Author

Topic: Pakistan - page 142. (Read 6022920 times)

sr. member
Activity: 322
Merit: 260
Catalog Websites
April 06, 2024, 03:30:00 AM
USA Ky Bad Ab Australia Bhi

Asslamoalikom!
Kaya haal hen ap SAB dosto ky. Aaj Raat 27vin ki Raat hai. Or ham SAB janty hen ky ye Islamic history my bohat Mubarak Raat he. Or Saath hi Saath Mulke Pakistan ky liye bhi. Bohat Mubarak Raat he. Issi Raat Quran Pak mukamal huwa or issi Raat Pakistan ko azadi bhi mili.

Acha to aaty hen Topic ki taraf. ETF ky Barry my to sab janty hi hen. Or ye bhi janty hen ky pichly Dino US Ky idaary SEC NY bohat sy institutions KO Bitcoin spot EFT ki ijazat Di. Jiss ky rehty chalty ab Australia Bhi iss kaam my pesh pesh he. Jo haan Australian Asset Manager Monochrome ny Bitcoin Spot ETF apply Kar Diya he. Or is kaa fesla is Saal ky Mid my honey ky chances hen. Or agar issi Tarah chalta Raha to mazeed institutions bhi  applications Karen gy. US Ky bad Australia he to is ky bad koi dusri countries bhi ho sakti hen. Hmara Pakistan bhi ho Sakta he. Wink Jo ky filhaal naa mumkin he.



Is year ky waste my Kaha Gaya he ky is ko approval mil sakti he. Agar is ko approval milti he to mazeed institutions is my dakhil hon gy or Bitcoin mazeed maqbool hota Jaye ga.
Source
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 06, 2024, 01:54:20 AM

Sath hi Market Ki bat kar lety hen to is waqt Bitcoin $67000+ par trade ho raha hy. Or ham sab janty hen KY Aaj or Kal do din chutti Hoti Hy to iss waja sy Market zyada tar sideways par hi rehti hy. Agar koi news effect naa kary to. Baqi still Market my Positivity Pai jaa rahi hy. Or Halving BHI sarr par Hy so anything can happen

Bitcoin Current Price:.



Brother, Es waqt bi Bitcoin $68,104 pe trade ho reha ha or mein eski nside-ways market hee samjhta houn, or market mein koi bri positive ya negative development hee Bitcoin ki price mein koi bri change la sakti ha.

Bitcoin ki 2028 ki halving k baad price prediction $435,000 ki gai ha jo k kafi surprising lug rehi ha. Abi toh yeh dekhna k 2024 ki halving jis mein sirf 3 weeks se bi kum time baki ha, price $100,000 ya es se ko bi exceed ker jati nha. Analyst ki opnion yehi ha k 2024 m3in Bitcoin ne jo naya ATH bnaya ha wo halving k impact nhi blky ETFs ki waja se ha. DYOR

https://cointelegraph.com/news/bitcoins-2028-halving-btc-price-target-435k
hero member
Activity: 2422
Merit: 875
April 05, 2024, 10:51:13 PM
Aik bar phir Pakistan mein cricket ky matches start ho rahay hien aur ab ki bar New Zealand ki team Pakistan ka visit kr rahi hy jahan p ho 5 T20 matches play keray gi. Ain mein three matches Pindi Cricket stadium mein hon gay aur remaining last two T20 matches Lahore mein gaddaffi stadium mein hon gay.

App logon c aik bar phir request hy k sab log yeh matches dekhnay ain chahay app kisi bhi city c hon, app ko matches dekhanay anaa chaye.
Tickets app yaahn c buy kr saktein hein https://pcb.tcs.com.pk/
Wah bhai ya to kafi mazay wali khabar ha pakistan ma twenty Series khaly jaye ge under babar azam ki captanicy ma ik bar or ticket ki price to normal he hai ma 750 rupess hai ma mojy imran khan enclosure wala seen pasnd ha umeed ha seats mil jaye ge or pakistan team acha khaly ge new Zealand ma maqbaly ma inks squads ma kuch new loog ha or new caption ka new Zealand walo ga or Pakistan ka captian most experience wala Babar azam hai umeed ha Acha comeback kary ga or pakistan ya series easily won kary ga ab dkahtay imad or amir kesa perform krta hai  ik bat to paki ha jo yha acha performance dy ga oski T20 world cup ma seat pakki hu jaye ge

Kya apko pata hai k dunya e cricket k under aik naya rule ane wala hai jis mai kuch aisa hoga k ab bowler k sath bhi time ka masla hone wala hai. Ye naya rule ki shurwat hogi 2024 k World Cup se jism ai kuch aisa hoga k jo aik team agar bowling kr rhi hai toh kisi bhi bowler ne phela over kr waya aur phir jo phela over k end se lekr dusra oer ki shurwat tak jo time ayega agar wo 60 seconds se zada hogya phir batting team ko 5 runs de diyain jain gain lakin us se phela 2 dafa warning bhi mile gi.

Ab mai apko example se smata hun phir zada acha tarika se smj ayegi. Shaheen ne karwaya phir team sochthihai k agla over kis ko dena chaiye toh agar us time 60 sec se zada time laggya then asik warning mile gi k agli dafa ais ani hona chaiye aur phir decide k Amir bowling kr e ga phir jab Amir ka over khatam hua phir s=dubara soch rhi hai k kis ko over dena chaiye phir dubara 60 sec cross ho gye aur phir se aik warning mile gi phir jab us ka over bhi aur phir 60 second khuzar gye phir Batting team ko 5 runs de deian jayein gain.
Bhai mojy iska pta ni tha ya to waqia ha ajeeb ya rule ay gya hai kah ab bowling team ko apny over phly sy identify kar ka rakhny chaye hu gay kh kab kasy over dena hai pakistan team to time boht leti ha sochty hovy kh kasy ober dena khas kar ka at last of match jab kasi bowler ko zadya runs phar jaye than Babar azam to soch ma ghum hu jata ab kasy over dena hai agr dakha jaye to ya kafi acha rule bi lagta hai kah ab bowling ma jo extra time waste kartu ha dosri team wo ni hu ga or time sy match khtm hu jaye kary ga.

Acha aik aur baat k for Champions Trophy, Pakistan k naye Chairman Mohsin Naqvi ne aik aisa kam kia hai jis se Pakistan ki cricket ko bohat zada faida hone wala hai. Toh kuch aisa hai k Gaddafi Stadium k pass 4 Billion ki advisement ki gyi hai. Ab ye kiu ki gayi, kise ki gyi, akhir waja kia hia wo mai apko sar kuch tafseel mai smjata hun. 2025 mai sari teams Pakistan arhien hain Champions Trophy khelna aur is k liye Gaddafi wale Stadium k pass 4 Billion k hotel banana gyein hain 5-star wale aur us mai sare Cricketers, aur celebrities reh skhthain hain, aam bande k liye wo ni hai.

Aik aur cheeze batatha chalun k aga India kha de k Pakistan mai ni ana hum ne khelne toh Mohsin Naqvi ne kha hamein phir khoi masla ni hai, hum un ki tarel mintein ni krein gain aur un ki jaga ICC se kha kr Sri Lanka ko under kr dein gain toh is waqt toh Sri Lanka dua k kr rha hoga k India Pakistan na aye. Ab kuch bhi hojae Champions Trophy Pakistan mai hi hogi.
sr. member
Activity: 420
Merit: 325
Trade Big, Win Bigger!
April 05, 2024, 09:06:01 PM
Congratulations to Nanga Parbat brother for Full Member Rank



Nice Bro Congratulations Nanga Parbat brother for achieving full member rank apny bht quickly rank tak punchy hu jo kah sab nay support ki hai mil kar our kafi Khushi wali bat hai jas trah ki kargardgi de ha boht khoob brother asi trah he mahnet jari rakho or senior member bi jlad he ban jayo gya waqiq he bahot unique information share krty rahy ap community or bht engage rahy ha ya mahnet ha apki brother jo mehnat ki oska phal mila ha Allah apky mazeed khamyab kary or Sab community waly ko kamyab kary is pyary mahnet ka sadqy or Rustam Meraj bro ma qareeb ha Full Member banay ka bs activity kam inki umed ha jald pori hu jaye ge to community ma ik or full member ka azifa hu Jaye ga.
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
April 05, 2024, 09:04:39 PM
Congratulations Nanga Parbat

Congratulations dear. Bohat Khushi hui ap Full Member ho Gaye hen. Or I am looking that KY ap ny apply BHI kar Diya Hy campaign my. Or ap ko jaga BHI mil Jaye gi umeed Karta hun. Baqi issi tarah mehnat karty rahen. Allah ny chahta to next ap ny Sr. Member Bhai ban'na hy. Baqi again bohat Khushi hui. Congratulations again.

Sath hi Market Ki bat kar lety hen to is waqt Bitcoin $67000+ par trade ho raha hy. Or ham sab janty hen KY Aaj or Kal do din chutti Hoti Hy to iss waja sy Market zyada tar sideways par hi rehti hy. Agar koi news effect naa kary to. Baqi still Market my Positivity Pai jaa rahi hy. Or Halving BHI sarr par Hy so anything can happen

Bitcoin Current Price:.
hero member
Activity: 2422
Merit: 875
April 05, 2024, 08:49:47 PM
Tarjamah: shab-e-qadr ki raat hazar mahino se bhatar hai.


Islami mahino mai sab se zada fazilat wala mahina Ramzan ul Mubarik hai. Iss mahina mai Jannat k darwaze khol diya jatein hain. Allah Tallah iss mahina mai nekioh k sawab ko 70 gunnah tak barha detein hain. Ramzan mai isha ki namaz k baad Taraweeh bhiparhi jate hai jism ai pure Quran ki talawaat ki jati hai. Ramzan mai sadqa aur hayat krna aur rozadar ko sheri aur iftari kawane ka bohat zadaa sawab milta hai. Jo sakhas kisi ko roza iftar kr wata hai toh usey roza dar k bara bar sawab milta hai.

Ramzan k akhri das dino mai masjid k under itqaf kis jata hai aur ye *حضرت محمد (صلہ علیہ وسلم) *ki sunat bhi hai. In dino, mai shube qadar bhi talash krni chaiye. Sahb-e-qadr Ramzan k akhri das dino ki odd numbers wali ratoin mai talash ki jati hai. Ye ohkat Khero Barkat wali raat hott hai. حضرت محمد (صلہ علیہ وسلم) ne farmaya:
Tarjamah: shab-e-qadr ki raat hazar mahino se bhatar hai.

Shab E Qadar Hazar Mahinoon Se Afzal Raat - Article No. 111
hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
April 05, 2024, 08:31:05 PM
Congratulations Nanga Parbat



Are bhai wait wait wait...
Hmari Community my ek or Full Member ka izafa huwa hai. I really appreciate your work. Wesy community ki full support mili hai ap ko. Allah ap ko mazeed traqyan dy. Baqi bohat khushi hui ky ap Full Member ban gaye hen. Ab mazeed mehnat karen next rank ap kaa Sr. Member hai so keep it up. Baqi mujy ye dekh kar khushi hui ky ap ko community ny ap ko support kiya. Means in a single day 19 merits. Mujy ye khushi hui ky community ny support kiya. Issi tarah support karty rahen. Ab next hmary I think so Rustam Meraj hen jo ky Full Member ky bilkul qareeb hen phr un ki bhi earning shuru ho jaye gi. Issi tarah sy hmary Junaid bhai Sr. Member ky qareeb hen. Or hafiztalha bhai Sr Member ky qareeb. Yani hamen support karna chahye. Ek dusry ko.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
April 05, 2024, 08:26:12 PM
Bitcoin Holders Accumulate 1.2 Million BTC Is Retail Adoption Surging?

Asslam alikum to all of community, umeed ha sab member kahtiyat say or achay hu gay Rozay ka last ashra chal raha ha kuch rozya rah gay hai
Pichly kuch months say short-term Bitcoin holders ne 1.2 million BTC ikattha kar liya hai Glassnode ki information ke mutabiq Yeh izafa accumulation ka aaya hai jab se Spot Bitcoin ETFs ka izhar hua hai. Jabke lambi arsay takaydaaron ne hamesha accumulation ke trends par kabza rakha hai recently hi ki data ne dikhaya hai ke short-term holders mein Bitcoin ka aham izafa hua hai jahan nafha ya nuqsan nisbat musalsal munafa mein rahi hai nuqsanat ko 50 guna se bhi zyada shikast di gayi hai.



Baqii ki on-chain data ne short-term holder wallets mein 21,400 BTC ka izafa zahir kiya hai jo taazi khareedari dabao ko darust karta hai. December 2024 se short-term holders ke mutahidda asnaad ka izafa musallat investor hissa-daari mein izafa ki taraf ishaara karti hai jo ke cryptocurrency ke barhne wale mustaqbil ki taraf ishara karta hai aur qeemat mein mustaqil izafa ke raste ko banata hai.



Is ke ilawa Bitcoin ke hal mein haal hi mein shuruaat hone wale all-time high par short-term holders ka naqdi munafa ya nuqsan nisbat ka be misal ratio unka bullish jazba ko aur bhi taasir de raha hai. Jab retail aur institutional interest dono peak levels par hain aur anay wale Bitcoin ka halving nazdeek hai to market ke bunyadiyat April mein musalsal uthne ka ishara deti hain. Abhi Bitcoin $66,903 par trading ho rahi hai jise peechlay 24 ghanton mein 1.87% ke izafa ke sath dekha gaya hai details
copper member
Activity: 1526
Merit: 2890
April 05, 2024, 08:16:07 PM

Happy 49th Birthday of Bitcoin and Bitcointalk Founder  (Satoshi Nakamoto)
Jaisa ky ap sabko maloom haa AJ mysterious founder of Bitcoin satoshi Nakamoto ka 49th Birthday ha, unhy NY toh haamy yeh unique and priceless gift to dy Diya poore Duniya ko but pata Nahi ab woh Kaha pa haa zinda haa ya mar Gaya ha bilkul kisi ko andaza Nahi, but yar Mai uski sooch ko Salam Karta Hu ky USS ny aany waaly 40 to 50 year ky masail ko pahly sy baanp Karky usky liya ik unique hal Bitcoin Ki shakal mai banwa Diya Jo na sirf hamary waqt ko Bachata haa yani fast transaction Karky Balky assets ky value ko bhi mehfooz kar rahy haa  AJ Kal ky high inflation Sy Jo fiat ky value ko kaa rahe ha aur haamy Ik khud Mukhtar banwa Diya poore Duniya ky banking system sy. Yeh haqeeqat ha ky agr woh Abhi manzre Aam par hota toh na sirf genies book Mai uska name hota Balky Duniya ky high value award yani Nobel award ussy dy Diya jaaty. Khair hum poore community Satoshi ky Bitcoin creation par Dil Sy shukr guzar ha agr Bitcoin na hoota toh mujy Nahi laghta ky hamary paas itna trusted aur high value crypto currency hote.

Where did this picture come from? Can you provide a link to where this picture was taken? No one knows how old Satoshi Nakamoto was. I think it's a fake account.

Yeh tasveer kahan se hai? Kya aap mujhe woh link de sakte hain jahan yeh tasveer li gayi thi? Kisi ko bhi pata nahi hai ki Satoshi Nakamoto kitne saal ke the. Mujhe lagta hai ki yeh jhoota account hai.

I think this specific Image was tweeted by this user first  
https://x.com/pete_rizzo_/status/1775886142564368476?s=46

However this image is true since it’s a screenshot of Satoshi’s P2PFoundation profile (after little bit editing like adding Bitcoin logo) and I have seen it multiple times before.

http://p2pfoundation.ning.com/profile/SatoshiNakamoto

Web Archive also have a snapshot from 2 July 2010  

https://web.archive.org/web/20100702211420/http://p2pfoundation.ning.com/profile/SatoshiNakamoto

In this snapshot age is not visible but later 2011 snapshots shows the age too

https://web.archive.org/web/20110317060514/http://p2pfoundation.ning.com/profile/SatoshiNakamoto

Fun fact: In 2014 this account posted “I am not Dorian Nakamoto.” and that was his last post.
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 05, 2024, 08:11:48 PM

Ap sahi keh rhya hn ka Micro Strategy ka pass lag bhag 2 lac bitcoins hn aur inka founder Saylor Bitcoin ka barya ma kafi crazy hn. Aur ya baat bhe dursat hy ka 10 Jan 2024 ko jab pehla ETF launch hua tb sa Bitcoin ka price ma kafi bahtri ayi hy aur kafi arsa sa Bitcoin ke price 60k sa oper trade ho rhi hy. ETF na apni asr dekha dea hy aur ab bari hy halving ke jo 2 weeks ke dori pr hy aur uska baad umeed hy price aur oper jya ge.

Brother, Michal Saylor nay Bitcoin ko specially USA mein promote kerny mein bht important role play kia ha crypto market ka ek bht bra bull or supporter ha.Eska kahna ha k Bitcoin has all the attributes but no defect. yani Bitcoin mein bht khoobian han or es mein koi nuks nhi ha, or es bat mein koi shak nhi ha k Bitcoin ek aisi digital asset ha jo hamari aany wali naslon ki kismat badek sakti ha agr hum esko accumulate kerty rehen or thory profit k liye sell na keren. DYOR
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
April 05, 2024, 04:08:54 PM
Is me koi shak nahe he hacker aur scamer qadam qadam pe bete hoye he bas mouqy ke talash me rehte he koi ek chuti se ghalti kare aur wallet khali kary to kushish kare ke wallet me zeyada $ na rake aur kushish kare ke har jaga connect be na krey wallet aur dosre ky jaha investement karey wo project pehle puri trah read kary pher uske bad investement karey aur kushish karey ke binance support project ho aur aj kal to airdop ka session he to sub kushish karey apne wallet ka zeyada se zeyada secure kary aur apne wallet pe khyal raka karey.
Je je bahi Tek kaha ap ne hame apne wallets ke daik bal kar Layni chahye aysa naho ke bad ma pachtana phare aur aj kal ke dur ma tu Saab se zyada khyal rakna chahye q ke ye ek digital era ha jahn per hackers ke Leye Kafi asaniya paida ho gaye ha ke wo easily ap ke wallets tak rasaye hasil kare. Ek to abare bare scams hote ha jaise ke Coinbase waghira pe Howa ta ek individual base hote ha aur es ke chance of hacking ye har jagha.apna wallet connect krne se bharta ha tu hame bs thori se mehnat Karni chahye ke pehle information lay os project ke bare ma aur ye zyada mushkil kam be nahe ha aj kal har jagha per ap ko news Mel jati ha aur os ke bad apna decision lee.
staff
Activity: 2436
Merit: 2347
April 05, 2024, 03:10:25 PM

Happy 49th Birthday of Bitcoin and Bitcointalk Founder  (Satoshi Nakamoto)
Jaisa ky ap sabko maloom haa AJ mysterious founder of Bitcoin satoshi Nakamoto ka 49th Birthday ha, unhy NY toh haamy yeh unique and priceless gift to dy Diya poore Duniya ko but pata Nahi ab woh Kaha pa haa zinda haa ya mar Gaya ha bilkul kisi ko andaza Nahi, but yar Mai uski sooch ko Salam Karta Hu ky USS ny aany waaly 40 to 50 year ky masail ko pahly sy baanp Karky usky liya ik unique hal Bitcoin Ki shakal mai banwa Diya Jo na sirf hamary waqt ko Bachata haa yani fast transaction Karky Balky assets ky value ko bhi mehfooz kar rahy haa  AJ Kal ky high inflation Sy Jo fiat ky value ko kaa rahe ha aur haamy Ik khud Mukhtar banwa Diya poore Duniya ky banking system sy. Yeh haqeeqat ha ky agr woh Abhi manzre Aam par hota toh na sirf genies book Mai uska name hota Balky Duniya ky high value award yani Nobel award ussy dy Diya jaaty. Khair hum poore community Satoshi ky Bitcoin creation par Dil Sy shukr guzar ha agr Bitcoin na hoota toh mujy Nahi laghta ky hamary paas itna trusted aur high value crypto currency hote.

Where did this picture come from? Can you provide a link to where this picture was taken? No one knows how old Satoshi Nakamoto was. I think it's a fake account.

Yeh tasveer kahan se hai? Kya aap mujhe woh link de sakte hain jahan yeh tasveer li gayi thi? Kisi ko bhi pata nahi hai ki Satoshi Nakamoto kitne saal ke the. Mujhe lagta hai ki yeh jhoota account hai.
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
I ❤️Bitcoin
April 05, 2024, 02:36:09 PM

Happy 49th Birthday of Bitcoin and Bitcointalk Founder  (Satoshi Nakamoto)
Jaisa ky ap sabko maloom haa AJ mysterious founder of Bitcoin satoshi Nakamoto ka 49th Birthday ha, unhy NY toh haamy yeh unique and priceless gift to dy Diya poore Duniya ko but pata Nahi ab woh Kaha pa haa zinda haa ya mar Gaya ha bilkul kisi ko andaza Nahi, but yar Mai uski sooch ko Salam Karta Hu ky USS ny aany waaly 40 to 50 year ky masail ko pahly sy baanp Karky usky liya ik unique hal Bitcoin Ki shakal mai banwa Diya Jo na sirf hamary waqt ko Bachata haa yani fast transaction Karky Balky assets ky value ko bhi mehfooz kar rahy haa  AJ Kal ky high inflation Sy Jo fiat ky value ko kaa rahe ha aur haamy Ik khud Mukhtar banwa Diya poore Duniya ky banking system sy. Yeh haqeeqat ha ky agr woh Abhi manzre Aam par hota toh na sirf genies book Mai uska name hota Balky Duniya ky high value award yani Nobel award ussy dy Diya jaaty. Khair hum poore community Satoshi ky Bitcoin creation par Dil Sy shukr guzar ha agr Bitcoin na hoota toh mujy Nahi laghta ky hamary paas itna trusted aur high value crypto currency hote.

Edited:

Here is the reference Boss @Xal0lex

Here is the Post
This is his Username: @peter_rizzo
sr. member
Activity: 1456
Merit: 326
Eloncoin.org - Mars, here we come!
April 05, 2024, 02:05:57 PM
Je brother ap ne Tek kaha ha aj kal scam thore zyada ho gaye Hain aur abi tu aur be zyada honge q ke bull run araha ha aur es selsele ma scammers be active ho jate ha q ke un ka maanna ha ke jahn per log mehnat kar ke paise kama Rahe Hain tu hum peeche q Rahe aur wo akar bana bnaya paisa lay kar chale jate Hain jaise ke Karachi ma hota ha hahahhah. Ye americans scam ke bare ma ap ne Bataya tu muje lagta ha es ma North Korean ka hacker group ha jes ka naam ma bhol geya hun per Faisal Bahi ko pata ha muje lagta ha unho ne keia hoga Khair Jo be hoo hame khud ko megfyz rakna chahye chahe Kuch be ho gaye ap log be bs apna khyal rake apne wallets ko secure rake Baki Allah hamara madadgar ha.

Is me koi shak nahe he hacker aur scamer qadam qadam pe bete hoye he bas mouqy ke talash me rehte he koi ek chuti se ghalti kare aur wallet khali kary to kushish kare ke wallet me zeyada $ na rake aur kushish kare ke har jaga connect be na krey wallet aur dosre ky jaha investement karey wo project pehle puri trah read kary pher uske bad investement karey aur kushish karey ke binance support project ho aur aj kal to airdop ka session he to sub kushish karey apne wallet ka zeyada se zeyada secure kary aur apne wallet pe khyal raka karey.
sr. member
Activity: 658
Merit: 283
Hire Bitcointalk Camp. Manager @ r7promotions.com
April 05, 2024, 02:02:46 PM
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Walaiqumassalm warahmatullahe wabarakatuho

Ameen summa ameen Allah Pak ap per be rehmate nazil farmye. Insan ko Allah ke yaad se ghafil nahe hona chaye aur haar Haal ma apne Allah de toba aur austaghfar talab Karni chahye q ke hum log buhat zyada kmzur ha aur hame pata be nahe hota ke kab Kon si gunnah kar baite. Allah ne es ke Leye ek month ko hamre.leye muqarar keia ha jes ma har cheex ka Sela 70x hota ha. Ap ne Ma Sha Allah se akhri raato ma qeyam keia aur lailatul qadar ko talash kia ap ne Jo be ebadat ki ha Allah UN sub ko qabool farmye. Ma ne Jahan tak Sunna he tu es ki es neshani ye be ha ke ossi raat Jo log Laila tul qadar ko pa layte ha UN ko ossi time sub Kuch sajood ma Nazar ata ha aur dusri neshani ye ha ke ossi subha Suraj ayse nekla hota ha ke na tu wo garmyo Wala hota ha aur na sardeyo Wala , baqi ap kesi mufti sahab se mashwara kar le aur apne Dil ka shak dur kar le.
sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
April 05, 2024, 01:40:17 PM
Bitcoin Cash halving is successfully completed

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Brother aik bar ap ke har howie Hun gy jisa k me howa Hun meny jesi he dekh , par jab red keya k ye to Bitcoin cash halving hai ab Bitcoin halving b ab zayada dor nhi ab 15 din I think Baki hai to brother menie soch me yahan par share kardon meri yehe koshish Hoti hai me ap sab ko update rakhon kuin k har member Bitcoin ke update Chahta hai to me Jo update Hoti hai share jald Sy jald update karnie ke koshi karta hun k ham sab market me hunie waly facts Sy update rahien to brother Bitcoin Cash ka halving  Jo Kal ko huwi aur aur halving hoty hai hash rate mein kami Nazar arahi hai  jis Sy ham Bitcoin  ke halving ka b andaza Laga sakty hai k hamien halving k bad keye movement Karni hai,


 
Aur is ka 41 hafton ka record gira ke 1.34 EH/s tak pohanch gayi isse dikhata hai ke miners halving ke baad bharosa kam kar rahe hain. Hairat angez baat yeh hai ke network ki computational power mein kami ke bawajood BCH ne apna price momentum barqarar rakha, jo ke $720 tak pohanch gaya, jabke zyadatar market stagnated thi. Yeh price surge tezi se ghat rahi hash rate ke 5 dino ke doran 83% ki kami ke sath nazar aata hai. Hash rate aur price ke darmiyan kamzor talluqat ke asarat ke baare mein analysts ko BCH ke price momentum ki barqarar rahne ki istedad ko sawal uthane par majboor karta hai, khas tor par jab miners network se nikal rahe hain. Hash rate mein kami ke bawajood BCH mining revenue 2024 mein barhti hui rahi, jo ke 2 March ko $96k tak pohanch gayi jise cryptocurrency market mein hash rate aur price ke darmiyan talluqat ko samajhne ki complexity mein izafa kar Rahi hai Info.
sr. member
Activity: 420
Merit: 325
Trade Big, Win Bigger!
April 05, 2024, 12:59:58 PM
BlackRock's Bitcoin ETF Updated with Wall Street Giants


السلام علیکم
BlackRock a global asset manager, ne apna Bitcoin ETF prospectus update kiya hai aur paanch mashhoor Wall Street firms ko naye authorized participants ke tor par shamil kiya hai. Ye naye shamil hone wale firms mein ABN AMRO Clearing BlackRock, a global asset manager ne apna Bitcoin ETF prospectus update kiya hai aur paanch mashhoor Wall Street firms ko naye authorized participants ke tor par shamil kiya hai. Ye naye shamil hone wale firms mein ABN AMRO Clearing aur UBS Securities shamil hain. Ye firms pehle se authorized participants mein shamil hote hain jaise ke JPMorgan Securities jo ETF shares ke creation aur redemption mein madad karte ha jo ETF ka operational mechanism mein aik ahem kirdar ada karte ha.

Or Securities and Exchange Commission SEC ka tareeqa Bitcoin ETFs ke liye cash creation aur redemption mechanisms ke hawale se market manipulation risks ko kam karna hai. Bitcoin ETF ke naye shares ko sirf cash transactions ke zariye create ya redeem kiya jata ha traditional in-kind model ke bajaye. Baray asset managers jaise ke BlackRock aur Grayscale ne apne filings mein is mechanism ko SEC ke mashwary ke jawab mein shamil kiya hai. Abi hi mein Bitcoin ETFs ki trading volume mein izafa hua ha lekin tawazon ke isharon se lagta hai ke demand thanda ho sakti ha jahan BlackRock ke IBIT trading volume aur assets under management ma sabaq sabit hote ha
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
April 05, 2024, 12:38:45 PM
السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
All bother , Sab par Allah ke barktien aur rahmatien Hun aj 26wa roza hai aur Allah k barkat Sy baqi 4 rozay rahy gy hain aur Kal ko 27th raat hai , Allah k payaray rasol Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne 21  ,23 , 25 , 27 aur 29 jaga kar ibadat ka hukam diya aur kaha in 5th raaton me taq raat ko talash karo Allah ka fazal Sy me 3 raaton ko to kayam ke hai aur Jin Jin NY mery Janie walon ne kayam keya un ka kahna hai k 23v raat taqa raat thi ab ye Allah k ilwa koi nhi Janta par Jo hamary payaray Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam nishaniyan batien hai un ko maday Nazar rakh ty huwat Kuch nishanyon ko paya hai jis sy confirm to nhi kaha ja Sakta par us raat Hawa aur santta bhot zahir howa aur Jin Jin ko 23v raat tak raat masos hoi sab NY kush na kush niyaniyan zahir ke hain Allah sab ko taq raat nasib karie asha kis kis bahi ne taq raaton ka kayam keya aur kis ko in 3 raaton me koi raat masos hoi ho.
Walikm Slam bhai pyara mahena ramzan ka ghuzray wala hai kuch din rah gay hai is barkat waly mahino ka khtam hony ma han taqq ratain ki abadat ki fazilat boht zadya hai jo banda ko taqa raat mil ge oska dunya or aukhrat 2no he samar jati hai is lay is raato ma zadya sy zadya abadat karni chaye or baqi ya din kuch gham waly bi han qkh Mola Ali ki shadhat hovi hai 21 ramzan ko is lay inko yaad krna cahyee kas ka lay qaynat bani insay pyar krna chaye qkh Nabi pak sy dayen ka avas sarf apni alhy baiet ki mabht he manghi the lakin dunya nay inpar inti zadya he masbity di or shahyeed kar diya sab ko Allah pak inpar rahmat farmhy or inka sadqy humry ghunnah maaf kary Ameen
sr. member
Activity: 616
Merit: 384
April 05, 2024, 11:35:57 AM
Bitcoin Gains Momentum as U.S. Banks Join BlackRock's "ETF: Eyes Set on $69k"



السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kea haal chaal hai brothers loog ummed karta Hu SB kei ruzei achei guzar rhei Hu gaeay aur Ramzan janei walei hai or es baberket mahinay Kei mooch den baqei hai

Ajj Kei market Kei update Kei taraf chltei hai bitcoin Kei price Kei buuuht teizei fluctuate kr rhei hai buuht speed Sei fell down aur bounce back kr rhei hai and bitcoin ki price pheir sei crucial mark $69,000 kei traf price push kr rhei hai aur news Kei mutabeq U.S. banks Goldman Sachs ab BlackRock ke Bitcoin exchange-traded fund (ETF) mei shamil ho rhe hai. Ye atep Bitcoin mei barhte hue institutional interest aur confidence ku correct krtei hai quu ke large firms heissa lena chhte hai aur khule aam apnei aap ku Bitcoin ke saath jaur rhri hai.



USA mei mahsuos honei waale inflation kei isharoun ke bawajuod Bitcoin strong rehta hai jeis ki abhi price almost $68,000 hai. U.S banks ku BlackRock ke ETF mei shamil hone aur ETFs ka aam tour par big success Kei sth Bitcoin ko latest inflation ke shakho se bacha rahi hai. Jb kei opar sei mutawaqqa rozgar ke data Federal Reserve ku laga sakta hai ke wuh muddat tk darjaron ko zyada lamba samay tk buland rakhe Bitcoin mazeed investors ki tawajjo ka markaz hai. Kuch traders ka yeh bhi khayal hai ke agr Bitcoin $69,000 ke price ko break kr deti hai to yeh aur buland ezafa ka eahara ho sakta hai, kyun ke cryptocurrency strong potential banati hai aur oopar ki manfiyat ke momentum show krtei hai. source


full member
Activity: 742
Merit: 201
April 05, 2024, 10:20:08 AM
Brother, Bitcoin ki maximum supply 21 Million ha or supply in circulation 19.6 Million ha, jis ka mtlab ha k agr 4.25% Bitcoin (892,500) ETF insitituions k pass ha jo k ek significant miqdar ha. Micro stretegy k pass mere kahyal mein 200,000 k kareeb Bitcoins ha. ETFS institution ki holding lugta ha k bht tezi se br rehi ha or aany waly dino mein es mein tezi se izafa hony ka imkan ha. Future mein sub se zayadeh Bitcoin holding ETFs ki hee ho gi or wohi market ko control keren gay. DYOR

Ap sahi keh rhya hn ka Micro Strategy ka pass lag bhag 2 lac bitcoins hn aur inka founder Saylor Bitcoin ka barya ma kafi crazy hn. Aur ya baat bhe dursat hy ka 10 Jan 2024 ko jab pehla ETF launch hua tb sa Bitcoin ka price ma kafi bahtri ayi hy aur kafi arsa sa Bitcoin ke price 60k sa oper trade ho rhi hy. ETF na apni asr dekha dea hy aur ab bari hy halving ke jo 2 weeks ke dori pr hy aur uska baad umeed hy price aur oper jya ge.
Jump to: