Aisa hee ha ek chor jail ma para ha, dosre kuch chor bahir ha. Es mulk ma hotha he aisa ha k apas ma deal hothe ha k 3-4 saal ap hakoomat kare aur 3 saal per jail ma rahe aur per ham hakoomat ma aaenge aur yoohi selsela chalta jaega. Har candidate ki khwahish hothe ha k bas kis tarah fauj ka tabedar ban jae k hakoomat usko mele just like 2018. Ab tho had ye hogae k KPk ma Tiktokers aurto ko baqaeda inamat dene lage jis se Fahashi ko char chand lag jaega. Ek taraf Gandapur ha tho dosre taraf Maryam nawaz jin se pori taraqi ki umeed rakhma be sood ha.
Yehi to bat hai boss. Chu*ya bnaya huwa hai awam ko. Or hmari awam ki aankhen naa abhi khulli hen or naa shayad kabhi khulen gi. Sab mil beth kar khaaty hen. Bss smjny ki zrurat hai. Allah hi hai ky ham par apna fazal kary nai to kartut hmary hen koi nai.
Jaha thak P2P ka case ha tho ye Pakistan ma aadh bar hotha ha aur India ma almost 90%. Ab agar hakoomat ye kare k 20% tax lagae thab b ham khush na honge tho bas behter yahi ha k P2P apne dost se he kia jae ya secondary bank account se. Ma tho Easypaisa se he karta ha aur shukar ha k abe thak koi masla nahe aaya.
Ji ji next time ab my ny yehi karna hai. Yani apna Easypaisa jazzcash hi use karna hai. Bank kaa bhi masla to nai huwa par zara ajeeb si situation ban gai. Matlab jiss ny send kiye us ka bhi block ho gaya account or mera bhi. Or ilzam ek alag hi lgaya jaa raha hai ky my ny fraud kiya. Kher dekhty hen kaya hota hai?
Same hi P2P problem kafi logo ko ayee jis par unky account freeze howy aur jab investigation Howe toh yahi Bandy aisy mulawis Paya ky P2P ky through is Sy dollar liya aur Issy wohi churaya ya black money ya fradia money dy de Gaye toh ab zahiri toor par iska koi kasoor Nahi but us chain Mai shamil hogaya. Isse tarah problem hamry learn fast earn ky owner Zulfiqar sir Ki bhi aye uska account freeze hogaya FIA ky dwara toh ab easypaisa ya jazzcash Sy agr ap karty ho toh woh just ap daily 50k karsakty ho toh baaz okaat woh zaroorat pore Nahi Karta isliya log iss bank Ki taraf jaaty ha. Toh agr ap chahy toh (Jazz Cash, Easypaisa, Upaisa, Alfa, Nayapay) yeh sab banwa ky in pa tarde Karly toh easily upto 200k daily nikaal skaty ho. Baki woh skrill waha bhi haa but kafi costly haa
Han ye to hai ye sources hi use karna behtar. Mera to first experience tha to pata nai tha to iss liye ab next time khayal rakhen gy. Ab sy Easypaisa jazzcash par hi P2P karun gaa. Taa ky agar koi esa masla ayee bhi to mery secondary account par issue naa aye.