Cryptoyar Bhai, apka andesha apni jaga pe bilkul sahi or sari indications bi yehi aa rehi ha k Pakistan tezi se default ki trf br reha ha mgr mery kahayl mein aisa nhi ho ga uski bri waja yeh ha k Pakistan Nuclear country ha or default hony ki soorat mein bht zaydeh anachy paida ho gi or jis se nuclear assets bi compromise ho sakti ha jo na sirf reginal countries k liye blky pori dunia k liay bht kahtanak ho ga. Esi buniyad pe mera analysis yeh ha k aisa nhi ho ga. INSHA ALLAH
Bhai current government MPAs ko khareed rahi hai ta kay wo pervaiz alahi ka rasta rok saken kiyunki unko pata hai agar pervaiz Elahi chef minister Punjab bana to wo assembly dissolve kar dega air isi koshish mein paisa chalaya ja raha hai. Aur har MPA Jo 40 se 50 crore mein khareeda ja raha hai... And mujhe nahin lagta kay ye paisa wo apni jaib se pay Karen gaye, chalo ye bhi maan lein kay wo ye paisa khud se laga rahe hain par baad mein ye log kitne x iska corruption Karen gaye hum andaza bhi nahin laga sakte.
Aur IMF bhi Pakistan ko loan nahin dene ja raha. Unko kehna hai pehle Saudi Arabia se lo phir hum den gaye. Saudis kehte hain pehle IMF se loan lo tabhi hum bhi denge loan.
Aise mein hamza sahib 100 units electricity free de raha hai, jabke pehle hi hum economically, strong nahin kay aisi offers dayen. Lekin nahin inko to sirf election jeetna hai.
they don't care about people's opinions and voting. Sharam naam ki koi cheeze ni hein ain mein.
Unko sirf power mein rehna hai. Unko is bat se koi Matlab nahin awam ki kya rai hai... Yahi log they na jo kehte phirte thay "VOTE KO IZAT DO" aj khud se yahi sawal karna chahye kya wo vote ko izat de rahe hain.
Len ji Tesla ny bhi 75% Bitcoin sell kar diye hen.
Jab ky ap Elon Musk purana tweet bhi dekhen.
Or Ye bhi ik UTURN hi hai.
Ye market mein hota rehta hai. Aik taraf seller hota hai to doosri taraf buyer. Aise hi market kaam karti. Elon ne sell kar diye aur kisi aur ne buy kar liye.
Wesy inhone loss mein sell kiyun kiye honge ye thoda ajeeb hai.
[..]
Wese dekha jaye to itna khas farq nai parra iss selling sy.
OTC (over the counter) par sell karne se market par utna asar nahin padta.