Pages:
Author

Topic: Pakistan - page 37. (Read 6107290 times)

sr. member
Activity: 434
Merit: 360
September 16, 2024, 01:08:04 AM
In today's match jab Babar gone crowd gone. Aj k match mai jab Babar Azam out hogya tha toh foren sara ka sara stadium khali hona shuru ho gya. Log sirf Babar Azam ko dekne  aye tha aur jab wo out hua toh khatam stadium khali.

Agar ap logon ko yaad ho toh bohat phela aisa hi ek shayad se I think Pakistan mai hi match that tab jab Shaid Afridi out hogya pheli ball per sara crowd jane lag gya, wo ek test match tha lakin aj One day Babar Azam k sath ye seen hua.

Mai phone pr Tamasha app k zarien match dekh rha tha, jesa crowd gya toh mai ne kuch bohat jaldi se  screen shot le liye wo mai apke sath share krtha hun. Bhaki match Markhors ne win krlia, shuru mai mujeh toh laga tha k yeh wala bhi Stallions (Pakistan) Jjjeta gi jesa phela wala jeeta but hamesha Babar Azam team gone.........



Also, meine ais championship k liey yeh thread bunya hy Champions One-Day Cup 2024, app log yahan p discussion kr saktay ho, kion k yeh humara mulk ki league hy.  Smiley
Wah G Wah Babar Azam nay to ajj Shahid Afridi ka record barbar kar diya hai waqia ma ya to boht zabar dest seen tha social media ma jar tarf yahi dakhny ko mil raha hai Babar azam nay kal raat waly match ma 45 runs kiya tha run a ball he khyal rahy thy kah Naseem Shah ki gand par catch out hu gya or mazay ka seen tab tha jab sara ground he match choar kar jana start hu gya tha or is say bi mazy tha bat jab babar azam ki team captain Muhammad harris interview dany ay thy after match to khanty ham apni chasing power dakh rahy thybor khushi hovi ham hary gy its legend captain hahaha baqi Bhai boht shukria apny thead bana ha jah champions cup one day kia sab discussion kar skaty hai
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
September 15, 2024, 11:54:44 PM

Bilkul Sahi samjt sir Mera ishara issi taraf tha. Or zyada tar esy hi hota he. Pehly Thora saa panic create Kiya Jata he. Jis KO Dekh ky lagta he ky Bitcoin ab mazeed nichy hi Jaye gaa par esa nai hota he.
Or ye ek positive lambi si candle banny ky Kuch din pehly hi hota he. Jesy hi market sy chorra investor Yani short term holder out hota he. Market long term holders KO profit Deny Ka sochti he.
Fill haal zyada tar positivity hi dekhi jaa rahi he. Yani Trump kaa bayan or phr trump kaa Doge wali Elon ki tweet kaa retweet Kiya. Yani abhi tak Dekha Jaye to America full time supportive sabit ho Raha he Crypto ky muamly my. Well ab dekhty hen FOMC Kaya kehti he.

G brother, America ki support cryptocurrencies market ki growth k liay bht crucial ha. Kal market ne phir $2000 ki dip lee eski waja shayed Trump pe Floridia mein dobra assisination attempt hoi ha or jis mein wo mukammal tor pe mehfooz rehe han. Market Trump k bary mein bht sensitive ha or usky statements bi market ko bht impact kerty han.

Future outlook: Es negative development k bawajoud market ka future outlook bht positive ha uski bri waja es week k douran FOMC ki meeting ha jis mein lending interest rates kum hony ka qavi imkan ha.





hero member
Activity: 2436
Merit: 877
September 15, 2024, 08:40:46 PM
In today's match jab Babar gone crowd gone. Aj k match mai jab Babar Azam out hogya tha toh foren sara ka sara stadium khali hona shuru ho gya. Log sirf Babar Azam ko dekne  aye tha aur jab wo out hua toh khatam stadium khali.

Agar ap logon ko yaad ho toh bohat phela aisa hi ek shayad se I think Pakistan mai hi match that tab jab Shaid Afridi out hogya pheli ball per sara crowd jane lag gya, wo ek test match tha lakin aj One day Babar Azam k sath ye seen hua.

Mai phone pr Tamasha app k zarien match dekh rha tha, jesa crowd gya toh mai ne kuch bohat jaldi se  screen shot le liye wo mai apke sath share krtha hun. Bhaki match Markhors ne win krlia, shuru mai mujeh toh laga tha k yeh wala bhi Stallions (Pakistan) Jjjeta gi jesa phela wala jeeta but hamesha Babar Azam team gone.........



Also, meine ais championship k liey yeh thread bunya hy Champions One-Day Cup 2024, app log yahan p discussion kr saktay ho, kion k yeh humara mulk ki league hy.  Smiley
sr. member
Activity: 336
Merit: 292
20BET - Premium Casino & Sportsbook
September 15, 2024, 09:12:20 AM
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Han g To Kon Kon Safar Karna Chahy Ga Shishy Wali Train My

Punjab hukumat yani jis dore hukumat my Bijli KY billon Ki waja sy Bhai Bhai kaa qatil bana huwa Maa bachon Ki qatil Bani huwi hy. Wahan EK or tameerati project approve ho Chuka Hy jis ki construction kaa aghaz bohat jald ho Jaye Ga. Or PHR dekhty hi dekhty IMF sy Aya qarza Khatam ho Jaye PHR ye bhikari kashkol liye Dar Dar bhatken gy.



Well project bat kar Len. Project kuch Yun Hy KY Train line bichai Jaye gi. Jo KY Rawalpindi sy KY sadar bazar sy Shuru ho gi or Marghalla Ki paharyon sy Hoti hui Baharakau KY rasty sy Hoti hui Burbank Murree tak Jaye gi. Yani rasty Shishy wali Train sy achy achy views dekhny ko milen gy. Or is Ki lambai almost 65KM tak hogi. Han ye project zruri ban'na chahye. Lekn us waqy jab Mulk Ki economy top 10 mumalik my ho or qarza USS Mulk par braye Naam ho. Chorun Ki hukumat naa ho insaaf qaim ho. Ghareeb ko haq milta ho. Labour rules hon. Yani Har Kissi Ki sahulyat Puri kar KY PHR in sahulyat ko pura Kiya Jaye. Jahan bachyon KY Walden shadyon Ki waja sy Pareshan hon un ko in trains in projects kaa Kaya faida. Well ham Kaya hen? Han to Kath putli hen. Or sath my hukumat BHI. To jab tak apny Haq KY liye nai niklen gy yehi haal hoga.
source

Walikumassalam.

Bhai safar kon nahin karna chahega? Dilkash nazare sabko ache lagte hain aur sabka dil karta hai k wo ache se acha waqt guzare apni zindgi men aur achi achi jaghon ko visit kare, lekin masla yeh hai k aek aam insan k liye yeh sab tab hi mumkin ho sakta hai jab uske paas achi nokri hogi, mulk men mehngai aasmaan ko na chu rhi hgi, aur aapki kamai ka adhe se ziada hissa aapke bijli aur gas k bill ada karne men na jaye tab aap is sab k bare men soch sakte hain aur in men se koi bhi cheez mumkin hoti hui nazar nai aa rhi filhal.

Inka kia hai? Jaise aapne kaha k yeh log qarza lenge development k naam pe, wo qarza kha pee k ya apne foreign accounts men transfer kar k beth jaenge aur dubara zarorat hogi toh phr bheek mangne kisi na kisi mulk pohnch jaenge besharmon ki tarha. Inko kab yeh ahsas hai k aek mulk sahi maainon men tab develop hota hai jab wahan ki awaam ko aek se aek behtreen sahooliyat farahim ki jati hain aur yahan toh aek bhi basic saholat mojud nahin.

In zalim hukmiranon ko yeh cheez kabi samajh nai ayegi k awaam ko bade bade projects ya aesi aali shan developments nai chaiyen balke unko zindagi ki bunyadi sahooliyat aur asaaniyan chaiyen jo k inse farahim hoti nai hain. Itni sari awam ki badduaon ka bhaar le k yeh log akhirat men kahan jaenge yeh kabi sochte hi nai hain.
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
September 15, 2024, 09:05:30 AM

Han g To Kon Kon Safar Karna Chahy Ga Shishy Wali Train My

Punjab hukumat yani jis dore hukumat my Bijli KY billon Ki waja sy Bhai Bhai kaa qatil bana huwa Maa bachon Ki qatil Bani huwi hy. Wahan EK or tameerati project approve ho Chuka Hy jis ki construction kaa aghaz bohat jald ho Jaye Ga. Or PHR dekhty hi dekhty IMF sy Aya qarza Khatam ho Jaye PHR ye bhikari kashkol liye Dar Dar bhatken gy.




Asa he hai bahi bilkul sahi kah rahien hain ap Nayi train ka aghaz awam ke sukoon ke liye nahi balki un ki waqti khushi ke liye kiya ja raha hai. Agar hukoomat waqai awam ko sukoon dena he chahti hai to gas aur bijli ke billon par qaboo paye. Ye aik andha inqilab hai jahan awanm baybasi ka shikar ho gaye hain. Mehngai ne to unhein jeete ji dafan kar diya hai.

Ab to logon ko mout ki khwahish bhi nahi rahi kuin ke marnay ke liye bhi paisay darkar hain. Jab mulk ki haalat ye ho ke bunyadi zaruriyat poori nahi ho rahi hain, to kaun chahe ga ke nayi sheeshe ki trainain chalai jayein aur un mein safar kiya jaye. Ab to Aam admi ki zindagi mehngai ki daldal mein phans chuki hai. Unka roz marra ka guzara mushkil ho gaya hai aur aisay mein nayi train ki bajaye awam ki falah o behbood par tawajjo di jani chahiye aur  Awam ko relief denay ke bajaye unhein mazeed masail mein uljhaaya ja raha hai.

Agar koi samjy k mulk taraqi kar raha hai to me bata ton k ye Ye taraqqi nahi balki aik waqti khushi hai jo mehngai aur berozgari se dochar awam ke kisi kaam ki nahi.
sr. member
Activity: 1204
Merit: 290
September 15, 2024, 08:17:31 AM
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Han g To Kon Kon Safar Karna Chahy Ga Shishy Wali Train My

Walikum assalam.
Janab hamare basic masle hal krdiye jain toh hamare liye wohi kaafi hai lekin wo inse hoga nai... Aur umeed bhi kia kiya ja sakta hai aesi hukoomat se jisko apne jaib bharne k elawa kuch soojta hi nai hai? Bade bade projects approve krenge, news chalaenge k development ka kitna kaam horha hai taa k world forum pe yeh baat discuss ho aur inko mazeed qarza lene ka moqa mil sake, aur wo qarza le k yeh log apas men mil baant k kha saken. Yahi sab toh hota raha hai hamesha se inki hukoomat men warna hamare mulk pe beshumar qarze na charhe hote.

Inko na awaam ki parhi hai aur na economy ka kuch khayal hai. Inko pata hai k jab tak hukoomat haath men hai tab tak bank balance barhao aur paise bahar kisi mulk men transfer karte jao taa k jab waqt khatam ho toh aram se jaa k wahan reh kr puri zindagi chori k paison se aesh kiya ja sake.

Jis insan ne kuch change laana chaha mulk men, jo economy ko behter bnane k liye kaam kr rha tha aur koshish kr rha tha k mulk ki economy stable hojae aur qarza utara ja sake, wo insan jail men betha hua hai aur wo bhi aek jhoote case men. Is mulk men qanoon se kia umeed ki ja skti hai? Adl aur insaf ki khushboo kaise phelegi in hawaon men? Kabhi kabhi lagta hai k hum behtr mulk aur behtr zindgi ka intzar karte karte is dunya se hi chale jaenge.
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
September 15, 2024, 05:26:10 AM
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Han g To Kon Kon Safar Karna Chahy Ga Shishy Wali Train My

Punjab hukumat yani jis dore hukumat my Bijli KY billon Ki waja sy Bhai Bhai kaa qatil bana huwa Maa bachon Ki qatil Bani huwi hy. Wahan EK or tameerati project approve ho Chuka Hy jis ki construction kaa aghaz bohat jald ho Jaye Ga. Or PHR dekhty hi dekhty IMF sy Aya qarza Khatam ho Jaye PHR ye bhikari kashkol liye Dar Dar bhatken gy.



Well project bat kar Len. Project kuch Yun Hy KY Train line bichai Jaye gi. Jo KY Rawalpindi sy KY sadar bazar sy Shuru ho gi or Marghalla Ki paharyon sy Hoti hui Baharakau KY rasty sy Hoti hui Burbank Murree tak Jaye gi. Yani rasty Shishy wali Train sy achy achy views dekhny ko milen gy. Or is Ki lambai almost 65KM tak hogi. Han ye project zruri ban'na chahye. Lekn us waqy jab Mulk Ki economy top 10 mumalik my ho or qarza USS Mulk par braye Naam ho. Chorun Ki hukumat naa ho insaaf qaim ho. Ghareeb ko haq milta ho. Labour rules hon. Yani Har Kissi Ki sahulyat Puri kar KY PHR in sahulyat ko pura Kiya Jaye. Jahan bachyon KY Walden shadyon Ki waja sy Pareshan hon un ko in trains in projects kaa Kaya faida. Well ham Kaya hen? Han to Kath putli hen. Or sath my hukumat BHI. To jab tak apny Haq KY liye nai niklen gy yehi haal hoga.
source
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
September 15, 2024, 01:29:48 AM
but woh Kya ha Faiz Ahmad Faiz jis ka last mesra haa
Lambi ha gham ki Shaam but shaam hi toh haa. 🥲🙏
TOH yeh ik Shaam haa jald guzr jai ga but yeh hamary Pakistan ki tareekh Mai ik siyaah aur anapasandi ky baab ky name Sy yaad Kiya jai ga
Are wah kaya sher keh diya Faiz Ahmad Faiz sab ny. Or aaj kai saalon bad hmary thread par Zain bhai ny bol kaya diya aaj kal to ussi par behas ho rahi hai.  Wah yani sab ky sab hi discussion my shamil ho gaye.
To chalo my ny socha ky kiu naa my sari ghazal hi pesh kar dun sab ek sher sy itny discussion my agye to li jiye puri ghazal mulahiza farmaen.
ہم پر تمہاری چاہ کا الزام ہی تو ہے
دشنام تو نہیں ہے یہ اکرام ہی تو ہے

کرتے ہیں جس پہ طعن کوئی جرم تو نہیں
شوق فضول و الفت ناکام ہی تو ہے

دل مدعی کے حرف ملامت سے شاد ہے
اے جان جاں یہ حرف ترا نام ہی تو ہے

دل ناامید تو نہیں ناکام ہی تو ہے
لمبی ہے غم کی شام مگر شام ہی تو ہے

دست فلک میں گردش تقدیر تو نہیں
دست فلک میں گردش ایام ہی تو ہے

آخر تو ایک روز کرے گی نظر وفا
وہ یار خوش خصال سر بام ہی تو ہے

بھیگی ہے رات فیضؔ غزل ابتدا کرو
وقت سرود درد کا ہنگام ہی تو ہے

فیض احمد فیض:شاعر

Chalo bii ab sary phr sy discussion shuru kar do... Hahahaha
sr. member
Activity: 322
Merit: 260
Catalog Websites
September 15, 2024, 12:34:02 AM

Brother, aisa bilkul ho sakta ha k ek ndafa phir Bitcoin dip lay FOMC ki meeting se pehle ya meeting k baad ek sell the news event bi ho sakta ha jo k market bmein akser hota ha laikin finally FOMC ki meeting mein agr ilending interest rates cut lugta ha toh market ne pump hona ha ku k interest rates kum hony ki soorat mein market mein liquidity mein izafa hota ha jis se sari financial markets behter perform kerti han.

Es waqt bi Bitcoin ki price $60K se oper ha or next three days tak ho sakta ha yeh accumulation phase mein hover kerti rehe. DYOR
Bilkul Sahi samjt sir Mera ishara issi taraf tha. Or zyada tar esy hi hota he. Pehly Thora saa panic create Kiya Jata he. Jis KO Dekh ky lagta he ky Bitcoin ab mazeed nichy hi Jaye gaa par esa nai hota he.
Or ye ek positive lambi si candle banny ky Kuch din pehly hi hota he. Jesy hi market sy chorra investor Yani short term holder out hota he. Market long term holders KO profit Deny Ka sochti he.
Fill haal zyada tar positivity hi dekhi jaa rahi he. Yani Trump kaa bayan or phr trump kaa Doge wali Elon ki tweet kaa retweet Kiya. Yani abhi tak Dekha Jaye to America full time supportive sabit ho Raha he Crypto ky muamly my. Well ab dekhty hen FOMC Kaya kehti he.
hero member
Activity: 2436
Merit: 877
September 15, 2024, 12:00:19 AM
Ek one day ka tournament hone laga hai jism ai sirf Pakistani players ek dusra se muqabla krt hue nazar ayein gein. Iss mia hum 5 teams ko dekhein gein jin k naam animals walein hoin gein jesa k

-Dolphins (Pakistan)

-Lions (Pakistan)

-Panthers (Pakistan)

-Stallions (Pakistan)

-Wolves (Pakistan)

han g yeh hai wo teams jo hum dekhein gein. Inn sab teams captain k bare batatha chalun toh Panthers (Pakistan) k kaptaan Shadab Khan moqrer kiye gyein hian jo in ko sabaltha dekhane maim adad krei gein. Wahi Wolves (Pakistan) ka kaptaan Muhammad Rizwan hain jo PSL mia Multan Sultan ko lead krtein hain aur in k pass acha record udhr as a captain.

Inhoin ne apni team Multan ko ek dafa final jeetwaya hai or total teen dafa final mai le kr gyein hain back to back. Iss  k baad Stallions (Pakistan) ko Muhammad Haris ne lead krna jo k A team ko bhi lead kr chukein hain, Pakistan ki A team. DOLPHINS ko Saud Shakeel ne lead krna hai aur wahi Lions ko Shaheen Shah Afridi. Ye wo captain hai jo 2 dafa Lahore ko PSL ki trophy detwa chuka hai.
As Salam Bro Aajj say Pakistan champions one day cup started hn iqbal stadium main oar yai ik Acha moka ha player's ko apani tayaari karany kaa kiuukh next year champions trophy Pakistan mien hoanay Ja rahai hn jas ma top kii eight teams shamail hu rahai hn champins cup ka phela game Markhor (Pakistan) oarr panther (Pakistan) ki teaam ma darmian ma start hou gia.

Markhor (Pakistan) ka captain Shahbad khan jo kauah keep ch arsa phely haulhtlif leagues khayel ka aaya ha or achai bowling kie ha Lanka premier league ma bi or kafi wickets liiya ha dosari taaraf panther (Pakistan) ki team ki captaincy Muhammad Rizwan kan piass hn joa Kh Pakistan super league ma apni rulling say sab ko impress kar chukay hn 2 dafa PSL ka final ma team ko lay jaa chuky lakian final ni heet skaay last 2 years ik hurrani ki bat Kah Babar Azam ko Kiu kasi bie team ki captaincy nii dii gue.

Champion One day ki league pr aj teesra match hai , jo k abhi progress mai hai aur abhi tak toh malum krna mushkil hai k konsi team jeetne ja rhi hai. Han agar vesse dekha jaye toh Panthers (Pakistan) ek khatarnak aur afsooda shikast ka samne kr chukein hain lakin abhi iss match se pata lage k kia ye ek aur match harne ja rhein hain ya phir in k under progress ayi vesse dekha jaye toh last time inn ki opening bohat zada kharab thi jis ki waja se khoi khaas target nab ana paye aur target chase nak r paye jis ki munasbat se ye log match ko buri tarah se har gye. Lakin iss dafa toh inn ki opening average thi Sahibzada Farhan  aur Muhammad Hurraira  ne cha start diya.

Sahibzada Farhan ne apni adi century bi mukamal ki lakin phir Muhammad Hurraira Apni wicket as hath do betha aur in k baad agla Khilari ( Muhammad Akhlaq ) ne khhoshish ki Farhan k sath parntershp banana I lakin wo puri se kharab hogyi kyun k Muhammad Akhlaq bhi out hogya aur phir Farhan bhi 1 se 2 over k baad out hogya. Abhi fil halt oh Saud Shakeel batting kr rhwein hain aur in  se khafi Umeed lagayi ja skthi hai.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
September 14, 2024, 10:59:50 PM
Lambi hai gham ki shaam magar shaam hi toh hai.... Bilkul suitable shair pesh kiya aapne situation k mutabiq. Shaam lambi nai balke boht lambi hai, is lambi shaam aur is gham ne boht sare logon k rozgar unse cheen liye hain aur abi b cheene ja rhe hain.

Kal hi maine facebook pe aek post dekhi jismen aek larka jo k freelancer hai usey apne USA k client se review mila tha jismen us client ne saaf alfaz men likha tha k freelancer jo services provide kr raha hai usmen wo best hai lekin hum inke sath iske baad kaam nai krna chahenge qk jahan yeh rehte hain wahan internet aur bijli k bade masle hain jiski waja se kaam boht disturb hota hai.

Ab aap khud ko us insan ki jaga rakh k socho jisko is tarha k reviews mil rahe hon aur jo apne clients ko kho rha ho sirf is waja se k hamare mulk men basic facilities bhi sahi se farahim nai ki ja rhi hain jiski waja se log itne affect ho rhe hain.
Bilkul Sahe Kah rahy boht he zadya lambi gham kia sham hai jo khtam hony ka naam ni lau rahi qkh jab tak awam apny haq lany ka lay Bangladesh ki trah ni nikaly ge to kabi bi inka basic haqeq ni dy gybna hukmoot or na ya ghati kasm ki establishment inqlab ghar bethy ni atta is ka lay khoon dena phrta hai jo Bangladeshi awam ny sabit kiya kah apni haq kasy laty hai Pakistani awam ki amajna chaye hai kah agr yahi hallat rahy to ya zindga lashy ban jayebge Baqii Abi tak internet ki phly jesi facility ni hai Ab daily kabi whatapp ka server down hota to kabi koi or platforms ka mojy ni lagta hai ya dosra internet ko normal hallat ki tarf la kar jaye gay freelancer ka jo nukhsan hu raha hai oska gareeb logo ka software houses ma jobs ki kami bi dakh y ko mil rahi hai or jin loogo ka dependent he online earnings par hai wo kasy survive kary gay asy hallat ma mojy to is bewkoaf hukmoot ot lanti qasim ki establishment say koi umeed ni hai Imran khan he wahad hal hai osy jael sy niklna hu ga waran ya mulak kabi tarqaqi ni kar skata hai Allah pak he reham kary humry hallat par, Ameen
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
September 14, 2024, 07:49:01 PM

Wesy sir mujy Lagta he. Ek dafa phr dip ly gaa bitcoin. Or us ki waja my ye samjta Hun ky ek dafa panic kary gaa market KO as jesy pehly hota Aya he. Yani Ek dafa logon ko panic kary gi market or chotty investors KO out kary gi market. Or ho Sakta he ye FOMC ky moqa par hi ho phr us ky bad market my pump dekhny KO mily GA Jo ky usually is monthly ky end sy shuru hota he har dafa ki Tarah.

Kher abhi Kuch Kaha nai jaa Sakta ho Sakta he meri Tarah or bhi log yehi sochty hon or Bitcoin hamen wrong number keh Kar up Chala Jaye. But iss dafa agar pump Aya to mery khayal sy again ATH Karna koi mushkil bat nai hogi. Q ky Uptober ki waja sy bohat zyada inflow aye GA market my. So bohat zyada chances hon gy Bitcoin ky ATH cross karny ky. Or iss dafa Altcoins KO bhi bohat Acha pull mil Sakta he.

Brother, aisa bilkul ho sakta ha k ek ndafa phir Bitcoin dip lay FOMC ki meeting se pehle ya meeting k baad ek sell the news event bi ho sakta ha jo k market bmein akser hota ha laikin finally FOMC ki meeting mein agr ilending interest rates cut lugta ha toh market ne pump hona ha ku k interest rates kum hony ki soorat mein market mein liquidity mein izafa hota ha jis se sari financial markets behter perform kerti han.

Es waqt bi Bitcoin ki price $60K se oper ha or next three days tak ho sakta ha yeh accumulation phase mein hover kerti rehe. DYOR
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
September 14, 2024, 12:07:46 PM
Lambi hai gham ki shaam magar shaam hi toh hai.... Bilkul suitable shair pesh kiya aapne situation k mutabiq. Shaam lambi nai balke boht lambi hai, is lambi shaam aur is gham ne boht sare logon k rozgar unse cheen liye hain aur abi b cheene ja rhe hain.

Kal hi maine facebook pe aek post dekhi jismen aek larka jo k freelancer hai usey apne USA k client se review mila tha jismen us client ne saaf alfaz men likha tha k freelancer jo services provide kr raha hai usmen wo best hai lekin hum inke sath iske baad kaam nai krna chahenge qk jahan yeh rehte hain wahan internet aur bijli k bade masle hain jiski waja se kaam boht disturb hota hai.

Ab aap khud ko us insan ki jaga rakh k socho jisko is tarha k reviews mil rahe hon aur jo apne clients ko kho rha ho sirf is waja se k hamare mulk men basic facilities bhi sahi se farahim nai ki ja rhi hain jiski waja se log itne affect ho rhe hain.
Mujy toh baaz okat laghta ha ky jo hum par hukoomat kar rahy haa jo politican establishment samaith woh Insaan nahi ha ky Insaan Mai sense hota ha woh logo ky Dard aur takleef ko samajta ha jab tak us Mai saans ho aur woh jitna bhi sang Dil q na ho but yaha toh awam mar Raha ha tarap Raha ha but jo paisa milta ha loan ko woh yeh aapas Mai bant laity ha aur bolty ha awam gaye tail lainy. Hum Sy behtr with ghair Muslim British haa Yar Sach kahu agr Mai American hota toh proud feel karta as mujy saary rights aur tahafuz toh milta.

Well Mai samaj sakta hu iska Dard thoora bohout q ky ik din mujy post remaining ty aur net chal Rahi rata ta aur Kuch waqt ky Liya Bitcointalk bhi down hogaya ta so ik post rehny ki wajah Sy mujy poory week ki payment nahi milee TOH kafi difficult hota ha isko jailna. Waisy agr government crypto legal kardy aur exchanges ko yaha legally kaam karny ky paisy ly la toh yaqeen kary inhy yeh extra tax lagwnay ki zaroorat nahi pary ge aur Binance, samaith , okx, mxc, ku coin yeh sab easily paisa dainy ko tayar hojaingy q ky Pakistan crypto currency holding ya adoption abhi Sahi Sy yaad nahi us Mai top 5 Mai aaty ha😉😎
sr. member
Activity: 1204
Merit: 290
September 14, 2024, 11:32:51 AM
so bs ab yaha Sy jaany ka waqt agay ha satio ab is mulk ka Kuch nahi ho sakta

Yaqeen karen main kehta hon bewakoof hai wo insan jiske pas moqa hai aur resources hain yahan se nikalne k liye aur wo unko utilize nai kar rha... Kuch log hote hain jo kehte hain k apna mulk apna mulk hota hai bahar yeh masle hain wo masle hain lekin main kehta hon bahar k koi masle hamare mulk k maslon k muqable kuch bhi nai hain. Yahan na gas hai, na pani hai, na bijli hai, na insaf hai, agr ache schools, hospitals, aur baqi sab sahooliyat hain toh wo sirf ameer aur powerful logon k liye hain, ghareeb aur be sahara logon ka yahan kuch bhi nai hai.

Isliye agar kisi k paas itne resources hain k wo yeh qadam utha sake toh usey uthana chaiye. Muhib-e-watni nibhane k liye aapko aur moqe mil jaenge, agr ALLAH k hukam se kabhi halat behtr hogae toh aapko wapas ane se koi nai rokega lekin agr abi in halat se aap khud ko bacha sakte ho toh bacha lo aap k aur aapki family k future k liye yahi sabse behter hai.

Jis tarha k halat chal rhe hain, jis level par awam pe zulm ho rha hai, is mulk ka toh ALLAH hi hafiz hai. Agar yahi sab chalta raha toh raha waise bhi kuch khas nai hai, lekin rahi sahi khasar bhi puri hojaegi aur is mulk ka kuch nai bachega aur yahan sirf wohi log reh paenge jinke hukomat se link honge, baqi logon ka jeena abhi se ziada dushwar hojaega.
sr. member
Activity: 322
Merit: 260
Catalog Websites
September 14, 2024, 05:55:06 AM
Bitcoin market ki update yeh ha k finally Bitcoin ne $60K ko break ker dia ha or es waqt $60,448 pe trade ho reha ha jo k Bitcoin HODLERS k liay khusi ki bat ha.
FOMC ki meeting mein sirf 4 days baki han. Usky baad hee market ki nai direction determine ho gi DYOR
Wesy sir mujy Lagta he. Ek dafa phr dip ly gaa bitcoin. Or us ki waja my ye samjta Hun ky ek dafa panic kary gaa market KO as jesy pehly hota Aya he. Yani Ek dafa logon ko panic kary gi market or chotty investors KO out kary gi market. Or ho Sakta he ye FOMC ky moqa par hi ho phr us ky bad market my pump dekhny KO mily GA Jo ky usually is monthly ky end sy shuru hota he har dafa ki Tarah.

Kher abhi Kuch Kaha nai jaa Sakta ho Sakta he meri Tarah or bhi log yehi sochty hon or Bitcoin hamen wrong number keh Kar up Chala Jaye. But iss dafa agar pump Aya to mery khayal sy again ATH Karna koi mushkil bat nai hogi. Q ky Uptober ki waja sy bohat zyada inflow aye GA market my. So bohat zyada chances hon gy Bitcoin ky ATH cross karny ky. Or iss dafa Altcoins KO bhi bohat Acha pull mil Sakta he.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
September 14, 2024, 12:40:50 AM
Ek one day ka tournament hone laga hai jism ai sirf Pakistani players ek dusra se muqabla krt hue nazar ayein gein. Iss mia hum 5 teams ko dekhein gein jin k naam animals walein hoin gein jesa k
Well yeh PCB ka ik ahm qadam haa q ky iss Sy haamy new talent bhi daikhny ko mil skata ha aur isky ilawa player ki practice bhi hojai ge apny pitches par for upcoming champion trophy toh cheezo behtari ki taraf jaa skate haa aur abhi recently jo defeat haamy howy haa new green pitches us Sy seekh hasil karky cheezo ko behtr kardiya jai aur jo hamary player ko shikayat Rehti te ky hamary yeh big format Mai zyada matches kailny ko nahi milty iss Liya hamary paas lamby partnership banany wlay player ki kami ha so woh bhi iss Sy door hojai ge.
Right Bilkul First match ma he hummy finisher mill gya tha Abdul Sammad ka naam say player js nay boht he zabrdast inning khayli the jo kah 62 runs ki the or balls sarf 25 khayly thay ya ik zabrdast player ha jas nay 7 chakay lagy thay Jo top ka bowlers ko mary jas ma Usama mir or Umad butt jasy bowler shamil thay or mojy lagat ha ya ik asa player ha jo kasi bi number par khayel skata hai jab kah ifthkir chaha ka nikhary ki khtam ni hoty thy ma sarf 5th number par khaylo ga but Abdul Sammad ki jas tariqy ki batting ki ball ko hit karny ka andaz say he pata chal jata tha kah ball boundary sy bahir jaye ge ya young telent larka waqia he kaml ka finisher ha PCB ko isy select krna chaye hai

Panthers team ko captaincy Shahbad khan kar rahy or Jab kah Stallions Pakistan ka captain Muhammad harris ha young captain but babar azam ko captaincy deni chaye the wo top class player ha ab young larkay ka andr khayly ga ya bat sisyat ki nazar ni honi chaye hai PCB ko Babar Azam konhe captain bana chaye tha Jasy Shaheen Shah ko Lions team ki captaincy de ge the.

copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
September 13, 2024, 09:02:46 PM

Ab aap khud ko us insan ki jaga rakh k socho jisko is tarha k reviews mil rahe hon aur jo apne clients ko kho rha ho sirf is waja se k hamare mulk men basic facilities bhi sahi se farahim nai ki ja rhi hain jiski waja se log itne affect ho rhe hain.

Brother, apne bilkul genuine concern raise kia ha. Pakistan mein internet slow hony ki waja se bht sary freelancer nay clients lose kiay han or unki earnings mein kami hoi ha jo k bht unfortunate ha or ultimately eska loss country ko hota ha ku k dollars remittances kum hoty han. Allah kare k hamari regime hosh k nakhun lay or en restrictions ko remove kere. Aameen

Bitcoin market ki update yeh ha k finally Bitcoin ne $60K ko break ker dia ha or es waqt $60,448 pe trade ho reha ha jo k Bitcoin HODLERS k liay khusi ki bat ha.
FOMC ki meeting mein sirf 4 days baki han. Usky baad hee market ki nai direction determine ho gi DYOR
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
I ❤️Bitcoin
September 13, 2024, 04:38:38 PM

but woh Kya ha Faiz Ahmad Faiz jis ka last mesra haa
Lambi ha gham ki Shaam but shaam hi toh haa. 🥲🙏
TOH yeh ik Shaam haa jald guzr jai ga but yeh hamary Pakistan ki tareekh Mai ik siyaah aur anapasandi ky baab ky name Sy yaad Kiya jai ga
Yeh Raat ha ya Pakistan ka loan jo khatam hoony ka name hi nahi ly raha Grin Cheesy Matlab din ba din week ba week barta ja Raha ha ab Allah hi Malik ha is country ka, waisy Mai ny ik post parhe ky Iman aur Sehat ky baad Allah ki sab Sy bare naimat USA ki nationality haa woh isliya q ky waha apky hakook ka khaàs khayal rakha jata ha apky tax ka 80 percentage ap par use hota ha apko basic facilities sab government provide karte ha jo apko unlimited mil jaingy.

Jabky agr yaha daikh jai toh toh tax ka 2 percentage hum pa use hota ha aur koi facilities nahi aur hum jo khud Sy khud ky Liya asaaniya paida kar rahy ha inn Mai bhi inko problem ha isliya toh Roz new new problem create karty ha kabhi crypto ban karo toh kabhi Twitter aur abhi recently had karde poora internet slow down kardiya so bs ab yaha Sy jaany ka waqt agay ha satio ab is mulk ka Kuch nahi ho sakta
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
September 13, 2024, 03:05:42 PM
but woh Kya ha Faiz Ahmad Faiz jis ka last mesra haa
Lambi ha gham ki Shaam but shaam hi toh haa. 🥲🙏
Aakhir kab tak. Bilkul Sai bat Ki Hy ap ny.

Wonrl Kahawat BHI hy. Naa KY. Waqt Ki EK khasyat Hy KY ye jesa BHI ho aakhir guzara hi Jata Hy. so bilkul issi tarah zulam jab barhta Hy to mit Jata Hy.
Or my Bhai samjta hun jab BHI ab inqlab Aya na ye Bangladesh or SriLanka sy Barra hi inqlab aye Ga. In ko jaga nai milni chupny Ki bss dekhty hi reh Jaen gy or logon ny chun chun KY Karna Hy in ko.
Ghareeb admin KY pas khany ko kuch nai Hy or ye apni ayyashyon sy hi nai Nikal rahy hen kher wohi bat hy aakhir kab tak? Allah koi naa koi sab bnaye Ga. Or in sy hmari Jaan churwaye gaa ان شاء اللہ
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
September 13, 2024, 11:20:00 AM
Ek one day ka tournament hone laga hai jism ai sirf Pakistani players ek dusra se muqabla krt hue nazar ayein gein. Iss mia hum 5 teams ko dekhein gein jin k naam animals walein hoin gein jesa k

-Dolphins (Pakistan)

-Lions (Pakistan)

-Panthers (Pakistan)

-Stallions (Pakistan)

-Wolves (Pakistan)

han g yeh hai wo teams jo hum dekhein gein. Inn sab teams captain k bare batatha chalun toh Panthers (Pakistan) k kaptaan Shadab Khan moqrer kiye gyein hian jo in ko sabaltha dekhane maim adad krei gein. Wahi Wolves (Pakistan) ka kaptaan Muhammad Rizwan hain jo PSL mia Multan Sultan ko lead krtein hain aur in k pass acha record udhr as a captain.

Inhoin ne apni team Multan ko ek dafa final jeetwaya hai or total teen dafa final mai le kr gyein hain back to back. Iss  k baad Stallions (Pakistan) ko Muhammad Haris ne lead krna jo k A team ko bhi lead kr chukein hain, Pakistan ki A team. DOLPHINS ko Saud Shakeel ne lead krna hai aur wahi Lions ko Shaheen Shah Afridi. Ye wo captain hai jo 2 dafa Lahore ko PSL ki trophy detwa chuka hai.
Well yeh PCB ka ik ahm qadam haa q ky iss Sy haamy new talent bhi daikhny ko mil skata ha aur isky ilawa player ki practice bhi hojai ge apny pitches par for upcoming champion trophy toh cheezo behtari ki taraf jaa skate haa aur abhi recently jo defeat haamy howy haa new green pitches us Sy seekh hasil karky cheezo ko behtr kardiya jai aur jo hamary player ko shikayat Rehti te ky hamary yeh big format Mai zyada matches kailny ko nahi milty iss Liya hamary paas lamby partnership banany wlay player ki kami ha so woh bhi iss Sy door hojai ge.

Isky ilawa Jin Jin player ko PSL jaisy short format cricket Mai opportunity nahi milte koi pick nahi karta TOH yaha pa unka chance mil sakta haa jaha yeh apny apko prove karky bary event Mai chance mil skata haa. Baki sab captain apni jagga but yaha bhi thoore siyasat Howe aur baber ko captain banany ki bajai Haris jaisy young player ko kardiya jo unky view Mai achy captain well jo bhi ho baber ACHA kar Raha ha hamary Liya yahi kafi haa captaincy jai Baar Mai alag tension haa opper Sy logo ko jawab alag dainy hoty haa aur performance alag Sy Karne hote haa.
Pages:
Jump to: