Yaha par kuch sathio ne Zakaat k baare ma kuch masle bian kiye. Umar idrees sahib ne bhot acha jawab diya. Yaha par ma aona knowledge b Share krna chahta ho.
Zakaat k baare ma bunyadi bath ye k ha
zakaat kis par wajib ha
Har muslman,Aaqil,Baligh jb us k pas utna paisa aa jae jo zakaat ki nissab ko pohnch jae aur saal guzar jae.
NisaabZakaat ka nisaab 7 1/2 tola sona ya 52 1/2 tola chandi ya etne miqdaar ma maal ho.
Asal nisaab sona aur chandi ha. Aur har zamane ma chon k qeemat badalti rehte ha kehaza sone aur chandi ma jis ki qeemat km honge wohi nisaab shumar hoga
Maslan 52 1/2 tola chandi ki qeemat 75k ha ajkal taqreban Aur 7 1/2 ki qeemat 7 lakh+ tho hisaab chandi ka higa aur 1 tola sona par b zakaat wajib higa
Agr kal ko chandinki qeemat 3 lakh aur sone ki qeemat 2 lak ho tho hisaab chandi ka lagaya jaega
Mukhtasar ye k jis ki qeemat km ho usi ka hisaab higa. Esi ma ghareebo ka faida ha.
Note: zakaat 5 cheezo par wajib hotha ha
1: Sona 2: Chandi 3: Naqd maal 4: zrorat se zaid samaan 5: karOborY samaan
Jb zakaat nekala jae tho en tamam cheezo ki qeemat ko jama kiya jae aur qarz ko us se minus kiya jae.
Karobar aur dukan ma sirf us maal pe zakaat Hoga jo sell K liye ho. Machines jis se maal bnta ho ya shop par zakaat na hoga.
http://Kb Wajib ha:Jb saal pora hi jae thb zakaat dina farz ha maut se pehle mgr jaldi krna behter ha.
Note: ye bath smaj le k jis din ap k pas etna maal aa gia k us ki qeemat nisaab ko pohnch gai wo date note krna lazmi ha. Ye date poori umar k liye apka zakaat date hogia.
Es date ko islami date ma convert kre.
Ab jb b ye islami date ae tho ap ne apne tamam Nisaab k hisaab Krna ha aur 2.5% hisa dina ha.
Agr kisi ko date yad nhe tho wo poori koshish kre k thareekh yad kre agr belkul pata na chalta ho tho mahina yad kre ayr mahine ki koi tareekh khud muntakhab farmae.
Agr mahine ka b pata na chle tho per koi b tareekh muntakhab kre mgr note kr le q k Esi din hee tamam hisaab lagana higa.
Maslan apka date 12 jan 2021 aisa date tha k ao k pas nisaab poora hwa tha tho ap ne esko islami date ma convert krna ha maslan 6 Rajab bna tho agle saal 6 rajab ko apne tamam samaan k hisaab lagana ha.
Agr kisi k pas 5 rajab ko 20k Rupees the only mgr 6 Rajab ko 10 Btc agae tho per zakaat 10 btc ka lagaya jaega.
Esi tarah agr kisi pas 5 rajab ko 500 Btc the mgr 5 rajab he ko km ho k 20k only rehgae tho zakaat wajib na hoga.
Note: Saal guzarne ka matlb ye nhe k usi maal par saal guzar jae balke matlb ye saal guzarne k bad usi tareekh ko dikha jaega k ap k pas nisaab pora ha ya nhe
Ada kb krna ha.Jaise he Wajib ho us waqt ad kre tho behter ha Ramzan thk wait zrori nhe. Ha ramzan ma sawaab ziada ha.
Agar kisi ne 5 saal ka zakaat ada nhe kiya tho sb saalo ka zakaaat ada krna zrori ha maut se pehle. aur hisaab hr saal ka agr sona tho jis saal wajib hwa rhe usi hisaab se lagaya jaega.
Aur kis ko dina haWese tho 8 marig quran ma bian hi chke ha. Mgr mukhhtasAr ye k hr wo shaks jo khud nisaab ka malik na ho aur musalan hi de sakte ha. Bhai ya behen ko zakaat de sakte ha agr ghareeb ho ya qrz .
Baap,Dada,maa,nani aur aulaad ko nhe de sakte. Masjid ma nhe de sakte q k maalik bnana shart ha ha madrassa ma de
sakte ha
SawaabPorri dunya ka maal sadqa kro , zakaat k 1 rupe k sawaab se km ha es liye jO zakaat farz ha aur farz thk koi ibadat nhe oihnch skati jo nafli ho.