Author

Topic: Pakistan - page 505. (Read 6579984 times)

sr. member
Activity: 560
Merit: 365
Pakistan Local Board Request
May 12, 2023, 08:35:50 AM
PTCL ka connection py net a rha hy. Agr apka pass PTCL laga hua hy to apna un doston ke help kran jo mobile internet sa freelancing kr rhya hn.
Mera pass PTCL laga hua hy. Agr kise dost ko kise qism ke help required ho to wo mujh sa rabta kr saqta hn. Mare khidmat freely available hn.
Bhai jaan PTCL ky ilawa Fiber ka net bhi bilkul Ok chal raha hai koi issue nai araha hai. Masla sirf Network Providers companies my hai yani PTA ny un ki services muatil ki hen yani sirf Internet services muattil ki gai hen jesy Telenor Jazz wagera companies. Baqi sab to bilkul chal raha hai. Han website yani social websites nai open ho rahi hen baqi ap ny VPN ka thread ap pehly hi bna chuky hen to VPN sy sab thk chal raha hai.

Ji Bilkul ThemePen Bhai Sirf PTCL internet he ni bulky Fiber internet bi bilkul sai Sy work kar Raha h quu KY my b Fiber ka internet use karta ho or Jessy pehly work karta tha abi b same waisy he work kar Raha h or issue unky Leye h Jo internet sim package par use karty h or freelancing ka kaam karty h or my Kuch din sy notice kar Raha ho jab Sy ye issue bana h @Gladitorcomeback Bhai or @AnonBitCoiner bhai us din sy offline h or I think y dono Bhai Sim internet use karty h  Cry



Rahi baat social media to YouTube kabi work karti h kabi ni baqi to bilkul he band h like Twitter, Facebook etc.
I think Kal aik user NY VPN Connect kar KY Twitter use Kiya to uska account suspend kar diya GIA ab pata ni VPN Sy howa ya koi or issue tha lekin wo user yahi keh Raha tha KY mene VPN connect to account suspend kar diya  Huh
Barhaal my b use kar Raha ho mujy to koi b aisa Kuch dekhny ko ni Mila banned waigera ka koi issue sab social media accounts achay sy work kar Rahi h.
hero member
Activity: 2464
Merit: 877
May 12, 2023, 08:10:04 AM
Is py UmerIdrees bhai ka tafsali faisala kal he a gya tha ap usko bhe dekh saqta hn https://bitcointalksearch.org/topic/m.62221935

G bhai, i hope k sab bhai bahir nikalay hon gay aur apnay haq k liey awaz uthai hogi aun aik doo duno mein.
Ais general and koor khabar PDM ko takhnay lagnay k baad hi hum aur app freelancing kerian gay.  Smiley

Aur waisay bi bitcointalk pakistan k ais thread p activity bohat kam hy last 2 3 days c, i think saray bhai Roads p hon gay aur police / Army or gadaroon c larr rahay hon gay.



PTCL ka connection py net a rha hy. Agr apka pass PTCL laga hua hy to apna un doston ke help kran jo mobile internet sa freelancing kr rhya hn.
Mera pass PTCL laga hua hy. Agr kise dost ko kise qism ke help required ho to wo mujh sa rabta kr saqta hn. Mare khidmat freely available hn.

Ain darpook logoon ny sirf wifi internet bund kia hay , fibre Internet chal raha hy. But mein kahooon ga k aik doo din k liey freelancing ko bund kerian aur bahir nikaal k Aient c Aniet baja dein sab.

Amnesty International Urges Pakistan Authorities To Lift Internet Restrictions

We urge Amnesty International to pick these PDM Koor khabar from our country and throw them somewhere.
sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
May 12, 2023, 07:29:44 AM
Amnesty International Urges Pakistan Authorities To Lift Internet Restrictions

Pakistan Telecommunication Authority (PTA) nay announce kia hai ke mobile internet services poray mulk main esssi trah band rehegay jab tak further notice na ho. Broadband(wifi) internet service available hai. Yeh announcement Imran Khan ke arrest hone ke baad hua hai, jis se mulk main jaagary aur afraatafri na mache jes ki waaja se internet system band kia huwa hay. Government fake news ko control karnay ke liye situation ko control karnay ke liye internet service ko band kar deya hai. Amnesty International ney reservations express kiey hain aur authorities ko restrictions ko hatanay aur restrain exercise karnay ke liye kaha hai. Un ka kehna hai ke internet shutdown logon kay right to access information aur free expression ko violate kar raha hai aur yeh human rights violations ke liye ek permissive environment banata hai.

Source




hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
May 12, 2023, 06:11:12 AM
PTCL ka connection py net a rha hy. Agr apka pass PTCL laga hua hy to apna un doston ke help kran jo mobile internet sa freelancing kr rhya hn.
Mera pass PTCL laga hua hy. Agr kise dost ko kise qism ke help required ho to wo mujh sa rabta kr saqta hn. Mare khidmat freely available hn.
Bhai jaan PTCL ky ilawa Fiber ka net bhi bilkul Ok chal raha hai koi issue nai araha hai. Masla sirf Network Providers companies my hai yani PTA ny un ki services muatil ki hen yani sirf Internet services muattil ki gai hen jesy Telenor Jazz wagera companies. Baqi sab to bilkul chal raha hai. Han website yani social websites nai open ho rahi hen baqi ap ny VPN ka thread ap pehly hi bna chuky hen to VPN sy sab thk chal raha hai.
full member
Activity: 784
Merit: 204
May 12, 2023, 02:47:42 AM
Pakistan Internet Shutdown Impact on Freelancing and IT Industry


Is py UmerIdrees bhai ka tafsali faisala kal he a gya tha ap usko bhe dekh saqta hn https://bitcointalksearch.org/topic/m.62221935
PDM aur Establishment ny jo tamsaha 9 May sa start kea hua hy us sa Pakistan ke puri dunya ma jag hansai ho rhi hy. Bhala is tarah koe Ex PM ko arrest krta hy? Mian Nawaz Sharif ko full protocol ka saath arrest kea aur unki beti ko to jail ma frying pan aur chohla bhe dea gya Kapra press krna ka lea.
PTCL ka connection py net a rha hy. Agr apka pass PTCL laga hua hy to apna un doston ke help kran jo mobile internet sa freelancing kr rhya hn.
Mera pass PTCL laga hua hy. Agr kise dost ko kise qism ke help required ho to wo mujh sa rabta kr saqta hn. Mare khidmat freely available hn.

full member
Activity: 308
Merit: 109
May 12, 2023, 02:14:14 AM
Pakistan Internet Shutdown Impact on Freelancing and IT Industry
Assalam o alikum Pakistan mein internet banned ne freelancing community ko badi takleef di hai. Pakistan duniya mein 3rd No number par aata hai freelancing countries m lekin internet ki bandish ki wajah se unki kaam ki deadlines aur reputation par asar hua hai. Pakistan mein approx 120 million broadband users hain jinme se 98% log mobile phones se internet ka istemaal karte hain. 3 din ki bandish ne online transactions aur digital learning ko puri tarah se rukhwa diya hai, jiski wajah se freelancing community ko nuksaan hua hai. Bandish ke asar se digital economy aur berozgari par bhi gehra asar hua hai. Experts aur professionals internet services ko turant restore karne ki zaroorat par zor de rahe hain Qkh information technology industry bina internet ke theek se kaam nahi kar sakti. Pakistan Software Houses Association ke chairman ne internet services ki bandish ko lekar kafi parshan hai aur jaldi se restore karne ki request ki hai.

Baki Fiverr ne Pakistan se tamam gigs ko temporary band kar diya hai aur profiles ko "out of office" unavailable declare kar diya hai, jis ki wajah internet ki banned aur country mein siyasi issues hai. But agar freelancers ke paas internet ka istemaal ho sakta hai aur woh naye orders pooray kar sakte hain, toh woh apni availability ko wapas on kar sakte hain. Fiverr yeh guarantee deta hai ke pending reh gaye orders aap ke ratings par koi asar nahi dalenge. Baki sitaution ko nazdeek se nazar andaaz kiya hai aur freelancers Fiverr ki umeed hai ke internet ki available jald se jald phir se restore ho jaaye than work continue hu ga lakin pak ki image kharab hu ge han foreign client m.
Boht zadya nuksan hu rha digital mazdoor k But lumber one ko koi parwa ni han
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 11, 2023, 09:47:22 PM
Bitcoin Price Increases Above 28,000$ After CPI Report

The increase in Bitcoin price after CPI announcement was short-lived, and this morning it is trading below 27K, which reflects declining interest of market participants. Market seems to be in search of a catalyst to resume its upward journey, as scalability issue of Bitcoin network is becoming a big challenge these days. This side-way movement of market suggests that Bitcoin is taking a breather after a promising beginning to the new year, which took Bitcoin price from 15k to above 31K. Despite current lack luster performance,  my long term outlook of market remains positive. DYOR
full member
Activity: 784
Merit: 204
May 11, 2023, 09:19:34 AM
Imran Ahmed Khan Niazi sb ko Supreme Court na reha kr dea hy aur is sa umeed paida ho gai hy ka mulk ka ab aman o aman wapis a jya ga. Imran Khan ko eik bogus case ma arrest kea gya jo sira sa banta he nhi tha.
Sawal ya paida hota hy ka chairman NAB and Rangers ke senior official jin na ya Sara gund start kea kya un sa koe poch gach ho ge? Pak fauj ka Ameer to Imran khan ka arrest sa pehla sa he mulk sa bhaga hua hy. Ya hy hmare fauj ke asal auqat. Aur hum kehta thy ya kashmir fatah kr ky lyn gy. Kise na Pak fauj ka barya ma sahi kaha hy:

Jang koe jeete nhi - Ty Elections kadi harya nhi
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
May 11, 2023, 08:21:26 AM
Bahir mulk Pakistanion Sy bheje gaye bhej mein 29% ki kami hui

Bhot sari reports ke mutabiq bahir mulk Pakistanion Sy aprail mein bheje gaye bhej mein pichle saal ke muqablay mein 29% ki kami hui hai jis ka raqam $2.21 billion tha. Isi tarah ki kami pichle mahine se bhi 13% ki hai. Is s saabit hua hai ke bheje gaye bhej ki sab se zyada raqam Saudia Arabia mein rehne wale Pakistanion se aayi hai.
Mazbooti  se kamzor hone wali  cash ki tangi aur foreign exchange reserve ki kami ke darmiyan bheje gaye bhej ki kami bohat pareshan kun hai. Central bank ke paas rakhe gaye foregn exchange reserves sirf aik mahine ke imports ki kharch ko bhi pura nahi kar sakte jis se ye samajh mein aata hai ke Pakistan ke maali halaat bohat hi khatarnak hain.
Haqumat aur International Monetary Fund ke darmiyan rukay huye loan program ki baatein kuch khaas kamyabi se nahi mili hain. Bina IMF program ke Pakistan ke June ke aage ke financing options uncertain hain aur Moody's Investor Service ne is par nazar rakhte hue Pakistan ke qarzay ke adayegi ka khatra bhi zahir kiya hai.

Is khbar ne Pakistan ki maeeshat ke saamne khari mushkilat aur maali saroraton aur mustaqbil ki barhti hui zaroorat ka aitbaar dilaya hai.
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
May 11, 2023, 07:45:41 AM
Chief justice atta bandyal ky hukm ky mutabiq Imran Khan ko within 1hr ma addalat ma paish hoony ka order dy diyaa , yeh bazahir ik musbat cheez lag Rahe haa PTI supporter ky liyaa but more than 2hr hoony ky Baad bhi Khan ko court ma paish nahi kiyaa gaya jabky Kafi waqt hochuka haa unhy police line sy police ky hamara rawana kiyaa gaya haa but still woh nahi ponchee,



Baki Twitter ka masla Kafi logo ko aaraha haa Twitter kaam nahi karr Raha, toh American base ik VPN company ny Pakistan ky mojooda halaat ky mad-e-nazr Pakistani users ko free premium version of VPN diyaa Jai gaa free of cost.
AP USs VPN company ki yeh announcement unky official account ky tweet sy zahir howa baki AP bhi Issy install karky use karsakty haa


Edited
The Supreme Court in Pakistan has deemed Imran Khan’s arrest as illegal. Also Imran Khan has allowed to meet his family soon he will be in Bani-gaala..😎💪
Source
sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
May 11, 2023, 04:59:05 AM
Al-Qadir trust case kya hai ?
Imran Khan ko Al-Qadir University Trust ke mamlay may corruption ke ilzamat lagne per Islamabad ke aik adalat mein court appearance ke doraan giriftar kar liya gaya hai. Ye mamla June 2022 se shuru hua tha jab naye coalition sarkar ne Khan aur unki biwi per malik Malik Riaz zameen lenay ke ilzamat lagaye gaye. National Accountability Bureau (NAB) ke mutabiq, Khan ka arrest court mein corruption ke jurm ke liye kiya gaya hai.

Khan ne in ilzamo ka inkar kiya aur kaha hai ke ye siyasi mansooba bandi hai. Unho ne Pakistan ki fauj aur siyasi jamaton ko apne khilaaf milnay ka ilzam lagaaya hai. Khan ne United States ko bhi apne khilaaf sazish ke iraday se milnay ka ilzam lagaya tha, lekin baad mein unho ne is ilzam se mukhalfat ki.
Kuch legal experts ne shubaat zahir kiye hain ke Khan ke arrest ne haal hi mein amend kiye gaye qanoon ke khilaaf tha. Amendments ke mutabiq, NAB ko mulzim ko kayi baar notice dena aur mulzim ka arrest warrant sirf us halat mein jari karna hai jab mulzim maanay se inkaar karta ho. Per abi tu yee haal hai ke khan ke case may aysaa koi raasta follow he nahe kia.

Source
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 11, 2023, 03:13:50 AM
Agar fee zyada ho to priority fee ko 0.1 kar den. Or nichy gas limit ko edit kar ky 7900000 kar den. To fee 1.45$ lagy gi.

Thanks, brother, for sharing this free earning opportunity. Mein ne apny dono wallets mein claim ker lia ha. Transaction fee zayadeh ha mgr phir bi $25 dollars ki earning hoi ha. Ap aisi links ko yehan share kerty rehein taaky community ko faida ho.
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Sui network k active contributors neechy diay hoi link ko open ker k es form ko fill ker dein. Free NFT milny ka imkan ha.

https://twitter.com/CryptoTeluguO/status/1656472432843321344?t=ZA9LeJYM1t-h21Hcx5eRnA&s=19
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
May 10, 2023, 01:31:13 PM
ZAT Airdrop For Zksync Users



Asslamualaikum dosto kaya hal hen ap sab ky. Jesa ky ap sab janty hen meme coins kaa dor dora hai. ZAT tokens airdrop ky tor par mil rahy hen un logon ko jihon ny zksync era or lite ya zkape ki websites ko use kiya hai.

Claim here: https://airdrop.zkape.io
Contract address: 0x47EF4A5641992A72CFd57b9406c9D9cefEE8e0C4
Markets: https://izumi.finance/trade/swap , http://syncswap.xyz

Note: Abhi Official liquidity add nai ki gai so hold kar len. Or Cex par bhi jald list hoga.

Agar fee zyada ho to priority fee ko 0.1 kar den. Or nichy gas limit ko edit kar ky 7900000 kar den. To fee 1.45$ lagy gi.
newbie
Activity: 22
Merit: 1
May 10, 2023, 01:03:52 PM
Hmm Thanku So much to everyone who wished me fr Birthday and also my bothers completion fo the Hifze Quraan may Allah bless you all special mentions Thanks to

@Compromise me
@Faisal2202  
@Gladitorcomeback
@Unknown Op
@Shan85
@ThemePen
@Dictator69 (New member I think), anyway bro most welcome here.
@ZAINmalik75
@shahzadafzal


Bhai Jan Ya To Bari Khoshi Ki Bat Hai Bahot Bahot Mubarak Ho Bhai Quran Pak  To Dunia Ma B Kamyab Krawata hai Hai or Akhrat Ma B Sath Sath Khandan Walo K Liya B Bakshish Ka Zaria Banta Hai 1 HAFIZ ,K Sath Kafi Log Janat Ma Jay gyn Ya To Aap Ki Family par Allah Pak Ka bht Bara Fazlo Karam Howa Hai Allah Pak Sab KO is Pak Kalam K Sadqy Janat ma Jaga Dey
legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
May 10, 2023, 12:59:00 PM
Hamza Bhai 20 baharan dekhna pr dil ke gaheroyn sa Mubarak bad. Mazrat late wish krna py, university ma kaam zayda mila hua tha vahn busy tha.

Hmm, Yeah i know but thanks for the wishes and Uni ma ajkal har traf as kahin Mid ho rehe kahin Finals soo busy times hamare bi Finals a rehe so inactivity again badhh jaye gii.. Baqi Late wali koi baat nai apne yaad rkha yehi bohat hamare liye.

hahahah bahi muje yaqeen nahe ho raha ke aap abi 20 ke ho gaye , Muje tu ap ki bato se mai ne ek imaage bana leya ta ke ap kamzkm 28 ke tu honge
hahah mind maat ke jeye gaa hhh per abi muje lagta hai ke aap ke jagha seeda hamza ka lafz use karun q ke ma be 20 ka he hun tu es hessab se hum dono mai takaluf nahe honi chayee , mazak ta. and bye the way buhat buhat mubarak ho birthday . Bs dua hai ke hamesha hanste muskurate rahe apne family ke sath aur aur apne parents ka naam rosahn kare.

I don't mind being called by my name any way it will be my pleasure isss liye hum hamesha Sir ka word use karte ku ka sure nai kisi ki age ka baree ma wessy bi itna faraq nai padha mujhe lagta ha but phir bii Senority ki respect honi chaiye as i try to provide everyone baqi galtii sabse hoti farishte to hum hain naii.

Its like a complement ka apne mujhe 28 ka ss pass consider kia by my mature thoughts in your view (Not in mine because main to noob hoon haha). Esee hi duaon ma yaad rakhin humain orr kia chaiye. Allah Pak community ko salamat rakhe. Baqi forum pa hum apna poora roob jhadtee haha while talking in global threads.

/SNIP
AP sy moodbana guzarish haa ky jab bhi koi image apny post mai add kary toh km iz km uska source link add kiyaa kary, yeh apky account ky liyaa behtr hoga. Baki AP ny itna waqt iss forum pa guzara apko toh yeh Sab cheezy maloom hoone chahiyaa..

Haha On fire Keep it up. Ye bi sai wessy buddy. Itna waqat I wasn't expecting that like really. Kafi jealousy hoti Activiy dekh kaa khass kar Umeridress ki hehe.. Humain to waqat lagee ga Legend bannee maa Umerbhai ki ticket confirm haa.
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
May 10, 2023, 12:45:24 PM
/SNIP
AP sy moodbana guzarish haa ky jab bhi koi image apny post mai add kary toh km iz km uska source link add kiyaa kary, yeh apky account ky liyaa behtr hoga. Baki AP ny itna waqt iss forum pa guzara apko toh yeh Sab cheezy maloom hoone chahiyaa..

Al-Qadir trust case kya hai ?
Brother yeh haqeeqat haa ky Jo bhi politician haa sabb ny Kahi ny Kahi corruption ki haa, but agr Imran Khan ki khidmaat ko daikha Jai toh unhoo ny first cancer hospital banaya aur woh bhi free of cost ilaaj, aur jaisy ik Ameer ko treat kiyaa jai ga waisy hi USS hospital ma ik ghareeb ko treat kiyaa jata haa Kisi ko koi bartaree nahi de jaate. AFGHANISTAN sy log yaha ilaj ky liyaa aaty haa aur lakhoo Duai daity haa Khan ko. Q ky Ameer toh ilaj ky liyaa bahir chaly jaingy ga ik hum ghareeb haa Jo agr yeh hospital na hoota taleef sy Marr jaaty.
Toh ma samajta hu ky hammy Khan ki positive side ko daikhna chahiyaa q ky uska positive side baare haa negative side ky mukably.

PAKISTANI STOCKS ARE NOW AVAILABLE ON TRADING VIEW:
Pakistan ky liyaa ik kamyabi ki new haa ky pakistani stocks first time trading view pa add kardiyaa gai haa, ab ap waha jaaky easily Kisi bhi pakistani stocks ko examine karsakty haa. Aur apny mutabiq charts ko adjust karsakty haa.
sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
May 10, 2023, 12:41:37 PM
Are We Alone in the Universe? A Biophysicist's Perspective


Biophysicist Claudio Grimaldi ne École Polytechnique Fédérale de Lausanne (EPFL) mein kaha keh dunya dusri duniaun mein rehne wale makhlooq se abhi tak rabta nahi kar paai hai, kyunki zameen aisi jagah par mojood hai jahan par koi radio waves nahi hote jo dusri duniaon se aate hain. Grimaldi ka khayal hai keh hamare paas aise sensors mojood nahi hain jo dusri makhlooq ke signals ko detect kar saken aur hamare radio telescopes bhi sahi traf mein mojood nahi hain. Unho ne yeh bhi kaha keh Earth ko dusri makhlooq se rabta banane ke liye bohat intezaar karna hoga,

Grimaldi ne apne study mein sponge jaise porous materials par model banaya hai aur electromagnetic signals ko bhi sponge ke solid matter ke saath compare kia hai, jin signals ko ek planet se dusri jagah par emit kiya jata hai. Un ka khayal hai keh galaxy ke kisi bhi hisse mein ek century mein kam az kam 1 se 5 electromagnetic emissions hoti hain aur yeh supernovas ki tarah rare hoti hain. Grimaldi ne highlight kia hai keh hamare paas dusri makhlooq ke signals ko detect karne ke liye sahi technology mojood nahi hai aur hamain sabar ke sath in signals ka intezaar karna hoga.

Source
full member
Activity: 308
Merit: 109
May 10, 2023, 11:17:37 AM
Bitcoin Price Increases Above 28,000$ After CPI Report

Assalam  o alikum, kasy han ap sb dosto jasy kh ajj Bitcoin ke price ne 28000 dollar ki had ko cross kr gya han. Iski wajah yeh hai keh Consumer Price Index (CPI) jo mali hafaazat ka aik imp tajarba maaloomaat hai kam hone ki chances kam reh gaee hain aur 4.9% darj kiya gaya hai jese ke sarkari raqam ka taqaza tha ke 5% ki CPI ke equal hu. Baki CPI report se global markets including crypto ke daam onchaay ja sakte hain. Is waqt Bitcoin ki qeemat 28k dollar ke qareeb hai aur agar is kaariyanaaqaab sambhaala jaye to BTCUSD ke qeematein agle hafton mein 30000 dollar se bhi oper ja sakti hain. But is price ke maintanice rakhna zaroori hai warna crypto bear market lows tak ja sakti hai. Stock market ke kisi bhi kamzori ka asar bhi Bitcoin par par sakta hai but btc high volatile market han kuch b hu skta han down b ja skta han

member
Activity: 278
Merit: 21
May 10, 2023, 09:02:47 AM
کچھ دن پہلے میں نے آرمی کے خلاف کچھ کہہ دیا تھا تو کچھ یہاں کے لوگوں نے مجھے رپورٹ کرنے تک کی دھمکیاں دی تھی،۔ بھأیو دیکھ لو، تمھاری فوج نے ملک کی ایسی تیسی پھیر دی ہے۔
full member
Activity: 784
Merit: 204
May 10, 2023, 08:09:42 AM
Thanks for sharing this but yeh time freelancing ka ni hay. Yeh jang- e azadi ka time hay. Freelancing tu hoti rahay gai but agar mulk hi na raha tu freelancing kia kero gay. Aur agar mulk rah bhi gia tu kia gulam bun k rah jaoo gay establishment k.

Yeh time hy k har bunda bahir Nikalay aur aun establishment aur corrupt politicians ki aneit c aneit baja daay. Agar ajj hum bahir na niklay tu phir agay jo bhi hoga..aus k responisbile hum khud hogay.



Ap na jo baat ke hy wo 1000% sahi hy. Agr ab bhe hum Imran Khan ko bachana ka lea na nikla to phr hum sari umer freelancering he krta rah jyn gy. Aur hmarya dollars Generals ke families aur corrupt politicians kahtya rhyn gy.

VPN ap social media ko access krna ka lea bhe use kr saqta hn. Social media pr bhe pabandi lagi hue hy aur social media eik boht bra platform hy jis ka zerya ap apni awaz dunya tk poncha saqta hn. Waisa is social media na bhe Army ke neendan kafi had tk haram ke hue hn. kya khayal hy?
Jump to: