Analysis of Bitcoin Possible Scenarios and Key Support Levels السلام علیکم و رحمتہ و برکاتہ
To jese k is waqat bitcoin 62k sy b nechy trade ho raha hai agar ham BTC ke chart ko peshy tak dekhyo to hamien 61800 ka level ek mazboot support level nazar ata hai jese k is chart me ap ko dekh ny ko mil jy ga BTC ne is level par baar baar girne ke baad bounce back kiya hai.
Agar market 61800 ko hold kar leti hai to ye ek acha ishaara hoga ke market upar ja sakti hai. Is ke baad market mumkinah tor par 66000 ke rejection level tak ja sakti hai.
Downside ka Scenario Agar market 61800 ko hold nahi karti aur is se neeche closing deti hai to agla aham support level 57500 - 58200 hoga.
Is level par bhi market ki girne aur bounce back ki date mojood hai aur ye ek mumkinah turning point ho sakta hai.
Upar Jaane ka ImkaanAgar market 61500 ko break nahi karti aur wahan do se teen din hold karti hai, to bounce back ka imkaan hai aur market upar ki jaanib ja sakti hai.
Trading ke Ahem Points61500 se neeche break hone par short trade ki ja sakti hai jiska hadaf 58500 hoga.
Agar market 66000 ke qareeb jaati hai aur wahan se reject ho jaati hai to long trade ke imkanaat barh sakte hain. DYOR!
Brother, thanks for sharing your technical analysis and trading strategy. Financial Markets political events se bht mutasir hoti han or khas tor pe risky assets jasa k stock market or Bitcoin es liay Iran or Israel conflict jo k Iran k missiles attacks k baad bht esclate ho gai ha, Bitcoin ki price $5000 k kareeb drop ho gai ha jo k bht significant fall ha.
Going forward, mere khayal mein wisdon will prevail or yeh conflict mazeed spread nhi ho ga or most likely es mein Russia or China ek trh se Iranian position ko support keren gay peace maker ka role play keren gay jo k power balance k liay bht zaruri ha ku k America or almost sub western countries Isreal ko support ker rehe han.
Insha Allah third world war k koi imkan nhi ha. Bitcoin ki $61,500 ki support sustain rehti ha toh Insha Allah market recover ho jai gi. DYOR