السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Blockchain security firm Chainalysis ne Operation Spincaster karty Howie izhaar kiya hai jo ke ek global initiative hai approval phishing scams ko target karne ke liye jis se May 2021 se cryptocurrency mein $2.7 billion ka nuksan hua hai. Ye operation jo Calgary police ke sath March 2024 mein mil kar kiya gaya tha chay mulkon mein mil kar efforts ko shamil karta hai jisme 12 public sector agencies aur 17 crypto exchanges ka hissa hai. April se June tak in operational sprints ke zariye Chainalysis ne saat hazar se zyada criminal leads ko identify kiya jis se illegal funds ko trace aur seize karne criminal accounts ko band karne aur future scams ko prevent ke liye intelligence hasil hui Info
Aur Is initiative ne 3 pronged approach istemal ki public ko approval phishing scams ke baray mein aware karna crypto exchanges ko advanced surveillance tools faraham karna taake suspicious activities ko monitor kiya ja sakeaur law enforcement capabilities ko enhance karna. Ek aham kamiyabi yeh thi ke aik potential victim ko waqt par agah karke six figure sum ka nuksan rok liya gaya. Phil LarrattChainalysis ke director of investigations ne highlight kiya ke company ke investigative tools exchanges ko background checks conduct karne illicit activities monitor karne aur users ke assets ko protect karne mein madad dete hai is tarah fraud aur malicious actors se exposure kam ho jata hai.