Asslam-o-Alikum kese hai sabi umeed hai sabi ashy se hon gy,
Sab sy phely Ustadon ki azmat ko Salaam peshy karty hai hamien apni life me bhot se log milte hain lekin kuch chand log aise hote hain jo hamari zindagiyon ko hamesha ke liye badal dete hain. Wo humein na sirf ilm dete hain balkay humein zindagi ke asbaaq bhi sikhate hain humein khud par aitmaad karna sikhate hain aur hamare andar chhupi salahiaton ko pehchanne mein madad karte hain. Ye azeem hastiyan teachers he hoty hain. Ustaad wo roshni hain jo hamare zehan o dil ko munawwar karti hain wo rehnuma hain jo humein andheron se nikaal kar kamiyabi ke raste par gamzan karte hain. Ustaad hamari pehli kamiyabi ka jashn manate hain aur hamari pehli nakaami par humein hosla dete hain ke yeh sirf aik qadam hai tum aagay barh sakte ho aur agar sic k mutabiq bat ke jy to bachpon me aik ghar ke tarbiyat aur dosra ustad ke shabashi bhot oper lay jati hai.
To aj is teacher day ke moqa par hum un tamaam asaatza ka shukriya ada karte hain jinhon ne humein zindagi mein aagay barhne ki rahein dikhai aur humein sirf kitabon ka ilm nahi balkay zindagi jeenay ka hunar sikhaya.
Kaha jata hai Bap k sath sath ustaad b apnie shagirdon ke tarqi par fakhar karta hai aur ye b Sach hai k Ustaad aik khwaab dekhte hain aur phir is khwaab ko apne shagird ki aankhon mein haqeeqat bante dekhte hain. Hamray Ustaad sahbi aap ki mehnat mohabbat hamesha hamare dilo mein zinda rahengi.
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Kea chaal haal hai brothers loog
3. ttoanthrhamkonag
8. oynmrnuioanmes
And thanks again is contest ko phir sy continue karnie ka to lo ye rahi meri entry.
3. krogothmanhattan
8. anonymousminer