Babar Azam Pakistan k wo wahid khalari ban chukein hain jis ne T20 mai 3500 runs banaye hain, in se phela Pakistan ka bare se bara batsmen ye runs complete na kr paya na Sarfraz na Shahid Afridi aur na hi Javed Mhiaddad.
Babar Azam iss waqt thesra number per hain jis k T20 mai sab se zada runs hain aur number 1 per Virat Kohli hai jis ne 4000 runs banaye hain aur Babar Azam ko ab bas 400 aur kuch hi runs aur chaiyein number 1 hone k liye, Virat Kohli ka debut 2008 ya 6 mai hua tha phr Babar Azam ka debut 7 saal bad 2015 mai Zimbabwe k ander hua jis m us na century mukamal ki.
Abhi Pakistan ki New Zealand se series ho rhien jis mai Babar Azam bohat acha khel raha hai aur agar yeh aisa hi khela toh boht jald number 1 pr a jaye ga, Pakistan k is saal kam az kam 29 International T20Is hain bas ab iss sab mai Babar Azam kamal krde.
Babar Azam ke cricket skill ashi hain par ab ko apnie skill ko off keye howaien hain lagatar 2 serie hargien hain New Zealand Sy series to 5 ke hai par agar wo aik aur match harty hain to wo serie ko maintain nhi kar paien gy.T20 me matches me Babar Azam ka total score board asha ha unki consistent performance ne unhe T20 cricket mein ek top batsman banaya hai. Agar aise hi khelte rahenge toh jese apny kaha k wo number 1 spot ka irada pura ho sakta hai. New Zealand series se ummid hai ki Babar aur Pakistan team aur bhi acchi performance dikhayenge.
Bilkul sahi bat hae bs dosray end sae koi sth denay wala ho to babar will suerly finish the match in his style lelkin idhr mashaAllah sae 1 ata hae dosraa jata hae ..bs aniiyan janiyan lagii hui hae and then some critics sara blame babar pr daal detay hae that he is selfish and apnay liyae khelta hae. someone tell them kae wo na ho to tum log less then 100/120 mae hi book ho jao.
Pakistan ko b kuch cheezain improve karnay ke zaroorat hai. Shaheen ko chachu Iftikhar ko use karna chaieya tha. Azam spin ko sahi khelta hai apparently to usay Iftikhar say upper aana chaieya tha, but ab kia ho sakta hai, hopefully, next match main kuch acha kar lain, ye na ho k whitewash ho jain wahan per. Plus, hamain mazeed experiment ni karna chaieya apni team k sath aur unheen ko chance dena chieya jin ko hum nay next world cup khilana hai.
Azam khan is not an international material. Na us say keeping sahi hotee hai aur na e khail sak raha hai pressure main.
Jo situation jaa rahi hae whitewash confirmed hae . Experiments hi sahi ni kr rahay Haseebullah aur farhan ko add kray Nawaz match winner ko sakoon krwaien .
Azam khan ko mauqa dena chaye. kuch match play kar le tho umeed ha k Pakistan k leye ache khiladi sabit ho sakte ha. Rizwan jab start ma aya tha tho batting aur keeping ma masla tha leken waqt guzarne k sath sath us ma behteri aae. Azam khan keeping tho acha karta ha. batting ma us k pas taqat ha jis ko sahe jaga aur gap ma use karna ha thab us k shot rang laege.
Fakhar zaman Pakistan k pas ek acha hero ha. Us ka batting kuch ajeeb sa ha. Sixes ua k bahut powerful hothe ha. Babar azam bechara khelta acha ha leken jab scores ziada need ho thab usko aakhir thak Maxwell ke tarah use nahe aatha aut ghalat short khel kar wicket kho detha ha. Team kaafi ache ha bas serf performance need ha.
No doubt fakhar is a good batter lekin pta ni sb ko newzeland series mae har match mae kdr janay ki jaldi hoti hae and everyone either its a top order batter or tail-ender sb har ball ko out of the park bhejnay kae chakar mae hotay hae . i didn't understand this approach of the Pakistan team. Har ball boundary wala ni hota opposition bhi khelnay ai hae.
[moderator's note: multiple posts have been merged]