Asslamoalikom!
Jesa ky ham SAB janty hen ky chand maah pehly hi SEC ny Bitcoin spot ky ETFs approved kiye thy. Or institutions ki involvement ki waja sy bitcoin ki price my itna pump Dekha Gaya ky Bitcoin apny ATH KO cross Kar ky new ATH Bana chuka he Jo ky again toot Sakta hen. Kaya ap janty hen in chand maah my in ETFs ny itna Bitcoin buy Kiya he ky ye is waqt Bitcoin ki circulating supply kaa 4.25% hold Kar chunky hen Jis my ham mazeed izafa Dekh sakty hen.
Or sath my ham SAB janty hen ky Bitcoin ki Halving bhi bohat qareeb he. Or ho Sakta he Uss sy pehly hi ham again ATH cross hota huwa dekhen lekn agar Uss sy pehly nai Gaya ATH par to Halving ky bad janty ky chances 80% tak hon gy. Baqi ye koi financial advice nai he apni search Kar ky hi market my entry li jiye ga.
Brother, Bitcoin ki maximum supply 21 Million ha or supply in circulation 19.6 Million ha, jis ka mtlab ha k agr 4.25% Bitcoin (892,500) ETF insitituions k pass ha jo k ek significant miqdar ha. Micro stretegy k pass mere kahyal mein 200,000 k kareeb Bitcoins ha. ETFS institution ki holding lugta ha k bht tezi se br rehi ha or aany waly dino mein es mein tezi se izafa hony ka imkan ha. Future mein sub se zayadeh Bitcoin holding ETFs ki hee ho gi or wohi market ko control keren gay. DYOR