Pages:
Author

Topic: Pakistan - page 81. (Read 6039506 times)

sr. member
Activity: 420
Merit: 325
Trade Big, Win Bigger!
June 24, 2024, 11:40:39 AM
Scammers Target Coinbase, Most Impersonated Crypto Brand



السلام علیکم
Ek haal hi ki report ke mutabiq Coinbase Web3 space mein scammers ke liye sabse zyada impersonate kiya gaya crypto brand hai. Pichle char saalon me Coinbase ka naam fraudulently 416 phishing attacks mein istemal hua jismein scammers investors ko apni digital assets bhejne par majboor karte hain. Iske bawajod Coinbase duniya ka dosra bara centralized cryptocurrency exchange ha jiska rozaana trading volume $1.8 billion se zyada hai aur trust score bhi bohat acha hai. Report ne 1.14 million scams ka tajziya kiya, jismein se 249,000 incidents mein companies ya organizations ka naam fraudulently istemal hua. source


Jabke Coinbase crypto firms mein sabse zyada target hota ha traditional brands bhi scammers ka nishana bante hain. Facebook ki parent company Meta sabse zyada impersonate ki gayi brand ha. jismein 10,457 scams report hui. Doosri aam brands jo target hoti hain unmein U.S. Internal Revenue Service Bank of America aur Mastercard shamil hain. last 13 years mein crypto scams ne lagbhag $19 billion churaye ha jismein bara thefts jaise 2019 ka Plus Token fraud bhi shamil hai. 2024 ke pehle quarter me 2023 ke mukablay mein stolen funds mein 42% ka izafa dekha gaya jo ke crypto hacks aur unki mainstream trust aur adoption par asar ko highlight karta ha
sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
June 24, 2024, 08:05:59 AM
Bitcoin Lightning hacker Burak introduces new layer 2 ‘Brollups

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Bitcoin developer Burak me aik  naya layer 2 solution pe kaam kar rahe hain jise Brollups kaha jata hai. Yeh technology decentralized finance DeFi ke ziada tar use cases ko support karne ka irada rakhti hai . jaise ke NFT sales aur decentralized exchanges par token order bina kisi Bitcoin hard fork ya non-Bitcoin token ke. Brollups Bitcoin ke sath gehrai se integrated hain aur Bitcoin Virtual Machine ko transaction execution ke liye istemal karengi jahan operators liquidity provide karenge aur rollup state ko chained Bitcoin transactions ke zariye advance karenge.



Burak ke pichle projects mein Lightning Network ka mukabala karne wala Ark Protocol shamil hai jo payments par focus karta hai. Unka naya project Brollups abhi design phase mein hai aur is saal ke akhir mein testnet rollout ki umeed hai. Bitcoin community ne Burak ko is scaling solution ko bina Bitcoin ke core structure mein bara tabadla kiye baghair banane par kafi saraha hai. Yeh taraqqi Drivechain aur Spiderchain jese projects ke sath milkar Bitcoin ki DeFi capabilities ko barhane ki koshishon ka hissa hai Info
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
June 23, 2024, 10:12:15 PM
New Target: Bitcoin prepping breakout with '$90K+' BTC price target

breakout-90k-btc-price-target-new-analysis] source [/url]

السلام علیکم بھائیوں، امید ہے سب ٹھیک ہو گئے

Bitcoin ek potential price breakout ki tayari kar raha hai aur do classic indicators bullish conditions ka ishara de rahe hain. Mashhoor trader Roman ne X (pehle Twitter) par highlight kiya ke weekly chart par Relative Strength Index (RSI) aur Bollinger Bands ek possible upward move ko indicate kar rahe hain. Bitcoin ke liye June utna achha nahi raha magar higher timeframes promising signs dikha rahe hain jahan BTC all time highs ke neeche consolidate ho raha hai jo bull market ka typical behavior hai. Roman ne price aur RSI ke darmiyan bullish divergence ko note kiya aur tightening Bollinger Bands ka zikar kiya jisse increased volatility aur ek potential price surge ka andaza hai. Unho ne suggest kiya ke ye BTC ko naye all-time highs tak push kar sakta hai shayad $90k ya usse zyada tak.

Dusre analysts bhi Bitcoin ke mustaqbil ke liye positive signs dekh rahe hain. Kuch failed predictions haise ke June mein $80,000 ka target ke bawajood optimism ab bhi maujood hai. Daan Crypto Trades ne mention kiya ke favorable macroeconomic conditions jaise ke U.S. equities ke record highs aur girti hui bond yields ek strong BTC performance ko support kar sakti hain. Unka manna hai ke timing uncertain hone ke bawajood Bitcoin ka price significantly barh sakta hai aksar jab ye momentum gain karta hai to spectacular manner mein rise hota hai. Ye historical trends ke sath align karta hai jahan favorable economic conditions ne Bitcoin aur broader crypto market ko faida pohanchaya hai.

Walaikum salam brother, ho sakta ha aany waly dino mein Bitcoin mein break out aai or wo $90K tak reach ker jai laikin filhal toh lugta ha k $63K ki support bi toot jai gi or phir next support $59K ha woh kafi strong ha or vehan se mazi mein ek bra break-out aya tha.

Bht sary prominent market analysts ki strong opinion ha k Bitcoin $57K tak drop ho ga or phir vehan se price-recovery ho gi. Let's watch and wait, aaj new week ka first day ha or USA ki market open k baad sham ko Bitoin market mein kafi volatility expect ki nja rehi ha. DYOR
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
I ❤️Bitcoin
June 23, 2024, 04:15:30 PM
Ye to bohat hi khatry wali bat he ap ky liye. SAB sy pehly to shikar Karen ky Kuch nuqsan hony sy bach Gaya or agar wo sath waly Ghar my jany ki koshish Kar Sakta he to ap ky Ghar q nai to shikar to ye he ky guard ny Dekh Kiya nai to bicharon kaa pata nai Kitna nuqsan ho Jata ye to bohat achi bat he ky ab guard ny SAB ko agah Kar Diya he Jo ky mery nazdeek Hona bhi chahye. Ab theory chukanny rahen gy to best rahy gaa.
Yeh toh kuch Nahi haa Abhi toh is Sy bar kar cheezy ho rahe ha aur woh ha snatching, Jo ky mostly pahly Karachi Mai Howa Karte te but jistarah Sy yeh mehengai bare haa ab yeh poory paksitan Mai pail Gaye ha aur hoga bhi isliya q ky Ameer Ameer tar aur ghareeb ghareeb tar hooty Ja rahy haa. Hum Mai sy koi zakat Nahi daita taaky un ghareebo Ki madad hosky aur phir ap gharo Mai chicken aur meat daily ly ky jaaty ha aur inky bachy bhok Sy ro rahy hoty ha toh unko thori hazm hoga. I know sab aisy Nahi ha but high number Mai aisy ha.
Abhi recently Mai NY ik video daikhe jis Mai Banda keh raha ta ky muj pa gun rakh ky paisy liya Gai but last Mai Kaha uncle Mai majboor hu ammi ki dawai ky liya paisy chahiya aur ha Nahi agr zindagi Mai dobara mooka Mila toh yeh zaroor lota dunga. So isse tarah logo Sy laakho rupees it phones , jewelry, cars aur sab unky Samny liya Gai toh bs ALLAH maaf kary ajkal koi jagaa safe Nahi ha
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
June 23, 2024, 03:37:33 PM
Humein ye yaad rakhna chahiye k hamien local board hansal Karna hai aik dosray ka saath dein aur apni community ko aik mazboot aur active community banayein.
Assalamualaikum warahmatullahe wabarakatuho bro.kaise Hain ap.
Bahi ye tu ha community thori se down fall kar rahi ha aur es ki waja be hum khud he Hain q ke hum post nahe kar Rahe aur jab month ke akher ma summary melti ha tu pir hum sub afsoos kar Rahe hote Hain. Pir es afsos ka be koi faida nahe hota pir se wahe routine Hoti ha pehla pehla yahn per monthly post 700 se be uper chale jate te aur abi 500 se be har month kam hote ja Rahe Hain. Hame Kuch karna chaye ek team banan chahye Kuch memebers ki aur UNka kam be serf ye hoga ke wo dusro ko zyada se zyada encourage kare post Karne ke Leye per post be aysa ho ke quality Wala ho take kesi member ka time zaya na ho aur sekne ko be Kuch mele es trah activity be zyada hoge aur hame seek e ko be melega buhat Kuch.

Unity Is Strength
Correct brother, but agr community Mai daikha jai toh woh bohout saary members including ap Jo mostly din mai ik adh post Karliya karty Ty ab woh bhi Nahi ho pa rahe ap Sy, Kabhi top of the list aany waly hamary UmerIdrees Saab completely kamoshi Sy haa aur isky sath sath Hamza, Faisal, aur gladiator ky almost na hoony ky baraber post haa

aur Baki toh completely off colour hogai jis Mai Honda, anonbitcoiner, mfahad, watche, aur bohout saary name haa Jo Mairy khayal sy in previous 2+ month Mai ik post bhi Nahi ke toh farq toh pary ga aur zaroor pary ga. Aur signature walo ny toh hamara system kharab kardiya ab binah paisy ky koi post kar Nahi raha aur signature already km haa toh wajohaat kafi zyada haa opener Sy bull season haa log waha Sy paisa bana rahy ha aur airdrops bhi Chal rahe ha toh phir usky Samny yeh paisy km haa toh priority waha pa jate aha ab daikhty haa kab hamary user wapis apny kochy Mai aaty ha
full member
Activity: 235
Merit: 136
Part of AOBT Gang - English Translator to Urdu
June 23, 2024, 03:01:28 PM
New Target: Bitcoin prepping breakout with '$90K+' BTC price target

source

السلام علیکم بھائیوں، امید ہے سب ٹھیک ہو گئے

Bitcoin ek potential price breakout ki tayari kar raha hai aur do classic indicators bullish conditions ka ishara de rahe hain. Mashhoor trader Roman ne X (pehle Twitter) par highlight kiya ke weekly chart par Relative Strength Index (RSI) aur Bollinger Bands ek possible upward move ko indicate kar rahe hain. Bitcoin ke liye June utna achha nahi raha magar higher timeframes promising signs dikha rahe hain jahan BTC all time highs ke neeche consolidate ho raha hai jo bull market ka typical behavior hai. Roman ne price aur RSI ke darmiyan bullish divergence ko note kiya aur tightening Bollinger Bands ka zikar kiya jisse increased volatility aur ek potential price surge ka andaza hai. Unho ne suggest kiya ke ye BTC ko naye all-time highs tak push kar sakta hai shayad $90k ya usse zyada tak.

Dusre analysts bhi Bitcoin ke mustaqbil ke liye positive signs dekh rahe hain. Kuch failed predictions haise ke June mein $80,000 ka target ke bawajood optimism ab bhi maujood hai. Daan Crypto Trades ne mention kiya ke favorable macroeconomic conditions jaise ke U.S. equities ke record highs aur girti hui bond yields ek strong BTC performance ko support kar sakti hain. Unka manna hai ke timing uncertain hone ke bawajood Bitcoin ka price significantly barh sakta hai aksar jab ye momentum gain karta hai to spectacular manner mein rise hota hai. Ye historical trends ke sath align karta hai jahan favorable economic conditions ne Bitcoin aur broader crypto market ko faida pohanchaya hai.
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
June 23, 2024, 02:55:58 PM
Humein ye yaad rakhna chahiye k hamien local board hansal Karna hai aik dosray ka saath dein aur apni community ko aik mazboot aur active community banayein.
Assalamualaikum warahmatullahe wabarakatuho bro.kaise Hain ap.
Bahi ye tu ha community thori se down fall kar rahi ha aur es ki waja be hum khud he Hain q ke hum post nahe kar Rahe aur jab month ke akher ma summary melti ha tu pir hum sub afsoos kar Rahe hote Hain. Pir es afsos ka be koi faida nahe hota pir se wahe routine Hoti ha pehla pehla yahn per monthly post 700 se be uper chale jate te aur abi 500 se be har month kam hote ja Rahe Hain. Hame Kuch karna chaye ek team banan chahye Kuch memebers ki aur UNka kam be serf ye hoga ke wo dusro ko zyada se zyada encourage kare post Karne ke Leye per post be aysa ho ke quality Wala ho take kesi member ka time zaya na ho aur sekne ko be Kuch mele es trah activity be zyada hoge aur hame seek e ko be melega buhat Kuch.

Unity Is Strength
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
June 23, 2024, 02:43:16 PM
Post activity per local board during May 2024

Waalikun assalam allahamdulila umeed hai ap thik Hun gy.
Ye Hamari community ko din ba din down kuin Hoti jarahi hai  .  April mein 534 post thi Jo ke bhot Kam thin aur  May k  mahinay mein bhi 500 se zyada post hone ki bajaye dobara kam ho gayi hain. Aisa lagta hai ke humein community ko ek pre-workout ke zarorat hai jis se boost mil sake.
Dosto  hosla karein aur rozana aik post karein. Hamare paas 33 active members hain aur agar har member rozana aik post kare to mahinay ke 990 post ban sakti hain. Sab koshish karein ke community mein zyada se zyada active rahien.
Har aik member ki post hamari community ki taraqqi ke liye intehai ahem hai. Humein is baat ka ehsaas hona chahiye ke hum sab ki thori si mehnat majmooi tor par bohot bari tabdeeli la sakti hai. Apni rozmarra ki masroofiyat mein se kuch waqt nikaal kar 1 post karna community me lazmi karien .

Humein ye yaad rakhna chahiye k hamien local board hansal Karna hai aik dosray ka saath dein aur apni community ko aik mazboot aur active community banayein.
Yeh haqeeqat haa ky hamare community Ki performance pahly jaisy Nahi rahe same like paksitan cricket team aur pahly Sy zyada merit bhi mil rahy ha per post but phir bhi ustarah ki chass Nahi arahe jaisy dedication aur kuch karny ka janoon ta so Maire Rai yeh ha ky ab kuch apny aas pas daikh lo apny dosto, hamsayo ya koi bhi deserving bandy ko utawo thoore bohout samjo aur yaha ly ao yaqeen Mano Jo low rank aur new member Ki dedication hote ha Poora thread akaily dam active rakhy ga aur sab Cheez Mai participate Karky sabsy highest number of post kary ga, jaisy Abhi paksitan team Mai hony ja raha ha, so much information aur agr kuch discussion bhi hojai tamam user ky beech kuch mudo pa toh Mairy khayal sy sabky post bhi complete hongy aur hamary number bhi increase hongy toh kaisy Laga idea apni Rai zaroor share kary
Zabardast Bhai Kia kamal ka idea ha bilkul koshsih krni cahye kah kasi ko fourm par lay kar ayy but ik masla ya hai kh new banda jaldi he demotive hu jata hai agr much month regular posts bi kar lay ga but agr osay kuch earning na hovi to wo huemsha ka lay forum ko chor kar cahala bi jaa sakta hai is lay community ma koi chota mota contest lazmian run krna chaye takh jin ka koi source of earning ni to apna honour kasi contest ma dakha kar rwward win kary or community ma naam ronish kary jasy ki masal abi recent jo pizza party contest hu raha hai but is ka lay apk skill set boht zadya bhter hona chaye hai dosri bat jo ma smajta hu kah kasi uneducated bandy ko community ma ni add krna cahye is say spam bi increase hu skta but yaha par guide krnt waly loog bi majood hai is lay ya step lay skaty hai jas sy ik to active user ma azifa hu ga or humri community ki posts bi increase hu ge
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
I ❤️Bitcoin
June 23, 2024, 01:12:35 PM
Post activity per local board during May 2024

Waalikun assalam allahamdulila umeed hai ap thik Hun gy.
Ye Hamari community ko din ba din down kuin Hoti jarahi hai  .  April mein 534 post thi Jo ke bhot Kam thin aur  May k  mahinay mein bhi 500 se zyada post hone ki bajaye dobara kam ho gayi hain. Aisa lagta hai ke humein community ko ek pre-workout ke zarorat hai jis se boost mil sake.
Dosto  hosla karein aur rozana aik post karein. Hamare paas 33 active members hain aur agar har member rozana aik post kare to mahinay ke 990 post ban sakti hain. Sab koshish karein ke community mein zyada se zyada active rahien.
Har aik member ki post hamari community ki taraqqi ke liye intehai ahem hai. Humein is baat ka ehsaas hona chahiye ke hum sab ki thori si mehnat majmooi tor par bohot bari tabdeeli la sakti hai. Apni rozmarra ki masroofiyat mein se kuch waqt nikaal kar 1 post karna community me lazmi karien .

Humein ye yaad rakhna chahiye k hamien local board hansal Karna hai aik dosray ka saath dein aur apni community ko aik mazboot aur active community banayein.
Yeh haqeeqat haa ky hamare community Ki performance pahly jaisy Nahi rahe same like paksitan cricket team aur pahly Sy zyada merit bhi mil rahy ha per post but phir bhi ustarah ki chass Nahi arahe jaisy dedication aur kuch karny ka janoon ta so Maire Rai yeh ha ky ab kuch apny aas pas daikh lo apny dosto, hamsayo ya koi bhi deserving bandy ko utawo thoore bohout samjo aur yaha ly ao yaqeen Mano Jo low rank aur new member Ki dedication hote ha Poora thread akaily dam active rakhy ga aur sab Cheez Mai participate Karky sabsy highest number of post kary ga, jaisy Abhi paksitan team Mai hony ja raha ha, so much information aur agr kuch discussion bhi hojai tamam user ky beech kuch mudo pa toh Mairy khayal sy sabky post bhi complete hongy aur hamary number bhi increase hongy toh kaisy Laga idea apni Rai zaroor share kary
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
June 23, 2024, 10:47:07 AM
Assalamualaikum tmam bhaio Ko! Umeed Katya ho sab khariyat sy ho gay!

Post activity per local board during May 2024

Waalikun assalam allahamdulila umeed hai ap thik Hun gy.
Ye Hamari community ko din ba din down kuin Hoti jarahi hai  .  April mein 534 post thi Jo ke bhot Kam thin aur  May k  mahinay mein bhi 500 se zyada post hone ki bajaye dobara kam ho gayi hain. Aisa lagta hai ke humein community ko ek pre-workout ke zarorat hai jis se boost mil sake.
Dosto  hosla karein aur rozana aik post karein. Hamare paas 33 active members hain aur agar har member rozana aik post kare to mahinay ke 990 post ban sakti hain. Sab koshish karein ke community mein zyada se zyada active rahien.
Har aik member ki post hamari community ki taraqqi ke liye intehai ahem hai. Humein is baat ka ehsaas hona chahiye ke hum sab ki thori si mehnat majmooi tor par bohot bari tabdeeli la sakti hai. Apni rozmarra ki masroofiyat mein se kuch waqt nikaal kar 1 post karna community me lazmi karien .

Humein ye yaad rakhna chahiye k hamien local board hansal Karna hai aik dosray ka saath dein aur apni community ko aik mazboot aur active community banayein.


sr. member
Activity: 854
Merit: 364
I ❤️Bitcoin
June 23, 2024, 10:44:40 AM
In my point of view ye hmari adlya par ek swalya nishan hai. Agar hmara insaaf chand takkon par naa bikta hota to shayad esa kabhi bhi naa hota. Yani ap zara zyada door naa jaen ap thora saa pichy chaly jaen. Ek Namus e Risalat ﷺ kaa case wo maseehi orat Asia wala. Jis ko already phansi ki saza ho chuki thi or wo etraafe jurm bhi kar chuki thi. Lekn kaya huwa hmari adaalton ny ussy barri kiya or phr hukumat ny with protocol ussy baahir bhi bheja. Yaani insaaf to chala gaya tel leny.

Ab agar yahan qaanun hota or in hassas maslon par ussi waqt foran action liya jata to esy masly pesh naa aaty. Ab koi gustakhi kar ly or hmara qanun un ko chor dy to awam kaa dill to paash paash hoga naa. Ab ap ko pata najaany kitny hi cases hen Namus e Risalat ﷺ ky jo ky pending hen or un par fard e jurm aaid bhi ho chuki hai lekn un ko saza nai di jaa rahi. Agar yahan qaanun ki paasdaari hoti or logon ko pata hota ky haan hamen hmari adalten insaaf den gi. To wahan jahan ye waqiya huwa wahan kissi naa kissi n zrur kehna thaa ky iss ko police ky hwaly kiya jaaye. Or agar phr bhi esa naa hota or log ye kaam karty to jinhon ny kiya hai un ko pakra jata or pucha jata ky ap ny esa kiu kiya jab ky adalat mojud hai jo filfor saza deti hai. Lekn jab logon ko insaaf nai mily gaa to koi bhi us ko police ky hwaly karny ki bat nai kary ga.

Mery nazdeek in hassas maslon kaa hall sirf ek hi hai ky hmari adalat esy cases ko lamba naa kary jald az jald adalat bethy or agar jurm sabit ho to foran saza di jaye. Taa ky next koi esaa kaam karny ki koshish hi naa kary. Or ussy para ho ky ainda esa kaam nai karna.
Apki baat Sahi haa aur Mai is Sy Poora agree hota Hu ky ajkal hamary adalty kuch rupo ky iwaz insaaf ka faisla karny Sy kasir haa aur jiski wajah Sy log in jaraim ko khud saza daity ha na ky police ky hawaly Karky adalti karwai karty. But yaha pa masla kuch alag haa yaha pa koi zaate dushmani ka badla bhi hosakta ha q ky Jo victim inho ny pakra ta woh Muslim ta aur Shayad Punjab ky Kisi side ka ta aur yeh log keh rahy haa yeh yahoode ta waghaira waghaira aur main baat jis par usse mout Diya gaya yani quraan Ki toheen toh usky khilaf koi saboot Nahi haa Jo yeh sabit karsky ky us ny yeh Kiya tab saza daity even ky us ny room ky andr Kiya inky mutabiq toh waha toh koi camera ya koi ta bhi Nahi toh kaisy inko maloom Howa.
Mujy same yeh mashal name ky student ka case lag raha ta jaga zaate jeoulusy aur dushmani Ki wajah Sy usko maar Diya aur AJ tak uska Jo bahurmate wlaa mamla ta sabit Nahi Howa toh mujy laghta ha government ko is pa strict action lainy chahiya taaky mujrimo ko saza mil skay
sr. member
Activity: 420
Merit: 325
Trade Big, Win Bigger!
June 23, 2024, 10:34:21 AM
MakerDAO Delegate Loses $11M in Phishing Scam



السلام علیکم
MakerDAO ke governance delegate ne 11$ million ke tokens ek phishing scam mein kho diye jab unhone kai phishing signatures sign kiye. Scam Sniffer ne ye waqia 23 June ko detect kiya. Delegate jo Maker protocol mein aham faislay karte hain ne 3657 aEthMK tokens scammer ke address par transfer kiye aur ye transaction sirf 11 seconds mein confirm hogayi. Ye loss crypto ecosystem mein aham logon ki phishing scams se kamzori ko highlight karta hay

Phishing scams jaise ke approval phishing victims ko dhoka de kar transactions sign karwate hain jo scammers ko unke wallets ka access de dete hain. Ye scams aam hain jahan scammers reputable entities ban kar logon se sensitive information le lete hain. Scam Sniffer ke report ke mutabiq 2023 mein phishing scams ne 320,000 users se $300 million chheen liye aur kuch victims ne millionon kho diye. Ye case crypto community mein badi losses ko rokne ke liye zyada security measures aur awareness ki zaroorat ko ujagar karta ha
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
June 23, 2024, 02:47:58 AM
German Government's Massive Bitcoin Moves Spark Market Panic


source [/center]

السلام علیکم
German government ne hal hi mein takreeban 200 Bitcoin Coinbase ko transfer kiye jis se cryptocurrency market mein panic paida ho gaya. Ye qadam ek bade transfer ka hissa ha jismein government ne 6,500 BTC jo ke $425 million se zyada ki qeemat ke hai 19 June ko shift kiye. In transactions mein 6,500 BTC ek wallet mein aur 2,500 BTC doosre wallet mein transfer kiye gaye. Iske ilawa char 500 BTC alag transactions kiye gaye jo Bitstamp aur Kraken jaise exchanges ko bhi shamil karte hain saath hi Coinbase ke.

Arkham Intelligence ne yeh bhi bataya ke German hukoomat ke paas approx 50,000 BTC hai jo ke $3.04 billion ke qareeb ha aur yeh Movie2k website operator se February 2024 mein qabza kiye gaye the. Yeh transfers kyun kiye ja rahe ha yeh abhi tak wazeh nahi hai, lekin bohot se log samajhte ha ke hukoomat in assets ko bechne ki tayyari kar rahi ha. Aisa karna Bitcoin ke price par bara asar daal sakta ha. government ke bara holdings aur recent transactions ne cryptocurrency market mein volatility aur uncertainty ko highlight kiya ha jo investors ke jazbat par asar dalte ha

Walaikum salam brother, 6,500 bBitcoin ka Binance mein transfer kerny ka mtalab usually yehi lia jata ha unko sell kerna ha jis se market mein negative sentiment create ho ga or volatility mein mazeed izafa hoi ga. Market mein already liquidity ki kami es liay Bitcoin mazeed drop ho sakta ha. Es waqqt Bitcoin 64,361 pe trade ho reha ha agr market mein selling aati ha toh pehli support $63K k pass ha or us k baad next strong support $59K k kareeb ha.

Overall this event se short term mein volatility zarur paida ho gi mgr hum nay apny experience se yeh learn kia ha k Bitcoin ki large quantity mein sales gradually abosrb ho jati han or aista aista market dobra stablize ho jati ha. DYOR
full member
Activity: 409
Merit: 211
Addicted to HoDLing!
June 22, 2024, 11:59:42 PM
Binance Freezes $5.3M in Stolen Funds from BtcTurk Hack  

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal ha mry pyary dosto

 Binance Turkish crypto exchange BtcTurk ki madad kar raha hai aik cyber attack ki tehqiqat me aur $5.3 million se zyada ke chori huye funds freeze kar diye ha yeh baat Binance ke CEO ne confirm ki ha. Ye attack hot wallets par hua tha jo internet se connected hote hain aur hacking ke liye zyada vulnerable hote ha. BtcTurk jiske 5 million se zyada users ha ne kaha ke sirf 10 cryptocurrencies ke kuch balances hi is attack se mutasir hue ha jabke zyada assets cold storage mein mehfooz hn. Binance ke proactive security efforts ko tareef mili ha aur CEO Teng ne yeh yaqeen dilaya ke tehqiqat ke updates lagataar diye jayenge info



Blockchain investigator ZackXBT ne Binance ki security incidents ke douran madad ko saraha, aur kaha ke yeh victims aur broader crypto community ki madad mein bohat koshish karte hain. Yeh waqia dusri security breaches ke baad aya jaise ke Switzerland-based crypto exchange Lykke par attack jisme $19.5 million ke crypto assets kho diye gaye aur withdrawals rokh diye gaye.
In challenges ke bawajod Binance ki incident response mein active involvement dikhati hai ke woh ecosystem ki security maintain karne ke liye kitne committed hain. BtcTurk ke CEO ne abhi tak is mamle par public comment nahi kiya aur tehqiqat se mazeed tafseelat ka intezar ha
sr. member
Activity: 616
Merit: 384
June 22, 2024, 09:06:40 PM
1,590 CoinStats Crypto Wallets 'Impacted' by Security Breach

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea chaal haal hai brothers loog


Cryptocurrency portfolio manager CoinStats nei users kou aek security breach kei bareay mei btaya hai jou 1,590 crypto wallets kou affect krta hai. Unhou nei ye issue solve krnei kei leiye temporarily user activity suspend keir dei hai aur yakeen dilaya kei breach kou mitigate keiar deaya geaya hai. CoinStats nei zour deaya kei sirf 1.3% wallets impact hueay hai aur koe connected wallets yaa centralized exchanges effect nae huee. Unhou nei breach kei fully tafseil naei de but promise kea kei jaeld sei jaeld updates deingei. CoinStats nei temporarily apnei application aur website kou shut down keir deaa hai taake security incident kou isolate keir sakeeay aur users kou mashwara dea kei affected wallets kei funds kou apne exported private keys kaa istemal kertei hue foran move krein.



Company nei aek Google document publish keaa hai jou affected wallets kei list bataata hai aur users kou potential scammers sei save ka warning dei hai jou help krnei kaa drama keir sktei hai. Yei breach crypto industry mei brhtei hue security incidents kei trend ka hessa hai. Mesaal kei tauor peir CoinGecko nei recently confirm keaa kei unkei third party email management platform GetResponse nei data breach face keaya jo 1.9 million users kou affect keurta hai. Iske elawa crypto industry nei peachleay 13 saaloun mei 785 reported hacks aur exploits deikhei hai aur 2011 sei almost $19 billion ke digital assets steal hue hai. source

hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
June 22, 2024, 08:38:08 PM
Madyan Incident
Jaisa ky ap sab social media Sy wakif ha aur social media pa ik incident kafi trending Mai ha aur woh haa ik bandy ko Qur'an ky jalany ky ilzam par poory city ny mil kar mar Diya, is sy pahly woh police custody Mai ta but Poora gawo bandooko samaith waha taany Mai Gus Gai aur taany ko aagy lagany ky baad bandy ko waha Sy mar kar uta liya aur usky baad jala Diya. Toh teek haa qanoon ik country Mai Isliya hota ha ky woh dono parties ky bayanaat ly ky usky base par decision kary but yaha toh Kisi ny doosry Ki Suni Nahi bs jis ny Kaha us ky peechy Chal pary. Ab is baat ka Kon Shahid ha ky waqi is NY Kiya aur agr Kiya toh Kya wajah tee bs Nahi Kisi ny daikh Nahi aur poocha Nahi aur mar Diya.

Kuch logo ky mutabiq yeh koi zaati dushmani ya jagry Ki wajah Sy Howa bs bandy ny mooky ka faida otaya aur bs Jo mu Mai ayaa bool ky bandy ko side line kardiya. Jis bandy NY drama start Kiya uski interview social media pa ha usky paas koi evidence Nahi sab usy comment Mai zaleel kar rahy ty.

Toh apki Rai Mai yeh bandy ky sath Sahi Howa agr suppose is ny Kiya toh wajah jaanya zarori Nahi ta aur kud Sy faisla Karna zarori ta apni Rai ka izhar kijiya
In my point of view ye hmari adlya par ek swalya nishan hai. Agar hmara insaaf chand takkon par naa bikta hota to shayad esa kabhi bhi naa hota. Yani ap zara zyada door naa jaen ap thora saa pichy chaly jaen. Ek Namus e Risalat ﷺ kaa case wo maseehi orat Asia wala. Jis ko already phansi ki saza ho chuki thi or wo etraafe jurm bhi kar chuki thi. Lekn kaya huwa hmari adaalton ny ussy barri kiya or phr hukumat ny with protocol ussy baahir bhi bheja. Yaani insaaf to chala gaya tel leny.

Ab agar yahan qaanun hota or in hassas maslon par ussi waqt foran action liya jata to esy masly pesh naa aaty. Ab koi gustakhi kar ly or hmara qanun un ko chor dy to awam kaa dill to paash paash hoga naa. Ab ap ko pata najaany kitny hi cases hen Namus e Risalat ﷺ ky jo ky pending hen or un par fard e jurm aaid bhi ho chuki hai lekn un ko saza nai di jaa rahi. Agar yahan qaanun ki paasdaari hoti or logon ko pata hota ky haan hamen hmari adalten insaaf den gi. To wahan jahan ye waqiya huwa wahan kissi naa kissi n zrur kehna thaa ky iss ko police ky hwaly kiya jaaye. Or agar phr bhi esa naa hota or log ye kaam karty to jinhon ny kiya hai un ko pakra jata or pucha jata ky ap ny esa kiu kiya jab ky adalat mojud hai jo filfor saza deti hai. Lekn jab logon ko insaaf nai mily gaa to koi bhi us ko police ky hwaly karny ki bat nai kary ga.

Mery nazdeek in hassas maslon kaa hall sirf ek hi hai ky hmari adalat esy cases ko lamba naa kary jald az jald adalat bethy or agar jurm sabit ho to foran saza di jaye. Taa ky next koi esaa kaam karny ki koshish hi naa kary. Or ussy para ho ky ainda esa kaam nai karna.
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
June 22, 2024, 08:22:47 PM
Brother, Bitcoin ki weak price pichly kafi dino se dekhi ja rehi thi es week k douran es mein mazeed kami hoi or ab aisy lug reha ha k $64K ka important level bi maintain nhi ho pai ga or eventually price $59k tak drop ho sakti ha jo maazi mein ek strong support sabit ho gi, jis ki main waja market mein Liquidity ka fuqdaan ha.

Abb sawal yeh k Bitcoin market ka short term or long term outlook kia ho sakta ha, Bitcoin ki price agr 21SMA (around 63K) se strongly recover nhi hoti toh phir $59k tak drop ho gi or vehan se buying aa sakti ha. Long term outlook remains positive. DYOR




Ye bat haqiqat Hy halya Bitcoin drop ny Market my kaafi fear peda Kiya hy. Lekn ap ny Jesy Kaha KY long term KY liye dekhen to Bitcoin still looking positive.
In my point of view next to months are important and next two months my mery khayal sy market my kuch naa kuch behtri dekhny ko mil Sakti hy. Or Jesy Alts coin giry hen to Alts season Shuru hony KY BHI chances bohat zyada Nazar arahy hen. Baqi bull season Ki bat Karen to still Barry Barry analysts yehi keh rahy hen KY is saal KY end par yaa PHR next year KY Shuru my ye hamen mil sakta hy. Or un KY mutabiq next two months my first leg up ho sakta hy. So funds ko hold rakhna zruri hy. Dyor
sr. member
Activity: 322
Merit: 260
Catalog Websites
June 22, 2024, 08:15:15 PM
Choori hotay hotay bachi hai

Aj hamre ghar mai chori hote hoti bachi hai, darasal hamare ghar pr ni neigbergobur bil kul sath wale ghar pr

Tohj hua kuch aisa k kal raaat 1 bhaje chor aya aik hi chor tha ye sare baat jo mai apko batane wala wo guard ki batayi hui baat hai. Kal raat 1bhaje aik banda gali mai ghoom rha tha aur vesse hi chakr kaat rha tha phir hamare ghar k sath wale log abhi ghar pr ni hain bhair gye huein hain khaien pr toh us bande ne iss moqah ka faida uthaya aur phela ghar ka talah thorna ki koshish ki but kuch na hua phir wo gate tapane laga tha k gyuard ne us ko dekh liya aur us k pass jane laga lakin ye manazir chor ne bhi dekh liye aur wo bhi whan se nikal gya aur dur bhag gya bohat speed pr.

Lakin ab guard ne pura muhale ko kha hai k chor dubara bhi a skhtrha hai toh raat ko chokana hokr soyein, agar kuch ho toh forewn mujhe call kr lein. Chor bas pakrthe pakrthe reh gya.
Ye to bohat hi khatry wali bat he ap ky liye. SAB sy pehly to shikar Karen ky Kuch nuqsan hony sy bach Gaya or agar wo sath waly Ghar my jany ki koshish Kar Sakta he to ap ky Ghar q nai to shikar to ye he ky guard ny Dekh Kiya nai to bicharon kaa pata nai Kitna nuqsan ho Jata ye to bohat achi bat he ky ab guard ny SAB ko agah Kar Diya he Jo ky mery nazdeek Hona bhi chahye. Ab theory chukanny rahen gy to best rahy gaa.
Wesy ap kaa Ghar kissi society my Yani jesy Lahore wagera my societies wagera hen yaa phr muhalla type he. Agar to society type he to phr guard KO bhi hoshyar rehna hoga or agar muhalla type he to phr muhalla daaron KO or ap KO SAB ko hoshyar rehna parry ga. Q ky muhally my gasht waly guard hoty hen Jo chakkar lgaty rehty hen to Kabhi un ki nazar sy Kuch naa Kuch reh hi Jata he. So iss liye Ghar walon KO hi hoshyar rehna hoga.
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
June 22, 2024, 03:18:27 PM
Choori hotay hotay bachi hai
UmerIdrees Bhai apky post ka title daikh ky woh ajkal ky volging channel ka titles yaad Aya, woh bhi kuch istarah karty haa, (AJ hamare gari damage hogai), (AJ hamara sheepo ghaib hogaya) (AJ biwi room Mai panss Gai) (AJ Mera dost Gaya ) etc aur sath Mai aisy shocking emojis bhi aur APNA face banwa ky daal daity haa especially time wasting influencers (ducky, maaz Safdar, start anonymous, blah blah blah) in Sy door rahy content honta inky paas kuch Nahi bs Kabhi yeh aur Kabhi woh. Oohhh Mai toh ik bhool Gaya Jo main ha in SAB Mai baisharmee ka ADDA, U Kahy kusroo ka ADDA Sistorology.

Aj hamre ghar mai chori hote hoti bachi hai, darasal hamare ghar pr ni neigbergobur bil kul sath wale ghar pr

Tohj hua kuch aisa k kal raaat 1 bhaje chor aya aik hi chor tha ye sare baat jo mai apko batane wala wo guard ki batayi hui baat hai. Kal raat 1bhaje aik banda gali mai ghoom rha tha aur vesse hi chakr kaat rha tha phir hamare ghar k sath wale log abhi ghar pr ni hain bhair gye huein hain khaien pr toh us bande ne iss moqah ka faida uthaya aur phela ghar ka talah thorna ki koshish ki but kuch na hua phir wo gate tapane laga tha k gyuard ne us ko dekh liya aur us k pass jane laga lakin ye manazir chor ne bhi dekh liye aur wo bhi whan se nikal gya aur dur bhag gya bohat speed pr.

Lakin ab guard ne pura muhale ko kha hai k chor dubara bhi a skhtrha hai toh raat ko chokana hokr soyein, agar kuch ho toh forewn mujhe call kr lein. Chor bas pakrthe pakrthe reh gya.
Apky baato aur mery experience ky mutabiq jab bhi Ghar Mai choore hote ha us Mai Ghar ka admi zaroor shamil hota ha q ky Bahir aany waly ko Kya pata ap kab Ghar Khali choor rahy ho aur paisy Kaha raky etc toh jab Inka Ghar Khali Howa toh yeh exact din pa kaisy agaya toh itifaq thoore hosakta ha so Mera toh yahi view ha may be Mai wrong Hu.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
June 22, 2024, 02:01:10 PM
Assalamualaikum tmam bhaio Ko! Umeed Katya ho sab khariyat sy ho gay!

AJ 22 June date h May month Ko guzray 22 din ho gay h or Post summary Hamza sir ny hum sab KY start June Ka month shoro hotay he share Kar Di Thi har cheaz Ko achay sy zabardast andaaz sy display hiya tha or Hamza sir ki summary ko read Kar Ky Maza a Jata h lekin merit summary ki report ABI submit Karna baqi h Eid a gai Issy yad aya bahio ap sab ki Eid kesi guzri umeed h sabb ki Achi guzri ho Allah sub ki qurbanion Ko qabool farmay or ABI 8 din baqi h June KY month end honay my insha'Allah June khatam honay sy pehly May ki summary ap sab Ku sath share Kar do GA insha'Allah or Kuch din pehly he Rikafiq sir ny all local board ki report submit ki h

Post activity per local board during May 2024

Walikum Slam bhai Allah pak ka shukar ha Eid achi or enjoy krnty hovi ghuzari hai baqi Rkafip sir ki all local board ki summary bary mazy ki hotu hai acha comparison nikta ha different board ka darman. impichly month ma humeri post kafi kam hu gya fifty ka qareeb post count ma kammi ayi ha jo kh ik negative point hai jas trah merit ki circulation ma azifa hova ha post ma positively nazar anni chaye the khair ya dakhty is month kia report atti hai baqi ik cheez orr tafteesk nak nazar ay rhai hai ham kah active user ma din b din kam hu rahy jo kah ab 31 user rahy gy hai ik time tha jab active user ki tadad half century plus hova karti the but ajjkal to half rah gy hai pta ni kia issue bana ha ab to merit ki circulation bi kafi improve hovi ha MashAllah is dfa meirt kafi zadya distribute hovy ha previous month say khair humny active rahan cahye zadya sy zadayd achi usefull information community ka members tak punchni chaye jasy say sab community walo ka faida hu umeed ha ab ik din is race ma number first ya second position par ay gy post count ma sayeds sab ka bad mera number ay hai

Quote
Ye rahay Top 10 users jinho ny sab sy ziada posts ki h:

Code:
Sayeds56 [83]
Cheema02 [75]
GbitG [44]
Compromise me [30]
Farhan99 [29]
Publictalk792 [27]
ThemePen [24]
ITExpert [22]
Nanga Parbat [17]
ZAINmalik75 [17]
Pages:
Jump to: