Asslamoalikom..!
Kaya haal hen ap SAB.
To bat karty hen Puell Multiple ki bat karty hen Puell Multiple Bitcoin ki market cycle ki peaks aur troughs ko identify karne mein madad karta he. Yeh metric daily BTC issuance ko price ke saath compare karta he.
Jesa ky ap nichy Diye Gaye Graph my Bitcoin ke bullish se bearish cycles mein transition ke points highlight kiye gaye hain.
Graph ne Bitcoin ki lows ko extended downtrend ky baad aur accumulation ko har halving ke baad highlight kiya. Yeh periods Puell Multiple ki negative se positive thresholds mein change ky saath correlate hote hain.
Puell Multiple filhaal -1 par he lekin 2024 ky shuru se yeh metric upwards trend mein he aur zero ke qareeb pahunch raha he.
Is ka matlab ye he ky Bitcoin ab re accumulation ky liye perfect spot par pahunch raha he jo April 2024 mein halving ky baad aaya he. Graph ky mutabiq BTC ka re accumulation phase shuru ho gaya he jisme gradual price increases hongi. Isliye Bitcoin khareedne ka sab se behtareen waqt ab he khaskar long term holders ky liye.