Author

Topic: Pakistan - page 206. (Read 6725601 times)

hero member
Activity: 812
Merit: 619
March 12, 2024, 12:13:21 PM
G friends umeed ha sab kheriat se honge. Eth staker aur restakers k leye ek khushkhabri ha. Apko maloom hoga k altlayer project ne jab Eigenlayer restakers ko free airdrops deya tho us waqt se ek fiza ban gae staking aur restaking ki. Us waqt se logo ne investment start ki Ethereum ma. Ma ne b 900$ k Ethereum 3 project ma invest kia jis ma Etherfi,Puff finance aur swell finance tha. En ma eigenlayer k points aur apne b the. Es ma ek faida ye huwa k Ethereum 60% up huwa aur ab Etherfi Binance launchpool par aya ha. 6% supply yani 60 million stakers k leye ha tho umeed ha k 500$ thak profit ho sakta ha. Abe thak 75k eth stakes huwe ha tho es hesab se per eth 800 token melenge aur mere 0.1 ha tho 80 token es hesab se. Ho sakta k muj se bad ma eth ziada staked huwa tho unko day k lehaz se points melege tho es hesab se 100 token insha-Allah mel jaenge

Baqi news binance ki yaha check kare.  https://www.binance.com/en/support/announcement/043436c6551d4f67bf1565a253039b39?utm_source=AnnouncementTG&utm_medium=GlobalCommunity&utm_campaign=AnnouncementBot
full member
Activity: 476
Merit: 227
March 12, 2024, 11:27:35 AM


Dear mai ya to nai kahoo ga k ap achi info share krty thy ya nai mari nazar mai achi he hoti thi as mai apki postain read krta tha well besides this agar ap ya janana chaty hai k mai ny kis sence mai apko golden member kaha tha wo ya hai k ap un dino mai pakistan board mai kafi active howa krty thy or community members k sath discussion jari rakty thy or ya cheez bohat achi hai or apki es cheez ny local borad mai kuch na kuch contribution to ki hai as we are near to 1000 page Alhumdulila bas Ab Allah sy dua hai k apna local borad b jald he mil jaye Ameen.

Es k bar aks agar if i am not wrong here ap jo mai ny monthly top poster ki list mai b dakha hai or dear acha to nai lagta ak top poster ak jaga par posting krni choor dy phir ap es cheez sy khud andaza laga skty hain kami to khud hi mehsoos hogi haha. Baki acha laga par kar k ap ainda yaha par active rhy gain or hamain apni postoon k sath engage rakhain gy. Baki dear ap b thori c koshish kiya kry k kuch informative postain zaoor kiya karin yaha local mai beacsue thses days moderator kafi appreciate kr rhy hain achi postoon ko local mai or ap ko to pata he hai MassahaAllah ap apny next rank k kafi close hain. Jazzak-Allah
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 12, 2024, 10:54:01 AM

News tho good ha leken token kam nahe die? jo hesab bnata tha tho 5k token minimum ya chalo 4k tho karne chahea. Ye tho token price pump huwa nahe tho 50$ mushkil se bnate aur opar se Ethereum gas fee ka kharcha alag se. ap ka kitna fee laga es ma?


G MFahad bhai, ap theek kah rehe han hamari expectation se kum coins milay han or Ethereum network pe enko unstake kerny pr phir withdraw krny ki fees bi takrrebun 32 dollars spend ho jatay han. Unstake kerny k liye ap metamask ki bjai Rainbow wallet ko use keren. Us mein fee ko custmize ker k set krny option majoud ha. Ap 40-42 GWI set ker dein customize fee ki option ko use ker k. Insha Allah maximum 8 hrs mein apki transaction complete ho jai gi. DYOR
full member
Activity: 476
Merit: 227
March 12, 2024, 09:14:12 AM
Bitcoin beats the Swiss Franc as 13th largest currency in the world after beating the Russian Currency

As ap logo ko yaad hoga mai ny pehly b ak post share ki thi jis mai hum ny dakha tha k Bitcoin the world largest country ka market cap break kr liya hai jo k Russian Rubble tha us post ka link ya raha...



Ab usky baad hum dakhain to Bitcoin ny Swiss Franc ka b market cap break kar diya hai jo k world 13th number par largest strong currency hai. ya Switzerland ki currency hai. MassahaAllah Bitcoin Unstoppable upward direction mai move krta ja rha hai. Or agar hum dakhain to abi halving b nai ayee to BitcoinBTC 72k ko croos kar k bhaita howa hai. meray nai khayal correction mai hamain kuch khass dip dakhny ko nai mily ga i mean market in case of correction zayada neechy nai jayee gi as Bitcoin Already kafi upar ja Chuka hai. DYOR! Acha ap logo ka kiya khayal hai k market kaha tak ja skti hai dowward after halving or before halving.

Market Update: Bitcoin has touched the price $73K  Roll Eyes
hero member
Activity: 2464
Merit: 877
March 12, 2024, 07:39:12 AM
Meri taraf se be ap sab ko Mubarak ho. Es bar shukar ha poore mulk ma ek hee waqt ma Roza start huwa aur umeed ha k Eid b eik din ma hoga.  Roza rakhne ma pathan aage the leken ahista ahista un se ye cheez nekle ja rahe ha. Ye es leye keh raha hoo k  ma ne kahkry,sheikhupura ma waqt guzara ha. waha hatte katte jawan roza nahe rakhte aur kehte k ham kamzor ha aur muje jaha thak yad ha tho 4th class se ma ne roze start kie the.

Punjab wale per sakhawat ma bahot aage ha. jab ham Lahore ma hothe tho waha par ek maldar admi tha jo sehri karwata tha almost 50+ logo ko aur aftari Gormet wale karwate the.  


Har saal ki tarah Ramzan phir se agya hai. Aur har tarah ye Ramadan bhi apna sath der sary khushian le kr aya hai. Aj phela roza hai aur is dafa 30 Roze ni hoin payein gain becasue chand ki waja kuch masle maslail hotein hamesha Pakistan but bhaki 29 rozein hian.

Ye toh baat hogyi Ramzan ab Ramzan mein log apana time kaisay quzatray hein  Sad Sad   barthe hain subha 1:30 PM se le kr ifthar k time tak Wasim Badami ka program chale ga jis ka naam hai "Shan Ramzan". Jis mai muqtalif tarah k segments hoin gain jaisa ifthar banana aur kuch bohat zada mazey wale aur kuch abdat k. Kahir Aftari k baad "Jeeto Pakistan" wala show start hogaie ga aur agar ap ko ni pata toh bata tha chalun k iss mai bhi aik chota sa PSL hota hai jis mai Multan ka kaptaan Shoaib Malik haiwahi Adnan Sadique bhi Lahore ka captain aur Sarfraz bhi Quetta ka hai, aur Gurawala ka Ijaz Aslam hai.
Jis k baad PSL ka asli match start hoja na hai toh yhani subha se le kr raat k aik bhaje tak bohat c loggon ki yehi musrifiywat honi hein  Undecided Sad.
sr. member
Activity: 462
Merit: 328
March 12, 2024, 07:30:14 AM
XRP Price Rises 11.50% Key Factors Behind Today's Rally

Assalamualaikum , to finally XRP NY b movement karna shuro kar di par Yan sawal he uth ta hai k SEac Sy toabi settlement to hoi nhi phir ye movement kuin kese dekhny ko mil Rahi hai , agar ham trading karty hain to ham har kisam ke analysis karty aur dekhty hain Jo k Yan aik Mein point hai k ye movement mujy nhi Laga k XRap ke price itna up karie gi kuin jab tak settlement wal option clrea nhi hota tab tak XRP me rally nhi dekh my ko Mily gi ab ye to ye chotti c movement Jo ab dekhny ko mil Rahi hai XRP me , chart ko dekhien to.


Is chart ko dekh kar XRP takreeban 11.50% izafa kar ke $0.68 tak pohanch  jab ke is ki urooj 0.74 tak pohanchi jo November 2023 se buland tareen level hai. Is izafe ka jawaz binaance se khaas raqam ke inehdaam se jata hai, khaaskar 8 March ko jis mein ek ghair shanakht shakhs ne 300 million XRP ko Binance se nikal liya jis ki keemat $187.13 million se zyada thi. Iske baad, mazeed ma'amooli se bade transactions hue hain. Yeh darust hai ke bade XRP malikon ne apne tokens ko exchange par trade karne ki bajaye apne paas rakhna pasand kiya hai jaise ke is rally ke doran 1 million XRP se zyada rakam rakhne wale addresses mein izafa dekhne ko mil raha hai. Iske ilawa, XRP ki keemat ka izafa Bitcoin ke muqable mein numaya phir se baraawar hone ke sath hai, jo Bitcoin ke markets se XRP ki taraf se maali dauraan ka aitraf karta hai. Kul mila kar yeh factors bade investors se mazid support aur XRP ki keemat mein mazeed izafe ke liye imkanat ki tajwez dete hain.Info

Aur XRP aur BTC pair ne March 2021 se pehle apne sab se kam level ko chhu jane ke baad 12 present se zyada izafa kiya hai, jo ke risk-on traders ka Bitcoin se altcoins ki taraf rujhan dikhata hai chand muddat ke faiday ke liye. Ye tabadla Bitcoin mein overbought conditions ki wajah se ho raha hai jabke XRP ka relative strength index neutral hai jo ke Bitcoin ke muqable mein mazeed izafa ki possible ko darust kar rah hai .
hero member
Activity: 2506
Merit: 645
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 12, 2024, 06:30:21 AM

Brother, Elsavador ka Bitcoin ko adopt kerny ka risky tajaerba  bht kamyab sabit hoa, pehle log bri tankeed kerty thay k yeh sahi decision nhi ha. Risk lene se hee afrad or quomein aagy brti han.

Ha ye bath apke teek ha k risk lenge tho he faida hoga. agr dar k maare investment na kee jae tho per tho profit nahe bnega. Dunya ka koi be karobar baghair risk k nahe chalta. Es mulk k awam ab Khush honge. Acha sir ap kia smjthe ha k es bar peak value kia ho sakte ha aue konse point par hame half tokens sell karne chahea? Irfan sir ne jo group ma bthaya tha k all token sell kare,us par apka kia point ha?

Quote

Ek good news yeh ha k bht lamby intezar k baad finally Meme coins ka airdrop distribute ho reha ha or ab ap claim ker sakty han. Mere 2400 claim ho gaye han or Alhamdulilah sale bi ho gaye han takreebun 118 dollars mein. Jo bhai bht time se intezar ker rehe thay wo claim ker lein. Links are given below:

News tho good ha leken token kam nahe die? jo hesab bnata tha tho 5k token minimum ya chalo 4k tho karne chahea. Ye tho token price pump huwa nahe tho 50$ mushkil se bnate aur opar se Ethereum gas fee ka kharcha alag se. ap ka kitna fee laga es ma?
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 12, 2024, 02:29:06 AM
EL Salvador BTC Profit Ab 85 Million thak ja pohncha

Wah re kia he risk tha aur kia he profit ab ban raha. Dekhk muje yad ha k 55k k neeche btc tha jab china walo ne mining par pabandi lagae tho btc ATH se dump kar gia. Us time El Salvador mulk ne btc ma Investment ka socha. Ye faisla khatarnak tha es leye k ye sirf us ka zaati paisa nahe tha balke har shehri ka paisa tha. BTC down aaya aur 43k par unho ne aur khareeda. Yaha tak btc 20k se neeche aya aur unka Investment full nuqsan ma nazar aa raha tha.

Ab yaha par El Salvador ne hemmat nahe hare. Ma ne yaha par b post dekhe the es forum ma k unho ne awam k paiso se risk le kar ghalat kia leken ab dekhe unko 85 million profit ho raha jo kisi b sarmaya kari se acha profit ha.

Ap kia smjthe ha k kisi country ka aisa iqdam kaisa ha?



Brother, Elsavador ka Bitcoin ko adopt kerny ka risky tajaerba  bht kamyab sabit hoa, pehle log bri tankeed kerty thay k yeh sahi decision nhi ha. Risk lene se hee afrad or quomein aagy brti han.

Ek good news yeh ha k bht lamby intezar k baad finally Meme coins ka airdrop distribute ho reha ha or ab ap claim ker sakty han. Mere 2400 claim ho gaye han or Alhamdulilah sale bi ho gaye han takreebun 118 dollars mein. Jo bhai bht time se intezar ker rehe thay wo claim ker lein. Links are given below:

@ZAINmalik75 bhai ap ne bht dafa pocha tha es airdrop ka, ab claim ker lein. Pehle neechy diay hoi link se allocation check kerni ha us k baad dosry link se unstake kerny han. Telegram channel ka link bi de dia ha jahan se mazeed information mil jain gi.


https://t.me/AirdropAdventureYT

https://www.memecoin.org/farming

https://www.stakeland.com
hero member
Activity: 812
Merit: 619
March 12, 2024, 01:57:18 AM
EL Salvador BTC Profit Ab 85 Million thak ja pohncha

Wah re kia he risk tha aur kia he profit ab ban raha. Dekhk muje yad ha k 55k k neeche btc tha jab china walo ne mining par pabandi lagae tho btc ATH se dump kar gia. Us time El Salvador mulk ne btc ma Investment ka socha. Ye faisla khatarnak tha es leye k ye sirf us ka zaati paisa nahe tha balke har shehri ka paisa tha. BTC down aaya aur 43k par unho ne aur khareeda. Yaha tak btc 20k se neeche aya aur unka Investment full nuqsan ma nazar aa raha tha.

Ab yaha par El Salvador ne hemmat nahe hare. Ma ne yaha par b post dekhe the es forum ma k unho ne awam k paiso se risk le kar ghalat kia leken ab dekhe unko 85 million profit ho raha jo kisi b sarmaya kari se acha profit ha.

Ap kia smjthe ha k kisi country ka aisa iqdam kaisa ha?
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
March 11, 2024, 09:51:48 PM
Taiko New Quests On Galxe

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Sab sy pehly to ap sab bhaio ko Ramazan Mubarak ho. Allah ham sab Ki ibadton ko qubul farmaye. Aameenn.

Acha to Taiko jesa KY ap sab janty hen EK acha project Hy or Yahan hmary community members my sy kuch ny join BHI Kiya huwa hy. To ussi silsly my btana ye Tha KY Taiko kaa Galxe par new quest Aya huwa hy. So jinhon ny Taiko KY Testnet par Kam Kiya hy or un KY pichy Galxe KY quests Pury kiye hen to ye WALA BHI unhen pura Karna chahye. Taa KY ye naa ho ye criteria my ajaye or ham eligible hi naa hon.

Baqi process to sab janty hi hon gy. Kafi experts mojud hen Yahan.

Galxe ka link ye raha.
https://galxe.com/taiko/campaign/GC8TMt4fFG

Or Quiz Answers ye hen.
B C C D A
sr. member
Activity: 350
Merit: 265
Catalog Websites
March 11, 2024, 09:17:27 PM
Ramadan Mubarak to all of you.

Dua hai ye Ramadan apni rehmatain aur barkatain le k aaey aur ham sab ki duniya aur aakhirat main kamiyabi ka zariya ho. Aameen.

Asslamoalikom!

Sir ap ko bhi bohat bohat Mubarak ho. And Aameen.

Tmam Community members ko meri taraf sy Ramadan Mubarak ho. Allah hamen is mahiny ki rehmten or nemten lootny ki tofiq dy. Aameen.



One More Good News For DYM Stakers

DYM ki kafi news aa chuki hen Market my. Yani ye almost third project he jis ny announce Kiya he ky wo bhi DYM Stakers ko airdrop dy ga. Or 40% is project ny airdrop ky liye mukhtis Kiya huwa he. Is ky ilawa is project ky apny Stakers Yani HuaHua ky apny Stakers ko bhi ye Airdrop hasil Hoga.

Chalen abhi tak to news hi mil rahi hen. Koi claiming yaa launching details nai ai. Lekn yaqeenan aen gy zrur ye to confirm he ab kab ye project market my aen gy ye koi nai janta he.


https://twitter.com/ChihuahuaChain/status/1767169911963406809

For more details visit: https://forum.dymension.xyz/t/rollapp-submission-introducing-dogmond-the-first-memecoin-rollup-on-dymension/2012
sr. member
Activity: 476
Merit: 354
Trade Big, Win Bigger!
March 11, 2024, 08:14:22 PM
Crypto Scams Skyrocket FBI Report Reveals $12.5 Billion Losses in 2023 Cybercrime Wave
السلام علیکم
FBI ki haali mein riport ne dikhaaya hai ke United States mein internet ke zariye hone wale mali jurm mein izafa ho raha ha aur 2023 mein nuksaan 12.5 billion dollars tak pahunch gaya jo pichle saal se 22% izafa hai. Yeh data FBI ke Internet Crime Complaint Center ne compile kiya hai, jismein 2023 mein 880,418 shikayatein darj hui jo ke 2022 ke mukable mein 10% izafa hai. FBI ke mutabiq asal nuksaan ziada ho sakta hai kyun ke kai jurm go unreported rehte hain. Khaas tor par phishing scams ne sab se zyada shikayatein darj ki ha lekin sab se mehenga aur tezi se barhne wala jurm hai invest karne par dhoka, khaas kar cryptocurrency fraud jiska nuksaan 2023 mein 53% tak badh gaya 3.94 billion dollars tak

FBI tawajo dilane ke liye kehti hai ke logon ko hoshiyar rehna chahiye aur invest karne se bachne ke liye tips bhi deti hai. Ismein shamil hai ke anjaane se logon ko apni shakhsiyat ya mali malumat mat di jaaye online mashwara par bharosa na kiya jaaye invest karne ki mauka ya cryptocurrency platform ki asalgi ko tasdeeq ki jaaye aur agar kisi ne pehle hi paisa lagaya hai aur dhokha khaya hai to koi aur fees ya tax na diya jaye info.
Riport mein yeh bhi bayan hai ke FBI apne Recovery Asset Team ke zariye cyber jurm ke khilaf muqablah mein masroof ha jo ke criminal organizations ke funds ko freeze karke victims ko sauonon million dollars wapas kar chuka ha. In tajawezon ke bawajod cyber jurmon mein izafa khaas kar cryptocurrency ke daur ma awaam ki hoshiyari aur online rawayatiyat ki ahmiyat ko isharat karti hai.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 11, 2024, 08:01:55 PM

Mein ais market ko bohat achay c janta hon aur app ko yehi kahoon ka k ain main stream news ko agar seriosu lena hy tu ais k oppsite ka soochein. Agar main stream media aur baray baray banks aur logs like JP Morgan kah rahay hon k bitcoin dump keray ga , bitcoin sell kr dena chanyee,,tu mutlab k Bitcoin mein pump ayee ga. Similairay agar yeh log kahein k bitcoin aur uper jiey ga tu sumjhee loo k bitcoin ab dump keray ga. Yeh log news ko apnay haw mein use kertay hien takay market ko manipulate kia ja sakay. Mujhee ni lagtha k ab kahbi bitcoin 42K p ayee ga.


Brothedr, ap durust kah rah rehe ha crypto market akser market ki general perception k against hee kaam kerti ha yeh bht dafa observe kia gya ha. Es k ilawa yeh bi zaruri nhi hota k history her dafa repeat ho es dafa Bitcoin ne all time high (ATH) halving event se pehle bnaya ha jo k history mein pehli bar hoa ha or sub prominent technical analysts ki predictions fail ho gai ha. Yeh es lia hoa ha ku k Institutional participation bht strong ha Spot ETF ki approval k baad. Bitcoin ka upwards journey lugta ha $80K ko toh hit ker hee de ga. Insha Allah. DYOR.
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
March 11, 2024, 07:51:30 PM
Ramzan Ki Khushyan Mubarak

Asslamualaikum!

Sorry bhaio my thora late ho gaya. Ap sab ko meri Taraf sy Mubarakbad. Allah ham sab ko is Ramsan ky sadqy bakhsh dy or sath hi sath is Ramzan ko ham sab ky liye Bais e Barkat Rehmat or Karam farmaye. Allah Is Babarkat Mahiny ky sadqy hamari tmam tar mushkilat ko asan farmaye.Ammeen.

Or is ky sath hi. Sab ko meri taraf sy pehli sehri bhi mubarak.

legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
March 11, 2024, 04:27:58 PM
Asslam o Alikum ..

Fellows, kia haal than sabke orr jin kii taraf see Ramzan kii khair abad wishes aiii hain tamkoo shukriyaa and Khair Mubarak... Orrr iske sath sathh app saab koo bii yee azeem mehina mubarak hoo Allah pak apko iss mah kaa saade apke gunhaonn see nijaat dee or mujhe bii.

Allah hum par Raham farmyee or hamare halat par biii, Khsosii toor paa GAza ka logon koo Allah pak sakooon ata farmyeee.. Onki iss mushkil ghadi maa jaab koi onke sath nai Allah apna kahaas fazal farmyee. Onki jaan kii hfazat farmyeee. Ameen.

For the rest let's pray for needy ones and keep farming the blessings of Allah Almighty.
hero member
Activity: 1470
Merit: 697
March 11, 2024, 04:15:10 PM
Ramadan Mubarak to all of you.

Dua hai ye Ramadan apni rehmatain aur barkatain le k aaey aur ham sab ki duniya aur aakhirat main kamiyabi ka zariya ho. Aameen.
Apko aur tamam community ko bohout bohout Ramzan mubarak, Issy ap ik tarah sy Duniya ka bull run keh sakty ha q ky yaha apko nawafil ky badly bhi farz jitna sawab milta haa toh jitna mooka Mila acclimate kary. Aur apni duao Mai GaZa aur Palestine ky Muslims ko bilkul na booly q ky woh bohout sakht waqt sy guzr rahy haa, Baki hamary Nabi prophet MUHAMMAD (ﷺ) NY iss mooky pa Jo duai kee te USS Mai haamy aur poore Muslim ummah ko bar poor hissa dy. Ameen.



MemeLand (Meme Coin) Airdrop Update
Well jaisy ky sabko pata haa finally memeland ny apni distribution karde haa after long wait aur kar bhi di uss time Mai jaha pa ik transaction ka 60$ around fees lag raha haa aur airdrop ka amount in dollar around 108$ to 115$ haa jis sy fees kaaty first staking st hatany ka baad Mai send karny ka toh kuch Nahi Bachat toh mostly logo ka mutabiq yeh Istrah stake hi behtr haa. Baki ap log site visit Karky APNA balance check karskty haa. Mujy around 2447 memecoin mily haa. Baki apko kitny mily haa aur high fees ky baary Mai Kya Rai haa apki kindly share..Huh?
sr. member
Activity: 1456
Merit: 326
Eloncoin.org - Mars, here we come!
March 11, 2024, 01:54:59 PM
Meri taraf se be ap sab ko Mubarak ho. Es bar shukar ha poore mulk ma ek hee waqt ma Roza start huwa aur umeed ha k Eid b eik din ma hoga.  Roza rakhne ma pathan aage the leken ahista ahista un se ye cheez nekle ja rahe ha. Ye es leye keh raha hoo k  ma ne kahkry,sheikhupura ma waqt guzara ha. waha hatte katte jawan roza nahe rakhte aur kehte k ham kamzor ha aur muje jaha thak yad ha tho 4th class se ma ne roze start kie the.

Punjab wale per sakhawat ma bahot aage ha. jab ham Lahore ma hothe tho waha par ek maldar admi tha jo sehri karwata tha almost 50+ logo ko aur aftari Gormet wale karwate the. 

Kher Mubarak apko be mubarak ho aur baqe sub bhaio ko mubarak ho shukar he ek barkat wala maheena hum par dobara aya har bhai kushish kary ke is barkat maheeny me wo talawat nafal ada kary Quran Pak ki talawat karey crypto related cheezo ko tora kam time de aur talawat nafal aur zekar pe zeyada time de q ke ye ek maheena he to he barkat wala to kushish kary har bhai taraway be time parha kare aur zeyada se zeyada talawat karey aur zakat waghera be de q ke ramzan ke maheeny me bahut he swap melta he to ek bar mee traf dobara ramzan mubarak ho.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
March 11, 2024, 01:48:12 PM
Ramadan Mubarak to all of you.

Dua hai ye Ramadan apni rehmatain aur barkatain le k aaey aur ham sab ki duniya aur aakhirat main kamiyabi ka zariya ho. Aameen.
Walking Salam Shahzadafzal Sab Sir ap ko bi Ramadan Mubarak hu boht boht Allah kary ya mhaion khushio kanbasia bany sab ka lay or In mahney ma humhy Allah pak ka qareeb hony ka moqua millay qakh roza naam he taqwa ka hai baqi dosry ka kam any ki tousfeef day Allah pak yahi sab sy bri niki hoti hai khulaq khuda ka kam anay or kesi ki parshani ghum ko door krna or is pyary mahny ramadan ka sadqy ma Allah pak hummy adbat zadya sy zadya krny ki toufeeq dy to insha'Allah kamyabi humri muqdar hu ge



hero member
Activity: 1428
Merit: 513
Payment Gateway Allows Recurring Payments
March 11, 2024, 12:54:17 PM
Bss miss karty hi rehty hen. Mera to wohi watira hai daily ki one post apni community ky naam karta hun. Agar baqi bhi esa karen to hmari community mazeed behtar ho jaye gi.
Bss jab purany din yad aaty hen jab ham bhi newbie thy or phr us waqt jo jo sath thy to un ki bhi yaad aati hai. -cut-
Yeh to app ny dil mom krny wali baat kr di, khuda apko salamt rkhy ky ap ny hamain yaad kiya, beshak yaha postain na bi kro lekin ap logo ko yaad zaror rkhta hoon, bhala is community ko bi mai bhool skta hoon, jis ki waja sy aj mai is moqam pr hoom. You all guys are supportive. Or insha Allah mai bi postain cosistently kiya kroon ga, mujhy to signature wise bi koi masla nhi hai unlimited kr skta mai to. hehe.

Gee mai bi airdrops join kr rha january sy, 150 ky qareeb to join kr liya hain, or abhi kafi pending my hain, insha Allah jld hi wo bi join kroon ga, lekin mai thodha sasta wala hoon, hehe, main paid waly airdrops km hi join krta hai 1 2 dollar waly to kr leta lekin zayda wala nhi kr rha saway linea ky as is my kafi potential hai. Airdrops kafi potential rkhty hain wesy to.
sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
March 11, 2024, 12:28:42 PM
Ramzan Mubarak!


Sabi brother ko Ramzan Mubarak, Allah pak ham sabo ko is barkatun waly dino me khub nakiyan karny ke tofik ata farmaye aur hamien apnie gunaun Sy Toba karny ke aur UN Sy bachny ke tofik ata farmaye aur hamri ibadaton me izafa farmaye aur agay b neka imal karny ke tofik ata farmaye aur Jo Nika imal ham karien Allah apnie rahmat Sy UN ko kabol farmaye to bhaiyo hamray baray khaty hain k Saal Pura Kam karo nik Kam b karo ibadat b karo par Ramzan k mahina me Baki sab Kam Kam kardo aur apni ibadat barha do kuin ye mahina hamien Saal me aik bar milta hai aur jis shaks ko ma Ramzan ka mahina Mila aur us NY rozay rakh kar Allah ko Razi nhi keya aur apni Bakshi nhi karwai wo shaks badnasib hai , is Leye brothers apni ibadaton me izafa farmaye do apni nikiyon me izafay farmado bass is mahina me Allah ko Razi air apni Bakshi aur Allah ke rahmat ko paoo.
Jump to: