Author

Topic: Pakistan - page 141. (Read 6503918 times)

sr. member
Activity: 448
Merit: 354
May 07, 2024, 08:22:06 PM
Walaikumuslam
Ye information mery liye thori new hai. Ham my janta to tha ky kafi wallets hen jo ky inactive hen. Lekn un my kitny kitny Bitcoins mojud hen ye mujy bhi nai pata tha. Or waqy hi my 121 billion dollars ek bohat barri amount hai. Baqi jis ny apna wallet active kiya hai usd ki to mojen lag gai. 44M. Ye bhi ek bohat barri amount hai. By the way shukriya for sharing this information.
Ap Ki muhabbton kaa shukriya sir. Pata mujy BHI nai thaa iss Bary my jab my ny Dekha to Socha ye share Karna chahye lazmi. To mujy zrurat mehsus hui to my ny share kar Diya. Or ye BHI Socha KY Agar ye mery liye new information Hy to sab KY liye hi Hogi.

Acha Market Ki bat Karen to Market apny akhri hichkolon par hy. Bohat jald Market ny achi movement Deni Hy. Or bull season KY BHI asraat kafi Nazar aa rahy hen lekn ye kehna mushkil KY kab bull season start ho raha hy. Or Bitcoin Ki current price Ki bat Karen to iss waqt Bitcoin $62600 par trade ho raha hy.

Bitcoin Current Price:
full member
Activity: 434
Merit: 215
Addicted to HoDLing!
May 07, 2024, 07:44:36 PM
Gnus.AI Hack Fake Tokens Cause $1.27M Loss

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

kia haal hen dosto umeed Karta hun ap log kheryat sy hongy. Gnus AI aik blockchain network 5 May ko aik tezabiyana hack ka shikaar ho gaya, jis se $1.27 million ki chori ho gayi. Hackers ne Gnus.AI team ka aik private key istemal kar ke GNUS tokens wali aik wallet par qabza kar liya. Is aaccess ka faida uthate huebunho ne aik mukhtalif blockchain network par 100 million fake GNUS tokens create kiye. Ye jali tokens phir market mein bech diye gaye jis se asal GNUS tokens ki qeemat gir gayi aur haqdar holders ka dolat chura liya gaya.

Is dakhlaan ko tasleem karte hue Gnus AI iqsam utha raha hai, jismein GNUS token ka aik naya version shamil hai. woh mutasir istemal karne walon ko $1 million ka tanaza diya jaye ga jo ke churi hui funds ka taqreeban 80% ko shamil karta hen. Ye waqiya blockchain networks mein mazboot hifazati iqdamaat ki ahmiyat ko izhar karta hai, taa ke mazeed aise dakhlaanon se bacha ja sake. Gnus.AI istemal karne walon ko apni platform par bharosa bahaal karne aur sitaution ko durust karne ka aadalat karta hen


Our agar or mazeed malumat hasil Karni hen to is vist Link

sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
May 07, 2024, 04:45:00 PM
.
snip
Bhai shukriya ap ny ye information share ki. Wesy to I know about that but newbies ky liye ye ek bohat achi post hai jo is bary my nai janty. Shukriya ap kaa ap ny is ko share kiya

Thank you apnie meri post par mujy appreciate keya jis Sy mujy kafi motivation mile Hai .
Aim ye tha jab b koi newbie is forum me active hota Hai trading ke taraf zaror Jata Hai to starting me bot trading use kar K apnie choice straight best kar sakta Hai .


WaalaikumSalam bro, yeh ap ny bohout umda maloomat share Ki haa ajkal market Mai yahi trend kar raha haa log khud Sy cheezo ko Sahi baamp Nahi rahy toh yeh bot ka istimal kar rahy ha. But Mai ny personally yeh use Nahi Kiya q ky Mera isky baary Mai experience Nahi haa aur na mujy idea ha yeh kaisy work Karta haa matlab algorithm Kya ha. But ap ny share Kiya haa toh mujy umeed haa apko isky baary Mai better knwoledge hoga ky yeh profitable haa ky Nahi q ky ik bot pa itna relay Karna Sahi Nahi hoga yeh Kabhi bhi technical fault Ki wajah Sy apky fund ko jala sakta ha toh itna risk is pa Nahi laina chahiya aue Baki ap thoora apna experience share kary ky ap ny kab Issy use Kiya ya kisko use karty daikha aur Kitna profit Kiya kitny fund ko ly ky q ky yahi profit Ki Wahid Cheez haa Jo ky is not ko highlight Karta haa jis sy user attract hongy toh Kindly thoora Bata dy taaky agr ap ny use Kiya aur work ok dam A1 haa toh hum bhi start kardyngy q itny ganty chart ko aur pattern ko smajny Mai waste kary.
Hmm wase ap ko bot trading ke zarorat nhi , Ap ke chart analysis he mashallah itni zabardast hai ap Bitcoin ke chart analysis share karty rahty Hai , ap ke analysis ko AUR bot ko madaynazar rakh kar dekha jy to ap ke analysis bot Sy 4 kadam agy hain .
legendary
Activity: 966
Merit: 1042
#SWGT CERTIK Audited
May 07, 2024, 04:17:48 PM
__SNIp__

Hmm, Asslam o Alikum kese hain ssab loog, hyee itni mohabat kaa hamri poori history nikaal di haha, anwya thanks for your compilation love from my side, apki side too main ajj aya thaa haha like  was in Pindi today poori raat travel kiaa nd then poora din again travel kia khair week maa ana jana too laga rehtaa for some personal reasons, kabi plan howa too batana koi meeting rakhtee hain apke sath one one one main bii dkehon mere jawab yahan pee jooo ilm logon see sikh rehe ospe inki khud kii kitni grift hoi haa abb tak haha then kuch kkhana peena bi rakh lain gee sath kia kehtee hoo next appointment is 22nd May agar time milla too main btaon gaaa.

sr. member
Activity: 854
Merit: 364
Enjoy 500% bonus + 70 FS
May 07, 2024, 02:50:04 PM
How to use Bot Trading

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Sabi brother kese hain kush din phely Kafi sary brother bot trading k barye me Jana chahty thy aur us ko use Karna b chahty thy . To meny soch k aik post bot trading k oper banie jy kuin k sabi ke yehe khawish Hoti hai k ham har trade me profit earn karien aur profit earn karnie k Leye ham Taran taran ke straight use karty hain par phir b lose ka shakar ho jaty hai ,to aj bot trading k bary me aur us ka sabi method janty hain aur short waqt me asha profit gain karty hain .
WaalaikumSalam bro, yeh ap ny bohout umda maloomat share Ki haa ajkal market Mai yahi trend kar raha haa log khud Sy cheezo ko Sahi baamp Nahi rahy toh yeh bot ka istimal kar rahy ha. But Mai ny personally yeh use Nahi Kiya q ky Mera isky baary Mai experience Nahi haa aur na mujy idea ha yeh kaisy work Karta haa matlab algorithm Kya ha. But ap ny share Kiya haa toh mujy umeed haa apko isky baary Mai better knwoledge hoga ky yeh profitable haa ky Nahi q ky ik bot pa itna relay Karna Sahi Nahi hoga yeh Kabhi bhi technical fault Ki wajah Sy apky fund ko jala sakta ha toh itna risk is pa Nahi laina chahiya aue Baki ap thoora apna experience share kary ky ap ny kab Issy use Kiya ya kisko use karty daikha aur Kitna profit Kiya kitny fund ko ly ky q ky yahi profit Ki Wahid Cheez haa Jo ky is not ko highlight Karta haa jis sy user attract hongy toh Kindly thoora Bata dy taaky agr ap ny use Kiya aur work ok dam A1 haa toh hum bhi start kardyngy q itny ganty chart ko aur pattern ko smajny Mai waste kary.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
May 07, 2024, 12:40:33 PM

PCB officially released his kit for T20 World Cup
Guys Pakistan nu AJ officially apni kit launch karde haa Jo ky upcoming T20 World Cup ky liya banwai Gaye ha, mujy toh personally bohout awesome Lage haa colour combinations aur SAB ik dam perfect haa, bs ab iss Cheez ka dair ha ky kab iss jersey Mai world cup Jeet kar isko yaad gaar banwai gy. Waisy team ko daikha jai toh ache team lag raha haa Har side Sy balanced but thoore bohout changes hojai to Maza ajai ga. Waisy ap logo Ki Kya Rai haa paksitan ky squad ko daikhty ho aur American aur West Indies condition ko daikh ky Kaise performance Hoge kitan survive karskyngy hum aur ap is jersey ko Kitna rate Karo gy out of 10 Mai toh 10/10.
Waisy yeh news bhi sunny Mai aye ha ky PCB ky chairman NY paksitan team KY liya ik announcement Ki haa ky agr ap ny world cup Jeet liya toh officially PCB Ki taraf sy Har player ko 100k$ dy Diya jyngy Jo ky bohout aala Streategy haa player ky performance ko boost karny ky liya.
Wah g wah 100k$ mily ga har ik player ko jo world cup ka winning team ma hu ga boht jan marny phary ge phr to Pakistan team ko os dfa ma bi ya new suni the. mojy ya Pakistan team ki kit acahi lagi hai bs thora green colour zadya kar diya ha shirt ma wsy to theak hai khair ya buyinh krni chaye ot r hummy stadium ma ka kar Pakistani team ko.support krna chaye jas say team ka morals balnd hu or wo world cup jheet kar Pakistan lay kar ayy or mulak Pakistan ka naam ronish kaey kahir dkahty hai kia karty ja ma is kit ko 10/9 numbers deta hu
sr. member
Activity: 462
Merit: 354
Trade Big, Win Bigger!
May 07, 2024, 12:31:15 PM

Again congratulations sir, Ap ne Kafi zyada poste ki ha Ma Sha Allah se Allah apko aur be esteqamat de . Ma ne abi ap ki poste check ki ha aur muje pata Chala ke ap ka 581 poste Pakistan thread ma huwi ha ye total posts ka ma bta raha hun aur ye takreebn 18% of the total post banta ha. Ap ki sub se zyada poste Bitcoin discussion thread ma ha jes ma apne 623 poste ki ha aur ye 20% banta ha total post ka baqi Jo 62% ha wo baqi sections ma huwi ha .ye ma ap ke sath pic share kar raha hun ap ko apne post daikne ma asani Hogi aur baqi cumminty be ek legendary ke profile ka deedar kar lenge.

well Brother mari taraf say bi Hamza sir ko congratulations for completing 3,000 post on this forum. our information apny achi research kar ka ha update ki hai or jasy kah local community ma zadya ha post kia is trah ap sari community ka data nikal kar post kar skaty ha takh idea hu jaye kah sab ki apny local community ma kitni percentage post or doary section ma kia surat hall umed ha ap bat ko smajj gya hu gy brother ya acha idea ha apny ap ko analysis karna kah humra kia percentage post hy
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 07, 2024, 11:53:17 AM
Bitcoin Recreating the Bull Cycle Trend of 8 Years Ago

Assalam o alikum to all community,
Cryptocurrency ka analysis karne wale analyst Rekt Capital ne Bitcoin ke mojoda prcie ke trend par dilchasp tajziyah diya hai jismein woh 8 saal purani ek bull cycle ke saath mawafiqat ko dekhte hain. 2016 ke cycle ke mawafiqat par roshni daalte hue jahan Bitcoin Halving ke baad qareeb 3,000% izafa kiya tha analyst ke mutabiq Bitcoin aane waqt mein nihayat zyada izafa ke liye taiyar ho sakta hai. Bitcoin ki harkat ko Re Accumulation Range Low ke neeche dikhaya hai jo ke 2016 mein dekhe gaye pattern ko copy karta hai



Rekt Capital ke analyst ke mutabiq btc small mudat mein $60,600 Range Low ke aas paas neeche ki taraf kharjiyat ka samna kar sakta hai jaise ke pehle Halving ke pehle nisbatan pichle Retracement. haal ke all-time high se gehra aur lamba retracement hone ke bawajod umeed hai ke Bitcoin ne ek niche tak pahuch gaya hai. Mojoda musbat jazbaat mein Bitcoin ki Price 0.43% izafa karke $64,126 tak pahunch gayi hai jismein uski market cap aur trading volume mein thodi izafaiyan nazar arahi hain.

baqi Bitcoin ki mojooda price ke amal mein 2016 ke bull cycle ke patterns ko yaad dilaate hue jo ke aage izafa ki imaknyat dete hai. or small muddat ke jazbaat ke darmiyan $60,600 Range Low ke aas paas rahny ke amaal ki umeed hai but amomi jazbaat musbat rehte hain jabke Bitcoin ki stability aur dhere dhere recovery ke nishaan nazar aate hai baqi research soch smaj or apna analysis kar ka krni chye hai details

Brother, Bitcoin k historical pattern technical analysis, (jo k ek imkanyayat ki science ha) mein price prediction k liye widely use kiay jaty han jis k durust hony ka imkan kabi bi 100% nahi hota ku k fundamentals change sary scenerio ko change ker deti ha. Abi hum halving k baad aista aista stability ki ntrf br rehe han or umeed ki ja sakti ha k aany waly dino mein Bitcoin apny next important resistance weekly chart pe jo k $66,844 ko surpass ker jai gi. DYOR
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
May 07, 2024, 07:29:28 AM
Bitcoin Recreating the Bull Cycle Trend of 8 Years Ago

Assalam o alikum to all community,
Cryptocurrency ka analysis karne wale analyst Rekt Capital ne Bitcoin ke mojoda prcie ke trend par dilchasp tajziyah diya hai jismein woh 8 saal purani ek bull cycle ke saath mawafiqat ko dekhte hain. 2016 ke cycle ke mawafiqat par roshni daalte hue jahan Bitcoin Halving ke baad qareeb 3,000% izafa kiya tha analyst ke mutabiq Bitcoin aane waqt mein nihayat zyada izafa ke liye taiyar ho sakta hai. Bitcoin ki harkat ko Re Accumulation Range Low ke neeche dikhaya hai jo ke 2016 mein dekhe gaye pattern ko copy karta hai



Rekt Capital ke analyst ke mutabiq btc small mudat mein $60,600 Range Low ke aas paas neeche ki taraf kharjiyat ka samna kar sakta hai jaise ke pehle Halving ke pehle nisbatan pichle Retracement. haal ke all-time high se gehra aur lamba retracement hone ke bawajod umeed hai ke Bitcoin ne ek niche tak pahuch gaya hai. Mojoda musbat jazbaat mein Bitcoin ki Price 0.43% izafa karke $64,126 tak pahunch gayi hai jismein uski market cap aur trading volume mein thodi izafaiyan nazar arahi hain.

baqi Bitcoin ki mojooda price ke amal mein 2016 ke bull cycle ke patterns ko yaad dilaate hue jo ke aage izafa ki imaknyat dete hai. or small muddat ke jazbaat ke darmiyan $60,600 Range Low ke aas paas rahny ke amaal ki umeed hai but amomi jazbaat musbat rehte hain jabke Bitcoin ki stability aur dhere dhere recovery ke nishaan nazar aate hai baqi research soch smaj or apna analysis kar ka krni chye hai details
sr. member
Activity: 462
Merit: 354
Trade Big, Win Bigger!
May 07, 2024, 03:45:00 AM
.....)
Wase bahi mujy to lag raha hai k garmi ke waja sy user me kami Nazar arahi hai jese school  me garimeyon ke chottan Hoti hai wase he user ne forum Sy chottiyan ly hai garmi ke waja se Mazak kar raha tha menie b ye bat note ke thi aur asa tab se howa hai jab sy hamri community member ke post delete Hina shoro hoi thi aur kush poston par band Laga tha airdrops walien par wonuser Jin ke postien delete hoi wo to bachray dar gy aur dosaray section me Kafi active hai aur kush user Jo airdrops join b karty thy aur share b wo post  delete hojanie ke waja Sy Kam active honie lag parie par Mashallah ab phir sy community me jag mag aye hai aur inshallah agy b asie he rahy gi .
Hehe brother garmai ki chaotien ka kia talaq hy fourm ma user ki activity say han agr dakha jaye to grami ma user kam active hoty ha or sardion ma user zadya active hoty hy shyed mosam bi ik element hu usera ki activity ka related baki dosri wajjah jo brother apny bayen ki wo kaffi reality ka qareeb ha jasy oksa bad airdrops or earnings wali post bahat kam nazar ay rahi krni he chor di ha shyed is lay hummy active users ma kami dakhny ko mil rahi hy lakiin umed ha with the time user ay jaye gy jo chor kae gy ya dosri sections ma active hy
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 07, 2024, 02:40:15 AM

Also this is my 3000 Post Number ... 3k completed osme see almost 15% see oper oper hii hongi local community ma omeed tooo yehi haa baqi dekhtee hain...

Again congratulations sir, Ap ne Kafi zyada poste ki ha Ma Sha Allah se Allah apko aur be esteqamat de . Ma ne abi ap ki poste check ki ha aur muje pata Chala ke ap ka 581 poste Pakistan thread ma huwi ha ye total posts ka ma bta raha hun aur ye takreebn 18% of the total post banta ha. Ap ki sub se zyada poste Bitcoin discussion thread ma ha jes ma apne 623 poste ki ha aur ye 20% banta ha total post ka baqi Jo 62% ha wo baqi sections ma huwi ha .ye ma ap ke sath pic share kar raha hun ap ko apne post daikne ma asani Hogi aur baqi cumminty be ek legendary ke profile ka deedar kar lenge.


Brother, ap nay bht professionally Pakistani thread pe Hamza bhai ki posts ka historical data analyze kia ha. Please ap ek or kaam keren Pakistani thread ka all time data explore keren or uis mein her individual ki posts counts ko bi share keren. Umer bhai mujh se zayadeh senior han Bitcointalk forum pe, mere khyal mein Pakistani thread pe sub se zayadeh unki hon gi or 2nd highest ho sakta ha meri hon. Thanks in advance.
sr. member
Activity: 728
Merit: 300
Love Bitcoin🖤
May 06, 2024, 11:54:19 PM
Hmm Long time no see haha, ....
Hahhaha sir same same situation chal rahi ha bs ap ke final years chal Rahe Hain aur mere final years ma bs Thora SA time rehta like Kuch months aur os ke bad pir wahe projects waghira . Mera zyada tar time university ma guzr jata ha aur jaise free hota hun tu library ma Chala jata hun tu es waja se mere quote Thora late ho geya. Aur han apke graduation ke Leye pehle se Mubarakan. Graduation ke bad Banda kia he karega Pakistan ma pir wahe paise jurne phase open hota ha ke jaldi jaldi paise juro aur niklo Pakistan se, ap btaye sir kia erade ha ap ke Pakistan ma rehna ha ya pir bahir Jana ha as apke field ka foreign ma Kafi zyada scope ha.


Quote
App sunain kese hain, saab kahriyaat, Zainmalik see thodi bohat baat hoti rehti ajkal too onse bii nai hoo paa rahi.....
Je je sir Zain bahi se tu bat Hoti Rehti ha per wo be Kafi busy hota ha aj kaal apni life , har Banda busy ha aj kal hahha. Khair Zain bahi tu bare nice bande ha hamesha help he karte ha aur guide karte rehte Hain.

Quote
Also this is my 3000 Post Number ... 3k completed osme see almost 15% see oper oper hii hongi local community ma omeed tooo yehi haa baqi dekhtee hain...
Again congratulations sir, Ap ne Kafi zyada poste ki ha Ma Sha Allah se Allah apko aur be esteqamat de . Ma ne abi ap ki poste check ki ha aur muje pata Chala ke ap ka 581 poste Pakistan thread ma huwi ha ye total posts ka ma bta raha hun aur ye takreebn 18% of the total post banta ha. Ap ki sub se zyada poste Bitcoin discussion thread ma ha jes ma apne 623 poste ki ha aur ye 20% banta ha total post ka baqi Jo 62% ha wo baqi sections ma huwi ha .ye ma ap ke sath pic share kar raha hun ap ko apne post daikne ma asani Hogi aur baqi cumminty be ek legendary ke profile ka deedar kar lenge.
 
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 06, 2024, 10:57:10 PM
How to use Bot Trading

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Sabi brother kese hain kush din phely Kafi sary brother bot trading k barye me Jana chahty thy aur us ko use Karna b chahty thy . To meny soch k aik post bot trading k oper banie jy kuin k sabi ke yehe khawish Hoti hai k ham har trade me profit earn karien aur profit earn karnie k Leye ham Taran taran ke straight use karty hain par phir b lose ka shakar ho jaty hai ,to aj bot trading k bary me aur us ka sabi method janty hain aur short waqt me asha profit gain karty hain .



Thanks brother for sharing this valued information, ap ne new comers k liay bht useful information share ki ha. Mein toh bots ko kucoin or bybit pe bht time se istemal ker reha houn spot trading k liay. Bots k bary vmein meri learning yejh ha k enka sub se bra faida yeh hota ha k yeh emotionless trading kerti han or sirf data ko analyze ker k buying or selling decisions leti han.

Bot trading mein success ka inhasar apky coin k choce pe hota ha, khas tor pe coin ki volatility bht matter kerti ha.
Mein akser Bitcoin or jo achy coins list hoty han un mein bot use kerta houn or overall faida hee hota ha, Alhamdulilah. DYOR

hero member
Activity: 938
Merit: 765
I stand with Palestine.
May 06, 2024, 09:20:30 PM
How to use Bot Trading

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Walaikumuslam!
Bhai shukriya ap ny ye information share ki. Wesy to I know about that but newbies ky liye ye ek bohat achi post hai jo is bary my nai janty. Shukriya ap kaa ap ny is ko share kiya.



Satoshi-era Dormant Bitcoin Address Wakes Up After 10 Years

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Walaikumuslam
Ye information mery liye thori new hai. Ham my janta to tha ky kafi wallets hen jo ky inactive hen. Lekn un my kitny kitny Bitcoins mojud hen ye mujy bhi nai pata tha. Or waqy hi my 121 billion dollars ek bohat barri amount hai. Baqi jis ny apna wallet active kiya hai usd ki to mojen lag gai. 44M. Ye bhi ek bohat barri amount hai. By the way shukriya for sharing this information.
sr. member
Activity: 448
Merit: 354
May 06, 2024, 08:30:52 PM
Satoshi-era Dormant Bitcoin Address Wakes Up After 10 Years

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ

Kaya haal hen dosto ap sab KY umeed Karta hun ap sab kheryat sy hongy.
Acha to bat ye hy KY ham sab janty hen aaye din hamen Roz koi naa koi Purana wallet active hota Nazar ata hy Kabhi koi to Kabhi koi. Kal phr EK wallet active huwa 10 saal KY bad jiss KY pas 687 Bitcoin mojud thy. Jo Aaj Ki value KY lihaz sy almost $44 Million banty hen. Or Abhi Dekha Jaye to bohat sy wallets esy hen Jo KY Abhi tak inactive hen. Or EK mohtat andazy KY mutabiq Abhi BHI 1.75 million dormant wallets hen Jo Abhi tak inactive hen. Or Agar in sab ko Dekha Jaye to in my taqreeban 1,798,681 Bitcoins mojud hen yani Agar Aaj Ki value KY lihaz sy Dekha Jaye to almost $121 Billion banty hen. Jo KY EK bohat barri amount hy ya ap keh sakty hen Bitcoin Ki total marketcap ka almost 10%.

Dormant Addresses Details

Acha jesa KY my ny upar btaya KY almost 1.75 million addresses esy hen Jo KY Abhi tak inactive hen. Or in my sy to 1.73 million esy wallets hen Jin my 50 sy Kam Bitcoins mojud hen. Or 12070 esy wallets hen Jin my taqreeban 50 sy 51 Bitcoins mojud hen. Or 2616 esy wallets hen Jin KY pas 51 sy 1000 tak Bitcoins mojud hen. Or thora aagy barhen to 168 wallets esy mojud hen Jin my 1000 sy LY kar 5000 tak Bitcoins mojud hen. Or 18 wallets esy BHI hen Jin my 5000 sy 10000 Bitcoins mojud hen. Or aakhir par 6 wallets hen Jo KY bohat barri amount my Bitcoin mojud hen yani 10000+ Bitcoins mojud hen. Ap is chart sy BHI andaza Laga sakty hen.


Source: Chainalysis

Or agar ap mazeed malumat hasil Karna chahty hen to ap ye article visit kar sakty hen. Details
sr. member
Activity: 392
Merit: 306
Enjoy the beauty of nature 😊
May 06, 2024, 03:39:06 PM
How to use Bot Trading

السلام علیکم و رحمتہ اللہ و برکاتہ
Sabi brother kese hain kush din phely Kafi sary brother bot trading k barye me Jana chahty thy aur us ko use Karna b chahty thy . To meny soch k aik post bot trading k oper banie jy kuin k sabi ke yehe khawish Hoti hai k ham har trade me profit earn karien aur profit earn karnie k Leye ham Taran taran ke straight use karty hain par phir b lose ka shakar ho jaty hai ,to aj bot trading k bary me aur us ka sabi method janty hain aur short waqt me asha profit gain karty hain .

Sab Sy phely binance ko open karne k bad trade par ja kar
 
Bot trading ko open Karna Hai


Trading bot par click karnie k bad kush asa interface hoga, phir apnie Spot Grid par Jana hai .

Sopt Grid par click karie k bad hamray pass three potion hongy .

1 AI
2 popular
3 Manual

Manual par click Karna hai


Manual par click karnie K bad
Hamray pass again  3 option hongy ye main point Hai AUR is leye  meny  details Sy explain  Kardinya Hai .


1 Price Range : price range  par apnie aik lower price batni hai aur aik upper price batni hai .

Is ka matlb hai lower price Jo apne set ke hai agar is sy nichy jy to ap ke buying band hojy aur upper price Jahan par jakar ap ke selling hojy .

2 Number of Girds  number of Gird k opinion me two straight hai .

Aik Geometric aur Automatic


Geometric me hamien presentage batani Hoti hai .

Arithmetic me value batani Hoti hai k kitnie bar buying ho .

3: Investment : ap kitni investment lagana chahty hain .

Ye set karie k bad advance option mein ham Janie gy  to yahan par ham ko  kuch options is tarah ke mil gy .

grid trigger is set par  ap ne jo value batani hai us par is ne buying start karni hai agar ap value nahi bataoge to usi time jo buying start ho jaye gi .


Stop trigger k maximum agar down jaye agar ap ki buying hui hai to yahan ja kar us ko sell ho jaye h  is ko lagnie ka fiad nhi kuin k bot hai is me feature hain k ye khud he sell aur buying kar k dy .

Grid Tigger lagnie k bad confirm ka option aye ga it's mean k ap k sabi steps complete hojyien gy aur ap ka bot ready hojy ga trading k Leye.
hero member
Activity: 1414
Merit: 670
May 06, 2024, 02:19:51 PM

PCB officially released his kit for T20 World Cup
Guys Pakistan nu AJ officially apni kit launch karde haa Jo ky upcoming T20 World Cup ky liya banwai Gaye ha, mujy toh personally bohout awesome Lage haa colour combinations aur SAB ik dam perfect haa, bs ab iss Cheez ka dair ha ky kab iss jersey Mai world cup Jeet kar isko yaad gaar banwai gy. Waisy team ko daikha jai toh ache team lag raha haa Har side Sy balanced but thoore bohout changes hojai to Maza ajai ga. Waisy ap logo Ki Kya Rai haa paksitan ky squad ko daikhty ho aur American aur West Indies condition ko daikh ky Kaise performance Hoge kitan survive karskyngy hum aur ap is jersey ko Kitna rate Karo gy out of 10 Mai toh 10/10.
Waisy yeh news bhi sunny Mai aye ha ky PCB ky chairman NY paksitan team KY liya ik announcement Ki haa ky agr ap ny world cup Jeet liya toh officially PCB Ki taraf sy Har player ko 100k$ dy Diya jyngy Jo ky bohout aala Streategy haa player ky performance ko boost karny ky liya.
sr. member
Activity: 434
Merit: 360
May 06, 2024, 01:58:33 PM
Bitcoin Analyst Predicts $125,000 Price Target by 2025

Assalam alikum to all my community, ik fsmous analyst Peter Brandt ne Bitcoin ke liye ek bullish mustaqbil ka tajwez diya hai jis mein wo cryptocurrency ko 2025 tak $125,000 tak pohanchte dekh rahe hai aur 2026 ke baad $300,000 tak pohonchna mumkin hai. Brandt jo futures markets trading mein 50 saal ka tajurba rakhta ha
 Bitcoin ki be misaal khasiyat ko ahem samajhte hai jisey unhone uski karobari dhancha aur qeemat ke rawayye se wazeh kiya hai. Unho ne Bitcoin ke itihaas mein taraqqi se bhari faida aur qayamat se bhi bade asloob ka zikr kiya hai jo isay riwayati assooson se juda deta hai.

Waalikun assalam halving sy phely b Bitcoin b100k jata Nazar arah tha par gaya nhi , par aik bat paki hai 100k ke awaz aye thi expert ke big analysis karnie walon ke jaye ga zaror par yenhi PATA kab ab jese k Peter Brandt ne prediction kardi hai 125k  price 2025 ko ho sakti hai ab wo 2025 me na jy 2026 me Yan 27 me Chala jy matlb ye k prediction Jo b Hoti hain in ke Sahi Hoti hai par ye nhi confirm hota k ye jay ga kab .

Ab Bitcoin ke price par Nazar dalien to Bitcoin ke chal sy to yehe Lagata hai k Bitcoin ny jitnie correction Lanie thi ly le hai aur ab Barish hai aur aik bar phir apnie ATH par jy ga aur aik new resistance Creator karie ga .DYOR
Bilkul bhai prediction or reality ma fark hota hai ya jo prediction krty hai ya present ma technicaly or fundamentals cheezo ko dakh kar Karty hai baaz dfa ya prediction such sabit hu jati hai or kahi dfa ya pori ni hoti hai ab jasy dakha jaye to bitcoin ki kuch prediction bikul sahe sabit hovi abi jasy analyst nay Bitcoin ko 100k$ plus ka predict kiya hai mojy lagata ha bull run ma bitcoin lazmi isy cross kry ga or apna new ATH banay ga baqi investment krnny sy phly apni research zrori kry.
sr. member
Activity: 854
Merit: 364
Enjoy 500% bonus + 70 FS
May 06, 2024, 01:45:51 PM
Ap ko kaya kagta hai mukamal regulate karna chahye for this purpose ky khul ky in scammers ky khilaf sakhat iqdaam kiye jaen.
Mai samajta Hu ky paksitan ko yeh step laina chahiya chahy American kitny bhi rude na hojai iss decision pa q ky iss Mai kafi fawaid haa na sirf paksitan ky awam ka Balky government Ki bhi. Ik toh yeh hoga ky awam khul ky iss ko Samaj sakyngy aur Issy adopt karlyngy toh trading regularly start kardyngy aur apni achi rozi roto kamingy aur dollar apny country laingy jis Sy no doubt economy kafi boost Hoge aur logo ko apny paisy Ki qadar ko hold karny ky liya ik asset mil jai ga toh awam kafi faidy Mai rahyngy aur doosra government inn big big exchanges Sy apny country Mai business karny ka acha khaasa paisa lyngy aur agr koi scam kary toh government fully support karyngy gi usky khilaf action lainy ky liya toh faidy hi faidy hi agr hum thoore samjdari dikhai
copper member
Activity: 1316
Merit: 715
Eloncoin.org - Mars, here we come!
May 06, 2024, 01:30:20 PM
India Announces 'Successful' Crackdown on E-Nugget Scam

Asslamualaikum!
Kaya haal hen dosto.
Umeed karta hun sab kheryat sy hon gy. Ek interesting news samny sy guzri. Jo ky scam case ky mutaliq hai. Jo ky India my 2022 my huwa tha. Basically ye ek Game thi. Jis my scam huwa tha. To ab us par crackdown huwa hai or al ost $10M funds ko freeze kar diya gaya hai full investigation ky bad.

Acha ye article share karny kaa asal maqsad ye gai ky is par thori discussion ki jaye. Mery mutabiq issi waja sy India my Crypto Exchanges ki ban kiya jaa raha hai. Ye scams fraud or ye sab inhi ki waja sy ek aam user bhi preshani kaa samna karta hai.

Or iss lihaz sy dekha jaye to hmary Pakistan my bhi bigat si applications scam jar chuki hen or kar rahi hen or kuch to bss samaj len qareeb qareeb hi hen. Ap ko kaya kagta hai mukamal regulate karna chahye for this purpose ky khul ky in scammers ky khilaf sakhat iqdaam kiye jaen.

Kherr India kaa crackdown kamyad raha or $10M ky qareeb recover huwa jo ky India ky ek idaary ED (Enforcement Directorate) ny kiya or jo amount recove hui uss ko ED ny apny account my send kar ky yani crypto wallet my send jar ky mehfioz kar liya hai. Ab next kaya plan hai ye to koi nai janta. Lekn nery khayal my ye ek acha qadam hai. Taa ky baqi scammer bhi ainda khayal karen.

Or sab sy mazy ki bat ye hai ky iss scam ki back oar koi Amir Khan shaks naami shaks hai yaani ek muslim. Yaani name sy hi muslim lag raha hai. Kher wi bhi arrest ho chuka hai or investigation chal rahi hai. Dekhty hen further kaya natija niklta hai?
Full article Here

Walaikum salam brother, Pakistan mein bi waqtaum fawaqtum crypto currency k scam samny aatay rehty han or mere khayl mein Pakistanio k sath sub se bra scam One coin ne kia tha jis mein Pakistanio k Billions or Rupees doob gaye thay, One coin k founder k khilaf USA mein lawsuit chal rewha tha shayed usko prison ho gai ha.

En sub maslo ka ek permanenet hal yehi ha k Pakistan mein crypto ko regulate kia jai jis se hakumat ko bi significant amount vmein revenue milay ga. DYOR

https://www.youtube.com/watch?v=JSB7WIZ3tdU
Jump to: