295k Pkr defaulter haa Baki ap khud sooch lo
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
September 23, 2024, 11:38:59 AM
Aj k vlog mai Ducky Bhai ne Imran Khan k bare mai baat ki hai. Ye v;log khoi ab se 19hours phela aya tha, jis mai Ducky Bhai ne Imran Khan k upper baat ki thi, maltab Imran Khan k haq mai baat ki thi. Jesa k o I phone lene k liye Dubai gya tha toh us ne kal k vlog mai le liya lakin aj k vlog mai khoi 2 minute pr us ne Imran Khan k haq mai baat ki. Jesa k app logon ko pata hai k Imran Khan ka qadi number 804 hai toh us ka room number bhi 804 tha jis ko dkeh kr Ducky ne kha “Ducky Bhai k liye special room number, log smj toh gye ho gein” aur phir or bhi baat ki.

Vesse us k sath Nadeem Nani Wala bhi gya hua tha Dubai, ye woi shaks hai jis ko Ducky Bhai ne apni Audi E tron sell ki thi, aur ab Nani Wale ne us ki number plate pr bhi IK 804 ka number khareda hua hai jis ki mujhe excat price toh ni malun lakin us ne batya tha k khafi manga para hai aur price bhi batayi thi apne Tiktok account pr lakin wo ab mujhe yaad ni.
Bhai Mojy To ducky bhai ka ya stance sarf views lany ka mumsoba lag raha hai qkah Imran khan ka naam or qaidi number 804 lafz he ik brand ban chuka ha Pakistan ma jas ka koi comparison ni hai Or mojy ni lagata kah imran khan ka koi comparison lay kar ayy skatia ha establishment jitna marazi zor laga lay wo is naam ko khtam ni kar skaty hai baqi apnay dakha hu ga Zulquranian or kanwal nay maram nawaz cm of punjab ki paid promotion ma ik video banai the to loogo nya inhy unfollow or report karan shuru kar diya tha or jin YouTuber ko Imran khan nay milny ka lay buliya tha wo sab passy ka chakr ma apna iman bech gay sarf ik muneeb bacha tha khair duchy bhai ko smaajj ha agr views lany hai to Imran khan ka lafz use krna bhter ha or mojy lagta ya camra bi special farmish par kiya gya tha 804 number wala takh audience kah skay kah is bundy ki imran khan sy mobhat ki wajjah ha ya
hero member
Activity: 2436
Merit: 877
September 23, 2024, 07:43:29 AM
Aj k vlog mai Ducky Bhai ne Imran Khan k bare mai baat ki hai. Ye v;log khoi ab se 19hours phela aya tha, jis mai Ducky Bhai ne Imran Khan k upper baat ki thi, maltab Imran Khan k haq mai baat ki thi. Jesa k o I phone lene k liye Dubai gya tha toh us ne kal k vlog mai le liya lakin aj k vlog mai khoi 2 minute pr us ne Imran Khan k haq mai baat ki. Jesa k app logon ko pata hai k Imran Khan ka qadi number 804 hai toh us ka room number bhi 804 tha jis ko dkeh kr Ducky ne kha “Ducky Bhai k liye special room number, log smj toh gye ho gein” aur phir or bhi baat ki.

Vesse us k sath Nadeem Nani Wala bhi gya hua tha Dubai, ye woi shaks hai jis ko Ducky Bhai ne apni Audi E tron sell ki thi, aur ab Nani Wale ne us ki number plate pr bhi IK 804 ka number khareda hua hai jis ki mujhe excat price toh ni malun lakin us ne batya tha k khafi manga para hai aur price bhi batayi thi apne Tiktok account pr lakin wo ab mujhe yaad ni.

Aj k vlog ka link __ https://www.youtube.com/watch?v=STKVCz1Fmzk
Ducky Bhai ne 2 minute pr Imran Khan k upper bolna start kia and finish khoi 2 minute and 20 second tak kia.
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
September 23, 2024, 03:11:52 AM
Bitcoin market update: Bitcoin market mein aaj subh bht achi price move hoi ha or Bitcoin es waqt $64k se oper trade ho reha ha , jis ka ka matlab ha k 200 DMA or 21 Weekly MA se oper trade ho reha ha jo k technical point of view se bht  positive development ha. Agr yeh up-trend kuch din tak continue kerta ha toh Insha Allah Bitcoin aany waly dino mein $70K ko bi aboor ker sakta ha, Insha Allah. DYOR
Bilkul sir ab to Nazar hi araha hy KY Bitcoin 70k sy above jaa sakta hy. Or Agar October 1st tak Bitcoin 70k cross kar Jata Hy yaa apna ATH cross kar Jata Hy to mery khayal sy Bitcoin EK behtreen season my Dakhil ho Jaye Ga. Ho sakta hy wo season bull season Ki shuruwat ho. Abhi tak Dekha Jaye to zyada tar cheezen Bull season Ki taraf hi ishara kar rahi hen. Or Agar 1st October tak ATH cross ho Jata Hy to my samjta hun next month bohat acha sabit hoga.

Or current value Ki bat Karen to Bitcoin Ki value iss waqt 63.5k par Chal rahi hy. 65k kaa taqreeban EK attempt ho Chuka Hy. Or Agar Aaj USA Ki Market open hony KY bad again positive rahi market to 65k to easily cross ho Jaye or ye week BHI bohat acha sabit hoga. Baqi Agar Alts Ki taraf Dekha Jaye to un my BHI kafi had tak up momentum paya jaa raha hy. So dekhty hen ab Kaya banta hy. DYOR

Bitcoin Current Price

copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
September 22, 2024, 11:39:04 PM
Alert, Crypto High-Profile X Hacks


السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Ek na-maloom group ne 18 September ko ik high-profile social media accounts ko hack kiya laakin zyada paisay nahi kama sake. Blockchain investigator Zachxbt ne bataya ke kaih X ka bare accounts jaise Lenovo India, Yahoo News UK, MoneyControl aur doosray ko hack kiya gaya aur un accounts par Solana memecoin HACKED ko promote kiya gaya. Hackers ne khule aam bataya ke wo in accounts ka istemal kar ke token address post kar rahe ha tahke coin ka rate increased ja sake aur sab ko faida ho haha

Laakin ye strategy kaam nahi ayi. hackers ne shayad apne is tareqeb se khud paisay kho diye. Hackers ne sirf 8,000 dollars kama sake aur coin ka market cap $67,000 tak puncha tha laakin jaldi hi dubara gir gaya. Hack hone wale accounts ne shayad ek hi site ya app ko permissions di thi jisse wo compromised huay ha

Protection procedures

Mera Sab X users ko mashwara ha kieh ke wo apne connected apps ko settings mein jaake dekhain aur jo apps istemal nahi ho rahin unko remove karai its urgent.


Walaikum salam. Thanks brother for sharing this valuable information. Crypto industry mein security ek bht bra concern ha es liay vigilant rehna bht zaruri ha.

Bitcoin market update: Bitcoin market mein aaj subh bht achi price move hoi ha or Bitcoin es waqt $64k se oper trade ho reha ha , jis ka ka matlab ha k 200 DMA or 21 Weekly MA se oper trade ho reha ha jo k technical point of view se bht  positive development ha. Agr yeh up-trend kuch din tak continue kerta ha toh Insha Allah Bitcoin aany waly dino mein $70K ko bi aboor ker sakta ha, Insha Allah. DYOR

sr. member
Activity: 434
Merit: 325
Trade Big, Win Bigger!
September 22, 2024, 09:42:07 PM
SNIP
Well Bro Nice idea Kah Ai image ki punchan karna thora mushkil Ha Lakon agar Gor say kuch tips ko follow kiya jaye to Asani say ptaa chaal skata ha

First Check Details Foucs
Jasy Kah pheli image ma details say foucs kiya jaye to kafi galtien nazar ay rahi ha jasy kah Aunkhien or Mouh ki shape unnatural si lag rahi hai



Second Check the Textures of image
2nd number par agr koi cheez real or fake image ma farkah kar skati ha wo texture hota ho kah real image ma natural or Ai image ma Smooth texture hota ha

3rd Lighting aur shadows
Our 3rd nunber par lighting or Shadoes boht Iham hoti image ki realistic ko check krny ka lay jasy Lions wali oper image ma unreal lights lag rahi ya main difference hota



Check Patterns:
Patterns ki Madad say image ma Ai or natural hona clear hu jata jasy Last wali imagw ma Symmetrical cheezian or cars nazar ay rahi hai real dunya ma inti perfect cheezien ni hoti



Last Metadata check (If Available)
At last Agra real file hu to image ko easily verify kar Sta kyou ah Ai or real image jasy Ya sab image ideogram .ai say bani ha metadeta say pata chal raha hai Ya Kuch research kae ka explorer kiya agr Koi mistakes hu guide me.
sr. member
Activity: 1204
Merit: 290
September 22, 2024, 04:00:34 PM
Ek choti si game ki tarah ki cheeze krne laga hun jis se apko cheezion k bare mai malumat bhi hogi. Mai kuch photos dun ga apne guess krna hai k wo Ai generated hia yahn phir real hai :::

Bro idea toh boht acha le k aye ho aap aur waqai pehli nazar men koi bhi insan shayad na pehchan sake k konsi image AI-generated hai aur konsi real, lekin agar ghor se dekha jaye toh choti choti si hints mil jati hain jisse k aapko idea hojata hai k AI-generated images konsi hain.

Dekha jaye toh AI abitak puri tarha perfect nai hai. Kafi sari cheezen hain jo k AI sahi se create ya merge nai kar pati ya karti nai hai. Agr in images men se misaal don toh jo pehli picture hai jo k AI-generated hai aapke jawabat k mutabiq, usmen agar hum ghor se dekhen toh jo products bottom-right side pe rakhi hain unke labels sahi se visible nahin hain. Main janta hon k picture jb kafi fasle se li gai ho toh yeh hota hai lekin original image men sahi se nazar na ane aur AI k bnaye hue image k nazar na ane men kafi farq hota hai qk jo blur hai usmen farq hota hai.

Iske elawa last image men bhi kuch cheezen hain jo k batati hain k image AI-generated hai jaise k kuch cars jinki back side nazar ani chaiye unki front side nazar aa rhi hai jab k wo jis lane men hain wo lane aage jane wali lane hai aur us lane men kisi gadi ka front side nai nazar aa sakta.
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
September 22, 2024, 01:00:33 PM
Aap ka idea bohot acha laga mujhe. Abhi mein ek translation par kaam kar raha hoon jo 1-2 din mein complete ho jayegi. Ye topic bhi kaafi lamba hai lekin mein koshish karoon ga ke aakhir mein kuch lines ka conclusion add kar doon matlab post ka nachoor. Taake koi user wo conclusion parh le aur agar uske kaam ka hua to poora topic parh ke faida utha sake.
Well post ko translate karny ka main maksad hi haamy asaan alfaaz Mai apni national language Mai us cheez Mai baary Mai samjana hota ha aur agr ap woh nahi kar Pai toh faida Kya Howa us post Sy aur chonky phir us Tarah bhi post lambi hote ha toh phir woh Kuch log par nahi paaty but conclusion aisa hota haa ky sab ussy par paaty ha aur samaj laity ha toh apka bhi faida aur hamara bhi aur apky Paisy poory 😉👍.

November mein USA mein elections ka bi overall sub financial market jin mein Bitcoin bi shamil ha positive aser ho ga ku k Trump Bitcoin or cryptocurrencies ka supporter ha or us k elections win kerny k chances zayadeh han. Technically speaking, Bitcoin price ko $64K (200 DMA) se oper kuch green candles bna na chaye taaky bullish trend confirm ho saky toh us k baad Bitcoin aista aista $70K ki trf bry ga.
Apki Baat bulk correct haa trump kafi supportive haa cryptocurrency Bitcoin ky hawlay Sy aur yeh possiblity zyada haa ky woh Bitcoin ko kafi push karyngy but abhi jo Kamala harris ka campingn Chala bohout saary celebrity ny ussy support Kiya apny social media pa list karky TOH zahri Baat haa ky usky fan bhi ussy support karyngy toh isse Tarah ab trump ka jo wazih Jeet ha woh ab dundla dundla nazr aany laga
hero member
Activity: 2436
Merit: 877
September 22, 2024, 03:18:05 AM
Ek choti si game ki tarah ki cheeze krne laga hun jis se apko cheezion k bare mai malumat bhi hogi. Mai kuch photos dun ga apne guess krna hai k wo Ai generated hia yahn phir real hai :::

1) Ai or real

,

iss link ko open kr k dekhein aur bataein k yeh Ai generate ya phir real hai, answer sab k end mai dun ga mai.

2) Ai or real



3)Ai or real



4)Ai or real



5)Ai or real




Chalein ab mai batahta hun k konsa real hai and konsa fake hai.
1 was Ai
2 was real
3 was Ai
4 was real
5 was Ai

Aur mai yaqeenan kha skhtha hun k iss mai 100% doubt hua hoga har ek ko k ye Ai ahi yhan phir real hai. Ye sarein ki sarein photos so Ai se create hui hui hai wo mai ne Ideogram se li hai, yahan pr ap jonsi marzi Picture ko describe krna chao ap kr skthe ho jis k badley mai wo Ai apko realistic, cartoons and 3D har tarah ki image faraim kr shtha, lakin ye ap k upper hai k apne konsa color, metallic or no metlaic kis tarah ka show krwana hai.
Bas ek generate k button pr click kr k ap ko 30 seconds ka intizar krna hai phir wo apko picture de dega 4 examples k sath, ye ap thumbnail youtube k or har jagah iss ka istimal kr skhthe ho. Lakin agar apka waqt bohat qemthi hai aur ap 30 seconds intizar ni kr skhthe toh ap kuch pesa dollars mai harch kr k iss ko pro bana skhthe hain jis se apko wait n ikrna pare ga.


copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
September 21, 2024, 09:35:50 PM
Bitcoin market update:
Sir waisy market pa apki mashALLAH Sy bohout ache nazr hote ha aur choonky apka experience bhi haa toh cheezo ko behtr tareeky Sy jaanch aur samaj laity haa but apko abhi Market Mai Kuch different Nazar nahi Raha ha like Mai NY altcointalk pa ik question raised Kiya jo ky yaha bhi kar daita hu ky mostly market Mai jo bhi project ho us par fundemtal news ka bohout gehra asar hota haa, apky technical analysis ky mutabiq apky paas different cheez aarahe Hoge but jab fundemtal ajai toh woh technical ko uraa daite ha aur phir cheezy usky mutabiq hote haa.

Quote
✅ 11th September  - CPI Data Release
✅ 12th September  - PPI Data Release
✅ 18th September  -  FOMC Meeting
✅ 29th September  - cz_binance Release
But agr hum inn Kuch events pa Nazar daaly toh yeh bohout ahm news haa Bitcoin ki movement Mai green moves laany ky Liya aur expect Kiya ka Raha ta ky at least ya new ATH banwa dy ga ya apny previous ky bohout qareeb ajai ga as saare news ik month Mai ik ky baad ik haa but harainge ki BAAT ha ky haamy koi positive movement Bitcoin Mai nahi dikha toh Kya ab Bitcoin ny fundemtal pa chalna choor diya ha ya ab usky Liya yeh news chooty par Gai haa ab iss Sy bary news Sy koi badlawo ayai ga.
Kindly entire community share you taughts regarding that

Thanks, brother, for your compliments. Mein koi bht bra market analyst nhi bus kuch thora bht market dynamics ko experience ki buniyad pe samjhny ki koshish kerta houn or market ki next direction ko predict kerta houn.

Lending interest rate mein kami ek bht bra event ha or eska long term impact yakeenun positive ho ga laikin es mein waqt lagy ga or es k ilawa November mein USA mein elections ka bi overall sub financial market jin mein Bitcoin bi shamil ha positive aser ho ga ku k Trump Bitcoin or cryptocurrencies ka supporter ha or us k elections win kerny k chances zayadeh han. Technically speaking, Bitcoin price ko $64K (200 DMA) se oper kuch green candles bna na chaye taaky bullish trend confirm ho saky toh us k baad Bitcoin aista aista $70K ki trf bry ga.

Bitcoin k ilwa hamein AI or RWA sectors mein investment bkerna chaye ku k en sectors mein bht technogical advancement ho rehi ha es liaye en sectors k leading projects pe focus kerna chaye or jub bi dip aai toh accumulation kerna chaye. DYOR

legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
September 21, 2024, 04:00:06 PM
Asslam o Alikum

Hi! fellows too  kese hoo sabkee saab omeed wasiqq apka gonchaa dill khusioan see shadab hoga and apki chabiyat biii theek hogi (Youtuber see cheepaa haa achi videos banataa haa).

Activity thoddi kam kam sii laag rahi maa visit too karta rehtaa lekin pages agee nai jaa rehe, bazatee khud too maa bohat bohat masroof raha ye week, from start to the end and in coming week as well lagta haa start paa thodee khatam akrnee wale kam zyada hain, to oske baad proper activity line paa aa too jain gee.

Kiaa chal raha wessy ajkal yee trading analysis kaa illawa, chaloo kuch achaa chal raha sirf news nai aa rahi yahan haha.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
September 21, 2024, 01:45:42 PM
Bitcoin Eyes $70K, Can Fed Rate Cut Trigger a Bull Run?

Assalam o alikum to all community, kasy hai sab bhai loog umeed karta hu sab khariyat say hy gay

Abi ma ik analysis ki report dakh raha tha socha ap sab kansath bi share kar do is analysis ka matbak short-term Bitcoin holders jo khas tor par 1 say 3 months tak apne asset ko hold karte hai unka buy price Bitcoin ke future price trend ka aik important role hota hai. historical data se yeh pata chalta hai ke yeh average buy price aksar support ya resistance level ko torny ka lay kaam karta hai. Jab Bitcoin is level ko cross kar leta hai tou aksar bullish trend shuru hota hai but agar bitcoin is level ko cross na kar paye tou bearish trend shuru hu jata hai.



For Example jab Bitcoin $73,000 tak pohch gaya tha but uske baad niche gira tha Qkh ke woh short-term holders ke average buy price ko cross nahi kar saka tha.

Will Bitcoin Cross $70,000?

Baqii Aaj kal Bitcoin $70,000 ke qareeb ja raha hai jabse U.S. Federal Reserve ne 50 basis points rate cut ka elan kiya hai aur is news ke baad Bitcoin ki price ma approximately 6% ka izafa dekhny ko milla hai. Or kuch Analysts kar rahe hain ke kya Bitcoin short-term holders ke average buy price ko cross karega jokah ek aur bullish momentum ka sign hu sakta hai.



Few Important Tips:

1. Short-term holders ke average buy price ko ik on-chain indicator ke tor par dekhte rahein.
2. Jab Bitcoin critical resistance ya support levels ke qareeb ho tou sab say iham price movements ka integra karein.
3. Economic factors jaise interest rate cuts jo ke market trends ko asar andaz karte hai ap unko samjhein aur in par nazar rakhein Inshallah nuksan ni hu ga

Baqi investment apni research kar ka kary nichy ma reading source link bi mentioned kar diya hai agr kasi ko koi bat smaj na aye to dakh skata haj Shukria.
Source
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
September 21, 2024, 01:22:39 PM
Just imagine BTC ki price jab millions ki hum baat kar rahe hain toh ye jo chhota sa mulk hai isko kitna zyada faida hoga to ham kuin dir kar rahien hainhamien mustaqbil ko sawarnie k leye.
Bahi sub se pehle tu ap e Kafi acha pont uta deia ha ke Bhutan jaisa chota mulk enta faida uta Sakta ha tu hum q nahe. Tu es per ma kahu ke hamre government es ko acha nahe mante ke logo ko faida ho aur log hamre changal se Azad ho jaye. Agr hum jab Waqar zaka ne Bitcoin ke Leye case waghira file ki ti tab se agr hum government level per Bitcoin mining start kar daite tu bahi aj hum etne independent ban sakte te ke hum apne loan se be chutkara pa laute aur hamara har sector etna imporve kar jata ke wo apne logo ke Leye jobs generate karte .

Jab Bitcoin Acho price pe hoga ha tu yahn per ketne new signatures ate Hain muje ab be yaad ha ke jab mixers te u har compaign me slots open Hoti ti aur users hote nahe te ke wo os me participate karte matlab ke users se zyada yahn per slots open ti, ye tu ek forum ka Haal ha agr state level per ho tu kia hoga pur ap khud soch sakte Hain.

Per asal waja ye ka debt diplomacy ye establishment implement kar Rahe ha Kafi time take logo ko ossi trah Chala sake jaise wo chate Hain , agr yahn per Bitcoin mining start ho jaye tu log pir Azad honge wo Bitcoin ko use karenge aur os ke benefits ko Jan payenge tu pur government enko kaise control karenge tu bs logo ko control Karne ke Leye government ne Bitcoin ko he ban kardeia apne state.
full member
Activity: 235
Merit: 136
Part of AOBT Gang - English Translator to Urdu
September 21, 2024, 12:50:54 PM
Adil Bhai ik suggestion apko dy Raha hu agr ACHA lagy toh follow kardy warna rehny dy Mai koi force nahi karunga, asal Mai mostly hota u haa ky jab koi post karta haa regarding different things us pa apni rai daita haa points explain karta haa but at the end us Mai sab Mai last Mai ik bold heading daity haa conclusion Yani ham ny iss post Sy Kya knowledge akaz Kiya jo ky ik ahm role play karta haa q ky baaz okaat apka post lamba choora hota haa log par nahi paaty.

But jo end Mai conclusion Mai three to four lines Mai jo ap ny likha haa woh mostly bandy party bhi haa aur poora post parny ki bajai woh Kuch lines Mai sab jaan laita ha ky Kya likha haa agr phir iska interest us Mai taa toh woh poora par ly gaa. Aur hamay yaha asani paida karna haa takay parny wlay ko easy hamary Baat samaj ayai aur yahi hamre posting ka reason ha Kisi ko samjana. TOH abhi apka yeh wla post kafi lamba ha isko sab ignore karyngy but agr ap iss Mai abhi conclusion add kardyngy toh believe me sab quote karky interest show kardyngy aur smaj bhi lyngy.🙏

I know ap kahyngy ky yeh just translation haa author ny jo likha ha woh likunga but translation basically ap ny ki hi hamay samjany ky Liya aur agr hum samjy nahi toh faida Kya Howa TOH ba-shakk uska post ho but last Mai ap cheezy khud Sy likh ky highlight kardy TOH Kisi ko issue nahi hoga
Sab se pehle mein dair se jawab dene par maazrat chahta hoon apsy Zain Bhae jee. Mein kaafi waqt se community mein inactive tha is liye bohot se posts miss ho gaye. Aur mere Telegram ka bhi masla chal raha hai. Jab mein ne notification bot mein apna account login kiya to Telegram ke issue ki wajah se mujhe notifications nahi miltay jab koi meri post ko quote karta hai jesy apny Kia bhae jee.

Aur mein apky suggestion Ka shukar guzar hoon aap bilkul theek keh rahe hain. Kabhi kabhi meri apni post bhi kaafi lambi ho jaati hai. Aur jab mein doosray users ki posts ko community mein translate karta hoon jo Alliance of Bitcointalk Translators section mein add ki jaati hain to humein task ke tor par important topics he deeye jatay Hain jou hum different Languages mein translate karty Hain. In mein se kuch translations kaafi lambi ho jaati hain jaise ke jo recently meine ki thi. Mujhe khud to topic ki samajh aa jaati hai kyun ke mujhe translation karni hoti hai aur topic ko theek se parhna padta hai. Lekin jahan tak mujhe lagta hai community mein koi bhi itni lambi post nahi padhta ho ga.

Aap ka idea bohot acha laga mujhe. Abhi mein ek translation par kaam kar raha hoon jo 1-2 din mein complete ho jayegi. Ye topic bhi kaafi lamba hai lekin mein koshish karoon ga ke aakhir mein kuch lines ka conclusion add kar doon matlab post ka nachoor. Taake koi user wo conclusion parh le aur agar uske kaam ka hua to poora topic parh ke faida utha sake.
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
September 21, 2024, 07:12:40 AM

Mere khayal mein current price pe bi Bitcoin ko her dip pe accumulate kerna chaye taaky long term mein Bitcoin mein aaj ki gai investment hamari life mein khushali ka sabab bun sakti ha. DYOR
Bilkul sahi kaha sir g, apnie naslon k mustaqbil k leye hamien aur hamray arbabo ikhtiyar ko is bary me sochna bhot zarori hai kuin hamray Pakistani quom me yehe to nahali hai k ham har kam me dyri karty hain aur peshy rah jaty hain.


Aik interesting Data

Chhota Mulk Bara Faida Bhutan itni bara economic success hasil karne mein kaamyaab ho gaya in k pass ab 750 Million Dollar k qareeb Bitcoin  hai



Thori c Bhutan k bary me bata don Bhutan Jo k India aur China ka hamsaye haai aur chhota sa mulk hai aur is  ki kul abadi  aik crore se bhi kam hai yani agar main ghalat nahi hoon toh koi 8, 9 lakh ke qareeb in ki total population hai  to total less than one million aur ye pahari ilaqa hai thand hai aur wahan pe natural resources hain bass unho ne kisi company ke sath investors ke saath mil ke paisa bhi unka apna nahi hai unke saath mil ke apna mahaul provide kiya aur wahan pe unho ne Bitcoin ki mining ki.

To Arkham intelligence ne un ke jo wallets hain unko detect karke unko list kiya hai aur is data ke mutabiq Bhutan ke paas 750 million dollars ki worth ka BTC hai.

Just imagine BTC ki price jab millions ki hum baat kar rahe hain toh ye jo chhota sa mulk hai isko kitna zyada faida hoga to ham kuin dir kar rahien hainhamien mustaqbil ko sawarnie k leye.

sr. member
Activity: 448
Merit: 354
September 21, 2024, 05:44:16 AM

But agr hum inn Kuch events pa Nazar daaly toh yeh bohout ahm news haa Bitcoin ki movement Mai green moves laany ky Liya aur expect Kiya ka Raha ta ky at least ya new ATH banwa dy ga ya apny previous ky bohout qareeb ajai ga as saare news ik month Mai ik ky baad ik haa but harainge ki BAAT ha ky haamy koi positive movement Bitcoin Mai nahi dikha toh Kya ab Bitcoin ny fundemtal pa chalna choor diya ha ya ab usky Liya yeh news chooty par Gai haa ab iss Sy bary news Sy koi badlawo ayai ga.
Kindly entire community share you taughts regarding that
Meri Thinking ye hy KY Bitcoin EK mast Saand (bail) hy. Yani ye itna mast huwa Hy KY kab najany kiss ko reject kar dy koi pata nai.
Yani ap dekh Len EK waqt Tha KY Elon apny Bio my Bitcoin ka Nishan lagta Tha to Bitcoin pump Karta Tha. PHR EK 2 dafa ESA huwa to Bitcoin ny Kaha is my to tamasha bana liya. PHR us ny us KY news any jaany par koi zor nai pakra.
PHR ye ETFs kaa masla Bana ab daily outflows hor rahy inflows ho rahy hen to koi chakkar nai Bitcoin mast hy apni dhun my. Iss tariqy sy ye Forex news. Yani CPI FOMC par BHI pump dump ata Tha. Huwa Kaya aakhir USS ko BHI reject kar Diya. Yani Kissi Ki nai sunta. Bss apni masti my Magan Hy.
To PHR issi ko to aam lafzon my decentralization kehty hen. Yani jiss kaa koi wali waris Nahi. Yani Jahan chahat wahan raha.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
September 20, 2024, 11:56:32 PM

Brother, thanks for sharing your market insight. Apki bat bilkul durust ha ha k jub tak market 200 days ki moving average se oper kuch green candles nhi bnati esko hum side-ways hee kehen gay laikin current level pe accumulatiopn zarur ho rehi ha or kisi bi waqt ek bri parabolic candle bun sakti ha jo market ko $70K pe lay ja sakti ha. Mein bht zayadeh optimistic es liay houn k interest rate mein 0.50% ki kami bht bri positive development ha or eska impact market pe zarur aai ga. Insha Allah. DYOR
G sir bilkul sahi kah rahien hai ap, kise b waqat aik surprise candle bansakti hai kuin Jo update arahi hain aur BTC jis trend par ja raha hai ye guess keya ja sakta hai k  aniey waly 6 mouth se 1.5 saal tak BTC aik bara  bull ran shuro kar sakta hai.


Ye Jo update Samnie aye hai k BlackRock aur American Federation ke darmiyan aik khaas baat cheet ho rahi hai jisme wo America ke qarz jo lagbag 35 trillion dollars ka hai ke liye koi solution donda rahe hain. Aik bari media group ke mutabiq is baat cheet ka ek potential solution Bitcoin ke zariye ho sakta hai. Agar ye baat darust hoi to ye BTC ke liye ek zabardast institutional buying ka mauqa ban sakta hai. Is development ke baad BTC ki qeemat mein aglay kuch dino tak bara izafa dekhne ko mil sakta hai jisme green candles market ko dominate karengi.

Ye bhi ho sakta hai ke agar yeh khabar sirf afwaah nahi balke asal mein sach hai Baaqi market Ethereum aur doosri cryptocurrencies ka bhi iss par kuch na kuch asar zaroor hoga lekin BTC ka asar sab se zyada dekhne ko milega. Aik institutional farmula agar ban jata hai to BTC ke liye market mein aik nai tezi ka aghaaz hoga.

G brother, ap bilkul durust kah rehe han k interest rates mein kami se sirf Bitcoin nhi blky pori altscoins market specially Ethereum k price pe bht acha impact hoa ha. BlackRock ki update  jp apne share ki ha woh bht positive ha or agr aisa hota ha toh Bitcoin ki price hamari imagination se bi zayadeh br sakti ha.

Mere khayal mein current price pe bi Bitcoin ko her dip pe accumulate kerna chaye taaky long term mein Bitcoin mein aaj ki gai investment hamari life mein khushali ka sabab bun sakti ha. DYOR
Pages:
Jump to: