Mein ais bar IPL kay saray matches dekh raha hon lekin believe me k PSL kay matches zada close aur zada mazay k hotay hien. IPL kay zada tar matches one sided hein abi tak aur aun matches mein woh zosh aur zajba bhi ni jo PSL matches mein hota hay.
But yeh baat sahi hay k jitna paisa aur jitni hype IPL ki hay, utni PSL ki ni hi hay aur shiad ho bhi ni sakti kion k humra pass itna paisa ni aur jo paisa hay woh mulk ka corrupt politicians aur corrupt army kay pass hy.
Bilkul Right UmerIdress Sir jb tk mulak k corrput politicians and corrupt aramy sy jaan ni choty ge hm tarayki ni kr sktay han or jha tk IPL aur PSL ke beech Competition karte hue to dono hi T 20 format ke mukable mein kaafi interesting hain all over word. IPL india ki t-20 league hai, jabki PSL Pakistan ki t-20 league hai. Kuch mukhtalif tareekon se dono ligon mein unique hai
First Teams played in IPL mein 8 teams hote hain jabki PSL mein 6 teams hote hain. Second IPL ki mukabla mein PSL ka budget kam hai. Iska matlab hai ki PSL mein khiladiyon ko kam paiso mein khelne ki peshkash ki jaati hai.
Playes jo IPL mein shandaar khiladiyon ki tadaad jyada hai, jaise Rohit Sharma, Virat Kohli, aur MS Dhoni. Jabki PSL mein bhi kuch mahir khiladi hote hain, jaise ke Babar Azam, Fakhar Zaman, aur Shaheen Afridi.
Audience of IPL mein zyada audience hoti hai jabki PSL men audience kaafi kam hoti hai. Dono ligon mein kuch mukhtalif tareekon se khela jaata hai, lekin dono hi t-20 cricket ke mukable mein kaafi compatible han
Baki Sab se taza IRIS survey ke mutabiq, 56% log Pakistan mein sirf Imran Khan hi mulk ke masail se bahar nikalne ke qabil hai. Jabke, Nawaz Sharif ne 16% votes hasil kiye, Shehbaz Sharif ne 2% aur Bilawal Zardari ne 1% votes hasil kiye hain.
Ramzan ul Mubarak Kaa Mubarak Mahina Or Kuch Dehshati Log.
Asslamualaikum! Dosto aaj bohat eham sa topic I want to share. Or I think y bohat zaruri hai kiu ky ham sab ko iss kaa khayal rakhna chahye.
Mera Asal Mozu Aaj kal hony wali Daketi ki Wardaton par hai. To doston ap sab janty hen ky Ramzan ul Mubarak Kaa Mubarak Mahina chal raha hai. Or iss ky sath sath kuch shar psand log bhi mutharrik hen. Bohat sari videos viral ho chuki hen Daketi ki wardaton ki. Or iss waqt Lahore or Karachi sarre fehrist jaa rahy hen in muamlat my.
1. Agar bahir niklen to apni qeemti ashya wgera ko koshish karen ghar chor ky jaen.
2. Hmesha Rush wali jaghon par rahen Sunsaan jaghon par jaany sy gurez karen.
3. Raat ky waqt bahir niklny sy gurez karen. Or Khususan Fajar ky foran bad ky waqt. Iss waqt ye log bohat muthariq hoty hen.
4. Agar majburi my bahir niklen to apna kam pura kar ky jaldi ghat loten.
5. Apny gharon ky darwazon yani main gate ko band rakhen. Or raat gaye tak khula naa choren.
6. Bank wgera jaen ya ATM jaen to ATM ka drwaza andar sy lock karen or din my jaen or jab Bank khula ho tab jaen. Yani ye kuch precautions hen jin ko apnany sy ap esy hadsaat sy bach sakty hen. Iss liye jitna ho saky ehtyat karen. Shukriya.
Thanks Themepin sir apki Valuable Suggestions, all mentioned points bilkul 100% Theak han Eid k din qareeb atty han wardaton m boht azafa hu jata han hn mne b kafi videos dakhi han social media pr Choor aurto tk ko b ni chorty han baki ya Wardan krty waqt choor fire kr k jani nuksan b kr jaty han Allah pak he bachy hummy bs duya krni chyee han Allah pak sb ki hafzat rakhy buray waqat sy Ameen